now ::: tafseer ~ juzz 25 ~ surah ash shuraa ~ aayah 1 ... · pdf filejo pehlay se koi raey...

10
Nazimah24_SP: ~*~*~* Now ::: Tafseer ~ Juzz 25 ~ Surah Ash Shuraa ~ Aayah 1 Onwards *~*~* Nazimah24_SP: Tarteeb: 42th , Shurah lafz ayah 38 mai... Nazimah24_SP: Shurah meaning: mashwara . Arabic mai Mashura kehtay hain Nazimah24_SP: Surah Haa meem sajdah mai jo topic tha uska ikhtatam is surah mai... Nazimah24_SP: Huzur saw ki mukhalfat kuffar e makka ki taraf se. Log apnay baap dada ke deen ko bachana apna ikhlaqi farz samajhtey aur Aap saw ki mukhalfat apna farz.. Nazimah24_SP: Kuffar ko darr tha ke unki riwayaat khatam hojaeingi Nazimah24_SP: Pehli surah jis mai pehli ayat mai 2 huroof e muqata’at.. Surah e maryam mai kafi lamba Huroof e muqata’at they.. Nazimah24_SP: Waahid Surah jis me 1st 2 aayah - Huroof e Muqattiaat Nazimah24_SP: isme wahi ki bahutt baat ki gai Nazimah24_SP: Is surah ka shru bhi wahi se aur akhir bhi wahi ke topic se ... Surah ke beech mai shariat ke bunyadi qawaneen.. Nazimah24_SP: Kuffaar ke pas koi waja nai thi aap saw ki mukhalfat kernay ki. Aap saw ki dawat mai koi nuks nai, aap saw ikhlaq aala. Nazimah24_SP: Jo pehlay se koi raey leker atey hain who apnay tareekay se us baat ko letey hain, Jo manta hai uski khushi, jo nai manay uski marzi Nazimah24_SP: Magar Nabi saw ki baat Allah ki baat hai, agar maan lo gay to Allah ki madad ayegi, Islam ki pehli eent - " Allah ki tauheed " Nazimah24_SP: Ye Surah non muslims ke saamne pesh kar sakte he.. Nazimah24_SP: Is me pura "Ilsaam A to Z he.. " Nazimah24_SP: Har daur ke deen ka base bilkul same he.. *** Nazimah24_SP: Is surah ki teesri cheez ke Anbiya Allah ka paigam paunchanay atey hain nakay apni tariff kerwanay ya koi aur maqsad se Nazimah24_SP: koi bhi nabi self praising nahi they... Nazimah24_SP: nabi ne logo ko apni zaat se nahi, Allah ki zaat se JODA... Nazimah24_SP: Islaam ka maqsad kabhi nai badla, chote mote changes as per time hote rahe the... Nazimah24_SP: Zamana guzar jata hai magar bunyadi ayyeen nai badalta Nazimah24_SP: Farishte, wahi ka nusool, qaainaat ke dusre kaam isme bahutt paaye jaate he.. Nazimah24_SP: Aayah 1 & 2 Nazimah24_SP: Huroof e muqata’at.. Haa, meem, ain, seen , qaaf Nazimah24_SP: Sirf Allah ko matlab maalum hai ... In ko parhein to raub ata hai Nazimah24_SP: Mecca waalo ko soch pe majboor - Ye nabi kya baat kar rahe he, kya hamaare baap dada ki rasme Jhooti he ?? kaha haa he, agar he to sirf ye 5 Words ka meaning bataa do.. Nazimah24_SP: Quran ki launguage samajh ne ke liye jo dictionary vo Nabi SAW he.. Nazimah24_SP: Aayah 3 Nazimah24_SP: Kazalika: Kis tarah (haan aisay hi hoga)

Upload: buidat

Post on 06-Mar-2018

256 views

Category:

Documents


9 download

TRANSCRIPT

Page 1: Now ::: Tafseer ~ Juzz 25 ~ Surah Ash Shuraa ~ Aayah 1 ... · PDF fileJo pehlay se koi raey leker atey hain who apnay tareekay se us baat ko letey hain, Jo manta hai uski khushi, jo

Nazimah24_SP: ~*~*~* Now ::: Tafseer ~ Juzz 25 ~ Surah Ash Shuraa ~ Aayah 1 Onwards *~*~*

Nazimah24_SP: Tarteeb: 42th , Shurah lafz ayah 38 mai... Nazimah24_SP: Shurah meaning: mashwara . Arabic mai Mashura kehtay hain

Nazimah24_SP: Surah Haa meem sajdah mai jo topic tha uska ikhtatam is surah mai...

Nazimah24_SP: Huzur saw ki mukhalfat kuffar e makka ki taraf se. Log apnay baap dada ke deen ko bachana apna ikhlaqi farz samajhtey aur Aap saw ki mukhalfat apna farz..

Nazimah24_SP: Kuffar ko darr tha ke unki riwayaat khatam hojaeingi Nazimah24_SP: Pehli surah jis mai pehli ayat mai 2 huroof e muqata’at.. Surah e

maryam mai kafi lamba Huroof e muqata’at they.. Nazimah24_SP: Waahid Surah jis me 1st 2 aayah - Huroof e Muqattiaat Nazimah24_SP: isme wahi ki bahutt baat ki gai

Nazimah24_SP: Is surah ka shru bhi wahi se aur akhir bhi wahi ke topic se ... Surah ke beech mai shariat ke bunyadi qawaneen..

Nazimah24_SP: Kuffaar ke pas koi waja nai thi aap saw ki mukhalfat kernay ki. Aap saw ki dawat mai koi nuks nai, aap saw ikhlaq aala.

Nazimah24_SP: Jo pehlay se koi raey leker atey hain who apnay tareekay se us baat ko letey hain, Jo manta hai uski khushi, jo nai manay uski marzi Nazimah24_SP: Magar Nabi saw ki baat Allah ki baat hai, agar maan lo gay to

Allah ki madad ayegi, Islam ki pehli eent - " Allah ki tauheed " Nazimah24_SP: Ye Surah non muslims ke saamne pesh kar sakte he..

Nazimah24_SP: Is me pura "Ilsaam A to Z he.. " Nazimah24_SP: Har daur ke deen ka base bilkul same he.. ***

Nazimah24_SP: Is surah ki teesri cheez ke Anbiya Allah ka paigam paunchanay atey hain nakay apni tariff kerwanay ya koi aur maqsad se Nazimah24_SP: koi bhi nabi self praising nahi they...

Nazimah24_SP: nabi ne logo ko apni zaat se nahi, Allah ki zaat se JODA... Nazimah24_SP: Islaam ka maqsad kabhi nai badla, chote mote changes as per

time hote rahe the... Nazimah24_SP: Zamana guzar jata hai magar bunyadi ayyeen nai badalta

Nazimah24_SP: Farishte, wahi ka nusool, qaainaat ke dusre kaam isme bahutt paaye jaate he.. Nazimah24_SP: Aayah 1 & 2

Nazimah24_SP: Huroof e muqata’at.. Haa, meem, ain, seen , qaaf Nazimah24_SP: Sirf Allah ko matlab maalum hai ... In ko parhein to raub ata hai

Nazimah24_SP: Mecca waalo ko soch pe majboor - Ye nabi kya baat kar rahe he, kya hamaare baap dada ki rasme Jhooti he ?? kaha haa he, agar he to sirf ye 5 Words ka meaning bataa do..

Nazimah24_SP: Quran ki launguage samajh ne ke liye jo dictionary vo Nabi SAW he..

Nazimah24_SP: Aayah 3 Nazimah24_SP: Kazalika: Kis tarah (haan aisay hi hoga)

Page 2: Now ::: Tafseer ~ Juzz 25 ~ Surah Ash Shuraa ~ Aayah 1 ... · PDF fileJo pehlay se koi raey leker atey hain who apnay tareekay se us baat ko letey hain, Jo manta hai uski khushi, jo

Nazimah24_SP: nabi ka silsila shuru se chal raha he, koi abhi naya naya nai shuru hua...

Nazimah24_SP: Jo Allah ka paigam lata hai usko Nabi kaha jata hai Nazimah24_SP: wahi = Urdu me & Waahya - Arbi me

Nazimah24_SP: woow Haa yaa Nazimah24_SP: Wahi: dictionary meaning: Aisa ishara jo makhfi taur se kia jaye,

aur pata na chalay kis ne kia hai Nazimah24_SP: Istalahi meaning: Hidayat Nazimah24_SP: Islami meaning: Allah ki taraf se Nabi ko paigam

Nazimah24_SP: Isi Tarah Allah ne wahi ki Aap saw ki taraf jis tarah pichley nabiyon ko ki

Nazimah24_SP: Sahih Bukhari mai rivayat ‘Ek Sahabi rz ne Aap saw se pucha ke Aap saw per jab wahi ati hai to kaisi kaifiat hoti hai? Aap saw ne farmaya “ kabhi to ghantiyon ki tarah awaz ati hai, aur ye sub se ziyada sakht ye

kaifiyat hoti hai phir jo baat meray dil mai utarti hai who mujhey yaad hojati hai, aur kabhi farishta insan ki shakal mai ata hai aur jo woh mujh se kehta

hai mai yaad kerleta hoon”’ Nazimah24_SP: Hazrat Aisha rz farmati hain ke “aap rz ne Aap saw ki ye kaifiat

sakht sardi mai dekhi jab wahi utar chukti to Aap saw pasinay se sharabur aur Aap saw ki peshani se pasinay ke tipkay behtay”.. Nazimah24_SP: Ye kitab koi choti cheez nai

Nazimah24_SP: jitna isteqaamat - utna ye wahi ka paigham dil pe utrega... Nazimah24_SP: Wahi ka hamil dil hai, jitna dil mazbut hoga, khushbu daar hoga,

istaqamat hogi to wahi ka nor dil per utray ga... Nazimah24_SP: Wahi samajh nai aati - Jiss ke dil me tassub ka parda..

Nazimah24_SP: agar ham chahte he ke wahi ko mehsoos kare - to khud ke dil ko "HIdaayat pe jamaana padega.. " Nazimah24_SP: Eg : kis ke upar zyaada bojh laad sakte he, jis me zyaada taaqat

hoti he, unko heavy duty banaaya hi isliye jaata he ke vo wazan uthaa le... issi tarah "Wahi ka haamil DIL He.. - jis ne dil ko mazboot kar liya isteqaamat

ke saath to bas vo jam jaaega.." Nazimah24_SP: agar ham chaahe - wahi ka noor hamaare dil pe utre =

"Isteqaamat Deed Deen" Nazimah24_SP: Wahi ke noor ki khwaahish honi chaahiye, tadap bhi honi chaahie hama - TIP

Nazimah24_SP: Al Azeezil hakeem - pataa he ye kitna badaa kalaam he, ye jis zaat ka he uska kingdom kitna badaa he ???

Nazimah24_SP: Aayah 4 Nazimah24_SP: bulandi & pasti me sab kuch uska to kya phir haqq banta he ke kisi or ke mutaabik life guzaare ??? - Self Check

Nazimah24_SP: Jo kuch aasmanon aur zameen mai hai sub uski malkiat hai Nazimah24_SP: kya hemiyat ka ehsaas he - ye Kalaam aaya - Al Azeezil hakeem ki

taraf se ..

Page 3: Now ::: Tafseer ~ Juzz 25 ~ Surah Ash Shuraa ~ Aayah 1 ... · PDF fileJo pehlay se koi raey leker atey hain who apnay tareekay se us baat ko letey hain, Jo manta hai uski khushi, jo

Nazimah24_SP: Quraan ke baad koi - bakheel, keena dil me, makhlooq ko khaaliq se badaa nahi samajhta

Nazimah24_SP: Allah swt itne pyaare tarike se paighaam bheja jitne pyaar se usne kaainaat banaai

Nazimah24_SP: Wether ko dekhe - Har season achi he/Khoobsurat he.. Allah hu Akbar Kabeera...!!!

Nazimah24_SP: Allah ne zameen ko aisa banaaya ke ispe har cheez suite karti he.. Nazimah24_SP: jisne itni pyaari qainaat banaai - to kya vo Quran ko ikhtilaaf waala banaaega a??? ye to ho hi nahi sakta... har surah har aaya Al Azeez ka

kalaam he.. Nazimah24_SP: Woh bulund o bartar hai, Azeem hai.. Aur insan ko bhi bulund

kirdar banana chahta hai... Nazimah24_SP: Allah ka jo kalaam he - iske natije me aasmaan gir pade - ye bilkul kareeb he..

Nazimah24_SP: Aayah 5 Nazimah24_SP: Yatafattarna: Faa, Toy, Raa: chirna, phatna

Nazimah24_SP: Allah ka itna raub o dabdaba hai, farishto ka itna bojh ke qareeb hai ke aasmaan phat parey..

Nazimah24_SP: insaan ka kya kaam - Allah ki har baat, takdeer Kainaat, kitaab pe raazi, but jab adii karta to Allah raghbat dilaate he - Ghor kiya - kis ka kalaam he.. ???

Nazimah24_SP: Logo ko is kalam ki qadr ho ya nai ye kalaam buhat roshan hai.. Aasmanon ko dekh ker lagta hai ke ye kitnay 100 saal purana hai?

Nazimah24_SP: jis waqt me ye naazil hua - Allah swt ne kaha tumhe qadar ho naa ho - Allah ko itni qadar he ke aasmaan hi phat ke gir pade..!!

Nazimah24_SP: jis din Allah swt ne aasmaan banaaya tab se aaj tak kya hame pataa chalta he ke ye ppuraana he ??? Nazimah24_SP: Kapray ghar cheezein puranay hojatey hai magar qudrat ke

nazaray kabhi puranay nai hotay... Nazimah24_SP: "Kia phir ye Quran kabhi purana hosakta hai?"

Nazimah24_SP: har cheez qainaat me mukammil he to kya ye Quraan mukammil nahi ??? fir kyu ye puraani kitaab lagti he ???

Nazimah24_SP: Farishtey itna dartey hain ke apnay parwardigar ki taarif ke sath iski tasbih kertey rehtey hain .. Farishtay bhi Allah ko nahi dekh saktey... Nazimah24_SP: imaan ka talluk ghaib ke saath he..

Nazimah24_SP: Allah ko jab farihton ko hokum dena hota hai to ek gargarahat ki awaz ati hai jis se qareeb ke farishtay behosh hojatey hain. Phir jo door ke

farishtey hotey hain kuch hosh mai aker ek dusray se confirm kertey hain ke Allah ka kia hokum aya.. Nazimah24_SP: Self Check : hamaara kya haal hota he Quraan padh ke, Rules

padh ke ?? hamaare dil phat te he ??? Nazimah24_SP: Humara dil Allah ke hokum ke darr se kyon nai phattha?

Nazimah24_SP: Farishtey duniya ki makhlooq keliye magfirat mangtey rehtey hain Nazimah24_SP: Surah Momin - 7

Page 4: Now ::: Tafseer ~ Juzz 25 ~ Surah Ash Shuraa ~ Aayah 1 ... · PDF fileJo pehlay se koi raey leker atey hain who apnay tareekay se us baat ko letey hain, Jo manta hai uski khushi, jo

Nazimah24_SP: farishto tasbeeh & dua karte he.. Nazimah24_SP: Allah bakhshnay wala hai mehrbaan hai..

Nazimah24_SP: Kya Allah ki hamd pooch ke karne waali cheez he ??? Hamd, zikr kya ye Farz he - ham amal gin ke karte he = sochne waali baat he, "Jab kisi

se muhabbat to dil or lips kya baat rehti he"... Nazimah24_SP: Imaan & zikr saath saath chalta he..

Nazimah24_SP: banda e momin ki dhadkan - kehti he "laa ilaaha illal laa".. Nazimah24_SP: Aayah 6 Nazimah24_SP: Do baatein: Allah ko chor ker 1.kisi aur ko wali banana ( aulia

,wali ki jama: dost, karsaz) 2. Kisi aur ko nigran banana, kisi aur se madad mangna

Nazimah24_SP: Mushrikon ne Allah ke siwa, buton ko, walion ko, peeron ko apna nigran aur karsaz ban alia, aaj ke muslims ne waliyo ke saath kadiya jod li he..

Nazimah24_SP: Shirk ki har ek zadd jo amaal naame me lagti he, ALlah usko qayaamat ke din khol ke rakhega...

Nazimah24_SP: Inkay ek karor se ziyada but hain.. Allah in ke sub kaamon ko jaanta hai.. !!!!

Nazimah24_SP: Butt bande ko Allah ki taraf aane se rok lete he..!!! Nazimah24_SP: nabi pe sab se pehla ilzaam - Ek rabb ki daawat kyu ?? wali ko kyu nai maante.. ??? jawaab he - wali ko maante he but wali ki hesiyat pe, Allah

ke mukaable me nahi, Allah ke saath nahoi.. Nazimah24_SP: Inko sub se ziyada ye na pasand tha ke Nabi saw ne ek khuda ki

dawat kyon di Nazimah24_SP: Aap saw in per wakeel nai, aap saw chor dein in ko.. Aap saw ko

buhat gum tha ke ye eemaan nai latey .. Aap saw ko kaha jaraha hai gum na kerein.. Nazimah24_SP: tadap banda e momin se kaam karvaati he..

Nazimah24_SP: Aayah 7 Nazimah24_SP: Aap saw inko Allah ka paigam detey rahein, is kitab ke zariye inko

khabardar kertey rahein... aap gham naa kare.. lekin agar inhone apne dil se baatil ki muhabbat ko khatam naa kiya to faida kuch nai..

Nazimah24_SP: Inzaar: berwaqt khabardaar kerna, piyar se khabardaar kerna Nazimah24_SP: Ummal Qura - Mecca ka dusra naam.. Nazimah24_SP: Makka globe ka center hai, ye proof hai ke Islam Universal

religion hai... Nazimah24_SP: Wa man haulaha: ird gird ke diaray ,ilaqay

Nazimah24_SP: Ummul Qura - Mecca ka dusra naam, Bastiyo ki Maa.. Nazimah24_SP: Musnad Ahmed ki riwayat, ahsan darjay ki, Hazrat Addi bin Hamra rz se. Farmatay hain ke ‘mai ne Huzur saw se us waqt suna jab Aap saw

makka se hijrat farmarahey the aur Bazaar e Makka mukarama ke muqaam khazura per the. Aap saw ne Makka se khitab kia,(be jaan cheezon ko bhi

pukara jasakta hai) farmaya “ Ay Makkah tu mujhay Allah ki sub zameen se

Page 5: Now ::: Tafseer ~ Juzz 25 ~ Surah Ash Shuraa ~ Aayah 1 ... · PDF fileJo pehlay se koi raey leker atey hain who apnay tareekay se us baat ko letey hain, Jo manta hai uski khushi, jo

behter hai aur ziyada mehboob hai. Agar mujhey is zameen se nikala na jata to mai kabhi is zameen ko na chorta”’

Nazimah24_SP: Jamaa honay walay din: Qayamat ka din Nazimah24_SP: Surah Ale Imran mai Rasiku fil ilm ki ua mai Jaam’e un naas aya ..

Nazimah24_SP: Us din sirf do divisions hongi, jannat aur jahannum Nazimah24_SP: Self Check :: Kia main jannat walay aamaal kerahi hoon? Kia mai

100 % jannat mai jaaoongi ??? Nazimah24_SP: Agar chali gai to buch gayi, agar naa gai to kaha jaaugi ??? us ke ilawa Koi teesra rasta nai

Nazimah24_SP: Maut ko yaad karo... Nazimah24_SP: jaha deen ki baat aati he, ham hamaare ikhtilaafi khandaan ke

rivaazo ko pakad ke rakhte he…. Nazimah24_SP: Aayah 8 Nazimah24_SP: Agar Allah chahta to sub ko ek ummat wahid bana deta

Nazimah24_SP: Surah Baqra mai bhi ye ayat guzri: Pehley sub ek ummat the, phir ikhtalaf hue

Nazimah24_SP: Allah ne sub ko ek ummat yani muwahid banaya tha magar Allah ne insaan ko ikhtiyaar dia...

Nazimah24_SP: Dusri makhlooq bagair ikhtalaaf ke apna kaam kerahi hai. Allah ki ittaet kerahi hai. Lamha bher ki bhi nafarmani nai... Nazimah24_SP: Allah chahte to ham se Jabran manwaa lete - but Insaan ko Allah

ne ikhtiyaar diya... Nazimah24_SP: jitni itaa'at Allah ki qaainaat kar rahi he, agar inki itaa'at jabran

naa hogi to inke liye to jannat bhi kaafi nai thi... zarra baraabar bhi chu chaa nahi..

Nazimah24_SP: itni itaa'at ke baad bhi zameen kahaa jaaegi ??? inke paas hiss aur akhtiyar nahi he.. Nazimah24_SP: Itni ittaet ke baad bhi zameen aag mai jaaey gi, kyon ke zameen

ki koi his nai, koi iraada nai... Insaan ko his di gai. Ager woh apnay iraday se naiki kerta hai to uska sawab milta hai. Agar iraday se nafarmani ki to gunah

hoga.. Nazimah24_SP: Allah ki Rehmat: Allah ki di hui taufeeq..

Nazimah24_SP: Allah ki rehmat ke bagair koi naiki bhi nai kersakta/mumkin hi nahi.. Nazimah24_SP: duniya me asey guzre jaise - musaafir hu - talabgaar nahi..!!!

Nazimah24_SP: Zalim: Authority ka misuse kernay walay, nafarmani kernay walay...

Nazimah24_SP: Aayah 9 Nazimah24_SP: Allah ke siwa dusron ko karsaz bana detey ho Nazimah24_SP: Awlia: wali ki jama: 4 Meanings

Nazimah24_SP: 1. Jis ke kehnay per insaan chalay , Jis ki hidayaat per amal kerey, Jis ke muqarrar kie hue tariqon, rasmon, qawaneen aur zawabit ki pairwi

kerey (Surah Nisa 118-120) (Surah Aaraaf : 3 & 27-30)

Page 6: Now ::: Tafseer ~ Juzz 25 ~ Surah Ash Shuraa ~ Aayah 1 ... · PDF fileJo pehlay se koi raey leker atey hain who apnay tareekay se us baat ko letey hain, Jo manta hai uski khushi, jo

Nazimah24_SP: 2. Jis ki rehnumayi per insaan etmaad kerey aur ye samjhey ke ye ise galti se bachanay wala aur sahi rasta batanay wala hai (Surah Baqarah:

257) ( Bani Israel:97) (Kahf: 17 & 50) (Surah Jasiya:19) Nazimah24_SP: 3. Awlia ya wali ke maani mai: mai duniya mai kuch bhi keroon ye

mujhey uskey buray nataij se bacha lay ga (Surah Nisa:123 & 173 ) (Surah Al Anaam: 51) (Surah Ar Raad: 37) (Surah Al Ankaboot: 22) ( Surah Zumar:3)

(Al Ahzaab: 65) Nazimah24_SP: 4. Jis ke barey mai insaan ye gumaan rakhey ke woh meri ma fauqul fitrat meri madad kerta hai yani asbaab ko istamal kiye bagair who

meri madad kerey ga; hajat rawa , Maslan rozi, aula keliye ( Surah Hud: 20) (Surah Ar Raad: 16) (Al Ankaboot : 41)

Nazimah24_SP: Lafz Awlia her qism ke shirk ke peechey chupa hai... Nazimah24_SP: kya ham Allah ko auliya maan ke dusro ko chodte he ?? Nazimah24_SP: Allah ka haqq naa maan ke isntructions dusro se lete he ??

Nazimah24_SP: Aaj log peeron ko Allah se ziyada muskil kusha maantay hain... Allah hu Akbar Kabeera..!!!

Nazimah24_SP: Allah her cheez per qadir hai. Paker bhi sakta hai Nazimah24_SP: ~*~*~ Tilaawat Aayah 1 to 9 ~*~*~*

Nazimah24_SP: Aayah 10 Nazimah24_SP: Allah ne maamlaat ko Allah ki taraf daalnay ka hokum dia... Jab kisi baat per ikhtalaaf hojaey to Allah ki taraf palta do...

Nazimah24_SP: mukhaalifat fitrat ki cheez he - raat din me he.. ye jaaiz he Nazimah24_SP: jab mukhaalifat ikhtilaaf me badal jaaye to problem he..

Nazimah24_SP: Mukhalfat fitry cheez hai, magar jab mukhalfat ikhtalaaf mai badalta hai to masla hota hai

Nazimah24_SP: Allah ke 99 names me ek naam - "Al Haakim" bhi he.. Nazimah24_SP: jaise Allah maaliki yaumid deen he, waaise - Haakimud duniya bhi he..

Nazimah24_SP: hamesha ek hi criteria - baat kis ki sahi - "jo Hukmu Alallah pe he.."

Nazimah24_SP: Quran aur sunnat e Rasul saw ko criteria bana lo Nazimah24_SP: kisi se jhagadne, ikhtilaaf ki zaroorat nahi - bas sirf ek hi cheez ko

follow karo "Fahukmu ilalllah.. Allah se pooch lo.. " Nazimah24_SP: Surah Nisa 69: agar kisi baat per tanaza hojaey to palta do usey Allah ki taraf (Quran) ya sunnat se madad lo

Nazimah24_SP: tauheed ek aisa markas jo sab ko jod ke rakhta he.. Nazimah24_SP: agar tauheed me kamzori to buniyaad me kamzori.. hamaare har

gunaah me tauheed ki kami.. Nazimah24_SP: Nabi saw ne sahaaba se kaha - tumm me se jo jiyega vo ikhtilaaf dekhega, isme follow sirf Quran ko karna he..

Nazimah24_SP: jo ALlah ki rahmat se deen ki taraf aate he - inko mehnat nahi karni padti - haalat le aate he..

Nazimah24_SP: but kuch logo ko pehle mehnat karni padti he, phir Allah unko chunta he..

Page 7: Now ::: Tafseer ~ Juzz 25 ~ Surah Ash Shuraa ~ Aayah 1 ... · PDF fileJo pehlay se koi raey leker atey hain who apnay tareekay se us baat ko letey hain, Jo manta hai uski khushi, jo

Nazimah24_SP: ham jitna Quraan sun ke Allah ki taraf aate he, ham koshish karte rahe.. Allah chunn lega

Nazimah24_SP: Allah ki Rehmat do tarah se milti hai 1. Jab Allah kisi ko pehley se chun leta hai phir unko haalaat ke taperon se guzaarta hai ke who Allah ke

paas ajaey 2. Kisi ko itni tarap hoti hai, woh mehnat kertay hain phir Allah unko chun ta hai apni rehmat se. ye hain ‘uneeb’

Nazimah24_SP: Aayah 11 Nazimah24_SP: Allah hi ‘Fatir us samawaati wal ard hai’ Nazimah24_SP: Us ne hi hamaray aur chopayon ke joray banaye

Nazimah24_SP: Yazraokum: phelaya tumko Nazimah24_SP: Allah ki her cheez excellence per

Nazimah24_SP: Allah ki to misaal hi koi nai. Uska ka her maamla bay misaal, uski her cheez haseen hai... - "Laysa ka mislihi" Nazimah24_SP: yaha Muraad he - Allah ke jaisa kuch nahi, Allah ki misaal ke jaisa

bhi kuch nahi to Allah ke jaisa kaise ho sakta he.. mumkin hi nahi he... Nazimah24_SP: Jo itni excellence per cheezein banata hai kia uska kalaam

excellence per nai hoga... Nazimah24_SP: Allah ki challenge - Allah hi ke har kaam ache he, to fir Allah ko

chod ko kaha jaa rahe he, kin booto baaba ke paas jaa rahe he?? Allah ki qadar nahi karte.. Nazimah24_SP: Phir bhi tum usko chor ker buton ko poojtey ho.. Aur who sunta

hai dekhta hai.. Nazimah24_SP: Aayah 12

Nazimah24_SP: Asmanon aur zameen ki kunjiyaan uskey paas hain Nazimah24_SP: Us se khair mango, who itni khair dega

Nazimah24_SP: Us se naiki ke mokay mango, hidayat mango, who itnay mokay dega ke naiki ker ker ke thak jaaogay Nazimah24_SP: tum Allah ke raaste me neki karna chaahte ho, Allah itne mauke

khol dega, agar tum gunaah chahte he to Allah uske darwaaze khol dega.. Nazimah24_SP: Woh jis keliye chahta hai rozi farakh kereta hai, jis keliye chahta

hai tung ker deta hai... Who her cheez ko jaanta hai.. Nazimah24_SP: Imaam Bukhaari - inke paas taqwa & deen ki dolat thi, iske saath

Allah swt ne inko duniya ka maal bhi bahutt kasrat se diya.. Nazimah24_SP: Imaam bukhaari koi bhi tijaarat Allah ke mashware ke bina nahi karte the..

NQSJ_CourseIncharge: Eemaan Nazimah24_SP: ek baar koi taajir aaya, unhone kaha Allah se mashware kar ke

bataauga, 1st taajir ne 5000 me maal kharidne ko kaha, baad me raat ko istekhaara kiya, subaah ek 2nd taajir aaya usne 10,000 me maal maanga - kaha - Kal aisaa hua, & me vo 1st Taajir ko 5000 me maal duga, koi

commitment nahi tha, but imaan tha.. Allah hu Akbar..!! Nazimah24_SP: hamaari zaat ke rode nekiyo se door karte he..

Nazimah24_SP: TIP : Apne dil ko Allah ki nazar se dekha kare.. Nazimah24_SP: Aayah 13

Page 8: Now ::: Tafseer ~ Juzz 25 ~ Surah Ash Shuraa ~ Aayah 1 ... · PDF fileJo pehlay se koi raey leker atey hain who apnay tareekay se us baat ko letey hain, Jo manta hai uski khushi, jo

Nazimah24_SP: Ye koi nayi cheez nai, ye deen Hazrat Nooh as ko bhi dia gaya Nazimah24_SP: Source of knowledge - zameen ka nahi - aasmaan se aaya hua

he... Nazimah24_SP: Aur jo hokum Aap saw ko diye who Ibrahim as, Mosa as aur Isa as

ko bhi dia gaya. Nazimah24_SP: "An aqeemu ... tatafarraqoo feeh"...

Nazimah24_SP: ye 5 nabi Ulul azam kaha jaata he.. Nazimah24_SP: Nooh AS ko jaante the, Ibraahim AS se nisbat jodte he, Moosa & Isa AS ko maanne waale log maujood they..

Nazimah24_SP: Shara'a - waazey kiya Nazimah24_SP: Ye ke 1. Deen ko qaaim rakhna 2.aur is mai photo na daalna

Nazimah24_SP: tafarka kab aata he ??? - Jab basics ko change kia jaaey aur dusron ko is mai add kia jaaey Nazimah24_SP: Log kab bhatkay, jab unhon ne in tareekon ko chor dia..

Nazimah24_SP: kal jo imaam ke naam pe jhagde they, aaj girho ke naam pe.. Nazimah24_SP: "Muhabbat ke markas jab badalte he, jab buniyaad haqq ke saath

Allah & Rasool ke saath rahege Judd ke rahege, warna tafarke padege.." Nazimah24_SP: Mushriko ko konsi bat badu buri lagti thi ??? SHirk ko chodo,

booto ko chodo, kya ye baat aaj ke mushriko ko buri lagti he ??? bilkul lagti he.. Nazimah24_SP: kya inke buraa manne se Allah kher chin lega ??? Harghiz nahi..

Nazimah24_SP: Allah swt kuch logo ko pehle chun leta he khud ke liye... eg Umar RA - Allah bulaa ke le liya..

Nazimah24_SP: karna kya he - Giroh me naa bato, tafarke naa karo, logo se naa judo..

Nazimah24_SP: Aayah 14 Nazimah24_SP: Ilm mai taffarukay kernay walon ko Allah paker chukka hota ager ek waqt mukkarar na hota...

Nazimah24_SP: naa manne ki wajah - Baghyam baynahum.. Nazimah24_SP: Allah logo ko mohlat deta he..

Nazimah24_SP: Jinko kitab ka waris banaya yani Makka ke logo ko Nabi saw wahi ki baat batatay magar woh taffarukon ki waja se is mai shak mai parey hain..

Nazimah24_SP: Aayah 15 Nazimah24_SP: aap fikar naa kare.. Nazimah24_SP: Is ayat mai 10 jumlay hain

Nazimah24_SP: 1. Fali zaalika fad'oo : - Pus isi deen ki dawat detay rahein.. Aap saw ki nazar sirf isi deen per honi chaye

Nazimah24_SP: 2. Wastaqim kama umirta : - Aap saw sabit qadam rahein.. Sirf is per chalna kafi nai, sabit qami zaruri hai.. Nazimah24_SP: 3. Wala Tattabi’a ahwaa-akum : - Na itbaa kejiye in ki

khuwaishaat ki... Khuwaishaat insan ko haq se rokti hai.. Nazimah24_SP: 4. Wa Qul aamantu bimaa anzalal-llahu min kitaab : - Aap saw

keh dejiye, jo kitab Allah ne nazil farmayi hai, mai is per imaan rakhta hoon.. Nazimah24_SP: sacha daai e deen todne waala nahi jodne waala hota he..

Page 9: Now ::: Tafseer ~ Juzz 25 ~ Surah Ash Shuraa ~ Aayah 1 ... · PDF fileJo pehlay se koi raey leker atey hain who apnay tareekay se us baat ko letey hain, Jo manta hai uski khushi, jo

Nazimah24_SP: wahi jodega jis ki naza Allah pe hogi.. Nazimah24_SP: 5. Wa umirtu li a’adila baynakum : - Aur mujhay hokum dia gaya

ke mai adal keroon tumharay darmiyaan.. Nazimah24_SP: khoon ke pyaaso ke saath na ziyadti na hi azeezo ko koi favor ki..

Nazimah24_SP: 6. Allahu Rabbuna wa Rabbukum : - Humara aur tumhara rub Allah hi hai

Nazimah24_SP: 7. lana a’amaaluna walakum a’amaalukum : - Humaray liye humaray aamaal, aur tumharay liye tumharay aamaal.. NQSJ_02_HT: بنكم بينكم وأمرت لعدل بنن و م لله ل ن ولكم أع ل لن أع

Nazimah24_SP: 8. La Hujjata baynana wa baynakum :- kisi behas aur taqraar ki zarurat hi nai hai meray aur tumharay darmiyaan

NQSJ_02_HT: ة بينن وبينكم بينن ل حجه ج ير لله لل (٥١) وليNazimah24_SP: 9. Allahu yajma’oo baynana : - Allah hum sub ko ikhata keray ga Nazimah24_SP: Phir haq aur batil ka faisla hojaeyga

Nazimah24_SP: 10. Wa ilayhil Maseer :- aur isi ki taraf laut ker jana haiBat tareen ikhtalaf ilm walon ka ikhtalaaf hota hai..

Nazimah24_SP: Ye he Deen ek Aayah me.. Nazimah24_SP: * Deen hamaari life me dikhna chaahiye

Nazimah24_SP: * jo zaraa bhi deen se hatege, goal ek nahi to ikhtilaaf paida hoga.. Nazimah24_SP: kabhi kabhi aisa hota he ke : 2 fark-e-soch waale log hamesha ye

sochte he, either hi jannat me jaaege, Ye Allah ke kaam he.. ham hamaare kaam se fikar rakhe...

Nazimah24_SP: Hamesha - Haqq pe rahe.. Nazimah24_SP: Deen ki taraf bula ke, apna kaam kar ke mamla Allah pe daal do..

Nazimah24_SP: Dua kare : Allah hame beniyaaz kar de duniya ki cheezo se.. Nazimah24_SP: Badtareen ikhtilaaf : ilm waalo ka ikhtilaaf he... Nazimah24_SP: Aayah 16

Nazimah24_SP: daahidatun - hujjat baatein inki laghv he.. Nazimah24_SP: Jo log Allah ke barey mai jhagartey hain baad iskay ke mominon

ne haq maan lia ho. Allah ke nazdeeq unka jhagra batil hai.. Nazimah24_SP: hamesha sidhi baat kare - "Qoolu Qaulan Sadeeda"

Nazimah24_SP: Daahida: rondna, Majazun, batil, fazool daleel ko "Hujjat-e-dahida" kehtey hain Nazimah24_SP: Aayah 17

Nazimah24_SP: Allah ne haq ke sath kitab utari. Surah Ale Imran mai detail se parha

Nazimah24_SP: Meezaan: criterian, shariyat jis mai haqooq ka wazn kia jata hai. Logo ke darmiyan masawaat qaaim ki jasakti hai... sacha deen jisne har haqq waalo ko uska haqq de diya...

Nazimah24_SP: Quran hai who kitab jo logo ko haq dilaey gi. Tou is kitab ke criterian mai logo ko tola kero

Nazimah24_SP: Meezan hai ke haq walon ko unka haq do..

Page 10: Now ::: Tafseer ~ Juzz 25 ~ Surah Ash Shuraa ~ Aayah 1 ... · PDF fileJo pehlay se koi raey leker atey hain who apnay tareekay se us baat ko letey hain, Jo manta hai uski khushi, jo

Nazimah24_SP: logo ke haqooq maangne se pehle unko de do.. agar logo ki khoobi ko sabaaege to wahi or se ubrega.. TIP

Nazimah24_SP: Deen saraser haqq ka maamla hai Nazimah24_SP: Surah Al Hadeed : 25, Surah Ar Rahman: 9

Nazimah24_SP: sache deen se hamesha kher hi milegi.. Nazimah24_SP: Shayad qayamat qareeb ho, tou abhi se tayarri kerlo...

Nazimah24_SP: Aayah 18 Nazimah24_SP: Munkir qayamat ki jaldi machatay hain.. Momin to is se dartey hain aur yaqeen rakhtey hain..

Nazimah24_SP: Jo Qayamat ke barey mai jhagartey hain who gumrahi mai hain... Nazimah24_SP: aise log bahutt door ki gumraahi me he..

Nazimah24_SP: haqeeqat - Aayh 19 Nazimah24_SP: Allah jisko chahta hai rizq deta hai Nazimah24_SP: Lateef : Lateef mai ye 3 qualities hain : 1. Jo kaam ho us mai

sakhti na ho balkay narmi ho 2. Who apnay bandon ki bareek se bareek maslihaton aur fawaid se agah ho 3. Jab kisi ko kuch ata kerna chahata ho us

per qadir ho.. NQSJ_CourseIncharge: Qol (Allateef)

NQSJ_FQ008_Salsabeel: Lateef us zaat ko kahty han jo tary dil ko hadiyat say munawar kerdey, giza say tary jism ki nasho numa kerdey, tujhay duniya say iman k saath nikaly aur dozakh ki aag say bacha lay ***