******~~tafseer surah al inshiqaq~~ ****** daur me haqq ki pehchan ke jaha bhi aata he halchal mach...

9
******~~Tafseer Surah Al Inshiqaq~~ ****** NQSJ_REPLAY_FQ: ~*~*~ اقنشقسورة ا/ Surah Al Inshiqaaq ~*~*~ NQSJ_REPLAY_FQ: Tarteeb – 84 Surah NQSJ_REPLAY_FQ: Name – 1st aayah ت قَ نش– Shaqq se – Sheen qaaf qaaf NQSJ_REPLAY_FQ: Topic – Aamal ka hisaab hoga. NQSJ_REPLAY_FQ: Iss surah me ghaafil insaan ko surroundings pe ghor & Allah swt se qurbat haasil karne ka hukam. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah ki tarah iss surah me bhi qayaamat ka hisaab saamne rakh ke uski koshisho ko tez karne ki daawat di gai .. NQSJ_REPLAY_FQ: Aisa he jaise ye surte Qayaamat ke manzar ko khol ke saamne rakhti he jo hamne zahen me kahi chupaaya he .. NQSJ_REPLAY_FQ: Iss surah ka maqsad : (i) Aakhirat ke haalat ko jaan sake & (ii) Apne ghar waalo me khush rehna seekh sake . NQSJ_REPLAY_FQ: Aayah 1 NQSJ_REPLAY_FQ: اَ ذِ إ– Iss me hamesha “Uzkuroo” shamil hota he – Yaad karo .. Muraad he -> JAB NQSJ_REPLAY_FQ: Jab aasmaan Phatt jaayegi … - Arbi me to the point translation, kyu ke arbi me aasmaan muannis he !! NQSJ_REPLAY_FQ: Ye surah Mecci daur ke ibtidaai daur ki surah he, abhi zulm & sitam shuru nahi hua tha lekin isse pata chalta he ke Nabi SAW ki daawat ko khule aam jhutlaaya jaata tha . NQSJ_REPLAY_FQ: Har daur me haqq ki pehchan ke jaha bhi aata he halchal mach jaati he .. baatil ke saath aisa nahi hota .. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah – kuch log jo imaan ki wajah se aazmaaye gaye – Qayamat ke din Allah swt unko arsho pe bitha ke puchege, bataao kya kaafir ko aaj unke jazaa ki sazaa mil gai ?? NQSJ_REPLAY_FQ: Iss surah me bhi isi tarah Aayah 1 to 5 me Qayaamat ki kefiyat he – Qayamat kya he, kaise hogi, zameen phel gai, zameen ke pet me job hi he murde & all eke k cheez bahir khol ke rakh di jaaegi & vo gawaahi bhe degi & kisi ki jurrat nahi ke Allah swt ke saamne kuch bhi keh sake .. NQSJ_REPLAY_FQ: Iske baad Aaayah 6 to 19 – Insaan ko shaur ho yaa naa ho .. Jaante bujhte ya anjaane me aisi manzil pe chal raha he jo Uske Rabb ka darbaar hoga, lekin ek waqt aisa ke insaan apne rabb ke saamne aayega .. NQSJ_REPLAY_FQ: Issi soch se iss surah me aayega ke jab tumhaare rabb ke saamne peshi hone hi waali he, hisaab hone hi waala he to kyu naa apne rabb se mulaaqat ki taiyyari duniya me hi karlo .. NQSJ_REPLAY_FQ: Jiss Tarah Suraj ke doobne ke baad Shafaq ka namoodar hona, din ke baad raat ka aana, yaqeeni baat he isi tarah Qayaaamat ka aana bhi yaqeeni he .. NQSJ_REPLAY_FQ: Last Aayah me Kuffar ko kaha jaaega kea b batao kisko kher mili, & kis ko sharr mili, kiska acha anjaam hua & kiska bura .. NQSJ_REPLAY_FQ: Asal Baat jo banda sun ke manne ki bajaaye aage behes karne lag jaaye, Allah swt usse aage nek aamal karne ki taufeekq cheez lete he …

Upload: duongtu

Post on 09-Feb-2018

249 views

Category:

Documents


8 download

TRANSCRIPT

Page 1: ******~~Tafseer Surah Al Inshiqaq~~ ****** daur me haqq ki pehchan ke jaha bhi aata he halchal mach jaati he .. baatil ke saath aisa nahi hota .. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah – kuch

******~~Tafseer Surah Al Inshiqaq~~ ******

NQSJ_REPLAY_FQ: ~*~*~ سورة اإلنشقاق/ Surah Al Inshiqaaq ~*~*~ NQSJ_REPLAY_FQ: Tarteeb – 84 Surah

NQSJ_REPLAY_FQ: Name – 1st aayah نشقت – Shaqq se – Sheen qaaf qaaf NQSJ_REPLAY_FQ: Topic – Aamal ka hisaab hoga. NQSJ_REPLAY_FQ: Iss surah me ghaafil insaan ko surroundings pe ghor & Allah swt se qurbat haasil karne ka hukam. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah ki tarah iss surah me bhi qayaamat ka hisaab saamne rakh ke uski koshisho ko tez karne ki daawat di gai .. NQSJ_REPLAY_FQ: Aisa he jaise ye surte Qayaamat ke manzar ko khol ke saamne rakhti he jo hamne zahen me kahi chupaaya he .. NQSJ_REPLAY_FQ: Iss surah ka maqsad : (i) Aakhirat ke haalat ko jaan sake & (ii) Apne ghar waalo me khush rehna seekh sake . NQSJ_REPLAY_FQ: Aayah 1 NQSJ_REPLAY_FQ: إذا – Iss me hamesha “Uzkuroo” shamil hota he – Yaad karo .. Muraad he -> JAB NQSJ_REPLAY_FQ: Jab aasmaan Phatt jaayegi … - Arbi me to the point translation, kyu ke arbi me aasmaan muannis he !! NQSJ_REPLAY_FQ: Ye surah Mecci daur ke ibtidaai daur ki surah he, abhi zulm & sitam shuru nahi hua tha lekin isse pata chalta he ke Nabi SAW ki daawat ko khule aam jhutlaaya jaata tha . NQSJ_REPLAY_FQ: Har daur me haqq ki pehchan ke jaha bhi aata he halchal mach jaati he .. baatil ke saath aisa nahi hota .. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah – kuch log jo imaan ki wajah se aazmaaye gaye – Qayamat ke din Allah swt unko arsho pe bitha ke puchege, bataao kya kaafir ko aaj unke jazaa ki sazaa mil gai ?? NQSJ_REPLAY_FQ: Iss surah me bhi isi tarah Aayah 1 to 5 me Qayaamat ki kefiyat he – Qayamat kya he, kaise hogi, zameen phel gai, zameen ke pet me job hi he murde & all eke k cheez bahir khol ke rakh di jaaegi & vo gawaahi bhe degi & kisi ki jurrat nahi ke Allah swt ke saamne kuch bhi keh sake .. NQSJ_REPLAY_FQ: Iske baad Aaayah 6 to 19 – Insaan ko shaur ho yaa naa ho .. Jaante bujhte ya anjaane me aisi manzil pe chal raha he jo Uske Rabb ka darbaar hoga, lekin ek waqt aisa ke insaan apne rabb ke saamne aayega .. NQSJ_REPLAY_FQ: Issi soch se iss surah me aayega ke jab tumhaare rabb ke saamne peshi hone hi waali he, hisaab hone hi waala he to kyu naa apne rabb se mulaaqat ki taiyyari duniya me hi karlo .. NQSJ_REPLAY_FQ: Jiss Tarah Suraj ke doobne ke baad Shafaq ka namoodar hona, din ke baad raat ka aana, yaqeeni baat he isi tarah Qayaaamat ka aana bhi yaqeeni he .. NQSJ_REPLAY_FQ: Last Aayah me Kuffar ko kaha jaaega kea b batao kisko kher mili, & kis ko sharr mili, kiska acha anjaam hua & kiska bura .. NQSJ_REPLAY_FQ: Asal Baat jo banda sun ke manne ki bajaaye aage behes karne lag jaaye, Allah swt usse aage nek aamal karne ki taufeekq cheez lete he …

Page 2: ******~~Tafseer Surah Al Inshiqaq~~ ****** daur me haqq ki pehchan ke jaha bhi aata he halchal mach jaati he .. baatil ke saath aisa nahi hota .. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah – kuch

NQSJ_REPLAY_FQ: Aayah 1, 2 NQSJ_REPLAY_FQ: Ispe Haqq & laazim bhi yahi he ke vo yehi kare .. NQSJ_REPLAY_FQ: Ye kefiyat aasmaan ki he .. NQSJ_REPLAY_FQ: Zameen ki kefiyat kaisi hogi ??

NQSJ_REPLAY_FQ: Aayah 3 NQSJ_REPLAY_FQ: مدت – Madda/Yamuddu – Stretch karna, phelana .. NQSJ_REPLAY_FQ: Zameen bilkul stretch ho jaaegi isme kuch tila naa rahega . NQSJ_REPLAY_FQ: Hz. Jaabir – Nabi saw se rivaayat karte he ke Qayamat ke din zamen ko aise phela diya jaaega jaise Rubber ya Chamde ko khech ke badaa kar diya jaata he, magar iske baawajood jo medaan e mahshar awwal se lekar aakhir tak ke saare log jamaa honge, to soorat ye hogi ke ek insaan ke haath me sirf itni zameen aayegi ke jis pe isme paau padd sake … (Mafhoom) NQSJ_REPLAY_FQ: Eg Phata hua Balloon – Jitna stretch kar sake kare, & uspe logo ko khada hone ka hukam diya jaaye … NQSJ_REPLAY_FQ: Uss din itni bhi jagah nahi hogi ke insaan khul kar khada ho sake .. NQSJ_REPLAY_FQ: Strectch karne ka reason – Ke duniya ke shuru se end tak ke sabb logo ko jamaa karna he .. NQSJ_REPLAY_FQ: Uss waqt insaan ko gussa aata he khud & dusro pe .. NQSJ_REPLAY_FQ: Jab log itne qareeb hote he to Damm ghut taa he, uss din jab zameen bharpoor tareke se bhari hogi & aasmaan phatta hoga .. NQSJ_REPLAY_FQ: Ye sab kyu hoga ?? NQSJ_REPLAY_FQ: Aayah 2 – More explanation !!! NQSJ_REPLAY_FQ: Ye sab Rabb ka hukam sunn ke hoga .. NQSJ_REPLAY_FQ: Zameen aasmaan rabb ka hukam sunn ke phatt jaaege to hamaare dil kyu nahi phat te sunn ke ?? NQSJ_REPLAY_FQ: Aasmaan kyu phtega ?? - أذنت لرب ہا – Rabb ka hukam sunega .. NQSJ_REPLAY_FQ: Arbi me muhavre me “Azeena Lahuu” tab bolte jab saamne waala bahutt obedient/taab e farmaan ho .. NQSJ_REPLAY_FQ: Hukam suna nahi, balki sunn ke bahutt zyaada humble & obedient insaan ki tarah maan liya .. NQSJ_REPLAY_FQ: Phatna puraane ki wajah se nahi, Rabb ke hukam se hua he .. NQSJ_REPLAY_FQ: حقت – Haqq he voh, agar aasmaan ko ye haqq he ke vo phate Allah swt ka hukam sunn kar to iss aasmaan kai guna chote insaan ka kya haqq banta he ??

NQSJ_REPLAY_FQ: Peeche padhe – aasmaan ki takhleeq mushkil ya insaan ki ?? NQSJ_REPLAY_FQ: Aasmaan jo itna bada he vo hukam ko maanega to insaan tum kyu peeche hatt rahe ho ?? kyu nahi maan rahe ho .. NQSJ_REPLAY_FQ: Istami’at – Wanqaadat – Sun ke foran maan gaya .. NQSJ_REPLAY_FQ: Aayah 3 & 4

NQSJ_REPLAY_FQ: Zameen pehle phelaai, samandar dariya phatt gaye, pahaad rezaa rezaa ho gaye .. zameen ki unch neech baraabar kar ke hamwaar kar di gai .. NQSJ_REPLAY_FQ: Surah Taaha 106 & 107

Page 3: ******~~Tafseer Surah Al Inshiqaq~~ ****** daur me haqq ki pehchan ke jaha bhi aata he halchal mach jaati he .. baatil ke saath aisa nahi hota .. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah – kuch

NQSJ_REPLAY_FQ: Haqq bhi he zameen ka phatna NQSJ_REPLAY_FQ: قت ugal ke baahir phek dena, jo kuch zameen me dafan kiya – أل gaya he sabb kuch baahir ugal ke rakh degi .. NQSJ_REPLAY_FQ: تخلت – Zameen ander se khaali ho jaaegi .. NQSJ_REPLAY_FQ: Qayaamat tak jitney bhi log paida hue they, sab baahir aajaaege & waha pahuch jaaege .. NQSJ_REPLAY_FQ: Aayah 5 NQSJ_REPLAY_FQ: Kaan lagaa kar sunegi & uska haqq bhi ye hi he.. Usko karna bhi yehi chaahiye

NQSJ_REPLAY_FQ: Uske paas iske alaawa or koi chaara bhi nahi he .. NQSJ_REPLAY_FQ: Qayamat ke din ye sanb kuch ho jaayega Allah swt ke hukam sunn kar .. NQSJ_REPLAY_FQ: Hukam 2 types ke .. (i) ek vo jo Qaynaat ke chalaane me diye jaate he, eg baadal ko ab barso, ab rukk jaao .. Har cheez ko uske hisse ka kaam diyaa jaata he .. aise maamlaat me to koi bol nahi sakta .. (ii) Quran ke ehkaam – ehkaam e ilaahi – jiss e insaan se kuch kaam Karne naa karne ka option he, iss me sabb azaad he . ispe Allah swt ki qaayanaat ka amal kya hona chaahiye ke – ek ek Kaan lagaa ke khada rahe, sunn ke maane ke liye ready rahe .. NQSJ_REPLAY_FQ: Qainaat ki cheezeoptions ke baare me nahi sochti, Allah swt ne inko uski permission hi nahi di .. NQSJ_REPLAY_FQ: Har surah uske ander ek Dhamki he, Zameen aasmaan ko dekho & khud ko dekho kidhar jaa rahe ho .. NQSJ_REPLAY_FQ: Aayah 6 NQSJ_REPLAY_FQ: Insaan ko Pukaar – koi sahaba, nabi, wali ko nahi pukaar .. Ism Jins .. Aadam ka bacha .. NQSJ_REPLAY_FQ: Aahista aahista apne rabb ki taraf chal rahe ho .. NQSJ_REPLAY_FQ: كادح – Kaaf daal haa se Kadhun .. – kisi kaam me puri jidd o jahed & full effort se kaam karna .. NQSJ_REPLAY_FQ: Apni puri koshihso ke saath rabb ki taraf jaa raha he & ek din usse mulaaqat karega .. NQSJ_REPLAY_FQ: Zindagi ka Maqsad bataa diya gaya – Rujoo Ilallah .. NQSJ_REPLAY_FQ: Harr din jab band auth taa he to apne rabb ke aur bhi qareeb hota he, ye kaise – Apni maut ke qareeb hota he .. ek din ye safar pura hoke phir Mulaaqat honi he .. NQSJ_REPLAY_FQ: Insaan to saare hi jaa rahe he & mulaaqat hogi & ek he jisko fikar he ke Rabb ke saamne jaa ke hisaab dena he .. NQSJ_REPLAY_FQ: Ye fikar – uss ka ehsaas he ke life shaur se guzaari ya naa sahuri se guzaari .. NQSJ_REPLAY_FQ: Agar life – duniya me guzaari to rabb se milne ka manzar kuch zyaada interesting naa hoga, but jisne apna rukh deen ki taraf – Masjid me namaazo ki taraf kar liya uska كادح إلى رب ك diff hoga .. NQSJ_REPLAY_FQ: Iss tarah se insaan ko ghor o fikar ki raah dikhaa di ke duniya me reh ke Rabb ke saamne khade hone ko feel karta he ..

Page 4: ******~~Tafseer Surah Al Inshiqaq~~ ****** daur me haqq ki pehchan ke jaha bhi aata he halchal mach jaati he .. baatil ke saath aisa nahi hota .. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah – kuch

NQSJ_REPLAY_FQ: Iss me effort se kaam karne ki baat he .. NQSJ_REPLAY_FQ: Eg – Baby ka born hona, sab se 1st effort .. Maa ke rahem me kai baar maut ke qareeb aata he .. NQSJ_REPLAY_FQ: Ye ا ح duniya me aane se pehle ke marhale .. harr cheez me – كد effort .. !! baby born hoke doodh kaise peeta he .. jab baby doodh peeta he – to lips ke upar paseena aata he, ye he ا ح .. mehnate – koshish – كد NQSJ_REPLAY_FQ: ا ح Mushaqqat me, duniya sabaq iss baat ki –ke logo tum – كد yaha Aaraam ke liye nahi aaye ho .. NQSJ_REPLAY_FQ: Iss duniya me insaan Ka haal – ye hi marhale – ke Roo Roo ke so gaya !!! NQSJ_REPLAY_FQ: قيه ـ ,Waha jaa ke mulaaqat hogi .. Kisse ?? – (i) Rabb se – فمل(ii) Naam e aamal se .. NQSJ_REPLAY_FQ: Mulaaqat ka din badaa sakht he, isi liye duniya me khol ke rakh diya gaya .. NQSJ_REPLAY_FQ: ا ح .. aisi cheez ka karna duniya me jiski khwaahish bhi ho – كد Lagaatar koshish, aisa jaise Dhunn sawaar hojaana .. NQSJ_REPLAY_FQ: Jab قيه ـ hoga – to (i) apni maut se pehle mulaaqat kare, (ii) فملapne naam e amaal se karega & (iii) fir apne rab se karega .. NQSJ_REPLAY_FQ: Ache ya bure aamaal ko anjaam dene me mehnat & mushaqqat se kaam lega & yaha tak ke apne rabb se mulaaqat ka waqt aata he … NQSJ_REPLAY_FQ: Aayah 7

NQSJ_REPLAY_FQ: Right Hand waale log .. NQSJ_REPLAY_FQ: Aayah 8

NQSJ_REPLAY_FQ: Dena nahi – Hisaab lene ki baat he .. NQSJ_REPLAY_FQ: Jo dene waale hote he vo hisaab den eke liye peeche firte he ke zimmedari puri ho .. supurd karna chaa rahe he & dusra vo jisse liyaa jaaega ..!! NQSJ_REPLAY_FQ: Bataao duniya me jo Naimate di gai usse kya kiya ..??

NQSJ_REPLAY_FQ: Pure ka pura hisaab liya jaaega .. NQSJ_REPLAY_FQ: Surah Ma’aarij – naam e aamal ke hisaab se insaan 2 tarah ke groups me batt jaaega .. NQSJ_REPLAY_FQ: يحاسب – hisaab asaan liya jaaega .. NQSJ_REPLAY_FQ: ا ا يسير Hz. Aaisha RA se rivaayat – Nabi SAW ne – حساب farmaaya – Qayaamat ke din jisse hisaab liya jaaye vo azaab se naa bachega .. Aaisha iss baat ko sunn kar foran boli – ke Allah ke nabi Quran me to he ke ا ا يسير ا - to nabi saw ne farmaaya – A Aaisha .. يحاسب حساب ا يسير vo – حساب hisaab he ke jiss me sirf peshi hogi .. iske baad jiski Jeerah shuru ho gai vo pakda gaya !!! Nazimah24_SP: Aameen NQSJ_REPLAY_FQ: Jiske ander aamal me mithaas, imaan me barkat hogi to usse ا ا يسير . hoga, Allah swt usse nahi puchega ke kya kiya حساب NQSJ_REPLAY_FQ: Ye achaanak nahi hoga, duniya me Allah swt se jaisa mamla hoga udhar bhi waisa hi hisaab hoga ..

Page 5: ******~~Tafseer Surah Al Inshiqaq~~ ****** daur me haqq ki pehchan ke jaha bhi aata he halchal mach jaati he .. baatil ke saath aisa nahi hota .. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah – kuch

NQSJ_REPLAY_FQ: Umar R.A farmaate – Logo apna hisaab khud karlo isse pehle tumhaara hisaab kiya jaaye .. NQSJ_REPLAY_FQ: Jo aaj carelessly hisaab kar rahe he unke dil me 2 mese ek baat hogi (i) kisi se jhooti umeed lagaa rakhi hogi, (ii) koi bhaari tax de, thore din jahannum ka azaab bhugte .. NQSJ_REPLAY_FQ: Duniya me aankhe khol ke jeeye to phir usko shaur aayega ke

Right hand me naam e amaal kis ke aayega jiss ne duniya me koshish ki hogi

NQSJ_HR002_Salsabeel: Aayah 9 NQSJ_HR002_Salsabeel: ا رور khushi khushi aayega apne ghar waalo ko – مس bataayega .. NQSJ_HR002_Salsabeel: ا ا يسير Hisaab naa liya jaaye .. Jiss se hisaab liya – حساب jaaega vo phas jaaega .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Ar Raad & Al Ahkaaf 16 .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Aisha R.A – farmaati he, mene ek roz nabi saw ko namaaz me ye dua maangte suna : “A Allah mera aasan hisaab lena.”; Jab aap ne salaam phera to mene pucha Allah ke nabi aasan hisaab kya he, to unhone farmaaya ke asaan hisaab vo he ke bande ka amaal khola naa jay & darguzar kiya jaaye .. (mafhoom) nqsj_coursincharge: aameen

NQSJ_HR002_Salsabeel: Duniya me insaan ki kamzori – gham ka waqt akele me guzaar lete he, but khushi me sab ke saath share karne ka dil chahta he; hamaare dil me ghamo ke liye zyaada jagah he, but khushi ke liye kam he .. Sabr nahi rehta ..!!! NQSJ_HR002_Salsabeel: ~*~ Soche – Uss din apne family friends ko jaake bata rahe he … soch ke bhi khushi milti he.. ~*~ NQSJ_HR002_Salsabeel: Aayah 10

NQSJ_HR002_Salsabeel: Peeth ke peeche kyu diyaa gaya ?? Jab left hand me diya jaaega to vo naa lena chaahega NQSJ_SP033_Salsabeel: Mayoos – Right me to ab milega nahi to left hand peeche chupa dega, to udta hua naam e amaal peeche se diya jaaega .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Mayoos – Right me to ab milega nahi to left hand peeche chupa dega, to udta hua naam e amaal peeche se diya jaaega; Deen ko bhi to peeche daal diya tha .. waise to Quraan se ulta chalta tha, koi khushi, gham aagaya to kitaab peeche chali gai – ab waha bhi naam e amaal peeche diya jaaega .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Aayah 11

NQSJ_HR002_Salsabeel: ا Halaaqat, barbaadi .. jo urdu me kehte he Haay me – ثبور arr gaya; Waha koi faaida naa hoga .. NQSJ_HR002_Salsabeel: ا dekh ke kahega ke haay maut mujhe waapis aa jaaye– ثبور .. pukaarega kaash marr ke matti ho jaau .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Aayah 12, 13 NQSJ_HR002_Salsabeel: Duniya me bekhof ho ke jeeta tha .. Allah ke khauf se be khauf hoke apne ghar waalo me jeeta tha ..

Page 6: ******~~Tafseer Surah Al Inshiqaq~~ ****** daur me haqq ki pehchan ke jaha bhi aata he halchal mach jaati he .. baatil ke saath aisa nahi hota .. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah – kuch

NQSJ_HR002_Salsabeel: Taaha – 26 – Allah ke nek bande ye darr me, ke ghar waalo ki duniya banaate banaate apni aakhirat kharaab naa karde .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Ye shakhs – Duniya me ghar waalo ko khush karne ke liye Allah swt ko naraaz kardeta he .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Khaushnaseeb he vo log jo Ghar waalo ki muhabbato me khuda se darte he NQSJ_HR002_Salsabeel: Saari life nekiya but ek family me shaadi hame mushkil me daal deti he, Allah ko naraaz karte he Allah ka naam le kar, gunaah karte he sawaab ka naam le kar . NQSJ_HR002_Salsabeel: Nabi saw ka mamla – Nabi biwiyo ke saath hote they, fun mood me hote, but itne me azaan ki awaaz aati or vo aise jaate ke hame pehchante hi nahi he .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Nabi SAW – ek mard jo baahir waalo ke saamne bada intelligent hota he vo apni biwiyo ke saamne bewakoof ban jaata he NQSJ_HR002_Salsabeel: Ek aurat 4 mard ko jahannum tak le jaa sakti he. Aurat me bahutt taqat hoti he, uske ek aanso se mard pighal jaata he .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Aayah 14 NQSJ_SP033_Salsabeel: Nabi SAW ki dua – “Allahumma inni aoozubika minal Hauri

baadal Kaur.” – A Allah me teri panaah me aata hu imaan ke baad kufr ya maasiyat me palatne se ..!!! NQSJ_SP033_Salsabeel: Biwi ke saamne naarazgi ka khauf tha but Allah swt ke

saamne jaane ka khauf nahi tha .. NQSJ_SP033_Salsabeel: يحور – jaa ke waapis aana ..

NQSJ_SP033_Salsabeel: ~*~ Tip – ye Dua yaad kar le, kasrat se chuttiyo me padhni he. ~*~

NQSJ_SP033_Salsabeel: Allah swt hidaayat ka mazaa chakha kar bande ko kehte he ke dekho iske baa dab peeche naa hatna .. NQSJ_SP033_Salsabeel: Allah swt ke nabi jab ye dua mangte they to tumhe kitni

zaroorat hogi ??? Ghor to karo .. NQSJ_SP033_Salsabeel: Aayah 15

NQSJ_SP033_Salsabeel: Rabb kab dekh raha tha – Jab Ahlihi Masroora tha … NQSJ_SP033_Salsabeel: Kamaai me kyu karaam shaamil ~> Biwi bacho ki wajah se,

shadiyo me kyu ye haal ~ Silaa rehmi ki wajah se, Ghalat kaam me kyu involve ~> Rishto ki wajah se ….Harr ek inn aaine me khud ko dekh sakta he NQSJ_SP033_Salsabeel: In Surto ka tareeqa – Shuru me qasmo ki bajaaye end me

qasme aati he NQSJ_SP033_Salsabeel: Aayah 16

NQSJ_SP033_Salsabeel: فق maghrib ke baad ka waqt/ishaa se pehle ka waqt – بٱلش.. jab suraj ki vo surkhi chaa jaaye, jo uske ghoroob hone ne baad aati he .. NQSJ_SP033_Salsabeel: Aayh 17

NQSJ_SP033_Salsabeel: وسق – Jamaa karna, NQSJ_SP033_Salsabeel: yaha raat ke jamaa karne se kya muraad he ??

NQSJ_SP033_Salsabeel: 1 Puri qaaynaat ka jamaa karna, raat me sab kuch jo jamaa hota he vo isme aata he .

Page 7: ******~~Tafseer Surah Al Inshiqaq~~ ****** daur me haqq ki pehchan ke jaha bhi aata he halchal mach jaati he .. baatil ke saath aisa nahi hota .. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah – kuch

NQSJ_SP033_Salsabeel: 2 Din me job hi cheeze dikhti he vo raat me chupti he . NQSJ_SP033_Salsabeel: 3 Birds jo din me baahar hote he raat ko apne apne thikaano

me jaake sojaate he. NQSJ_SP033_Salsabeel: وسق – me sab kuch aa jaata he ..

NQSJ_SP033_Salsabeel: Aayah 18 NQSJ_SP033_Salsabeel: ٱتسق – Wow seen qaaf .. Wasaq – Jamaa karlena ..

NQSJ_SP033_Salsabeel: Chaand ke saath ٱتسق ke maani kya hota he ?? 14th night ka chand jab vo pura hota he .. Hilaal se Qamar banne ke darmiyaan me jo marhale aate he uski baat he ..

NQSJ_SP033_Salsabeel: Ab yaha in 3 Qasmo ke baad inka jawaab e Qasam he next aayah me ..

NQSJ_SP033_Salsabeel: Aayah 19 NQSJ_SP033_Salsabeel: Tum ek haalat me nahi rahoge … Life span change hote rahege ..

NQSJ_SP033_Salsabeel: Bachpan se jawaani –> Budhapa – >Maut & fir Barzakh & Fir Barzakh se dubaara zindagi - > Medaan e mahshar -> fir hisaab kitaab, jazaa

sazaa ki manzilo se guzarna padega .. NQSJ_SP033_Salsabeel: Hamaare & jannat ke beech me kitne marhale he !!! Maut he,

Qabar me jaana he, Abhi Soor ki awaaz se phatni he qabre .. Medaan e Mahshar ki garmiya, pulsiraat & fir kahi jaa ke Jannat tak pahuchege !!! NQSJ_SP033_Salsabeel: Allah hu Akbar ..

NQSJ_SP033_Salsabeel: Sab se kam Marhale Jannat & kiss band eke darmiyaan hote he ?? – SHAHEED ke .. Shaheed marte hi Jannat me pahuch jaata he ..

NQSJ_SP033_Salsabeel: Shaheed ko Allah swt puchege kuch chahiye to mango – Kahege Allah swt dena he to fir se zindagi de taaki fir shaheed ho ham tere

raah me, tere liye shaheed ho ke jo lazaat mili usse aaj bhi miss karte he ..!!! NQSJ_HR002_Salsabeel: Shaheed se qabr ka mamla nahi hota, direct Allah swt Sabz parindo me rooh ko daal ke jannat me chod dete he & fir raat me Kandheelo ke upar aa jaate he Arsh ke neeche NQSJ_HR002_Salsabeel: Allah swt ke raaste me kaam karne se thakan nahi freshness milti he NQSJ_HR002_Salsabeel: Jab Allah swt ke raaste me life spend karte he to vo bhi aisa he jaisa ke Shaheed he … Zaroori nahi ke garden katvaaye – khwaahishe katvaaye, maal katvaaye, waqt katvaaye .. NQSJ_HR002_Salsabeel: كبن jo marhale insaan ne tai kiye … Maa ke rahem me – لتر nutfe se shuru hua, fir paida hua, fir bachpan se jawaani, bimaari se sehat, budhaapa aaya .. khushaali se badhaali, kuwwat se zauq .. Saare marhalo se duniaya me guzarta he & kal qayaamat ke din khud ko waha paayega .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Apne Rabb ke saamne khud ko paayega .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Aayah 20

NQSJ_HR002_Salsabeel: Itni tabdiliyo ko dekh ke bhi nai maante !!! NQSJ_HR002_Salsabeel: Khud ke body me, surroundings me tabdeeliya dekh ke bhi kyu nahi maante ho .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Imaan naa hone ki daleel .. Next Aayah !!!

Page 8: ******~~Tafseer Surah Al Inshiqaq~~ ****** daur me haqq ki pehchan ke jaha bhi aata he halchal mach jaati he .. baatil ke saath aisa nahi hota .. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah – kuch

NQSJ_HR002_Salsabeel: Ayah 21 NQSJ_HR002_Salsabeel: Vo Quran jisse pahaad pighal jaaye, pahado pe lazzataari ho jaaye, ye log nahi pighalte NQSJ_HR002_Salsabeel: Ander se kuch hota hi nahi he .. NQSJ_HR002_Salsabeel: . جدون Ander ki aajizi, dil jhukna, Sami’ana ke baad (i) – يس ataa’ana (ii) Physically bhi sajda nahi karte .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Asal yaha maani – Itaa’at nahi karte, samajh ke bhi amal nahi karte .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Aayah 22

NQSJ_HR002_Salsabeel: Mutassir hone ya sajde me sir jhukaane ki bajaaye ye zaalim ulta quran ko hi jhutlaate he .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Koi isko jadoo, koi khudsaapta kalaam, koi jinn se sikha hua kehta he .. & fir جدون ل يس NQSJ_HR002_Salsabeel: Aayah 23

NQSJ_HR002_Salsabeel: يوعون – Wow Ain Yaa – yajma’oon ke maano me .. Kufr & adaawat inke seeno me bhari hui he.. NQSJ_HR002_Salsabeel: Imaam Mujaahid – jo kuch inke seeno me bharr rakha he, Allah swt isko khoob jaante he NQSJ_HR002_Salsabeel: 24 NQSJ_HR002_Salsabeel: Kya hoga inka anjaam ?? – Khushkhabri Dardnaak azaab ki !!! NQSJ_HR002_Salsabeel: Deen ki mazaak udaa rakha tha, ab bataao Allah ke deen ka mazaak udaane ka kya anjaam hota he NQSJ_HR002_Salsabeel: Ayah 25 NQSJ_HR002_Salsabeel: نون Naa khatam hone waala – مم NQSJ_HR002_Salsabeel: Ab yaha iss pare me .. ت ـ لح ـ bahutt إل ٱلذين ءامنوا وعملوا ٱلصbaar aata he, Surah At Teen, Al Asr me bhi aata he NQSJ_HR002_Salsabeel: Allah swt kehte he naa khatam hone waala silsila .. – jo neki inhone ki vo inko dekh ke dusro ne ki & isi tarah nekiyo ka silsila chalta raha .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Eg Imam Bukhari, Ibraahim AS .. Naa khatam hone waali nekiya .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Allah swt se dua kare ke Allah ham se vo nekiya karaaye jo multiply hoti jay !!! Aameen .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Kam hone waali, khatam hone waali, beech me chootne waali, half done nekiya naa ho ..!! NQSJ_HR002_Salsabeel: Allah swt ham se vo koshish karvaaye jo ham se aage badhe NQSJ_HR002_Salsabeel: Ikhlaas – Cheezo ko bahutt felaata he, hamaara koi aisa kaam naa lage jisse ke vo silsilaa beech me toot jaaye; Ikhlaas se countinous neki chalti he, koi Maal ya maintenance se nahi NQSJ_HR002_Salsabeel: Ikhlaas tha Ibrahim AS ke biwi bacho ko choda, khud ka ghar chod ke Allah ke ghar ko abaad kiya to aaj tak vo abaad he .. NQSJ_HR002_Salsabeel: In Last aayato ke baar me Bukhari me RIvaayat he – Abu Raafey RA farmate he – Mene ek din Isha ki namaaz ke baad Abu Huraira RA

Page 9: ******~~Tafseer Surah Al Inshiqaq~~ ****** daur me haqq ki pehchan ke jaha bhi aata he halchal mach jaati he .. baatil ke saath aisa nahi hota .. NQSJ_REPLAY_FQ: Pichli Surah – kuch

ke peeche namaaz padhi, unhone surah Al inshiqaq padhi, fir doran e namaaz sajda kiya, mene Abu Huraira se pucha ke ye kaisa sajdaah he .. to unhone farmaya mene Abul Qaasim SAW ke peeche iss aayat pe sajdaah kiya, to iss liye me hamesha iss aayat pe sajdaah karuga yaha tak mahshar me meri aap se mulaaqat ho .. (Mafhoom) NQSJ_HR002_Salsabeel: Sahi Muslim : Abu Huraira RA se Rivaayat – Nabi SAW Surah Al Inshiqaar & Surah Alaq 1st wahi .. in dono pe sajdaah kiya karte they .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Yaha Quran e paak ka 2nd last Sajdaa e tilaawat he, iske baad last Sajda Surah Al Alaq me he .. NQSJ_HR002_Salsabeel: Halki phulki but dil ko bojhal karne waali surah ke kya Haqeeqat me ham khud ko taiyyar kar chuke he Qayaamat ke liye !!! NQSJ_HR002_Salsabeel: ~*~* Self Check Zaroori he, Khud se kuch questions kare !!! *~*~ NQSJ_HR002_Salsabeel: 1 In Aayato ko padhne ke baad ke kya mene khud ko khuli chutti to nahi di ?? NQSJ_HR002_Salsabeel: 2 Kya mujhe yaqeen he ke Qayamat ke din zameen apna sab kuch khol ke baahir rakh degi ?? NQSJ_HR002_Salsabeel: 3 Kya mujhe Yaqeen he ke Qayaamat ke din me apne Rabb se mulaaqat karugi ?? NQSJ_HR002_Salsabeel: 4 Kya jiss tarah zameen & Aasmaan Allah ke hukam maane ko taiyyar he kya me bhi waise taiyyar hu ??

NQSJ_HR002_Salsabeel: 5 Kya meri saari bhagdod duniya ke liye to nahi ?? NQSJ_HR002_Salsabeel: 6 Me neki ke kaamo ke liye kitni mehnat karti hu ??

NQSJ_HR002_Salsabeel: 7 Kya mujhe neki ke baad pure ajar ki ummeed hoti he Allah swt se ?? NQSJ_HR002_Salsabeel: 8 Kya me ghar waalo ko khush karne ke liye Allah swt ko naaraz to nahi kardeti hu ?? NQSJ_HR002_Salsabeel: 9 Kya me Allahumma Haasibni Hisaabay yaseera ki dua maangti hu ?? NQSJ_HR002_Salsabeel: 10 Kya meri zindagi me ghaflat to nahi he ?? NQSJ_HR002_Salsabeel: 11 Kya me khud ko apne haatho me dena pasand to nahi karti ?? NQSJ_HR002_Salsabeel: 12 Kya mene apne rabb se mulaaqat ki dua maangni shuru ki ?? (Aayah 16 to 18 – inme bhi jo qasme he vo bhi dar asal utaar chadhav ka ek yaqeeni pehlu he, kya dekh ke hame ye realize hota he ke hamaari bhi life me aise utaar chadhaav isi tarah ke marhalo se hote he & hame jawaab qayaamat ke din dena he ??) NQSJ_HR002_Salsabeel: Aakhirat ka hame zyaada se zyaada gham lag jaaye & iss duniya me rehte hue next duniya ke raahi ban jaaye !!! NQSJ_SP033_Salsabeel: ~* Apne Amal Pe Ghor Karte hue Tilaawat ~ Al Inshiqaaq

Aayah 1 to 25 Sune *~