~*~ ~ ~ surah al mutafiffen ~ ~*~ tarteeb 83 surah name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse...

12
~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Nazimah24_SP: Tarteeb – 83 Surah Nazimah24_SP: Name 1st Aayah Nazimah24_SP: 1 Ruku, 36 Aayah, 169 Kalimat, 730 Huruf Nazimah24_SP: Bunyadi mauzoo – Faajir & Nek log Nazimah24_SP: 2 Character is Surah me, & past surto me dekha 2 groups ka zikr he, iss surah ka bhi yehi andaaz .. Nazimah24_SP: Jab Quran takmeel pe aata he to Allah swt ye bataana chahte he ke tum 2 groups me se kisi ek me fit hote ho, ab konse me fit hote he ye tum khud apnea p se check karlo …!!! Nazimah24_SP: Ye Surah mecci daur ke aghaaz me naazil hui .. Kuch logo ka khayaal ke ye madni he, reason – Ibn Abbas ka jumla – jab nabi madina aaye tab waha ke log kami karte they tijaarat me, to unki baat he, specially ek shakhs Abu dujaina naam ka .. iske paas 2 kism ke weights they – (i) ek vo jisse ye logo ko deta tha wazan karke & (ii) vo jo vo khud apni kharidi ke liye use karta tha .. to uspe ye surah naazil nahi .. Nazimah24_SP: But ye durust nahi – iss surah me kuch aayate he jisse ye saaf pata chalta he ke ye uss daur ki surah he jab islaam ki wajah se logo ko maarna peetna abhi shuru nahi hua tha, bus taane kase jaate they … Nazimah24_SP: Rest jo agar few aaya’s he, agar ye baat dubara madina me bhi hua ho, to sahaba ka andaaz tha ke agar kuch aayate unko kuch khaas mauke ke munaasib lage to vo ye kehne ke bajaaye ke Quran me iske baare me zikr he vo ye kehte they “Quran me iske baare me ek surah naazil hui..” - > ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki isme life ka bahutt imp mauzoo cheda gaya – “Baaz dafa insaan jo khud ke liye pasand karta he vo dusro ke liye pasand nahi karta” … & bande & rabb ke beech me bhi ye hota he ..!! Nazimah24_SP: Buniyadi mazmoon – Aakhirat Nazimah24_SP: Aayah 1 to 6 – Naap tol me kami ke baare me girft ki gai, jo normally dusro ke saath dealings me ya business me log karte he .. jo haqq de nahi rahe hote vo dusri jagah maan bhi rahe hote he .. Nazimah24_SP: Allah swt ne aise logo ka zikr illiyeen & sijjeen ki baato me bata diya ke aaj agae ek ounce ki bhi kami karte ho haqq dene lene me to kal qayamat ke din tumhaare saamne aayega .. Nazimah24_SP: Allah swt ka khauf hi bande ko seedha rakhta he … Maangna chahiye ke Allah swt mujhe apni khashiyat naseeb farma .. Bade khushnaseeb ho vo log jinko Allah swt ki khasiyat he .. Nazimah24_SP: "Allahumma inni Asalooka Khashyataka ~ Maangni Chahiye ye Dua " Nazimah24_SP: Agar abhi bhi dil me muhabbat & khauf nahi he to maangna zaroori he .. Nazimah24_SP: Aayah 7 to 17 – Aqeedah e aakhirat ka nazariya pesh kiya ke badkaar logo ka jo haal hoga … Nazimah24_SP: Aayah 18 to 28 – Nek logo ka anjaam .

Upload: dangdiep

Post on 06-May-2018

239 views

Category:

Documents


10 download

TRANSCRIPT

Page 1: ~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Tarteeb 83 Surah Name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki

~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Nazimah24_SP: Tarteeb – 83 Surah

Nazimah24_SP: Name 1st Aayah Nazimah24_SP: 1 Ruku, 36 Aayah, 169 Kalimat, 730 Huruf

Nazimah24_SP: Bunyadi mauzoo – Faajir & Nek log Nazimah24_SP: 2 Character is Surah me, & past surto me dekha 2 groups ka zikr

he, iss surah ka bhi yehi andaaz .. Nazimah24_SP: Jab Quran takmeel pe aata he to Allah swt ye bataana chahte he ke tum 2 groups me se kisi ek me fit hote ho, ab konse me fit hote he ye tum

khud apnea p se check karlo …!!! Nazimah24_SP: Ye Surah mecci daur ke aghaaz me naazil hui .. Kuch logo ka

khayaal ke ye madni he, reason – Ibn Abbas ka jumla – jab nabi madina aaye tab waha ke log kami karte they tijaarat me, to unki baat he, specially ek

shakhs Abu dujaina naam ka .. iske paas 2 kism ke weights they – (i) ek vo jisse ye logo ko deta tha wazan karke & (ii) vo jo vo khud apni kharidi ke liye use karta tha .. to uspe ye surah naazil nahi ..

Nazimah24_SP: But ye durust nahi – iss surah me kuch aayate he jisse ye saaf pata chalta he ke ye uss daur ki surah he jab islaam ki wajah se logo ko

maarna peetna abhi shuru nahi hua tha, bus taane kase jaate they … Nazimah24_SP: Rest jo agar few aaya’s he, agar ye baat dubara madina me bhi

hua ho, to sahaba ka andaaz tha ke agar kuch aayate unko kuch khaas mauke ke munaasib lage to vo ye kehne ke bajaaye ke Quran me iske baare me zikr he vo ye kehte they “Quran me iske baare me ek surah naazil hui..” -

> ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki isme life ka bahutt imp mauzoo

cheda gaya – “Baaz dafa insaan jo khud ke liye pasand karta he vo dusro ke liye pasand nahi karta” … & bande & rabb ke beech me bhi ye hota he ..!! Nazimah24_SP: Buniyadi mazmoon – Aakhirat

Nazimah24_SP: Aayah 1 to 6 – Naap tol me kami ke baare me girft ki gai, jo normally dusro ke saath dealings me ya business me log karte he .. jo haqq

de nahi rahe hote vo dusri jagah maan bhi rahe hote he .. Nazimah24_SP: Allah swt ne aise logo ka zikr illiyeen & sijjeen ki baato me bata

diya ke aaj agae ek ounce ki bhi kami karte ho haqq dene lene me to kal qayamat ke din tumhaare saamne aayega .. Nazimah24_SP: Allah swt ka khauf hi bande ko seedha rakhta he … Maangna

chahiye ke Allah swt mujhe apni khashiyat naseeb farma .. Bade khushnaseeb ho vo log jinko Allah swt ki khasiyat he ..

Nazimah24_SP: "Allahumma inni Asalooka Khashyataka ~ Maangni Chahiye ye Dua "

Nazimah24_SP: Agar abhi bhi dil me muhabbat & khauf nahi he to maangna zaroori he .. Nazimah24_SP: Aayah 7 to 17 – Aqeedah e aakhirat ka nazariya pesh kiya ke

badkaar logo ka jo haal hoga … Nazimah24_SP: Aayah 18 to 28 – Nek logo ka anjaam .

Page 2: ~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Tarteeb 83 Surah Name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki

Nazimah24_SP: Aayah 19 Onwards – Ahl e imaan ko tasalli ke din ek jaise nahi rehte .. agar din he to raa bhi hogi aaj khiza he ot kal bahaaar bhi aaegi ..

Nazimah24_SP: Iss puri surah me aqeeda e aakhirat me naap tol ki kami ke baare me iss tarah se connect kar ke Allah swt ne bataa diya ke jab tak band eke dil

me aakhirat ka khauf nahi tab tak wo haqq waalo ko unka haqq nahi de sakta ..

Nazimah24_SP: Ye haqeeqat insaan ke nature me aajata he ke haqq talfi karte waqt sochega ke kya me kisi or ke saath jo kami kar raha hu kya vo me apne khud ke liye pasand karuga ??

Nazimah24_SP: Ye sirf islaam ko imtiyaaz haasil he ke log lene waale nahi dene waale ban gaye .. unko deen haqeeqat me ek aisi khoobsurat cheez laga ke

jiss ke baad vo khud ko Allah ki nazro me mehsoos karte they .. Nazimah24_SP: Momin ki puri life – isi asool me ke khud ko under observation feel karta he, & ye usko apne upar farz lagta he ..

Nazimah24_SP: ~*~* Iss surah ko ham iss andaaz se padhe ke ye hamaare mamlo ko durust karde, apne character ke upar nazar rakhne ki taufeek de ..

Aameen !!! ~*~* Nazimah24_SP: Aayah 1

Nazimah24_SP: Naap tol me kami karne waale barbaad he .. Nazimah24_SP: Kon ye ye log ?? – Aayah 2 Nazimah24_SP: كتالوا – Kaiyl – Kaaf ya laam

Nazimah24_SP: يستوفون – Wafaa se, Wow faa yaa … Nazimah24_SP: Khud pura lete he but dusro ko kami karke dete he ..

Nazimah24_SP: Aayah 3 Nazimah24_SP: كالوهم – Kayl se – “Naap na measurement” Naap ke de to kam

dete he .. Nazimah24_SP: وزنوهم – Wazan/weight me kami karte he .. Nazimah24_SP: Aayah 4 & 5

Nazimah24_SP: Aaj naap tol me thodi se kami karne waala kya ye sochta he ke kal qayaamat aayegi & mujhe khada kiyaa jaaega & uske baad Hashar ka

marhala hoga & mujhe hisaab dena padega .. Nazimah24_SP: Aayah 6

Nazimah24_SP: Aaj choti si dandi maarni, unko itne bade rabb ke saamne sharnimda karegi … kya kabhi ghor kiya ??? Nazimah24_SP: Aayah 1 to 6

Nazimah24_SP: ين ف .. Tatfeef – Arbi me Tafeef – Choti & haqeer cheez – ل لمطف Nazimah24_SP: Tatfeef – aam tor pe – Naap tol me thori se kami peshi ki baat he,

eg 5 kgs me se 10 to 15 gms ki kami karna .. Nazimah24_SP: Mutafif – Haath ki safaai se harr khariddar ke hisse se thoda thoda udaa le & kharidne waala jaan bhi naa paaye ke taajir ne kya udaa liya ..

Thodi si kami ho jaaye naap tol me kami ke baad .. Nazimah24_SP: Iske baad halaaqat kya he ?? - ليوم يم ,عظ ينلرب لم ـ ٱلع

Page 3: ~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Tarteeb 83 Surah Name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki

Nazimah24_SP: Aam tor pe – Dor e jaahiliyat & aaj se compare kare – Sirf Aqaaed me hi bigaad nahi tha balki muaamle & kaarobaar me badiyaanati hadd se

badhi hui thi .. Nazimah24_SP: Islaam ne Quran ke zariye – Aqeedeh ki islaah ki & amaanat ki

talqeen ki .. Nazimah24_SP: Allah swt ne aise logo ko samjha diya ke .. ويل – Halaaqat &

Jahannum ki ek waadi ka bhi naam he jis me kaafir ko giraaya jaaye to 40 yrs tak girta hi jaaye, jahannum ke ek pahaad ka bhi naam aata he .. Nazimah24_SP: Yaha Allah swt ne farmaaya – Jahannum me giraaye jaaoge thodi

si kami peshi karne ki wajah se . Nazimah24_SP: ~*~ Aisa azaab kyu ?? – Kisi ne aap pe trust kiya .. ye life

trust/etemaad pe chalti he .. ~*~ Nazimah24_SP: Ek hote he vendors jo wazan karke dete he, but ham ladies hamaara kisi ko iss tarah se amooman wazan kar ke dena bahutt kam hota

he & specially aaj ke digital daur me koi kami nahi kar sakta – but jiss ko karna he vo machines ko bhi bigaad sakta he ..

Nazimah24_SP: Amli tor pe ham bahutt cheezo me faaida lene ke liye kami kar ke bataate he .. eg : Jaha bacho ki tickets free hoti he waha ghalat age bataate

he .. – YE BHI TATFEEF HE !! Allah hu Akbar .. Nazimah24_SP: ~*~ Nabi SAW ki ek hadees ka khulaasa – “Dusro ke saath bhi wahi mamla karo jo khud ke liye acha samjho..” (Mafhoom) ~*~

Nazimah24_SP: ~*~* Ye ek hadees nahi – Islaah & life spend karne ka criteria he !! ~*~*

Nazimah24_SP: Police & dusre security ke kharche bach jaaege countries ke agar ye ek hadees ham apni lifes me imply karle, agar muslim hukoomat aa jaaye

& vo isko initiate karde … Nazimah24_SP: ~*~ Ummat e Muslima jab islaam pe amal karti he to Allah swt ki zaat usko duniya me bhi faaida deti he ..~*~

Nazimah24_SP: Sacha islaam jab bhi aayega, hamaare body, dil, body parts pe aajaye to hamaare kharche kam ho jaaege .. Hamare nafs ki police ham khud

he .. Nazimah24_SP: Zameer naam ka chokidaar khud ham par Allah swt ne rakh diya

hamaare ander … Nazimah24_SP: Har muamle me logo ke saath muamla ho .. علىٱلناس ya كالوهم insane ke saath insaan ke maamle ho ya business dealings ke أووزنوهم

maamle ho, wahi check karege jo haqeeqat me Allah se darta he .. Nazimah24_SP: Allah ke saath jo hamaara talluk he – vo hamaare insaan ke saath

talluk se pata chalta he .. Jo insaano ke saath deal karte waqt ye soche ke saamne jo khada he usme usko Allah swt nazar aaye & uss ke according deal kare vo hi asal me apne aap ko bachaane waala he …

Nazimah24_SP: Allah ke saath jo hamaara talluk he – vo hamaare insaan ke saath talluk se pata chalta he .. Jo insaano ke saath deal karte waqt ye soche ke

saamne jo khada he usme usko Allah swt nazar aaye & uss ke according deal kare vo hi asal me apne aap ko bachaane waala he …

Page 4: ~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Tarteeb 83 Surah Name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki

Nazimah24_SP: Allah swt ke saath bhi kya banda Haqq talfi karta he ?? – Sab se badi haqq talfiya banda sirf Allah ke saath hi karta he … Allah hu Akbar ..!!!

Nazimah24_SP: Sab se Badi Haqq talfi bande ki Allah ke saath : – Nazimah24_SP: 1. Kufr :- Allah ki hi nahi manta banda, usko hi uska haqq nahi

deta .. kam dene ka sawaal hi nahi he – infact dete hi nahi he .. Nazimah24_SP: 2.Shirk – Allah ke partners/associate bana dete he ..

Nazimah24_SP: 3. Allah swt ne hame bekaar paida kiya – Allah ke creation plan ko nahi samajhte .. ham soch lete he jo bhi amal kare Allah swt ne sabko jannat hi deni he ..

Nazimah24_SP: 4.Ibaadat me kami – Ibaadat me jo sab se pehli haqq talfi he vo (i) Namaaz he. Hz Umar RA ne ek shakhs ko dekha ke rukoo & sujood pure

nahi karta, abhi gaya nahi rukoo me ke seedha khada ho jaata he, aap ne usse bulaaya & kaha “Laqad tafafta” – Tafta hi word he mutaffifeen ka – Tou faa faa ta ..

Nazimah24_SP: (ii). Ek or rivaayat me aata he – “ Sab se badtareen chori, namaaz ki chori he.”

Nazimah24_SP: (iii). Ek or rivaayat me aata he – “ Jo namaaz me rukoo & sajda pura nahi karta to uski namaaz puri nahi hoti.” Hare k rukoo ke baad qayaam

he, sajde ke darmiyan utni der therna he ke haddi jod ke upar jod set ho jaye .. Nazimah24_SP: (iv). Imaam maalik farmaate he – harr cheez ke ander tatfeef hoti

he – pura haqq naa dena tatfeef he – yaha tak ke Namaaz, Wudu & Tahaarat me bhi ..

Nazimah24_SP: * Wudu ki tatfeef – (i) Parts ko pura geela naa karna, (ii) elbows ko khushk rakhna, (iii) Aap saw ne farmaaya wayl he unlogo ke liye jinki

ediya khushk rahi .. (iv) Wudu karte waqt bhi zahen me koi duniya ke hi mamlaat rakhna … Nazimah24_SP: * Tahaarat ki Tatfeef – Eg : Naakhoono pe nailpolish lagi he & aap

samjhe ke aapne wudu karliya, ghusal karliya .. Nazimah24_SP: * Roze ki tatfeef – Roza to rakha, pet khaali he lekin jhoot nahi

choda .. Nazimah24_SP: Nabi saw ne farmaaya – Jiss ne roza rakh ke naa jhoot baat kehna

ya uspe amal karna choda to Allah swt ko uspe koi pervaah nahi ke vo khaana chode ya peena chode .. (Mafhoom) .. Nazimah24_SP: Roze ki haalat me gheebat karna tatfeef he, aankho se ghalat

cheezo ka dekhna tatfeef he.. Nazimah24_SP: Puri Ibaadat me dekh le .. Hajj me kya tatfeef he … Namaaz ke

baad – namaaz e tauba ki jaaye .. hamaari nekiya aisi he ke usme se bhi ham se gunaah ho jay .. hamaari tauba bhi aisi he ke uske liye bhi tauba ki jaaye ..!!

Nazimah24_SP: Allah swt ki haqq me kami – Allah ke kaam karna but haqq naa daa karna – Tatfeef

Nazimah24_SP: Allah ko pura time naa dena – Tatfeef

Page 5: ~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Tarteeb 83 Surah Name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki

Nazimah24_SP: Zakaat ka tatfeef – Pathar bhi nikaal do, reasons ke dori ka wazan, naye ka rate ya purane ke … resoning karna ..

Nazimah24_SP: ~*~* Padh ke aisa nahi lag raha ke ham sirf KAMIYO KE HI SHIKAAR HE ??? ~*~* Allah hu Akbar !!

Nazimah24_SP: Ham jaha neki karte he waha kami karte he, neki ke raaste me bhi gunaah karte jaate he ..

Nazimah24_SP: Ye Surtein aisi he Jaise hamaari daily cleansing/Tazkiraah he .. khud ko paak kar lo .. khud ko deeply cleanse kar lo .. Nazimah24_SP: "Ab dil ke Sheeshe saaf hone ka waqt aa gaya he .."

Nazimah24_SP: Dil me aakhirat se zyaada duniya ki muhabbat - Tatfeef Nazimah24_SP: Ham body ke ek ek parts se tatfeef karte he, hame apna attitude

dekhna chaahiye, apne ander jhaank ke dekhna chaahiye .. khud ke tatfeef ko pehchaan ke uska cleansing karna chaahiye .. Nazimah24_SP: Rivaayat’s : - Allah ke nabi ne hamaari kitni rahnumaai ki & Quran

me bhi maujood he … Nazimah24_SP: (i). Al Anaam – Insaaf ke saath pura tolo .. Allah swt kisi nafs ko

uski wisat se zyaada takleef nahi dete – Aayah 152 .. Nazimah24_SP: (ii). Bani Israeel – Jab naap to pura naapo, seedhe taraazu se tolo

– Aayah 35 .. Nazimah24_SP: (iii). Ar Rahman – Tolne me zyaadti naa karo, isnaaf ke saath wazan karo … Aayah 8 & 9 ..

Nazimah24_SP: (iv). Kaum e Shoaib – iss jurm ke wajah se unpe azaab aaya. Nazimah24_SP: (v). Ibn Abbas RA ki rivaayat – Nabi Saw ne farmayah – 5

gunaaho ki 5 sazaaein he .. (1) Ahad shikni / commitment kar ke nahi nibhata – Allah swt ispe iske dushman ko musallat & ghalib kardeta he.

Waada kar ke pura naa karna, commit kar ke kaam naa karna, Allah swt ki raah me koi cheez ke karne ke liye iraada karna & fir usko pura naa karna ya uska haqq adaa naa karna – kya ye Ahad shikni nahi he ?? Raaste ki

majbooriyo ko badaa karke Allahs wt ke kaamo ko peeche kardete he .. Nazimah24_SP: 2. Jo Kaum Allah ke kanoon ko chod ke dusre qawaneen pe faisle

karte he … Allah swt unpe Faqar & Ikhtiyaaj daal dete he .. Aaj ham kuffar ke mulk ko successful dekhte he – vo iss wajah se ke vo logo ka to haqq adaa

karte he .. & also Allah ko unki parvaah hi nahi he … Aaj ham mulko pe to nahi but kya apne body pe naafis kar sakte he Deen ko ?? Nazimah24_SP: Jaisa bande ka Allah swt se mamla Allah swt bhi uske saath waisa

hi karte he .. Nazimah24_SP: 3. Jiss kaum me behayaai & zeena aam ho usspe Allah swt Ta’oon

& dusre wabaal musallat kar deta he . Nazimah24_SP: 4. Jo log naap tol me kami kare to Allah swt inko kahet me mubtilaa karte .

Nazimah24_SP: 5. Jo log zakaat nahi dete Allah swt unse baarish ko rok leta he. Nazimah24_SP: Nabi SAW ne farmaayah – Jis kaum me maal e ghaneemat me

chori ka rivaaz ho jaaye, Allah swt unke dilo me dushman ka ROB daal deta he .. EG Ijtemaai maal ko khud ka samjhe, mulk ke maal me choriya &

Page 6: ~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Tarteeb 83 Surah Name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki

ghaban kare to Allah swt unke dilo me dushman ka ROB daal dete he & fir vo dushman se ladne ki bajaaye unhi ki or ghulaami karte jaate he.. (Mafhoom)

Nazimah24_SP: Nabi SAW ne Farmaya – Jis Kaum me Riba aam ho jaaye waha pe maut ki kasrat ho jaati he, & jaha Naap tol me kami kare – Allah swt unke

Rizk me kami karte he & jo log Haqq me kami karte he unme Qatal & Khoon aam ho jaata he & jo log Muaahidaat me ghaddari karte he inpe Allah swt

unke dushman ko musallat kardete he. (Mafhoom) – Imaam Maalik ki rivaayat !! Nazimah24_SP: "Baaz jagah maal ke bawajood barkat nahi he !!"

Nazimah24_SP: ~*~ Insaan in saari cheezo ko dhyaan me rakhte hue apne aap ko uss bade din ke liye prepare kare le . ~*~

Nazimah24_SP: Kis lihaaz se badaa din ?? Time/Duration ke lihaaz se – يم – عظUss din insaano & jinno ko Allah swt ke saamne pesh kiya jaaega .. Nazimah24_SP: Bahutt bada din, puri duniya ko Renovate kiya jaaega uss din ..

Jaise duniya me koi bade ke aane ki taiyyari me ghar me renovation hoti he, to Vo din Allah swt ki zaat ka duniya me nuzool ka din hoga, sab kuch change

hoga, ek badi adaalat hogi uss din .. Nazimah24_SP: Agar uss bade din ke khauf ka yaqeen inke dil me hota to ye be

khauf ho kar jurm naa karte .. Nazimah24_SP: ~**~ Khud ko Allah swt ke saamne Mehsoos to kare, kya haal hoga uss waqt ?? ~**~

Nazimah24_SP: Rivaayat : Qayamat ke din Ibn Aadam Allah swt ke saamne se kadam nahi hataa sakega agar wo 5 sawaalo ka jawaab naa de de .. Umar ka

Hisaab, jawaani ka Hisaab, maal kaha se kamaaya, kaha spend kiya & Ilm jo liya usko kaise implement kiya ??? – Kya ham in 5 sawaalo ke jawaab de

sakege ?? Nazimah24_SP: Aayah 7 Nazimah24_SP: ا ,pichli baat ki negation, (ii) Haqq ke maani me (i) - كل

Nazimah24_SP: Yaha ا Haqq ke maani me aata he .. Bilkul/yaqeenan/Haqq - كلbaat he, ye ho ke rahega !!

Nazimah24_SP: ار ,countinous 3rd surah me aa raha he .. Be shakk kuffar – ٱلفجfaajir, fisq o fujoor karne waale Sijjin me honge ..

Nazimah24_SP: ين ج ين .. Seen Jeem Noon – Sijan – Kaid/jaid ko kehte he – س ج س– asal lafz se dekhe – Ked Khaana .. Nazimah24_SP: Aoozu billahi minash shaitaan nir rajeem

Nazimah24_SP: Hadees – “Duniya momin ka Ked khaana he..” (mafhoom) Nazimah24_SP: ين ج Ye konsi jagah ?? – ye jahannumi ke naam e amaal – س

rakhne ka daftar he .. Nazimah24_SP: 2 Kinds of Records maintain karne ki jagah, (i) Daily basis, roz ka roz dekhna, (ii) Long term records ..

Nazimah24_SP: ين ج .. vo ked khaana jaha Faajiro ki rooho ko rakha jaata he – سNazimah24_SP: Jab Insaan marta he, jism hamaare paas but uski rooh ko kaha

rakha jaata he ?? Quran se jo pata chalta he ke sijjin me kaafir ki Rooh ko ked kar liya jaata he ..

Page 7: ~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Tarteeb 83 Surah Name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki

Nazimah24_SP: ين ج .. Aisa jail khana jaha faajiro ki rooho ko rakha jaata he – سNazimah24_SP: Jab Faajir marta he & ghar waale soche kea b vo rooh aayegi

khana khane jo pakaaya he, to kya Faajir ki Rooh ko ked khaane me se aane dege ?? Duniya me chokidaar jail me se kisi ko nikalne dete he ?? to kya

Allah swt ki jail me se waha ke chokidaar nikalne dege ?? Nazimah24_SP: Nek he unko bulaaye ke aapki pasand ka khana banaaya he ghar

walao ne to kya vo waha ki naimate chod ke aaege ?? Faajir ko gharwaalo ka khaana pakaaya hua khaane ke liye rooh ko azaab se chutti dege ke jaao khaa ko aao ?? -> Ye Sirf ek DHOKA he ..!!! Allah hu Akbar ..

Nazimah24_SP: Allah swt ne logo ko duniya me bataa diya ke waha log ked me honge ..

Nazimah24_SP: ين ج .. Bandh tang jagah hogi .. Daimi ked ko Sijjen kehte he – سAllah swt ne waha Qayamat tak rakha he .. Nazimah24_SP: Rivaayat – Baraa bin Aazib se – Nabi SAW ne farmaya – ين ج 7س th

Jameen ke nichle tabke me locker/safe he .. ل ي ين 7ع th aasmaan pe arsh ke neeche he .. (Mafhoom)

Nazimah24_SP: ين ج ل ي ين & Kuffar & fujjar ki rooho ke – س & momineen – عmuttaqeen ki rooho ko rakha jaata he ..

Nazimah24_SP: Aayah 8 Nazimah24_SP: Ghor karne ki baat he .. Nazimah24_SP: Aayah 9

Nazimah24_SP: رقوم .. Khatam/Mohar lagi hui Kitaab – مNazimah24_SP: Kaafiro ki Naam e amaal ko stamp laga di, seal lagaa di ..

Nazimah24_SP: رقوم كتـ م ب – Inke naam e amaal ko bandh kar diya gaya, seal laga diya gaya .. Allah swt kehte he ham ne unke naam e amaal ko stamp kar diya

he, ke ab koi gunaah nahi nikal sakte .. Nazimah24_SP: Nabi SAW ne farmaya : - Jab insaan mar jaata he, uska naam e amal bandh ho jaata he, pen down – kuch bhi addition/substraction nahi

hoga .. (mafhoom) Nazimah24_SP: Aayah 10

Nazimah24_SP: ويل – Halaaqat/tabaahi he aise logo ke liye, jinhone ne jhutlaaya .. Nazimah24_SP: بين Mukazzib he, kaafir nahi he .. Ham hamesha azaab ke – ل لمكذ

saath kaafir ko jod dete he, Unka mamla chode, Apne amaal pe fikar kare .. Nazimah24_SP: Khud ko Muslim keh ke amal se naa dikhe vo he Mukazzib .. Nazimah24_SP: Kon they ye log ?? Next Aayah

Nazimah24_SP: Aayah 11 Nazimah24_SP: Qayamat ke din, roz e jazaa/sazaa ko jhutlaane waale ..

Nazimah24_SP: Qayamat & takzeeb karne waale ki sazaa kya he , kya pataa …!! Nazimah24_SP: Aayah 12 Nazimah24_SP: أثيم .. continous, musalsal gunaah karne waala – معتد

Nazimah24_SP: Aathim – Gunaah ek baar kar ke chod diya, Atheem – Countinous gunaah karne waala .. jiss ko jurm ki aadat ho chuki he …

Nazimah24_SP: أثيم – Aadatan Mujrim

Page 8: ~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Tarteeb 83 Surah Name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki

Nazimah24_SP: Ye mujrim sijjin ke ghade me rakhe jaaege .. Kyu waha pe rakhe jaaege ??

Nazimah24_SP: Aayah 13 Nazimah24_SP: Aise logo ke saamne jab aayatein padhi jaati thi to kehte they ke

ye to pehlo ki baate he .. Nazimah24_SP: Quran ko old dated samjhte he ..!!

Nazimah24_SP: Allah swt kehte he, Quran & deen ke baare me aisi baate kehna aisa he jaise inke dil Zang waale ho chuke he .. Nazimah24_SP: Aayah 14

Nazimah24_SP: ا Yaha Kalla – nahi ke meaning me he .. Radd ke meaning me – كلhe ..

Nazimah24_SP: Jo aisi baate bolte he unka reason kya ?? Unke dil pe zang lag gaya he .. Rusty ho gaye he unke dil .. Nazimah24_SP: ران Re’een se – Raa Yaa Noon – vo zang jo talwaar par ya aaine

par lag jaaye .. Nazimah24_SP: Zang/mel – inki dilo pe ye chadh chukka he ..

Nazimah24_SP: Jo ghubaar dil ko zang ki tarah dhaanp le usse Raeen kehte he .. Nazimah24_SP: Hasan Basri – Countinous gunaah se dil siyaah hojaata he & issko

Raeen kehte he .. Nazimah24_SP: Hadees – Nabi SAW ne farmaya – jab banda gunaah karta he to iske dil pe siyaah daagh lag jaata he, agar vo tauba kar le, baaz aajaaye &

ish=tighfaar kar le to daagh nikal jaaega but agar aisa naa kare & countinous karta rahe & baaz naa aaye to dil pe daagh badhte jaaege & isi ko ishar ران

kaha gaya he … (mafhoom) Nazimah24_SP: Jis tarah nek amal kar ke dil me noorani, dil saaf, shaffaf ho jaata

he, isi tarah badkaari kar ke dil se noor khatam ho jaata he .. Nazimah24_SP: Zang ki wajah – Inke kartoot, inki kamaaiyya jo ye log kaam karte he, apni fitrat ko masakh kar diya he ..

Nazimah24_SP: Wajah kya he inke kaam ki ?? اقلوبہمعلى كل ...بل .. peeche isi ko “Khatamallahu alaa quloobihim” kaha gaya he ..

Nazimah24_SP: Quran Old dated lagta he .. Quran padhne padhaane waalo ko bekaar samjhte he ..

Nazimah24_SP: Sazaa kya he ?? bahutt buri sazaa he, & bura usko hi lagega jisko Allah se khauf he ... Nazimah24_SP: Aayah 15

Nazimah24_SP: ا Yaqeena/Haqq ke meaning me - كلNazimah24_SP: Hijaab hoga inke & rabb ke beech me, inko deedar e ilaahi se

mehroom kar diya jaaega, inke & Allah swt ke beech me inke gunaaho ki aad hogi, inko Allah swt ka qurb nahi milega .. Nazimah24_SP: Kiss ke dil me talab hoti he Allah ke deedar ki ?? – jo 5 times

namaaz me Allah se baat karta he .. Nazimah24_SP: Banda agar imagine kare to Allah ko milne ki tadap me & khushi

se behosh jaaye .. Mulaaqat se konsi cheez mail karti he ? – Muhabbat ..

Page 9: ~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Tarteeb 83 Surah Name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki

Hame jisse muhabbat nahi ham usse milne ki khwaahish bhi nahi rakhte & jisse muhabbat hoti he insaan muhabbat ke mare dekhta he ..

Nazimah24_SP: Aayah 16 Nazimah24_SP: 2nd Sazaa he ye ..!!

Nazimah24_SP: 1st ke Allah ke chehre ke deedar se peeche kar diye jaaege .. 2nd azaab – jahannum me daakhil kiye jaaege ..!!!

Nazimah24_SP: Aayah 17 Nazimah24_SP: Khaao apne maze ki cheeze, ab ye haazir he .. duniya me nahi maante they, ab yaha chakho ..

Nazimah24_SP: Kya insaan ka naseeb he, Diamonds mil sakte they, pathro ka sauda kar liya … Vahi pathar se maar lagegi ..

Nazimah24_SP: Kon kehta he ke marne ke baad hisaab nahi ?? Nazimah24_SP: Kya hisaab kitaab nahi he ? kya yaqeen nahi he in paro ko padh ke, ke Jannat & jahannum nahi he ??

Nazimah24_SP: Isiliye darr hota he dil me & iss dar ki wajah se fir Khushkhabriyaa he ..

Nazimah24_SP: Aayah 18 Nazimah24_SP: ا .. ye yaqeenan haqq he .. hoke rahega ke maani me he - كل

Nazimah24_SP: Allah hu Akbar Nazimah24_SP: ٱلبرار – geeni chuni nahi .. angeenat nekiya karne waale, har time pe nekiya karne waale .. Nekiyo ko felaane waale, phanlne pholne waali

nekiya .. Nazimah24_SP: Thakte nahi ke ab bahutt ho gaya .. ungeenat karne waale .

Nazimah24_SP: Aise ل ي ين-ٱلبرار <ع me honge .. Nazimah24_SP: Aayah 19

Nazimah24_SP: Allah swt khud puchte he – Jaante ho kya he ل ي ين ?? عNazimah24_SP: ل يون ل ي ين&ع .. grammer ke lihaaz se bhi diff he – عNazimah24_SP: Ek hi root se – Ain Laam wow .. iska koi waahid nahi ..

Nazimah24_SP: ين ج ل ي ين ka opposite he س .. ye Bulandi ke meaning me aata he – عNazimah24_SP: ين ج ل ي ين & neeche he – س 7ع th aasman pe arsh ke neeche ek

mukaam he, jaha momino ki roohe & unke name amaal rakhe jaate he .. Nazimah24_SP: Aayah 20

Nazimah24_SP: رقوم م ب ـ ل ي ين ye – كت ke saath lagne ٱلبرار ke saath nahi balki عwaale stamps he .. Nazimah24_SP: Abrar ki nekiya bhi stamp lag gai – ke ab kuch nahi change ho

sakta sivay ke 3 kaam (i) Nek aulaad, (ii) sadaka e jaariya & (iii) jo ilm aata tha vo kisi ko sikha diya .. iske alaawa uspe stamp lag gaya ab kuch changes

nahi ho sakte .. (Mafhoom) Nazimah24_SP: Aayah 21 Nazimah24_SP: يشہده – Shahood se .. Haazir hona/mushaahihda karna ..

Nazimah24_SP: Abraar & saaliheen ke kitaab e amaal ko Muqarrabeen dekh rahe honge, & Muqarrabeen – Farishte he ..

Nazimah24_SP: Unke naam e amaal farishte dekh rahe honge …!!

Page 10: ~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Tarteeb 83 Surah Name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki

Nazimah24_SP: Allah swt ne Kuffar ke saath nahi lagaya ke farishte dekh rahe honge, Allah swt ne waha bhi unke amaal ka parda rakha .. Allah hu Akbar !!

Nazimah24_SP: Yaha farishto ki taraf ishaara – ٱلمقربون me .. Allah swt dikha rahe ke dekho mere bande nekiya karke aa rahe he ..

Nazimah24_SP: Nabi saw ki rivaayat – Shuhdaa ki rooh ko Allah swt ke paas sabz parindo me daal di jaati he jo Jannat ki naimato me ser karti he & inko rehne

ke liye Arsh ke neeche kandeele he jo latak rahi he .. (mafhoom) Nazimah24_SP: يشہدهٱلمقربون – ye shuhadaa bhi hosakte he jo arsh ke neeche jannat ki namato me ser kar rahe he ..

Nazimah24_SP: Isi tarah – Surah yaseen me padha – Habeeb najjar ka kissa – marte hi Jannat me daakhil kar diye gaye ..

Nazimah24_SP: Aam momin ki roohe Qabr me rehti he, but shuhadaa ki roohe baraa e haast seedha jannat me jaate he .. unko isi lliye kaha jaata he ke Qabr me azaab nahi hota ..

Nazimah24_SP: Hadees – Momin ki roohe, parindo ki shakal me jannat me mualliq rahegi yaha tak qayaamat ke din vo apne jism me fir laut jaati he ..

(Mafhoom – Imam Maalik & Nisaai) Nazimah24_SP: Aameen Summa Aameen

Nazimah24_SP: Maut ke baad insaan ki roohe – Illiyeen me ya Sijjen me ..koi dusri jagah nahi he .. Nazimah24_SP: Hz. Baraa bin Aazib kehte he – maut ke baad momin ki rooh ko

aasmano ki taraf le jaate he, to Allah swt farmaate he ke mere iss bande ka naam e amaal illiyeen me rakh do & isse zameen pe lauta do .. mene isse

zameen se paida kiya tha & dubara zameen se hi ye niklega .. to iss tarah farishte usko waapis Qabar me lauta dete he .. Isi tarah kaafir ke liye naa to

aasmaan ke darwaaze khole jaate he & kaha jaata he isko wapis lota do .. (mafhoom) Nazimah24_SP: Aayah 22

Nazimah24_SP: يم .. Jannat ka bhi naam he & naimato ki taraf bhi ishaara he – نعNazimah24_SP: Aayah 23

Nazimah24_SP: ٱلرااٮ ك – Reeka ki jama .. Dulhan ki masehri ko kehte he .. Waha dekh rahe honge ke Allah swt kaise neko ke saath mamla karege ..

Nazimah24_SP: Aayah 24 Nazimah24_SP: Agar rich banda he to face se dikhta he .. kuch dukhi he to vo bhi dikh jaate he ... Face expressions se insaan ki asliyat dikh jaati he ..!!

Nazimah24_SP: Jannatiyo ki naimate face se dikhegi .. Nazimah24_SP: Jannati itni pyaari jagah pe face pe freshness dikhti hogi ..

Nazimah24_SP: Aayah 25 Nazimah24_SP: يق .. paakizah & saaf sharaab ko kehte he – رحNazimah24_SP: Purani sharaab jiska rang safed ho & harm el se paak – isko يق رح

kehte he .. Nazimah24_SP: Nabi SAW ki seerat - مختوم يق Nabi saw ki life ka poora – رح

neechod he na, issi tarah – neechoda hua ko kehte he ..

Page 11: ~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Tarteeb 83 Surah Name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki

Nazimah24_SP: مختوم – Makhtoom – Khatam se – Khaa taa meem .. Mohar lagi ke uspe koi ghalat/kharaab cheez nahi ..

Nazimah24_SP: Jab ye sharaab ka last ghoont piyege to feel karege ke isme Mushk mila di gai & kitni der tak hi uski lazzat feel karte rahe ge ..

Nazimah24_SP: Aayah 26 Nazimah24_SP: مهۥمسك ـ ت jin bartan me ye sharaab hogi, uspe matti ya mom – خ

ki bajaaye Mushk ka seal hoga …Jannat ki sharaab sealed pack hogi, ke isme koi bhi buraai ka nishaan bhi naa hoga .. Nazimah24_SP: ت خ مهۥمسك ـ – Mohar – kastoori ki hogi ..

Nazimah24_SP: مسك – vo kastoori jo Hiran/Dear ke pet me se nikalti he .. bahutt expensive cheez he ye ..

Nazimah24_SP: Bhaag dod karni he to iske liye karo, effort iske liye karo .. ghar waalo ko chodna he to iske liye karo .. mehnat karni he to iske liye karo .. Nazimah24_SP: Ye aisa he jaise koi sarpatt dod raha he, usko Allah swt keh rahe

he – bhagna he to iske liye bhaago ..!!! Nazimah24_SP: Tanaafuss - Sabqat lena - Kisi cheez ki agar sabqat le jaani he to

iske liye karo .. ye naimat he iski koshish karo .. Nazimah24_SP: Allah hu Akbar

Nazimah24_SP: Aaj hamaari kashish – Duniyawi cheezo ke liye he, but Allah swt keh rahe he ke bhagna he to iske liye bhaago ..!! Nazimah24_SP: ~*~* Self Check ::: Apni bhag dod check karo ke kaha ki taraf jaa

rahe he ..!! ~*~* Nazimah24_SP: Aayah 27

Nazimah24_SP: Iss chashme ko tasneem kyu kaha gaya ?? Bulandi se ubharta hua ..

Nazimah24_SP: Kya he تسنيم – Next aayah .. Nazimah24_SP: Aayah 28 Nazimah24_SP: Sab ke liye nahi he ye ..

Nazimah24_SP: Jo paani upar se girta he vo saaf & fresh hota he .. isko peena ka mauka sirf Muqarrabeen ko milega ..

Nazimah24_SP: Muqarrabeen kon he – Surah Waaqiya me padha !!! Nazimah24_SP: Kya bina shaur se kiye kaam ke liye ye milega ?? aise hi mil jaaegi

tedhe medhe kaam karne waalo ko ? – Sochne ki baat he ..!!! Nazimah24_SP: Aayah 29 Nazimah24_SP: Jab koi naya deen me aaye to log haste he, mazaak udaate he ..

Nazimah24_SP: Mujrim apne jurm ko chupaane ke liye deen waalo pe haste he .. Nazimah24_SP: Aayah 30

Nazimah24_SP: Dusro ko aanhe maar ke kehte – ye dekho Mulla .. Nazimah24_SP: Aayah 31 Nazimah24_SP: Apne ghar aake haste .. dil me sochte – ke mulla ko insult kar diya

& khush hoke shekhiya maar ke bataate he .. Nazimah24_SP: Aayah 32

Nazimah24_SP: Kon raah se bhatke hue lagte they inko ?? jo islaam pe chalte they, deen practice karte they !!

Page 12: ~*~ ~ ~ Surah Al Mutafiffen ~ ~*~ Tarteeb 83 Surah Name ... ye itni imp baat nahi he kyu ke isse amal ka koi connection nahi he .. !!! Nazimah24_SP: Ye surah bahutt imp he, kyu ki

Nazimah24_SP: Practicing muslims ko bhatka hua samjhte he, extremist samajhte he ..

Nazimah24_SP: Aayah 33 Nazimah24_SP: Aisi baate kyu karte ho, tumhe to koi commentator nahi banaaya

unpe, ke tum unke muhaafiz ya nigehbaan banaa ke to nahi bheje gaye ho .. Nazimah24_SP: Kyu unke harr ek actions ko notice karte ho ??

Nazimah24_SP: Yaha tak vo manzar ke jab bhi koi naya deen pe aaye & usse sunna pade .. ab aage dusra manzar tasveer ka .. Nazimah24_SP: Ab Yaha se aage Aakhirat ka Scene !!!

Nazimah24_SP: Aayah 34,35,36 Nazimah24_SP: Momin uss din kuffar pe hasege ..

Nazimah24_SP: ٱلرااٮ ك – unche takhto/urusi palango pe bethe honge & kuffar ka manzar dekh rahe honge .. Nazimah24_SP: Aapas me puchege ya Allah swt unse poochege – Kya ko apne

kartoot ka badla mil gaya jo vo karte they ?? Nazimah24_SP: Eg :- aisa hoga ke Allah swt Bilaal RA ko unche takhto pe

bithaayege & neeche jahannum me Ummaiyya hoga & Allah swt Bilaal RA se puchege – Batao ummaiyya jo tum pe zulm karta tha usko uska badla mil

gaya ?? Nazimah24_SP: Momin kabhi kisi ka bura nahi chahta, lekin fitrat ka usool ke mazloom ke saamne jab zaalim ko sazaa milti he to sukoon zaroor milta he ..

Ye ehsaas ke me Haqq pe tha & Allah swt ne usko dekh liya .. vo ehsaas ki lazzat hi kuch or hogi uss din ..

Nazimah24_SP: Allah swt eyes open kar dete he ke duniy ake faaido ke peeche aakhirat ko chod dete ho – to kya haasil karoge ?? 2 kirdaar, 2 life spent

karne ke diff tareeke & 2 Aakhirat ke diff nateeje … Nazimah24_SP: Duniya me hi khud ko paak kar le warna anjaam bahutt Bura he .. Nazimah24_SP: Allah swt se Rokar dua kare ke A Allah is course me jo bhi kamiya

hui vo maaf kar de warna khasaara bahutt bura he !! nqsj_coursincharge: Allahu Akbar