72 madani ina'mat - dawat-e-islami na honay ki soorat mein tanzeemi tor per dusray din amal ki...

43

Upload: ngohanh

Post on 14-Mar-2018

369 views

Category:

Documents


20 download

TRANSCRIPT

72

Madani In’amaat

Islami Bhaiyon kay liye

Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat,

Baani-ye-Dawat-e-Islami, Allamah Maulana

Abu Bilal Muhammad Ilyas Attar Qadiri Razavi

Is Risalay ko Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami) nay Roman-Urdu

mein Compose kiya hay.

دامت تهم ال

عالهبرك

9

C

II

������ ���� � ��

�� �� ��� ���������� �

�� �� ��� ������ �� ��� ������� ���� ����� �� � ��� �� ����� �� �!� ��"��� ��

�����#��$

�%�� ���#��& ������$#� ��'�� �� ( �)* �+

������ �,-�����.��� �,� �' �

����� �/"��$ �� �0 ������ �,��0������( �)*�

Madanī Wazahaten

Madani In’amaat ki wazahaton aur riayaton say muta’liq suwalat kay jawabat kay liye tanzeemi tor per chaar (4) Qaeday muqarrar kiye gae hain.

Qaa’ida no. 1: Ba’z Madani In’amaat chand Juzziyaat per mushtamil hain. Masalan: Tahajjud, Ishraaq, Chaasht, Awwabeen wala Madani In’aam. Is Madani In’aam mein chaar (4) juz hain, lehaaza aesay Madani Ina’amaat per akser amal honay ki soorat mein tanzeemi

tor par amal maan lia jae ga. (akser say muraad aadhay say ziyada masalan 100 mein say 51 akser keh-laega)

Qaa’ida no. 2: Ba’z Madani In’amaat aesay hain, jin per kisi din amal na honay ki soorat mein tanzeemi tor per dusray din amal ki targheeb hay. Masalan: Chaar (4) Safhaat Faizan-e-Sunnat, 313 baar Durood Pak parhnay ya Kanzul-Imaan Shareef say kam-az-kam 3 Aayaat ki tilaawat (ma’ Tarjama-o-Tafseer) karne se mahroomi rahi. Is soorat mein jitnay din naagha huwa, ba’ad walay dinon

72 Madani In’amat

III

mein reh janay walay dinon ka hisaab laga ker itni hi martaba

amal karnay per Tanzeemi tor per amal maan lia jaega.

Qaa’ida no. 3: Ba’z Madani In’amaat aesay hain jin per amal ki aadat bananay mein waqt lagta hai. Masalan: Qah’qaha, tu takaar say bachnay aur nigahen jhuka ker chalnay walay Madani In’amaat, aesay Madani In’amaat per zamaana koshish ke doraan amal

maan liya jae ga. (koshish pae janay kay liye zaroori hay kay kam az kam 3 dafa’a amal keray)

Qaa’ida no. 4: Ba’z Madani In’amaat aesay hain jin per sahi uzr (ya’ni Haqeeqi Majboor) ki bina per amal ki koi soorat na ho ya is doran dusray Madani kaam mein mashghooliyat hay. Masalan: Zimme-daar waghera deegar Madani kaamon mein masroofiyat kay Baa’is kisi Madani In’aam masalan: Madrasa-tul-Madina Balighaan mein shareek na hosake ya waalidain ki wafaat ya un ki doosre shehr rehaaish ki soorat mein dast bosi aur an-parrh honay kay ba’es likh ker baat karne se mahroomi hay tou bhi tanzeemi tor per amal maan liya jaega.

1

Youmiah 50 Madani In’amaat

Pehla Daraja: 17 Madani In’amaat

1. Kia aaj aap ne kuch na kuch Jaez kaamon say pehlay achi

achi niyyaten keen? Neez kam-az-kam 2 ko is ki targheeb dilayi?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

2. Kia aaj aap nay Paanchon Namazen Masjid ki Pehli saff mein takbeer-e-oola kay saath Baa-jama’at adaa farmaeen? Neez her baar kisi aik ko Masjid le janay ki koshish farmayi?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

3. Kia aaj aap nay Namaz-e-Panjgana kay baad neez sotay waqt kam-az-kam aik baar Aaya-tul-Kursi, Surah-e-

Ikhlaas, aur Tasbeeh-e-Fatima �������  �����  � �  � ���� Parhi? Neez

Raat mein Surah-e-Mulk parh ya sun li?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

2

4. Kia aaj aap nay baat cheet, chalat phirat, uthana rakhna, phone per guftugoo, scooter, car chalana waghera tamam kaam kaaj moqoof ker kay Azaan-o-Iqamat ka jawab diya? (Ager pehle say kha pi rahe hon aur azaan shuru hojae tou khana pina jari rakh saktay hain).

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

5. Kia aaj aap nay Shajray kay kuch na kuch oraad aur kam-az-kam 313 baar Durood Shareef parrh liye?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

6. Kia aaj aap nay Gher, Dafter, Bus, Train waghera mein aate jatay aur galliyon say guzarte huway rah mein kharray ya bethay huway Musalmanon ko Salam kiya?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

3

7. Aaj aap nay (gher mein aur bahar bhi) her chotay barray hatta kay walida (aur ager hain tou apnay bachon aur un ki ammi) ko bhi Tu keh ker mukhatib kiya ya Aap keh ker? Neez her aik say doran-e-guftugoo Hain keh ker baat ki ya Ji keh ker? (Aap kehna, ji kehna durust hay)

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

ء ان .8ا�� شـا kay ma’nay hain Allah nay chaha tou, aur Ahadis

mein is kay bolnay ki targheeb hay. Kia aap nay pakkay

iraday kay sath her jaez bat per niyyat kartay waqt ء انا�� شـا

kay pakeeza jumlay bolay kay nahin? Aur kisi ki taraf say tabiyat ma’loom karnay per shikwa karnay ki bajae

ل م ا

� د ��

������� �� yani her haal mein Allah) حالك ��� ka shuker

hay) aur kisi ne’mat ko daykh ker ء ـش ماا�� ا (Yani jo Allah

��� ���� ����� ki merzi) kaha?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

4

9. Kia aaj aap nay Salam ka Jawab aur cheenknay walay

لد �� م ا kehnay foran itni awaz say jawaban ا ك ح يـر �� kaha

kay donu nay sun liya?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

10. Kia aaj aap nay Doraan-e-Guftugoo kuch na kuch Dawat-e-Islami ki Istilahaat istimal farmaeen? Neez Talaffuz ki durusti ki koshish ki?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

11. Kia aaj aap nay Sunnat kay mutabiq bayth ker ma’ parday mein parda, khaanay pinay kay doraan Mitti kay

Bartan istimaal farmae? Neez payt ka Qufl-e-Madina Laganay (Ya’ni bhook se kam khanay) ki koshish farmayi? (Zah-e-Naseeb rozana kam az kam 12 minute payt per Pathar baandhnay ki sa’adat naseeb hojae)

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

5

12. Kia aaj aap nay Faizan-e-Sunnat say 2 dars (Masjid, Gher, Dukaan, Baazaar waghera jahan Sahulat ho) diye ya sunay? ( 2 mein se 1 gher ka dars zaroori hay)

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

13. Kia aaj aap nay Madrasa-tul-Madina Balighaan mein parha ya parhaya? Neez Masjid Mohalla ki isha ki jama’at kay waqt say 2 ghantay kay ander ander gher pohnch gae?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

14. Kia aaj aap nay 12 minute Maktaba-tul-Madina ki matbu’a islaahi kitaab aur Faizan-e-Sunnat kay tarteeb war kam-az-kam char (4) safahaat (dars kay ilawa) parrh ya sun liye?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

6

15. Kia aaj aap nay yaksui kay saath kam-az-kam 12 minute Fikr-e-Madina (ya’ni apnay a’amaal ka muhasba kartay huway jin jin Madani In’amaat per amal huwa risalay mein un ki khana puri farmayi? 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

16. Kia aaj aap nay kam-az-kam aik bar (behter yeh hay kay

sonay say qabl) Salat-u-Touba parh ker din bher kay bal-kay sabiqa honay walay tamam gunahon say touba kerli? Neez Khuda na khuwasta gunah ho janay ki surat mein

foran touba ker kay ayanda woh gunah na karnay ka ehed kiya? 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

17. Kia aaj aap nay (plastic ki nahin) khajoori chatayi per ya na honay ki surat mein zameen per sotay waqt sirhanay (aur safr mein bhi) sunnat k mutabiq aaena, surma, kangha, sui-dhaga, miswaak, tayl ki sheeshi aur qaynchi saath rakhi? Neez faraghat kay ba’d bister libaas teh ker kay rakha? 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

7

Doosra Daraja: 17 Madani In’amaat

18. Kia aaj aap nay Fajr, Zoher, Asr aur Isha ki Sunnat-e-Qabliya (Jama’at shuru honay say qabl) neez farzon kay ba’d walay nawafil ada farmae? (Nawafil Dars-o-Bayaan kay baad bhi perrh saktay hain)

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

19. Kia aaj aap nay Namaz-e-Tahajjud, Ishraaq, Chasht, Awabeen ada farmayi?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

20. Kia aaj aap nay kam-az-kam ek baar Tahayyat-ul-Wuzu aur Tahayyat-ul-Masjid ada farmayi?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

21. Kia aaj aap nay Kanz-ul-Imaan say kam-az-kam 3 ayaat (Ma’ tarjama-o-tafseer) tilawat karnay ya sunnay ki sa’adat hasil ki?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

8

22. Kia aaj aap nay kam-az-kam 2 Islami bhaion ko infradi

koshish kay zariye Madani Qafila aur Madani In’amaat ki Targheeb dilayi?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

23. Kia aaj aap nay Dawat-e-Islami kay Madani Kaamon (Masalan: Infraadi koshish, Dars-o-Bayaan, Madrasa-tul-

Madina Balighan waghera) per kam-az-kam 2 ghantay sarf kiye?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

24. Kia aaj aap nay Markazi Majlis-e-Shura, Kabinaat,

Mushawratayn wa deegar Majalis jis kay bhi aap ma-tahat hain in ki (Shari’at kay daeray mein reh ker) ita’at farmayi?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

9

25. Kia aaj aap nay dusron say maang ker cheezayn (Masalan: Chader, Phone, Gaari waghera) Isti’maal tou nahin keen? (dusron say suwal ki a’adat nikaal di-jiye, zaroorat ki cheez nishani laga ker apnay pas ba-hifaazat rakhayn)

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

26. Kisi Zimmedar (ya a’am Islami bhai) say burayi saadir hojae aur islah ki zarurat mahsoos ho tou tahreeri tor per ya barah-e-raast mil ker (donu suraton mein narmi

kay saath) samjhanay ki koshish farmayi ya ا��-bila ijazat معاذ

e-shara’i kisi aur per izhaar ker kay gheebat ka gunah-e-kabeera ker bethay?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

27. Kia aaj aap nay (gher mein aur bahar bhi) parday mein

parda kiya? Neez bethnay mein qiblay ki simt rukh rakhnay ki sa’i farmayi?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

10

28. Aaj aap nay (gher mein ya bahar) kisi per ghussa ajanay ki surat mein chup saadh ker Ghussay ka ilaaj farmaya ya bol parray? Neez Darguzar say kaam liya ya intiqaam (ya’ni badla lenay) ka moqa dhoondtay rahay?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

29. Aaj aap nay kisi say aesay fuzool suwalaat tou nahin kiye jin kay zariye Musalman umuman Jhoot kay gunah mein mubtala hojatay hain? (Masalan: bila zarurat puchna aap ko hamara khana pasand aya? Waghera)

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

30. Aaj kahin aap nay na mahram rishtedaron, na mahram

parro-sanon neez bhabhi say ا��

betakalluf ho ker aur معاذ

hans hans ker guftugu karnay ka mamnu kaam tou nahin kiya? Kia un kay samnay say anay say katrae aur un say shara’i perda kiya?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

11

31. Kia aaj aap nay (gher ya bahar) T.V, V.C.R, ya Internet

waghera per filmayn, dramay aur ganay bajay waghera dekhnay ya sunnay say bachay? Neez aankhon ki hifazat ki aadat bananay kay liye sonay kay auqaat kay ilawa kam-az-kam 12 minute aankhain band rakheen?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

32. Kia aaj aap nay Gher mein Madani Mahol bananay kay liye 19 Madani Phoolon kay mutaabiq mumkina surat mein amal kiya? (Madani phool risalay kay aakhir mein mulahaza farmaiye)

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

33. Aaj aap nay (gher mein aur bahar) kisi per Tohmat tou nahin lagayi? Kisi ka naam tou nahin bigarha? Kisi say Gaali Galoch tou nahin ki? (kisi ko suwer, gadha, chor, lambu, thingu waghera na kaha karayn)

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

12

34. Aaj aap nay dusray ki baat itminaan say sunnay kay bajae us ki baat kaat ker kahin apni bat tou shuru nahin kardi? Neez baat samajh janay kay bawajud be-saakhta: hain? Ji?

Ya kiya? Bol ker ya abbru ya chehray kay ishaaray say dusron ko khuwa-ma-khuwa apni baat dohranay ki zahmat tou nahin di? 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

Teesra Daraja: 16 Madani In’amaat

35. Kia aaj aap nay Sada-e-Madina lagayi? (Dawat-e-Islami kay Madani mahol mein Namaz-e-Fajr kay liye musalmanon ko jagana Sada-e-Madina lagana kehlata hai) 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

36. Kia aaj aap nay rah chaltay waqt aur gaari mein safar kay doran Aankhon ka Qufl-e-Madina lagatay huway akser nigahayn neechi rakheen? Neez bila zarurat (gher mein aur bahar bhi) idher udher dekhnay sign board waghera per nazar dalnay say bachnay ki koshish ki?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

13

37. Kia aaj aap nay apnay gher kay br-aamdon say (bila zarurat) bahar neez kisi aur kay darwazon say un kay gharon kay

ander jhanknay say bachnay ki koshish ki?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

38. Kia aaj aap Jhoot, Gheebat, Chughli, Hasad, Takabbur aur Wa’da khilafi say bachnay mein kamyab huway?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

39. Kia aaj aap din ka akser hissa baa-wuzu rahay?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

40. Kia aaj aap nay kisi say baat kartay waqt apni nazar neechi rakhi ya mukhatib kay chehray per gaarhay rahay? (neechi nigahon ki a’adat banaanay kay liye rozana kam-az-kam 12 minute Qufl-e-Madina ka Ainak istimal farmaiye)

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

14

41. Kia aaj aap nay Qarz honay ki surat mein (bawajud istita’at qarz khuwa ki ijazat kay beghair qarz ki adaegi mein takheer tou nahin ki? Neez kisi say a’ariyatan (A’arzi tor per) li hui cheez zarurat puri honay per muqarrara muddat kay ander wapas kerdi?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

42. Aaj aap nay kisi musalman kay uyoob per mut-tala’ hojanay per us ki perda poshi farmayi ya (bila maslehat-e-shara’ee) us ka a’eb zahir kardiya? Neez kisi ki raaz ki baat (beghair us ki ijazat) dusray ko bata ker khiyanat tou nahin ki?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

43. Aaj aap nay (bila maslehat-e-shara’ee) kisi aik ya chand say zaati dosti ganth rakhi hay ya sab kay sath yaksa ta’luqat

rakhay hain? (zaati dostian aur group tanzeemi kamon ki taraqqi mein a’am tor per rukawat bantay hain)

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

15

44. Kia aaj aap nay Namaz aur du’a kay doran khushu’-o-

khuzu’ payda karnay ki koshish farmayi? Neez du’a mein hath uthanay kay aadab ka lihaaz rakha?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

45. Aaj aap nay Aajzi kay aesay alfaaz jin ki taeed dil na keray bol ker Nifaaq aur Riyakari ka irtiqab tou nahin kiya? Masalan is tarah kehna mein haqeer hun, kamina hun waghera jab kay dil mein khud ko haqeer na samajhta ho.

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

46. Kia aaj aap nay Zabaan ka Qufl-e-Madina lagatay huway fuzool goyi say bachnay ki aadat dalnay kay liye kuch na kuch isharay say aur kam-az-kam chaar baar likh ker guftugu ki?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

16

47. Kia aaj aap nay tanha ya cassette ijtima’ mein kam-az-kam aik Bayan ya Madani Muzakiray ki audio/video cassette beth ker suni ya dekhi ya Madani Channel per kam-az-kam 1 ghanta 12 minute nashriyaat dekheen?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

48. Kia aaj aap nay (Gher mein aur bahar) Mazaq Maskhari,

Tanz, Dil aazari aur Qahqaha laganay (ya’ni khilkhila ker hansnay) say bachnay ki koshish ki? (yaad rakhiye kisi Musalmaan ka dil dukhana kabeera gunah hay)

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

49. Kia aaj aap nay zaroori guftugu bhi kam-se-kam alfaaz mein nimtaanay ki koshish farmayi? Neez fuzool baat munh say nikal janay ki soorat mein foran naadim hokar Durood Shareef parh liya?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

17

50. Kia aaj aap ka sara din (nokri ya dukaan waghera per neez

gher kay ander bhi) I’mama shareef (tayl laganay ki surat

mein sir band bhi), zulfayn, (ager barrhti hon) aik musht Daarhi, sunnat kay mutabiq aadhi pindli tak (safayd)

Kurta, samnay jayb mein numayan Miswaak aur takhnon say unchay paenchay rakhnay ka ma’mool raha?

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 Total

16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

72 Madani In’amat

18

Qufl-e-Madinah Kar-kerdagi (Madani Maah _________ Saal ___)

Date Likh ker

Guftugu

Kam-az-Kam 12 Martaba

Isharay say Guftugu

Kama-az-Kam 12 Martaba

Nigahayn gaarhay

bighayr Guftugu

Kam-az-Kam 12 Martaba

Quflay Madina Kay

A’inak ka Isti’mal

Kam-o-Besh 12 Minute

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30

Total

72 Madani In’amat

19

Haftah war 8 Madanī In’amaat

51. Kia aap is haftay ijtima’ mein aaghaaz hi say shareek ho ker (jitna beth saken utni dair) do (2) zaano beth kay akser nigahen nichay kiye her bayaan zikr-o-du’a aur kharey ho ker salat-o-salam mein shirkat aur masjid mein (ma’ halqah, Tahajjud aur Namaz-e-Fajr, ishraq, chasht) saari raat Aitikaaf farmaya?

52. Kia aap nay is haftay ijtima’ kay foran ba’d khood agay barh ker infiradi koshish kartay huwe nae nae

islami bhaiyon say mulaqaat ka sharf haasil ker kay un ka naam, pata aur phone number haasil kia? (kam-az-kam chaar say mulaqaat aur kam-az-kam aik ka pata waghera zaroor li-jye phir un say raabta bhi rakhiye)

53. Kia aap nay is haftay kam-az-kam aik mareez ya dukhiyaray kay gher ya hospital ja ker sunnat kay mutabiq gham-khuwari ki? Aur us ko tohfa (khuwah Maktaba-tul-Madina ka sha’e karda risala ya pamphlet) pesh karnay kay saath saath ta’weezat Attaria kay isti’maal ka mashwara dia?

72 Madani In’amat

20

54. Kia aap nay is haftay kam-az-kam aik baar a’laqaayi

dorah barae neki ki da’wat mein shirkat farmayi?

55. Kia aap nay is haftay kam az kam aik Islami bhai ko (jo pehle madani mahol mein thay mager ab nahin atay) talash ker kay un ko Madani Maahol say wabasta karnay ki koshish ki? (Mager jis par tanzeemi pabandi ho usay na chayrren)

56. Kia aap nay is haftay a'laaqayi Masjid Ijtima mein kam-az-kam aik naye islaami bhai ko saath lay ja ker awwal ta aakhir shirkat farmayi?

57. Kia aap nay is haftay kam-az-kam aik Islami bhai ko

maktoob rawana farmaya? (Maktoob mein Madani Qafilay aur Madani In’amaat waghera ki targheeb dilayi?

58. Kia aap nay is haftay peer shareef (ya reh janay ki surat mein kisi bhi din) ka roza rakha? Neez is haftay kam-az-kam aik din khanay mein jo shareef ki roti tanawul farmayi?

72 Madani In’amat

21

Mahanah 6 Madanī In’amaat

59. Kia aap nay saabiqa Madani mah ka Madani In’amaat ka risala pur ker kay apnay zayli nigraan ko jama’ karwa dia?

60. Is mah ki pehli peer Shareef ko risala Khamosh Shehzada ka muta’la farma ker fuzool goi say bachnay ki ‘adat bananay kay liye 25 ghantay ka Qufl-e-

Madinah lagaya? Neez kia aap nay is mah jadwal kay mutabiq kam-az-kam teen din kay Madani Qafilay mein safar farmaya?

61. Kia is mah aap ki infiradi koshish say kam-az-kam aik Islami bhai nay Madani Qafilay mein safer kia? Aur kam-az-kam aik nay Madani in'amaat ka risala jama' kerwaya?

62. Kia aap nay is maah kisi sunni A’alim (ya imam-e-Masjid, Moazzin, Khadim) ko 112 Rupay ya kam-az-kam 12 Rupay tohfatan pesh kiye? (Na-Baaligh apni zaati raqam nahin day sakta)

72 Madani In’amat

22

63. Kia aap nay baaligh, na-baaligh aur na-baaligha kay

janazay ki du’aen, 6 kalimay, imaan mufassal, imaan

mujmal, takbeer-e-tashreeq aur talbeeh (ya’ni Labbaik) yeh sab tarjamay kay sath zabani yad kerliye hain? Neez is mah ki pehli peer shareef ko (ya reh janay ki soorat mein kisi aur din) yeh sab parh liye?

64. Kia aap nay azaan aur is kay ba’d ki Du’a Quran Shareef ki aakhri 10 suraten, Du’a-e-Qunoot, Attahyaat,

Durood-e-Ibraheem aur koi aik du’a-e-masoora ye sab makharij say huroof ki durust adaegi kay sath zabani yad kerliye hain? Neez is mah ki pehli peer shareef ko (ya reh janay ki soorat mein kisi aur din) yeh sub parh liye hain?

Salanah 8 Madanī In’amaat

65. Kia aap nay is saal kam-az-kam aik martaba (Ameer-

e-Ahl-e-Sunnat ������ ��  �� � �� ��� ���� ��� � ��  � � �� � ��� � !�" ) kay tamam Madani

Rasael (jo aap ko ma'loom hain) parh ya sun liye hain?

66. Kia aap nay is saal kam-az-kam aik martaba Maktaba-tul-Madinah kay matbu’ah tamam Madani phool kay pamphlet (jo aap ko ma'loom hain) parh sun liye hain?

72 Madani In’amat

23

67. Kia aap nay is saal jadwal kay mutabiq yak musht 30 din kay Madani Qafilay mein safr farmaya? (ager yak-musht 12 mah kay Madani Qafilay mein safr nahin kia tou zindagi mein kam-az-kam aik baar safr ki niyyat farma li-jiye)

68. Kia aap nay is saal kam-az-kam aik baar Imam Ghazali

!� $�% �"  � �& �� �' ��   ���(�� ki aakhri tasneef Minhaaj-ul-A’abdeen say touba, ikhlas, taqwa, khof-o-rija, u’jub-o-riya, aankh, kaan, zaban, dil aur payt ki hifazat ka bayan parh ya sun liya?

69. Kia aap nay is saal kam-az-kam aik martaba Bahar-e-

Shari’at hissa 9 say murtad ka bayan, hissa 16 say khareed-o-farokht ka bayan, waalidayn kay huqooq ka bayan, (ager shadi shuda hain tou) hissa 7 say Mahramaat ka bayan aur huqooq-uz-zojayen, hissa 8 say bachon ki parwarish ka bayan, tallaaq ka bayan, zihaar ka bayan aur talaq-e-kinaya ka bayan parh ya sun liya?

72 Madani In’amat

24

70. Kia aap nay makharij say huroof ki durust adaegi kay sath kam-az-kam aik bar Quran-e-Pak naazira khatam karlia hay? Aur isay is saal dohra liya?

71. Kia aap nay A’la Hazrat ��� � �& ��  �"�!� $ ��  �' � ��� �)� �& ki kutub Tamheed-ul-Imaan aur Hassaam-ul-Haramain neez Maktaba-tul-Madinah ki matbu’ah kitab Kufriya

Kalimat kay baray mein suwal jawab aur chanday

kay baray mein suwal jawab parh ya sun li hain?

72. Kia aap nay Bahar-e-Shari’at ya Namaz kay Aehkaam say parh ya sun ker apnay Wuzu, Ghusl, aur Namaz

durust ker kay sunni a’alim ya zimme-daar muballigh ko suna diye hain?

72 Madani In’amat

25

Riza-e-Rab-ul-An’am )وجل kay Kaam عز(

Ameer-e-Ahl-e-Sunnat "�!����� ��  � � �*��+ ����  ������� fermatay hain: Jo zayl mein diye gae 12 Madani In’amaat ki pabandi karay woh mera dost hay.

1 (Deegar faraez-o-wajibaat per a’mal kay sath sath) rozana panchon Namazen pehli saff mein Takbeer-e-oola kay sath ba-jama’at ada keray neez her baar kam-az-kam aik ko apnay sath masjid mein lay janay ki koshish karay.

2 Rozana Faizan-e-Sunnat say kam-az-kam 2 Dars (Masjid, Gher, Dukan, waghera jahan Sahulat ho) day ya sunay. (2 mein say 1 gher ka dars zaruri hay)

3 Rozana Madrasa-tul-Madinah Balighaan mein parhnay parhanay kay sath Masjid Mahalla ki isha ki jama’at kay waqt say 2 ghantay kay ander ander gher pohnch jae.

4 Kam-az-Kam 2 Islami bhaiyon ko Infradi koshish kay zariye Madani Qafila, Madani Ina’amaat aur deegar Madani kamon ki targheeb dilaey.

72 Madani In’amat

26

5 Dawat-e-Islami kay Madani Kaamon (Masalan: Infraadi koshish, Dars-o-Bayaan, Madani Mashwara waghera) per kam-az-kam do ghantay sarf karay.

6 Rozana Sada-e-Madina ki tarkeeb karay.

7 Haftay war Ijtima’ mein Awwal ta aakhir shirkat ma’a raat ae’tikaaf aur fajr aur ishraq chasht.

8 Haftay mein kam-az-kam aik din a’laqayi dora baraye neki ki da’wat mein shirkat karay. (Tijarati Marakiz mein baroz budh zohr say qabl aur rihaeshi a’laaqon mein youm-e-ta’teel A’sr ta Maghrib.

9 Haftay mein kam-az-kam aik Islami bhai ko (jo pehlay Madani Mahol mein thay mager ab nahin aatay) talaash ker kay un ko Madani Mahol say wabasta kernay ki koshish karay (Yahan woh murad nahin jin per tanzeemi pabandi lagi hui hay)

72 Madani In’amat

27

10 Rozana kam-az-kam aik bayaan ya Madani muzakiray ki cassette sunay ya Madani Channel per kam-az-kam aik ghanta 12 minute nashariyaat dekhay. (Ameer-e-Ahl-e-Sunnat "�!����� ��  � � �*��+ ����  ������� is say boht khush hotay hain).

11 Rozana Fikr-e-Madina kay doraan Madani In’amaat ka risaala pur ker kay her Madani mah ki pehli jume’rat Madani In’amaat kay maktab mein jama’ kerwa day.

12 Her mah kam-az-kam 3 teen din jadwal kay mutabiq Madani Qafilay mein safr karay. Zindagi mein yak-musht 12 mah aur her 12 mah mein 30 din Madani Qafilay mein safr ki niyat ho. (Dawat-e-Islami ki Jaamiyat kay talaba majlis kay diye huway jadwal kay mutaabiq safr karen)

72 Madani In’amat

28

Attar ka piyara

Ameer-e-Ahl-e-Sunnat fermatay hain: Jo mazkura Madani In’amaat per ‘amal kay sath 72 mein say kam-az-kam 63 aur Jamia-tul-Madinah aur Madrasa-tul-Madinah ka taalib-e-ilm 92 mein say kam-az-kam 82 Madani in'amaat ka a’amil ho woh mera piyara hay.

Attar ka manzoor-e-nazer

Ameer-e-Ahl-e-Sunnat ka irshad hay, jo mundarja baala ma’mulaat bajaa la ker dost, piyara bannay kay sath sath zayl mein diye huway 5 Madani kay kaam pabandi say keray woh mera “Mazoor-e-Nazer” hay.

1. Rozana 12 bar likh ker Guftugu keray.

2. Rozana kam-az-kam 12 bar Isharay say guftugu keray.

3. Rozana kam-az-kam 12 minute Qufl-e-Madinah kay a’inak ka isti’mal.

4. (Zaruri guftugu ki nobat aati ho tou) rozana kam-az-kam 12 bar saamnay walay kay chehray per nazren gaarhay beghayr guftugu.

72 Madani In’amat

29

5. Haftay mein kam-az-kam aik risala parhiye. (Jo rozana aik kam-az-kam aik risaala parhnay ka ma’mool banae us say Ameer-e-Ahl-e-Sunnat "�!����� ��  � � �*��+ ����  ������� boht khush hotay hain)

Mahboob-e-Attar

Ameer-e-Ahl-e-Sunnat   �������"� !����� ��  � � �*��+ ���� ka Ferman-e-Shafqat nishan hay kay jo Mundarja baala ma’mulaat kay sath sath mukammal 72 aur mazkura talib-e-ilm 92 Madani in'amaat ka a’amil ho woh mera Mahboob hay.

Jazbaat-e-Attar

Aah! Aah! Aah! Dil khofzada hay mein nahin jaanta kay Allah ������������ ki meray baaray Khufia tadbeer kiya hay! Albatta meray dil kay jazbaat yeh hain kay Sarkaar-e-Madina �� $ �,�� "� �� � ��  �"� !� $�%  �����  � �  ��. �/ kay sadqay mein mujh per ager khaas karam hogaya tou

���012�3  �4���"�5 $ ��� �� �� ��� �� apnay her dost, piyaray, Manzoor-e-Nazar aur Mahboob ko jannat-ul-firdos mein sath leta jaunga.

72 Madani In’amat

30

Attar kis say bezaar!

Jo Islami bhai Dawat-e-Islami ki Markazi Majlis-e-Shoora, intizaami Kabinaat-o-Majalis waghera ki bila ijazat-e-shara’i logon kay saamnay mukhalfat karay woh na mera dost, na piyara, na manzoor-e-Nazar aur na Mahboob balkay Qalb-e-Attar us say bezaar hay.

Du’a-e-Attar

Ya Allah ��� ���� ����� jo rozana yeh mazkura Madani kaam kerlia karay us Attar kay dost aur piyaare neez Attar kay Manzoor-e-Nazar, Mahboob ko Ma’ Attar Jannat ul Firdos mein apnay Madani Mahboob �� $ �,�� "� �� � ��  �"� !� $�%  ����� � �  ��. �/ ka parhosi bana lay.

باه ال(ب ي م ا

ي م ا4 ا��

) صل

عل

ل يه تعا8

م وا

) وسل

Markazī Majlis-e- Shūrā (Dawat-e-Islami)

31

���� �� ���� � ��

�� �� ��� ���������� ��� �� ��� ������ �� ��� ������� ���� ����� �� ���� �� ���

�� �� � !� ��"��� ��

�����#��$

�%�� ���#��& ������$#� ��'�� �� ( �)* �+

������ �,-�����.��� �,� �' �

����� �/"��$ �� �0 ������ �,��0 ������(�)*�

Gher mein “Madani Mahol” bananay kay

muta’liq 19 Madani Phool

1. Gher main aatay jatay buland awaz say Salam kijiye.

2. Walida ya Walid sahib ko aata dekh ker tazeeman kharay ho jaiye.

3. Din main kam az kam aik bar Islami Bhai walid sahib kay aur Islam behnen walida kay hath aur paun chuma karen.

4. Walidain kay samnay awaz dheemi rakhiye, in say ankhen hargiz na milaiye, nechi nigahen rakh ker hi baat cheet kijiye.

5. In ka sonpa huwa har woh kam jo khilaf-e-shar’a na ho foran ker daliye.

72 Madani In’amat

32

6. Sanjeedgi apnaiye. Gher main tu tukar, abay tabay aur mazaq maskhari kernay, baat baat per ghussay ho janay, khanay main aeyb nikaalnay, chotay Bhai behnon ko jharnay, marnay, gher kay baron say ulajhnay, behseyn kertay rehnay ki aadaten ho tou apna rawayya yaksar tabdeel ker dijiye, har aik say mu’afi talafi ker lijiye.

7. Gher main aur bahar har jaga ap sanjida ho jaen gay

tou �3  �4��2��01���5 $" ��� ���� ����� gher kay andar bhi zaroor is ki barakaten zahir hongi.

8. Maan bal kay bachon ki ammi ho tou usay neez gher (aur bahar) kay aik din kay bachay ko bhi ‘aap’ keh ker hi mukhatib hon.

9. Apnay Muhallay ki masjid main isha ki jama’at kay waqt say lay ker 2 ghantay kay andar andar so jaiye. Kash! Tahajjud main ankh khul jaey warna kam az kam namaz-e-fajr tou ba asaani (masjid ki pehli saf

72 Madani In’amat

33

main ba jama’at) muyassar aey aur phir kam kaj main bhi susti na ho.

10. Gher kay afraad main agar namazon ki susti, be pardagi, filmon daramon, aur ghanay bajon ka silsila ho aur ap agar sar parast nahin hain, neez zann-e-ghalib hay kay ap ki nahin suni jaey gi tou bar bar toka tok kay bajaey, sab ko narmi kay sath Maktaba-tul-Madina say jari shuda sunnaton bharay bayanat ki audio cassatte, audio/video cds sunaiye

dikhaiye, Madani channel dikhaiye. �3  �4��2��01���5 $" ��� ���� ����� ‘Madani nataaij’ bar amad hon gey.

11. Gher main kitni hi dant paray bal-kay maar bhi paray, sabr sabr aur sabr kijiye. Agar ap zaban chalaen gay tou ‘Madani Mahol’ ban’nay ki koi umeed nahin bal-kay mazeed bigar paida ho sakta hay kay be-ja sakhti kernay say basa auqat shaitan logon ko ziddi bana deta hay.

72 Madani In’amat

34

12. Madani mahol bananay ka aik behtreen zariya yeh bhi hay kay gher main rozana Faizan-e-Sunnat ka dars zaroor zaroor zaroor dijiye ya suniye.

13. Apnay gher walon ki dunya-o-akhirat ki behtri kay liye dil sozi kay sath du’a bhi kertay rahiye kay Farman-e-Mustafa ��� � �  ��. �/ "� �� � ��  �"� !� $�%  ��  �� $ �,�� hay:

ع ل=ح ء ا

س@

ال

منمو ya’ni du’a momin ka hathyar hay.

(Al-Mustadrak-lil-Hakim, jild. 2, safha. 162, Hadis 1855)

14. Susral main rehnay waliyan jahan walidain ka zikr hay wahan sas aur susar kay sath wohi husn-e-sulook baja laiyen jab kay koi mani’e-shar’a na hon. Han yeh aehtiyat zaroor kijiye kay bahu susar kay hath paun na chumay, yun hi damad saas kay.

15. Masael-ul-qur’an page 290 per hay: Har namaz kay ba’d yeh du’a awwal-o-a’khir durood shareef kay

sath aik bar parh lijiye �3  �4��2��01���5 $" ��� ���� ����� , baal bachay sunnaton kay paband banen gay aur gher main Madani mahol qaaem ho ga. (du’a yeh hay):

72 Madani In’amat

35

] �� � �/ �1�23[ # �4��$ �� 5 �6 # �4� � , �' # �4 �+� ��7

��

�� # �4 �8�9 � ���% �� � ���: ;�

����� � �� # �4� ��+� ����<��8 ����� # ='#�' �� >?@A1

Note: ( ) � � �� �لل�( Ayat-e-Qur’ani ka hissa nahin)

16. Na farman bach-cha ya bara jab soya huwa ho tou 11 ya 21 din tak us kay sir’hanay kharay ho ker yeh ayat-e-mubaraka sirf aik bar itni awaz say parhiye kay us ki ankh na khulay:

1 Aey hamaray Rab hamay day hamari bibiyon aur aulaad say ankhoon ki thandak

aur hamen perhayzgaaron ka peshwa bana. [Tarjama-e-Quran Kanz-ul-Iman] (Parah 19,

Surah furqaan, Ayat 74)

72 Madani In’amat

36

�)*� �0��BC� �,�0

��BC� �������� �/"��$�

� $� > E��F� �G EH

����: �� �6 IJK ;L��MN

� �G ;O�� � P� Q A >JJRAS

(Awwal, akhir, aik martaba Durood Shareef)

Yad Rahay! Barra na-farman ho tou sotay sotay sir-hanay wazifa parhanay main us kay jagnay ka andesha hay khususan jab kay us ki neend gehri na ho, yeh pata chalna mushkil hay kay sirf ankhen band hain ya so raha hay lihaza jahan fitnay ka khof ho wahan yeh amal na kiya jaey khas ker biwi apnay shohar per yeh amal na keray.

17. Neez na farman aulad ko farman bardar bananay kay liye ta husul-e-murad namaz-e-fajr kay ba’d

asman ki taraf rukh ker kay 21 ياشهيد bar parhiye.

(Awwal-o-akhir, aik bar durood shareef)

1 Balkay woh kamal sharf wala Quran hay Loh-e-Mehfooz main. [Tarjama-e-Quran

Kanz-ul-Iman] (Parah 3, Surah Buruj, Ayat 21-22)

72 Madani In’amat

37

18. Madani In’amat kay mutabiq amal ki aadat banaiye aur gher kay jin afrad kay ander narm gosha paen un main aur ap agar bap hain tou aulad main narmi aur hikmat-e-amali kay sath Madani In’amaat ka nifaz kijiye, Allah ������� ����� ki rehmat say gher main Madani inqilab barpa ho jae ga.

19. Pabandi say har maah kam az kam 3 din kay Madani Qafilay main aashiqan-e-rasool kay sath sunnaton bhara safar ker kay gher walon kay liye du’a ki-jiye. Madani Qafilay main safar ki barakat say bhi gharon main Madani Mahol ban’nay ki ‘Madani Baharen’ sun’nay ko milti hain.

72 Madani In’amat

38

Kar-kerdagi barae Riza-e-Rabul An’aam )وجل kay kaam عز(1. Is Mah kay akser dinon mein mazkoora Madani Ina’amaat per

a’mal ki koshish rahi?

2. Is Mah kay akser dinon mein kam-az-kam 12 Martaba Likh ker

Guftugu farmayi?

3. Is Mah kay akser dinon mein kam-az-kam 12 martaba isharay say guftugu farmayi?

4. Is Mah kay akser dinon mein kam-az kam-12 martaba chehray per nigahen gaarhay bighayr guftugu farmayi?

5. Is Mah kay akser dino mein kam-az-kam 12 minute Qufl-e-Madina ka ‘ainak isti’maal farmaya?

6. Is Mah aap nay Ameer-e-Aĥl-e-Sunnat

"�!����� ��  � � �*��+ ����  ������� kay kitnay rasael ka Mutala’a farmaya?

Pehla hafta

Doosra hafta

Teesra hafta

Chotha hafta

Kul ta’daad

7. Is Mah 72 Madani In’amaat mein say kitnay per ‘amal ki koshish rahi?

8. Is Mah kitnay din Fikr-e-Madina ki sa’adat haasil hui?

"�5 $ ���  �6� �7 �8�� ��� ��� �� �� ��� �� Is Mah

Attar ka Dost bannay ki sa’adat hasil hui.

Attar ka Piyara bannay ki sa’adat hasil hui.

Attar ka Manzoor-e-Nazar bannay ki sa’adat hasil hui.

Mahboob-e-Attar bannay ki sa’adat hasil hui.

�3  �4��2��01�5 $��  " ��� �� �� ��� �� Aayanda mah kam-az-kam ______ Madani In’amaat per a’mal ki koshish kerunga.