surah baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfe- oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

22
PARA – 1 PART - 1 Hidayat - ( instructions ) 1- Sawaloun ke jawab muntaqib karte waqt iss baat ka qususi dihaan rakhe ke ager teen jawab diye gaye hain aur apko ek se zyaada jawab sahi lage tu app ne wo jawab muntaqib karna jo ustaza ne tafseer me bataya ho ya wo jawab jo zyaada sahi aur mukammal ho . 2- Jawabaat dene ke safhe par nishaan ko bharte waqt sawal number ko ghour se dhekne ke baad bhare . Aur ager 100 se zyaada sawaal ho tu doubara yehi safah print kar ke isko istemaal kare aur 101 ki jagah doubara isse bharna shuru kare . 2

Upload: others

Post on 28-Dec-2019

9 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

PARA – 1

PART - 1

Hidayat - ( instructions )

1- Sawaloun ke jawab muntaqib karte waqt iss baat ka qususi dihaan rakhe ke ager teen

jawab diye gaye hain aur apko ek se zyaada jawab sahi lage tu app ne wo jawab muntaqib

karna jo ustaza ne tafseer me bataya ho ya wo jawab jo zyaada sahi aur mukammal ho .

2- Jawabaat dene ke safhe par nishaan ko bharte waqt sawal number ko ghour se dhekne ke

baad bhare . Aur ager 100 se zyaada sawaal ho tu doubara yehi safah print kar ke isko

istemaal kare aur 101 ki jagah doubara isse bharna shuru kare .

2

Page 2: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -
Page 3: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

B- Ye iss yaqeen ko kahete hain jo insaan ke dil ko mutmain karde aur koi shak na rahe

C- Ye Allah ki narazgi se darne ka naam hai

9- Namaaz qayam karne me

A- Waqt par namaaz phadna ata hai

B- Ruku aur sajood ko itmenaan ke saath karna ata hai

C- Tamam sharaith ke saath, kushu wa khuzuw se Mohammed salle Allah hu wale wa sallam ke

tareeqe par namaaz phadna ata hai

10- Risq se muraad

A- Tamaam maal wa daulat hai

B- Tamam maadi aur maanwi nemaate hai

C- Khane peene ki tamaam cheezey hai

11- Alsalaat “SALAA” se hai iss liye Alsalaat ka matlab hai

A- Namaaz se jodna

B- Allah se jodna

C- Ibadaat se jodna

12- Wama Anzalna Ilaika se muraad

A- Quraan hai

B- Hadees hai

C- Wahi jali hai

D- Ooper ke dono jawab sahi hai

E- Ooper ke dono jawab ghalat hai

13- Kamiyaab logo ke liye “ Falaah” ka lafz kyu istemaal kiya gaya hai

A- Kmamiyabi ke liye arabi me sirf ek hi lafz hai

B- Kamiyaab hone ke liye kisaan ki taraah bahut zyaada mashaaqat karni padhti hai

C- Kamiyabi ke liye ye sab se bahtereen lafz hai

14- Laanath me kufar ka matlab hai

A- Ghaib par imaan na rakhna

B- Inkaar karna

C- Chuhpana

15- Jo Allah ko ek manne ki ------------------ wo kaafir kahelaata hai

A- Baat ko chuhpata hai aur bazaaher maan jata hai

Lughat

Page 4: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

B- Dil ki gawahi ko chuhpata hai aur inkaar karta hai

C- Baat ko manta hai aur inkaar karta hai

16- Ye ayaat kin kaafiroun ke baare me hai

A- Wo kaafir jhinoh ne thaanli thi ke innoh ne nahi manna

B- Tamaam bade bade dushmaane islaam sardaaroun ke baare me

C- Tamaam kuffar ke liye chahe wo Mohammed SAW ke waqt ke ho ya baad ke

17- inzaar se muraad aisa qabar daar karna hota hai jis me

A- Bahut shaffaqat ,khuloos aur khair khaahi hoo

B- Bahut zyaada daraya jaaye

C- Agle bande ko itna daraya jaaye ke wo seedhe raaste par ajaye

18- jab insaan ------------- tu phir Allah tala bhi muhar laga dete hain

A- Kufar ,sarkashi , aur zidd par ada raheta hai

B- Bahut zyaada susthi karta hai

C- Logo ko bahut satata hai

19- Munafiq

A- Duniya se shadeed mohabbat karne wala, mazboot kirdaar wala aur apne mafaad ka banda

hota hai

B- Duniya se shadeed mohabbat karne wala ,kamzoor kirdaar wala aur apne mafaad ka banda

hota hai

C- Duniya se be raghbat , kamzoor kirdaar wala aur apne mafaad ka banda hota hai

20- Marz se muraad yaha

A- Kufar ki bimari hai yaani Allah ,Rasool,Qiyamat ka inkaar karna

B- Nifaaq ki bimari hai yaani Hubbe Duniya

C- Qalbi bimari hai yaani hasad ,bughuz ,kina waghaira

21- Munafaqt kaha janum liya aur kyu

A- Makka me ta ke chup kar muslmano se faida uthaye aur samne kuffar se

B- Madina me kyu ke madina me muslmano ka urooj dekh kar apni hifazat ke liye imaan le aye

C- Dono jaga par adha janam liya kyu ke ye hamesha aisa hi hota aya hai

22- Shauri munafiq kise kahte hain

A- Inko pata hota tha ke wo munafaqt kar rahe hain aur aisa wo apne sardar ke hukum par Kar

rahe the

B- Inko pata hota tha ke wo munafaqt kar rahe hain aur jasoosi ya Mohammed SAW ke qatal

ke irade se mulmano ke saath rahe

C- Inko pata hota tha ke wo munafaqt kar rahe hain aur sirf baarai tafreeh aise karte the

Page 5: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

23- Ghair shauri munafiq kise kahte hain

A- Ghair shauri munafiq wo the jo Abdullah bin abi ke kaheney par bane the

B- Ghair shauri munafiq wo the jo musalmano ki mohabbet ki waja se islaam laaye the lekin dil

me imaan na tha

C- Ghair shauri munafiq wo the jo chahte the sab se bana kar rakho aur jhagda moul na lo

24- YUKHADIOUN ALLAH se muraad yaha

A- Allah ko dhuka dena hai kyun ke quran e paak mein yehi alfaz aye

B- Mohammed SAW ko dhuka dene se kyun ke Allah tala tu sab ka haal jaanney waley hain.

C- Dono ko dhuka dena hai

25- Munafiqeen ka marz iss liye badha kyun ke

A- Inko khud parwa na thi ke badhta hai tu badhey

B- Inke doustoun ka in par bahut zyaada asaar aur zoor tha iss liye bimari bhad gaayi

C- Jab marz ka pata hi na hu tu wo ilaaj na karne ki wajha se bhadta hai

26- Munafiqeen se dard naak azaab ka waada iss liye kia gaya kyun ke

A- Wo apne doughle pan aur chup kar musalmaan se dushmaani kar ke Allah tala ko zyaada

naraaz karte hain

B- Wo kafiroon ki bahut zyaada madad karte the

C- Wo apna zaaheri islaam ki waja se musalmaanou se bahut maali faida uthate aur islaam ki

dushmaani me qarch karte

27- YAKZIBOON se inka kiya jhoot muraad hai

A- Inka ye khena ke Allah tala hame baqsh deinge

B- Musalmaanou se khena ke hum tumari madad karienge

C- Zabaan se imaan ka dawa aur andar munafaqt hona

28- Mohammed SAW ne munafaqt ke kiya chaar nishaaniya baatayi

A- Jhoot bolna, wada qilaafi , fasaad , jhagadne par gaali galooj

B- Jhoot bolna , zulm karna , qayanat , jhagadne par gaali galooj

C- Jhoot bolna , wada qilaafi ,qayanat , jhagadne par gaali galooj

29- Zameen me fasaad se kiya maraad hai

A- Zameen par Allah tala ka hukum chalna chahiye, jo iske qilaaf kare tu ye fasaad hai

B- Mulkoun me jung barpa karna fasaad hai

C- Logo aur gharoun me ladai dalna fasaad hai

Page 6: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

30- Munafiq ko jab iski ghalthi batai jati hai tu

A- Galaam galooj karta hai

B- Apni ghalthi ko nahi manta

C- Dousthi ko khatum kardeta hai

31- Munafiq ko koun log bewaquf lagte hain

A- Jo ilm hasil karne ke liye apna din aur raat ek karde

B- Jo raatou ko qayam karte hain aur din me rozey rakhte hain

C- Jo tun , mun , dhun , me Allah tala ko razi karne ke liye iski itaat me laga de

32- Koi bhi ajkal musalmanou ke kirdaar ko dekh kar deen se doori ka bahana iss liye nahi

Karsakta kyun ke

A- Ab musalmaanou ke paas pahele ke ba nisbath maadi asbaab kaafi zyaada hochuke hain iss

liye deen se door nahi jana chahe

B- Mohammed SAW ke waqt bhi musalmaan mein har tarah ke log the lekin unki waja se sahaba

deen se door nahi huye

C- Musalmaan ab zyaada tedaad mein hain isliye usse ache amal par mazboot rahena chahiye

33- Mohammed SAW ne farmaya

A- Meri ummat ke akhri waqt me bahut zyaada manafiq honge

B- Munafiq jhannum ke sab se nichle darje me honge

C- Badd tareen shakz do ruqa insaan hai

D- Uper ke tamam jawab sahi hai

E- Upper ke tamam jawab ghalath hai

34- Dheel dene ka matlab hai ke

A- Insaan ki ghaltiyoun par sarzanish na karna aur chod dena ta ke wo aur nafarmaani kare

B- Insaan ki ghaltiyoun par pakkad na karna ta ke shayed wo palat aye

C- Insaan ki ghalthiyoun par chod diya jaaye ta ke wo Allah tala ki nematoun se faida utha kar

Allah ka shukar guzaar ban jaaye

35- Jis ko jitni dheel di jaati hai

A- Wo itna hi logo ko faida pahuchane wala hota hai

B- Wo itna Allah tala ki taraf palatne wala hota hai

C- Iski pakkad aur saza utni hi saqt hoti hai

Page 7: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

36- Ayat no 17 – 20 mein kiska zikar hai

A- Saqt munafiq aur saqt kufar karne wale

B- Kaafir aur munafiq

C- Kum aur zyaada darjje wale munafiq

37- Aag jalane wale se --------------- aur aag se --------------- muraad hai

A- Mohammed SAW , Noor

B- Mohammed SAW , Hidayat ki roshni

C- Sahaba , Hidayat ki roshni

38- Allah tala kin logo ka noor le lete hain yani hidayat ki toufeeq salab karlete hain

A- JO Allah tala ke noor se faida utha kar hidayat par nahi ata

B- Jo logo se bad aqlaqi se paish ata hai

C- Jo mohammed SAW ke waqt par imaan nahi laya

39- Zulmath se muraad

A- Har wo andhera jo chahe nazar ane wala ho chahe baatini

B- Ana , takkabur , duniya ki hawas ,shohurat ki hawas , jahalath gharz tamam aise andhere hain

C- Jis mein insaan khouf aur ghabrahat mahesoos kare

40- Baarish me kadak aur bijli waghera se kia muraad hain

A- Dushman e islaam

B- Mushkil ahkamat

C- Logo ki baatoun ka dar

41- Munafiq ko kafir isliye kaha gaya hai kyun ke ------------------

A- Asal me wo kaafir hi hota hai

B- Apne amal se kufar karta hai

C- Tashbeeh dene ke liye aisa kaha gaya

42- Munafiqoun ko kiya saqt tanbeeh ki gayi

A- Qareeb hai ke Allah tala inko duniya aur akhirat me ruswa kar de

B- Qareeb hai ke Allah tala inki hidayat ki salahiyat salb karle

C- Qareeb hai ke tamam logo me inki pole ko khul de

43- Allah tala ki ibaadat se ------------------- naseeb hota hai

A- Sokoon e qalb

B- Taqwa aur ilm

Page 8: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

C- Taqwa aur sakoon

44- ibaadat ussi ka haq hai jis ne

A- Paida kiya aur mout deta hai

B- Nemaate de aur duaen sunta hai

C- Paida kiya aur nemaate de

45- Allah tala insaan se -------------------- ka zikar iss liye kar rahe hain ta ke insaan ko Apni

mohabbat aur neghedaashat ke baare me samjha sake

A- Zameen aur asmaan ki nemaat

B- Buhook se bachao ki nemat

C- Apni nematoun

46- Moujaza kise kahte hain

A- Jo cheez insaan ko dimaaghi aur jismaani taur par aajiz karde

B- Jo cheez insaan ko aajiz karde

C- Quran e paak ko moujaza kahete hain

47- Quran e paak me kitni martaba iske muqabele me khuch banana ka challenge diya Gaya

A- 3

B- 4

C- 5

48- jhannumiyoun ke saath pathar dalne ki waja se ye hai ta ke

A- Jalte huye pathar inke jismou se lag kar aur takleef de

B- Wo botoun ki ibaadat par bahut zyaada hasraat aur ghum kare

C- Wo phataroun me dab kar takleef uthaye

49- Jannatioun ko milte julte phal kyu diye jayenge

A- Jannat ke phooloun ki Allah tala ne ye khususuyat banai hai ke wo milte julte honge

B- Jaani pahechani cheez khaane ka maaza zyaada ata hai iss liye aisa kiya jayega

C- Wo khud iski farmaish karinge

50- Challenge ka muqabala na kar sakne par kuffar ne kiya

A- Kuffar jame rahe aur takkabur kiya

B- Mukhalifat aur badhadi

C- Allah tala par aiterazaath shuruu kardiye

Page 9: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

51- Allah tala ki taraf se har nazil karda cheez par imaan waloun ka kiya rawaiya hota hai

A- Bahut khushiyan manana

B- Fouraan imaan lana

C- Fouraan logo tak Allah ka paighaam pahuchana

52- Allah tala --------------- ko gumrah karte hain

A- Aiterazaath karne waloun ko

B- Quran ko sacha na manne waloun ko

C- Na farmanou

53- Faasiq kise kahete hai

A- Allah ki itaath ki hadd ko paar karne wale

B- Fisq wa fajoor karne wale

C- Allah tala ki baat nasunne wale

54- yaha ahaad se muraad wo khamoosh ahaad bhi muraad hai ke iss ne hame paida kiya hain Tu

usiki karinge

A- True

B- False

55- Rasool Allah SAW ne farmaya qatah rahemi karne wala

A- Kabhi Jannat ki khushbu na payega

B- Kabhi douzaq se nijat na payega

C- Kabhi Jannat me na jayega

56- Tamam bunyadi baatoun ke baad Allah tala ne ayat no ------------------ me insaan koi ski mout

Ki tayyari ki yaad dehaani karwaraha hain

A- 20

B- 24

C- 28

57- HUWAL LAAZI QALAQALAKUM MAA FILARZII JAMIYAAN se hame

A- Allah tala ki taqleeq ki azmaath ka pata chalta hai

B- Allah tala ki apni maqlooq se intheha ki mohabbat ka pata chalta hai

C- Io pata chalta hai ke har cheez Allah ne banai

Page 10: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

58- Adaam ka waqaih Quran paak me kitni martaba aya

A- 5

B- 7

C- 9

59- Allah tala ne farishtoun se adaam ki taqleeq ka zikar iss liye kiya kyunke inko iss silsile me

Bahut kaam karne the

A- True

B- False

60- khaleefe ka matlab qayam muqaam hai

A- True

B- Faise

61- Insaan ko zameen par khaleefa iss liye banaya gaya ta ke

A- Wo Allah ki nematoun se faida utha kar shukar ada kare

B- Allah tala ke khanoon ko naafiz kare.Aur khud bhi itaath kare

C- Allah tala ki taqleeq ko dekh kar Allah tala ko pahechane

62- Jab kisi maqlooq ke paas ------------------- ho tu bahut mumkin hota hai ke wo fasaad kare

A- Taaqat aur ikhtiyaar

B- Aqal aur ikhtiyaar

C- Aqal aur ilm

63- Farishtoun ko bani adaam ke fasaad ka iss liye pata tha kyunke

A- Allah tala ne inko iss baat par agha kardiya tha

B- Insaanoun se pahele jinnath zameen par fasaad kar rahe the

C- Innoh ne adaam ki taqleeq ko dekh kar andaza laga liya tha

64- Farishtoun ki tasbeeh se muraad inka bahut tezi se zikar karna hai

A- True

B- False

65- Adaam ki taqleeq me kiya hikmat thi

A- Allah tala ne hamesha se aisi maqlooq ki taqleeq ka irada kar rakha tha iss liye adaam ko

banaya

Page 11: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

B- Allah tala aisi maqlooq banana chahte the jo taaqat aur ikhtiyaar ke bawjood apne aap ko

Allah ki ghulami me de

C- Jinnath chunke zameen par bahut zyaada fasaad karte the iss liye inki jagah Allah tala ne

dousri maqlooq abaad karna chate the

66- Farishtoun ke hote huye adaam ki taqleeq me kiya hikmat thi

A- Farishte Allah tala ki sifaat ko iss tarah nahi pahechan sakte jaise bani adaam pahechanta hai

jaise marna,zinda karna risq dena lena waghera

B- Farishte sirf ibadaat karte hai lekin wo lein dein ke mamilaat nahi karsakte jabke Allah tala ko

aisi maqlooq chahye thi jo lein dein ke bhi mamilaat kare

C- Allah tala aisi maqlooq banana chahte the jis ke paas saara ilm ho jabke farishtoun ko kum ilm

diya gaya tha

67- Adaam ko Allah tala ne

A- Deen aur duniya kai lm diya

B- Deen kai lm diya

C- Duniya kai lm diya

68- Taqdees ka matlab hai

A- Kisi ki tareef ke saath badai bayaan karna

B- SUBBUHUN QUDUSSUN RABBULMALAIKATHI WARROOHI phadna

C- Kisi ki bhadai ka iqrar karna

69- Deen naam hai

A- Deen aur duniya dono ko chalane ka

B- Deen ke saath thodi duniya chalane ka

C- Mukammil iksoyi se deen chalana

70- Allah tala ne insaan ko jo ilm seekhaya iss se kis ilm ki fazileith pata chalti hai

A- Deen ke khususan touheed ke ilm ki

B- Duniya ke

C- Deen aur duniya dono ke

71- Adam ko kis bartari ki wajah se farishto se sajda karwaya gaya ?

A- Ilm ki wajah se khusoosan allah tala ne unko jo ghaib ki chnad baatopar aagha Kiya tha.

B- ilm ki wajah se

C- apne haath se khud taqleeq karne ki wajah se

D- ooper ke 3 jawaaab sahi hai.

Page 12: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

72- Iblees ka naam iblees uski ………………… wajah se pada ?

A- Maayoosi aur takkabbur B- Maayoosi aur hasad C- Maayoosi aur jihaalat D- Ooper ke teeno jawaaab durust hai E- Ooper ke teeno jaqaab ghalat hai.

73- Iblees ki nafarmaani karne se humein kya sabakh milta hai ?

A- Ek naafarmani insaan ko kaha se kaha tak pahucha sakti hai.

B- Insaan apne aap ko maqaam aur mataba ke laalach se bachae kyuki yeh bahut zyaada qaraabiyo

ki jadd hai.

C- Neematey milne par apne andar aur aajzee laaee jaae takey aur neymatei badhey.

D- Ooper ke 3 jawaab durust hai.

E- Ooper ke 3 jawaab ghalat hai.

74- Allah (swt)ne phal khaney se mana karne ke bajae qareeb jaaney se mana kyu farmaya?

A- Insaan nasiyaan se hai jis se uska matlab hua bhoolne wala , isliye qareeb jaaney se mana kiya

taakey bhool kar kha na ley.

B- Daraqt ke qareeb qareeeb tak shaitaan ki rasaaee thi is liye qareeb jaane se mana kiya taakey

shaitaan bahkaakar naafarmaani naa karwadey.

C- Insaan bahut kamzore hai who jis cheez ke qareeb jaata hai us kaam mei padh jaata hai.

D- Ooper ke teeno jawaaab durust hai E- Ooper ke teeno jaqaab ghalat hai.

75- Naafarmaani karne ke baad Adam (AS) ne …………….Allah ke nazdeek bahut aala darja paaya…?

A- Aajzee , tauba aur sajdey mei girkar gidgidaaney se

B- Mohammad ke waseeley Allah se dua karne se

C- Tauba aur Astaghfaar karne se

D- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

E- Ooper ke teeno jawaab mukammil nahi hai .

76- Qauf kis gham o fikar ka naam hai?

A- Mustaghbil ki woh fikar jo usko zimmedaariyo se laaparwa kardey.

B- Mustaghbil ki woh fikar jo shaitaan ke waswasey se paida hoti hai.

C- Mustaghbil ka gham o fikar.

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai.

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

77- Huznn kis gham o fikar ka naam hai?

A- Maazi ka woh gham jo insaan ko andaar hi andar khokla kardeta hai.

B- Maazi ka who gham jo usko maal o aulaad ke hawaley se pahucha ho.

Page 13: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

C- Maazi ka gham

D- Ooper ke teeno jawaan ghalat hai

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

78- Pahle Juz ke kitne Ruku mei Bani Israel khitaab kiya gaya hai aur kitne Ruku me narmi ke saath

aur kitne Ruku mei daant ke saath?

A- 9 Ruku 1…Narmi ke saath aur 8 Ruku daant ke saath ..

B- 10 Ruku 1…Narmi ke saath aur 9 Ruku daant ke saath ..

C- 11 Ruku 1…Narmi ke saath aur 10 Ruku daant ke saath ..

D- Ooper ke Teeno jawaab ghalat hai.

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

79- Humein inke ahwaal ki qabar kyu dijaarahi hai ?

A- Taakey Musalmaano ko jo Mansab Yahood se lekar diya gaya hai to woh khud ko in kaamo se

bachaey jo yahood ne kiye.

B- Taakey jab yahood is kitaab ko padhey to shaayad who naseehat pakdey aur tauba karley .

C- Taakey jab Yahood musalmaano ke saath dushmani karey to musalmaano ko unka maazi pata

ho aur woh unki fitrat ko samjhey.

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai.

E- Ooper kek teeno jawaab durust hai.

80- …………………….. ki neeymat aisi neeymat hai jisse tamaam neeymatey asal neemat bantey hai ?

A- Ilm aur Hidaayat.

B- Aqal aur Ilm

C- Rushd aur hidaayat

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai.

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

81- Yaha ahed se who bhi ahed muraad hai jo saahebae shariat se itaa-at ka ahed liya jaata hai?

A- sahi

B- ghalat

82- Bani Israael ki Mohammad SAW ko Nabi na maan-ne ki kya wajah thi?

A- Hubbe Jahaan

B- Log fatwa lene unhi ke paas aatey thei agar yeh Mohammad ko Nabi maan letey to log unke

paas naa aatey.

C- Un ka tamaam Nabi apne nasal mei aaney ka zaum toot jaata.

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

83- Bani Israail ko Allah taala ne apne aap se darne ki bahut taakeed kyu ki?

A- Kyu ke Allah (SWT)ke darr ke saath hi woh apne aap ko neeche kar sakte thei aur tabhi unki

badaai ka zaum qatam ho sakta tha.

B- Kyu ke Allah (SWT) ke darr ke saath hi woh logo ke darr se nikal sakte thei.

Page 14: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

C- Insaan ek waqt mei kisi ek se hi darr sakta hai isliye taakeed ki gayi ke sirf mujhse daro.

D- Ooper ke 3 jawaab ghalat hai .

E- Ooper ke 3 jawaab durust hai.

84- AAyaat ke badle ‘iwaz ‘na lene ka hukm is ummat ke liye bhi hai ?

A- Sahi

B- Ghalat

85- Namaaz baa jamaat ada karna ……………….hai?

A- bahut ajar ki cheez

B- Hidayat ke tareeqo mei se

C- Sunnat

86- Ruku karne waalo ke saath ruku karne ka hukm dekar ………

A- Ruku ki ahmiat ko waazey kiya gaya hai..

B- jamaat ke saath namaaz padhne ki ahmiat bataee gayi hai.

C- Yeh bataya gaya hai ke ruku namaaz ka sabse ahem rukan hai .

D- Ooper ke 3 jawaan ghalat hai.

E- Ooper ke 3 jawaab durust hai.

87- ‘Amar bil maroof wa nahi anil munkar’ ka sahi tareeqa yeh hai ke insaan pahle khud amal karna

shuru karey aur phir doosro ko talqeen karey warna uske liye yeh baat qayamat ke din saza ka

baa-is ban jaegi ?

A- Sahi

B- ghalat

88- Agar Ilm par amal na ho raha ho to Ilm haasil karne mei waqfa karey aur amal par mahnath

karke wapas Ilm haasil karne par juth jaaey ?

A- Sahi

B- Ghalat

89- Sabr aur Namaaz ke saath madad maangne ke liye kyu kaha gaya hai ?

A- Taakey sabar karke aur namaaz padhkar insaan aala darjaat haasil kar sakey.

B- Deen ke raastey ki mushkilaat ka muqaabla karne ki liye.

C- Kyuki sabr aur namaaz deen ki sabse ahem cheezey hai.

D- Ooper ke 3 jawaab durust hai.

90- Qushu ko kis tarah haasil kiya ja sakta hai?

A- Namaaz mei bahut zyaada aah wa zaari karke.

B- Sunnat ki tamaam cheezo ko apnaa kar

C- Aaqirat ko har waqt yaad rakhkar.

Page 15: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

91- Is Ummat se pahle Bani Israel ki tarah sirf………………..ko bahut zyaada neeymatein ataa ki gayi

?

A- Isa (AS) ki Ummat ko..

B- Suleimaan (AS) ki Ummat ko..

C- Zakariya (AS) ki Ummat ko.

D- Ooper ke teeno jawaan ghalat hai.

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

92- Bani Israel ki bigaad ki wajah………

A- Unka Allah ki neeymatien milne par naashukri karna tha.

B- Unka Aaqirat ka aqeeda kamzore hojaana tha.

C- Saarey Jaadugar ka logo ki sonch kharaab karna tha.

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai.

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

93- Bani Israel ko zillat amez azaab mei se isliye guzarna pada kyuki…?

A- Unke paas Nabi ki qiyadat nahi thi aur jo Nabi Moosa(AS) aae to unhone unko usmei se nikaala

.

B- Unke aamaal bahut bigad chukey thei aur unhone Nabiyo ki taalimaat ko bilkul bhula diya hua

tha..

C- Us waqt ka baadshah bahut zaalim tha .

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai.

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

94- Bani Israel ne……………….zillat aamez azaab ki takleef uthaee ?

A- 200 saal

B- 400 saal

C- 600 saal

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai .

95- Moosa (AS) ko kitaab milne se pahle ………………rozey rakhne ka hukm hua aur Isa (AS) ko

…………………….rozey rakhne ka hukm hua ?

A- 30, 40

B- 20, 40

C- 40, bhi 40

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai

96- Bachdey ki ibaadat karne waaley kitne mard maarey gaye aur kisne unhe maara?

A- 4000 mard aur unko unke apne qabeeley walo ne maara.

Page 16: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

1- Surah baqra Quran

A- Ka dil hai

B- Ki kohaan hai

C- Ki choti hai

2- Jo din me surah baqra phadta hai tu

A- Do din tak shaitan uss ghar me dakhil nahi hosakta

B- Teen din tak shaitan uss ghar me dakhil nahi hosakta

C- Haftey tak shaitan uss ghar me dakhil nahi hosakta

3- Surah baqra aur surah al-Imraan apne phadne walo ke liye

A- Qayamat ke din saibaan banegi aur sifarish karegi

B- Qabar ka saathi banegi aur roshni karegi

C- Mouth ke waqt madad gaar hogi

4- ALIF-LAAM- MEEM ke baare me sahi rai yahi hai ke

A- Iska matlab sirf nabi ko pata hai

B- Ager chahe tu matlab talaash karsakte hain

C- Ye Allah tala ka secrete me se hai iske pheeche nahi padsakte

5- Ayat 1-5 me kin logo ka zikar kiya gaaya hai

A- Mulmano ka

B- Muttaqeen ka

C- Munafiqeen ka

6- Iss kitaab ke nazil karne ka kiya maqsad bataya gaya hai

A- Barkat

B- Ajer

C- Hidayat

7- Taqwa ka matlab hai

A- Allah tala ka kahena manna

B- Allah tala ki narazgi ke darr se khud ko gunnaho se bachana

C- Allah tala ki kitaab ko achi tarah samajhna

8- Imaan ka kia matlab hai

A- Ye kalma phadkar deen me dakhil hone ka naam hai

Page 17: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

B- 4000 mard aur unko amr bin maaroof karne waalo ne maara.

C- 5000 mard aur unko unke qabeeley waalo ne maara.

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai.

E- Ooper ke teeno jawaan durust hai.

97- Allah taala ne Bani Israel ko bahut neeymatien kyu di?

A- Unke sabr ki wajah se.

B- Moosa(AS) ke Allah (SWT) se maangne ki wajah se.

C- Ooper ke dono jawaab durust hai.

98- Bani Israel ne Allah(SWT) ki taraf se ataa karda neeymatein ki jagah par puraani cheezo ka

mutaaliba kyu kiya?

A- Isliye kyu ki who apna waqt ibaadaaat waghaira ki jagah duniya wi dhando mei lagana chahtey

thei.

B- Ghulaamaana zaheniath ki wajah se.

C- laalach ki wajah se.

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai.

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

99- Bani Israel ka amal Nabiyo ko qatal karne tak kaise pahuncha jab ke who kitaab jaanne waaley

thei?

A- Qatal woh log karte thei jinko ilm nahi hota tha.

B- Ilm ke bawajood amal naa karke woh behiss ho chukey thei.

C- Ek Nabi ka maanne wala ta-assub ki wajah se doosre Nabi ko qatal karta.

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai.

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

100- Bani Israel ek din mei ………………Nabiyo ko qatal karte thei?

A- 100

B- 200

C- 300

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai.

101- Kya Aayat 62 se yeh daleel dena theek hai,ke jo Yahoodi aur Nasraani bhi Allah aur aaqirat ke

din par imaan ley aaega woh kaamayaab hai?

A- True

B- False

102- Bani Israel par Kohe –Toor kyu buland kiya gaya tha?

A- Unmei be hayaaee bahut aam ho gayi thi aur jis qaum mei be hayaaee aajae woh uski tabaahi

ka baais banta hai.

Page 18: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

B- Pichli Aayat mei bataee gayi baat par imaan na rakhnae ki wajah se jo Allah aur aaqirat par imaan le-aaega woh kaamyaab hai.

C- Unki badd amaaliyo aur kitaab ko chod dene ki wajah se . D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai. E- Ooprt ke teeno jawaab durust hai .

103- Meesaaq kis ahed ko kahte hai ? A- Bahut zyaada pukhta ahed ko. B- Woh ahed jismei dono fareeqo ko pata hota hai ke hum kya waada kar rahe hai. C- woh ahed jo sharait ke saath hota hai aur bahut mazbooti se kiya jae.

104- ‘Khuzu maa Aatainaakum biquwwatin’ se kya muraad hai? A- Ilm kyu ke sirf unke Ulamah tak mahdood tha ,to us baat ki taakeed ki jaa rahi

a. hai, ke sab usko acchi tarah samjhe aur sikhae. b. Kitaab ke zyaadatar asal sauhifae chupakar ,tahreef shuda kitaab aam thi to

B- uski taraf ishaara hai ke asal kitaab ko mazbooti se pakdho. C- yaani is kitaab par amal karo. D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai. E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

105- Amal ke aitebaar se aaj ke musalmano ka maamla apni kitaab ke saath………………………...? A- Bani Israel jaisa hai. B- Bani Israel se thoda sa mukhtalif hai . C- Bani Israel se bilkul mukhtalif hai. D- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

106- Sabt waalo ka waqia…………………..ki basti mei hua? A- Oor (Shyaam ki basti) B- Ilaa C- Azmeer D- Ooper ke teeno jawaab durust nahi hai.

107- Sabt waalo ki basti mei logo ke 3 giroh thei aur azaab………….? A- 1 giroh par aaya. B- 2 giroho par aaya. C- 3 giroho par aaya.

108- In tamaam waqiat mei ” Tum” ka seegha kyu istemaal kiya gaya? A- Kyuke yeh Quran ka asloob hai. B- Kyuke is waqt ke yahood se ki gayi baat ko bayaan kiya jaa raha hai. C- Kyuki Yahood abhi tak apne aap ko puraaney logo ke tareeqey par maantey thei. D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai.

109- “ Nakaala” aur “Mauizata” mei kya farq hai?

A- Nakaala aisi samjhaaney ki baat hai jo kisi naa samajh ko samjhaney ke liye ho aur Mauizata

aisi samjhaney ki baat ko kisi samajhdaar ko samajhaney ke liye ho.

Page 19: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

B- Mauizata aisi samjhaaney ki baat hai jo kisi naa samajh ko samjhaney ke liye ho aur Nakala aisi

samjhaney ki baat ko kisi samajhdaar ko samajhaney ke liye ho.

C- Mauizata woh naseehat jo dil par asar karney waali ho aur Nakaala woh baat jo sarsari baat

ko samjhane ke liye ho.

D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai.

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

110- “Ashaabey sabt” ke burae amal se hamein kya sabaq milta hai?

A- Allah (SWT) ne jo waqt ibaadat ke liye muqarrar kiya hai ismei duniya wi kaamo ki taraf dhiyaan

nahi karna chahiye.

B- Ashaabe sabt ne jis tarah bahaney se kaam aur kaarobaar ko mana kiye jaaney ki din jaari rakha

is tarah ke heeley bahaano se bacha jaae.

C- Ashaabe sabt ne mana karne waalo ka kaha nahi maana is amal se bacha jaae.

D- Ooper ke teeno jawaab ghalt hai.

E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

111- Allah (SWT) jin aamaal se nafrat hai ismei …………..karna?

A- Heela saazi karna

B- Bahut zyaada sawaal karna.

C- Hukm maanne mei dare karna .

D- Ooper ke teeno jawaab

112- Kasrat sawaal ki zaroorat insaan ko kyu pesh aati hai?

A- Ilm seekhne ke liye. B- Heela saazi ke liye. C- Waqt kaatne ke liye. D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai . E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

113- Doosro se dua karne ke liye kahna kaisa amal hai?

A- Bahut mustahib amal hai Mohammad (SAW) is amal ko bahut pasand farmaatey thei isliye Sahaba inse dua ki darqast karte thei.

B- Kabhi kabhi doosro se dua ki darkhast karne mei koi harj nahi lekin dua khud maangna chahiye. C- Burey insaan ki dua Allah (SWT) qubool nahi karte isliye usko doosro se dua ki darkhast karni

chahiye. D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai. E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

114- Murdey ko zinda kar dene ke waqia mei kya hikmat thi?

A- Taakey Bani Israel ki naafarmaani ka mizaaj khulkar sab ke saamne aajae isi liye iske baad unke dil saqt ho gaye.

B- Aaqirat par imaan ka sabaq. C- Baatil ka raaz faash karna . D- Ooper ke teeno jawaab ghalt hai. E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

Page 20: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

115- Bani Israel ke dil kyu saqt hogaye?

A- Gai(cow)ki qurbani karne mei pas o pesh karne aur kasratey sawaal ki wajah se. B- Allah ki naafarmaaniyo ki wajah se . C- Nabiyo ke kasratei qatal ki wajah se. D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai.

116- Pahle pathar jisse paano photo padhta hai usse kaisa dil muraad hai?

A- Insaano ke liye narmi aur dard se bhara dil . B- Khair se bhara dil. C- Aaqirat ke khauf se bhara dil. D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai . E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

117- Dil ke saqt hone se kya muraad hai?

A- Dil ka behiss hona. B- Dil par haadsaath ka asar na hona. C- Dil ka neki se bhaagna. D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai. E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

118- Saqq hone waaley pathar se kaun sa dil muraad hai?

A- Allah ke qauf se shaqq hone waala dil. B- Aaqirat ke qauf se shaqq hone waala dil. C- Haadsaath se shaqq hone waala dil. D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai. E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

119- Dil ki saqti ka kya ilaaj hai?

A- Mohammad (SAW) ne is ke ilaaj ke liye kasrat e tilawat ki talqeen ki hai. B- Acchi sohbat . C- Rozey rakhna . D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai. E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

120- Dil ki saqti ki kya alaamat hai?

A- Khushk aankhein , Hirs aur lambi ummeedey. B- Hirs, Lambi ummedey aur shohrat ki laalach. C- Duniya ki hirs, khushk aankhein aur shohrat ki laalach.

121- Musalmaan kiske imaan ki tama rakhtey thei?

A- Quraish ke imaan ki , Mohammad (SAW) ki mohabbat ki wajah se. B- Madina ke rahne waalo ki imaan ki . C- Ahle kitaab ke imaan ki .

Page 21: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

122- Tahreef ka kya matlab hai?

A- Yeh harf se hai yaani haroof ke baney lafz ko badal dena . B- Maane ko badal dena. C- Lafz , maane ya hukm ko badal dena.

123- Yahood Musalmaano ko aakar kya baat kahte thei?

A- Woh apni Tareeq ke tamaam burey waqiat aakar musalmaano ko sunaate. B- Woh inko bataatey ke hamarey ulama jaantey hai ke who haqq par nahi hai. C- Woh kahtey thei ki hamarei paas Nabi ke baarey mei likha hua hai. D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai . E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

124- Yahood ka amal to bahut accha na tha magar samajh bahut acchi thi?

A- Sahi B- Ghalat.

125- Kin logo ko anpad kaha gaya hai?

A- Woh log jinko deen ka ilm tha lekin duniya ka ilm na tha. B- Woh jinko deen ka ilm na tha. C- Woh jinko deen ka ilm tha magar iski samajh na thi. D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai. E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

126- “ Ammaniy” ka kya matlab hai ?

A- Ilm ke hotey hue gumaan par chalna B- Baghair daleel ke gumaan. C- Khwaahishaath D- Ooper ke teeno jawaab ghalat hai. E- Ooper ke teeno jawaab durust hai.

127- Aaj ka musalmaan Quran kyu nahi seekhna chahta?

A- Duniya ke ilm mei masroof honey ki wajah se. B- Deen ki ilm ki ahmiat na honey ki wajah se. C- Badalna nahi chahtey iswaastey. D- Ooper ke teeno jawaab Ghalat hai.

Page 22: Surah Baqra eng 1-127arrahma.org/af/surah_al_baqarah(e).pdfE- Oo per ke dono jawab ghalat hai 13 -

128-

`