surah al- baqara verses:49-58 {in roman english} · pdf fileaur jab musa ne apni khaum se...

2
SURAH AL- BAQARA VERSES:49-58 {IN ROMAN ENGLISH} SURAH AL- BAQARA Assalamu 'alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu VERSES 49-58 BISMILLAH HIR RAHMAAN NIR RAHEEM ( Shuru Allah ke paak naam se , jo bada Meherbaan aur Rahemwala hai) SURAH AL- BAQARAH (Verses : 49 to 58) 49). Aur (yaad karo) jab humne tumhe fir'aun ki khaum se nijaath bakshi-jo tumhe bahuth sakhth azaab dete the- tumhare beton ko toh qatl kardete the aur tumhari betiyon ( auraton) ko zinda rakthe the-aur ismein tumhare liye, tumhare Rab ki taraf se bahuth badi azmaish thi. 50). Aur jab humne , tumhare liye dariyaa phaad diya , toh tumhe bacha liya aur fir'aun ki khaum ko tumhari aankhon ke saamne dubo diya. 51). Aur jab hamne Musa se chaalis(40) raaton ka wada kiya, phir is ke( jaane ke) baad tumne bachdeh ko (mabood) bana baite aur tum zulm karne wale the. 52). Phir iske baad hamne, tumhe maafi di ke shayad tum shukr( ahsaan mano) karo. 53). Aur jab hamne Musa ko kitaab aur furkhan diye-taake ho sake toh tum hidayath paa jaao. 54). Aur jab Musa ne apni khaum se kaha, Aye meri khaum! Yaqeenan tumne bachdae ko (mabood) banakar , apne jaanon par zulm kiya-bas taubah karte hue apne paida karnewale ki taraf ruju ho-aur nafson ko

Upload: nguyenquynh

Post on 04-Mar-2018

229 views

Category:

Documents


4 download

TRANSCRIPT

Page 1: SURAH AL- BAQARA VERSES:49-58 {IN ROMAN ENGLISH} · PDF fileAur jab Musa ne apni khaum se kaha, Aye ... taubah karte hue apne paida karnewale ki taraf ruju ho-aur ... mein se pakeezah

SURAH AL- BAQARA

VERSES:49-58 {IN ROMAN ENGLISH}

SURAH AL- BAQARA

Assalamu 'alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu

VERSES 49-58

BISMILLAH HIR RAHMAAN NIR RAHEEM

( Shuru Allah ke paak naam se , jo bada Meherbaan aur Rahemwala hai)

SURAH AL- BAQARAH (Verses : 49 to 58)

49). Aur (yaad karo) jab humne tumhe fir'aun ki khaum se nijaath bakshi-jo tumhe bahuth sakhth azaab dete the- tumhare beton ko toh qatl kardete the aur tumhari betiyon ( auraton) ko zinda rakthe the-aur ismein tumhare liye, tumhare Rab ki taraf se bahuth badi azmaish thi.

50). Aur jab humne , tumhare liye dariyaa phaad diya , toh tumhe bacha liya aur fir'aun ki khaum ko tumhari aankhon ke saamne dubo diya.

51). Aur jab hamne Musa se chaalis(40) raaton ka wada kiya, phir is ke( jaane ke) baad tumne bachdeh ko (mabood) bana baite aur tum zulm karne wale the.

52). Phir iske baad hamne, tumhe maafi di ke shayad tum shukr( ahsaan mano) karo.

53). Aur jab hamne Musa ko kitaab aur furkhan diye-taake ho sake toh tum hidayath paa jaao.

54). Aur jab Musa ne apni khaum se kaha, Aye meri khaum! Yaqeenan tumne bachdae ko (mabood) banakar , apne jaanon par zulm kiya-bas taubah karte hue apne paida karnewale ki taraf ruju ho-aur nafson ko

Page 2: SURAH AL- BAQARA VERSES:49-58 {IN ROMAN ENGLISH} · PDF fileAur jab Musa ne apni khaum se kaha, Aye ... taubah karte hue apne paida karnewale ki taraf ruju ho-aur ... mein se pakeezah

qatl karo-yeh tumhare liye , tumhare paida karne wale ke nazdeek bahuth behther hai-bad Woh tum par taubah qubool karte hue meherbaan hua-yaqeenan wahi bahuth taubah qubool karnewala aur baar baar rahem karnewala hai.

55). Aur jab tum ne kaha, Aye Musa! Hum hargeez tumhara yaqeen na layenge-jab tak alaaniya khuda ko na dekhle-bas tumhe aasmaani bijli ne aa pakda aur tum dekhte rahe gaye.

56). Phir humne tumhari mauth(ki si haalath) je baad , tumhe uthaya , taake tum shukar karo.

57). Aur hamne tum par baadlon ko saaya faghan kiya aur tumpar hamne Manna'aur Salwa' uthare-jo rizzaq hamne , tumhe diya hai, is mein se pakeezah cheezen khaao-aur inhone hum par zulm nahi kiya balke khud apne upar hi zulm karnewale the.

58). Aur jab hamne farmaya ke is basthi mein jaao, phir is mein jahan chahon be rok tok khaao aur sadar darwaze mein sajdah karte daakhil ho aur kaho , hamare gunah maaf ho- hum tumhari khatayen bakhsh denge aur ahsaan karne walon ko hum zarur aur bhi zyada denge.

( Sadaqullahul Azeem)