hadeese nabawi

104
Hadeese Nabawi : (1) Chand dekhkar Roza rakho aur Chand dekhkar Iftaar karo, Jis ne shak ke din Roza rakha us ne Abul Qasim (sallallahu alaihi wa sallam) ki nafarmani ki. (Sahih Bukhari, Jild -1, Baab -1194, Hadees -1779 se 1784) (2) Hazrat Abdullah bin Abbas RadiAllahu ta’ala anhu se riwayat hai ki : RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ‘Ramazan se pehle Roza mat rakho, uska Chand dekhkar Roza rakho aur Iftaar karo. Agar abr (badli) chha jaaye to 30 din ki miqdar mukammal kar lo. (Tirmizi) **5 Mahino me chand dekhna waajib hai : (1) Sha’abaan (2) Ramzaan (3) Shawwal (4) Zil Qa’ada (5) Zil Hijja. ************* Hame ye yaad rakhna hai ki jab apne ilake me chand dikhe tab hi Taraweeh padhna aur Roze rakhna shuru karna hai aur Jab Shawwal ka chand dikhe tab hi Eid-ul- Fitr manani hai. Kisi dusre mulk me chand dikhne par ya Saudi Arabia ya Arab mulko me Ramzan shuru hone ke saath hame Maahe Ramzan ke Roze rakhna shuru nahi karna hai. Haan, Ramzan se pehle nafl roza rakhna chahe to rakh sakte hain. ************** ALLAH ta’ala sab ko in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur Maahe Ramzan me ALLAH ta’ala ki raza ke liye Ishqe Rasool ke saath sahi tareeqe se Ibadat karke Ramzam kareem ke fayuzo barkaat haasil karne ki taufiq ata farmae. Aameen. Maahe Ramzan Mubarak. Ye Mubarak mahina tamam mahino ka sardar hai. Jis ke Pehla ashra Rehmat ka, Doosra ashra Magfirat ka aur Aakhri ashra dozakh se Najaat ka hai. Is me ALLAH ta’ala Shaitan ko qaid me daal deta hai. Aur is Mo’mino me zyada Ibadat karne ka jazba aur dilchaspi paida hoti hai. ALLAH ta’ala har neki ka sawab zyada ata karta hai aur Duaen bhi jaldi qubool farmata hai.

Upload: imran-akhtar

Post on 09-Feb-2016

3.778 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Hadeese Nabawi :(1) Chand dekhkar Roza rakho aur Chand dekhkar Iftaar karo,Jis ne shak ke din Roza rakha us ne Abul Qasim (sallallahu alaihi wa sallam) ki nafarmani ki.(Sahih Bukhari, Jild -1, Baab -1194, Hadees -1779 se 1784)

(2) Hazrat Abdullah bin Abbas RadiAllahu ta’ala anhu se riwayat hai ki :RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya‘Ramazan se pehle Roza mat rakho, uska Chand dekhkar Roza rakho aur Iftaar karo. Agar abr (badli) chha jaaye to 30 din ki miqdar mukammal kar lo.(Tirmizi)

**5 Mahino me chand dekhna waajib hai :

(1) Sha’abaan (2) Ramzaan (3) Shawwal (4) Zil Qa’ada (5) Zil Hijja.

*************Hame ye yaad rakhna hai ki jab apne ilake me chand dikhe tab hi Taraweeh padhna aur Roze rakhna shuru karna hai aur Jab Shawwal ka chand dikhe tab hi Eid-ul- Fitr manani hai.Kisi dusre mulk me chand dikhne par ya Saudi Arabia ya Arab mulko me Ramzan shuru hone ke saath hame Maahe Ramzan ke Roze rakhna shuru nahi karna hai.

Haan, Ramzan se pehle nafl roza rakhna chahe to rakh sakte hain.

**************ALLAH ta’ala sab ko in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur Maahe Ramzan me ALLAH ta’ala ki raza ke liye Ishqe Rasool ke saath sahi tareeqe se Ibadat karke Ramzam kareem ke fayuzo barkaat haasil karne ki taufiq ata farmae.Aameen.

Maahe Ramzan Mubarak.Ye Mubarak mahina tamam mahino ka sardar hai.

Jis ke Pehla ashra Rehmat ka, Doosra ashra Magfirat ka aur Aakhri ashra dozakh se Najaat ka hai.

Is me ALLAH ta’ala Shaitan ko qaid me daal deta hai.Aur is Mo’mino me zyada Ibadat karne ka jazba aur dilchaspi paida hoti hai.

ALLAH ta’ala har neki ka sawab zyada ata karta hai aur Duaen bhi jaldi qubool farmata hai.Nafl ka sawab Farz ke barabar hota hai aur Farz ka sawab 70 guna hota hai.

Is mahine marne wale ko ALLAH ta’ala bakhsh deta hai.

Mo’min ko chahiye ke wo Roza, Namaz, Tilawate Qur’an, Zikr, Duroodo salaam, Zakaat, Sadqa, Khairat karke apne Rabb ta’ala ko raazi karne ki koshish kare.

Is mubarak mahine me khas kar Iftaar ke waqt ALLAH ta’ala sab ki nek jaiz dua qubool farmata hai.Is liye sab ke liye dua karen ki ALLAH ta’ala hame ye mubarak mahina baar baar ata farmae.

*************** *****

ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Maahe Ramzan ki ta’azeem karne ki aur is me sahi tareeqe se zyada ibadat karne ki aur is ke fayuzo barkaat haasil karne ki taufiq ata farmae aur gunaho se bachne ki taufiq ata farmae aur hamare nek amal qubool farmae aur Sab ko dunya aur aakhirat me bahalai ata farmae.Aameen.

Hadeese Nabawi :Hazrate Abu Huraira radiAllahu ta’ala anhu se riwayat hai ki :Huzoor Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ki‘Jab Maahe Ramzan ki pehli raat hoti hai to shaitaan aur sarkash jinn qaid kar liye jaate hain aur Jahannam ke darwaze band kar diye jaate hain aur un me se koi darwaza khola nahi jaata aur Jannat ke darwaze khol diye jaate hain aur un me se koi darwaza band nahi kya jaata aur Munaadi pukarta hai, Aye khair ki talab karne wale, Mutawajjeh ho aur burai ka irada rakhne wale burai se baaz reh aur ALLAH ta’ala bahut se logo ko dozakh se aazad karta hai aur har raat aisa hota hai.’

(Tirmizi, Ibne Maajah)

Hadeese Jibreil :**************Islaam, Eimaan, Ehsan aur Qayamat aane ki nishaniya :

**************Hazrat Umar Farooq radiAllahu ta’ala anhu se riwayat hai kiEk din ham ashaba Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ki khidmat me haazir the ki achanak ek shakhs saamne aaya, jis ke kapde nihayat safaid aur baal bahut hi zyada siyah the aur us shakhs par safar ka koi asar bhi ma’aloom nahi ho raha tha (ya’ni koi bahar se aane wala musafir bhi nahi lag raha tha) aur na hi ham me se koi us aane wale ko pehchante the (ya’ni wo us ilaqe ka nahi tha).Wo shakhs RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ke saamne aakar is tarah baith gaya ki apne ghutne Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke ghutno se mila diye aur apne haath Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke raano par rakh diya.Aur kaha ‘Aye Mohammad sallallahu alaihi wa sallam, Mujhe batayen ki Islaam kya hai?’Aap sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ki ‘Islaam ye hai ki tum Shahadat do ki ALLAH ke siwa koi ibadat ke laaiq nahi aur Mohammad sallallahu alaihi wa sallam us ke Rasool hain, Namaaz qaaim karo, Zakaat ada karo, Ramzaan ke Roze rakho aur agar Hajje Baitullah jaane ka maal paas me hai to Hajj karo.’Us shakhs ne aap sallallahu alaihi wa sallam ka ye jawab sunkar kaha ‘Aap sallallahu alaihi wa sallam ne sach farmaya.’Us par hame (ashaba ko) hairat hui ki ye shakhs sawal bhi karta hai aur phir aap sallallahu alaihi wa sallam ke jawab ki tasdeeq bhi karta hai (ya’ni jaise un baato ko pehle se jaanta ho.)Phir wo shakhs bola ‘Aye Mohammad sallallahu alaihi wa sallam, Ab Eimaan ke baare me bataiye ki Eimaan kya hai?’Aap sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ‘Eimaan ye hai ki tum ALLAH ko, uske Farishto, uski Kitaabo, uske Rasoolo, Qayamat ke din ko dil se maano aur us baato par yaqeen rakho ki bura ya bhala jo kuchh paish aata hai wo sab taqdeer ke mutabik hai.’Us shakhs ne Aap sallallahu alaihi wa sallam ka ye jawab sunkar kaha ‘Aap sallallahu alaihi wa sallam ne sach farmaya.’Phir wo shakhs bola Ayr Mohammad sallallahu alaihi wa sallam, Ab mujhe ehsan ke baare me bataiye ki ehsan kya hai?’Aap sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ‘Ehsan ye hai ki ALLAH ki Ibadat is tarah karo ki goya tum usko dekh rahe ho ho aur agar aisa nahi kar sakte to phir (ye tasawwur karo ki) tum use dekh rahe ho.’Phir wo shakhs bola ‘Mujhe qayamat ke baare me bataiye?’

Aap sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ‘Mera ilm tum se zyada nahi.’Phir us shakhs ne kaha ‘Mujhe us ki nishaniya hi bata dijiye.’Aap sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ‘Londi apne aaqa ko janegi aur tum dekhoge ki jin ke paanv me joota aur jism par kapde nahi hai aur jo khali haath aur bakariya charane wale hain wo badi badi imaarate banane lagenge aur us me aik dusre par baazi le jaane ki koshish karnege.’Hazrat Umar Farooq radiAllahu ta’ala anhu farmate hain ki ‘Us ke ba’ad wo shakhs chala gaya.’

Phir kuchh arse ke ba’ad Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne mujh se puchha ‘Aye Umar, Kya tumhe ma’aloom hai ki wo sawal karne wala shakhs kaun tha?’Maine arz ki ‘ALLAH aur uska Rasool sallallahu alaihi wa sallam hi zyada jaanne wale hain.’Aap sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ki ‘Wo Jibreil alaihis salaam the, jo tumhari us majlis me is liye aaye the ki tum logo ko tumhara deen sikha den.'

(Muslim, Jild -1, Safa -27)

SHABE BARAAT MUBARAK :**********************Hadeese Nabawi :

(1) Hazrat Ali radiAllahu ta’ala anhu se riwayat hai ki, Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ki‘Jab nisf Sha’abaan ki raat aaye to raat ko Qayaam karo aur din ko Roza rakho. Beshak guroobe aftab se subh saadiq tak ALLAH ta’ala ki rehmat ka nuzool aasmano duniya par hota hai.Rabb ta’ala ki taraf se aawaz di jaati hai ‘Khabardar! Hai koi jo mujh se Bakhshish talab kare, main use bakhsh du. Hai koi Rizq ka taalib ke use rizq ata karu. Hai koi musibat zada ke main use Aafiyat ata karu. Khabardar, Koi is tarah hai? Khabardar, Koi is tarah hai?’

(Ibne Maajah, Bab Ma Jaa’a Fi Lailatin Nisf Min Sha’abaan, Safa -99)

(2) Hazrat Abu Moosa Ash’ari radiAllahu ta’ala anhu se riwayat hai ki, Huzur RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ki ‘Beshak nisf Sha’abaan ki raat me ALLAH ki rehmat ka zahoor hota hai.ALLAH apni tamam makhlooq ko muaf farma deta hai siwaye mushrik, logon se bugz rakhne wale aur dushmani karne wale.’

(Ibne Maajah)

(3) Hazrat Ma’az bin Jabal radiAllahu ta’ala anhu se riwayat hai ki, Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ki ALLAH ta’ala Sha’abaan ki 15wi raat ko apni tamam makhlooq ki taraf matawajjeh hota hain aur tamam makhlooq ki maghfirat farma deta hain, lekin mushriq aur bugz

(keena) rakhne wala nahi bakhsha jaata.

(Tabrani, Ibn Haban)

(4) Hazrat Aayesha radiAllahu ta’ala anha se riwayat hai kiHuzoor Rasoolallah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ki ‘Nisf Sha’abaan ki Raat me saal me paida hone walo aur faut hone walo, Baaise rif’at nek aamal aur rizq ke asbab likh diye jaate hain.’

(Bayhaqi, Mishkaat Shareef)********************Shabe Baraat ki Ibadaat :""""""""""""""""""""""

Magrib ki namaz ada karne ke baad 6 rak’at nafl namaz 2-2 rak’at karke padhen.

(1) 2 Rak’at namaz Daraji e Umr bilkhair ki niyyat se.(2) 2 Rak’at namaz Dafa e Bala wa Imraj ki niyyat se.(3) 2 Rak’at namaz Makhlooq ka Mohtaj na hone ki niyyat se.

Har 2 rak’at ke baad Surah Yasin aur Dua e Nisf Sha’aban (Shabe Baraat) padhen.Masjid me namaz padhen to ek shakhs buland aawaz se Surah Yasin aur Dua padhe aur baqi sab log khamoshi se sune.Sunne walo ko bhi is ka sawab milega.

*********************Shabe Baraat ke Nawafil :""""""""""""""""""""""

(1) 2 Rak’at nafl Tahyyatul Wuzu.Har rak’at me Surah Fatiha ke baad 1baar Aayatul Kursi aur 3 baar Surah Ikhlas padhen.

Insha Allah har katra pani ke badle 700 rak’at nafl namaz ka sawab milega.

(2) 2 Rak’at nafl namaz Har rak’at me Surah Fatiha ke baad 1baar Aayatul Kursi aur 15 baar Surah

Ikhlas padhen.Salaam ke baad 100 baar Durood shareef padhen.

Insha Allah Rizq me barkat aur Ranjo gam se najat aur Gunaho ki bakhshish aur Magfirat haasil hogi.

(3) 8 Rak’at nafl namaz (2-2 rak’at karke)Har rak’at me Surah Fatiha ke baad 5 baar Surah Ikhlas padhen.

Insha Allah Gunaho se paak hoga aur Duaen qubool hogi.

(4) 12 Rak’at nafl namaz (2-2 rak’at karke)Har rak’at me Surah Fatiha ke baad 10 baar Surah Ikhlas padhen.12 rak’at ke baad 10 baar Kalma e Tawhid aur Kalma e Tamjeed aur 10 baar Durood sharif padhen.

(5) 12 Rak’at nafl namaz (2-2 rak’at karke)Har rak’at me Surah Fatiha ke baad Surah Ikhlas ya aur koi Surah padhen.

Insha Allah har jaiz dua qubool hogi.

(6) 4 Rak’at ek salaam seHar rak’at me Surah Fatiha ke baad 50 baar Surah Ikhlas padhen.

Insha Allah Gunaho se bilkul Paak ho jaaega.

(7) 4 Rak’at ek salaam seHar rak’at me Surah Fatiha ke baad 11 baar Surah Ikhlas padhen.Is ka sawab Khatoone jannat Fatima Zohra radiallah ta’ala anhu ko nazr karen.

Aap farmati hain keMain is namaz padhne wale ki shafa’at kiye bina Jannat me kadam na rakhungi.

••► Kisi wajah se tamam namaz na padh saken to jitni padh sakte hain utni padhen aur phir Tilawate Qur’an, Kalma, Zikr ya Durood shareef padhte rahen.

••► Aur apne liye aur tamam ummate Mustafa ke liye Dua e khair aur apne

aaba wa ajdad aur tamam marhoomin ke liye Due e magfirat karen.

••► Jin ki namazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaz padhen take bariuz zimma ho jaaye.Aur tauba karke ye pakka ahad karen ke aainda sab namaz waqt par ada karne ki koshish karenge aur namaz ke fayuzo barkaat haasil karte rahenge.

*************** ******14 aur 15 Sha’abaan ko Roza rakhen.

Hadeese Nabawi :

(1) Jisne 15 wi Sha’abaan ko roza rakha us ko meri shafa’at halaal ho gai.

(2) Jo shakhs 15 wi Sha’abaan ko roza rakhe use jahannam ki aag na chhuegi.*************** ******

Makka mukarrama aur Madina munawwara ki Ziyaratgaahen :

***************Makka shareef :"""""""""""""""

(1) Masjide Haram – Wo mubarak masjid jis me Ka’aba shareef hai. Aur jis me Maqame Ibraheem, Beere Zamzam aur Kohe Safa aur Marwa hain.

(2) Wiladat-gaahe RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam – Wo muqaddas mubarak makaan jaha Sarware kaainat Khairul bashar Khaatimul ambiya Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki wiladat (zahoor) hui thi.Jo ab maktab (library) me tabdeel kar diya gaya hai.

(3) Maqame Me’araj – Shabe Me’raj ko Huzoor sallallahu alaihi wasallam ko Hazrate Umme Haani radiAllahu ta’ala anha ka makaan par aaram farma rahe the aur ALLAH ta’ala ke hukm se Hazrate Jibriel alaihis salaam aap ko Me’araj ke liye apne saath le gaye the.Ye ab Masjide Haraam ke andar aa gaya hai.

(5) Mohalla Misfala – Is muhalle me Hazrat Ibraheem alaihissalaam raha

karte the. Hazrate Abu Bakr Siddeeqe akbar, Hazrate Umar Farooqe aazam aur Hazrate Ameer Hamza radiAllahu ta’ala anhu bhi yahi qayaam pazeer the.

(4) Jable Abu Qubais – Dunya sab se pehla aur muqaddas pahad jaha par Hajre aswad naazil hua, jaha par jalwa afroz hokar Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam ne elane nabuwwat kiya aur yahi par Shaqqul Qamar ya’ni chand ke 2 tukde farmaye the.Ab is pahad par shahi mahel taameer kar diya gaya hai.

(6) Jannatul Ma'ala (Qabrastan) – Dunya ke 2 afzaltareen qabrastan me se ek, jaha Ummul mo’mineen Hazrate Khadijatul kubra radiAllahu ta’ala anha, Saahabzada e Rasool Hazrate Qaasim radiAllahu ta’ala anhu, Hazrate Abdullah ibn Zubair radiAllahu ta’ala anhu, Hazrate Asma bint Abu Bakr Siddeeq radiAllahu ta’ala anha aur bahut saare Ashaba, Taabe’in aur Auliya Allah rehmatullahi alaihi aaram farma rahe hain.

(7) Masjide Jinn – Jannatul ma’ala ke qareeb is maqam par Huzoor Sarware kaainat sallallahu alaihi wasallam se namaze fajr me tilawate Qur’an majeed sunkar Jinnat musalman hue the.

(8) Masjide Shajarah – Masjide Jinn ke saamne is maqam par me ek darakht hai, jo Huzoor Sarkare do-aalam sallallahu alaihi wasallam ke bulane par apni jado samet aap ki baargah me haazir hua tha aur phir apni jagah wapis jaakar jaisa tha waisa ho gaya tha.

(9) Masjide Haleema – Is maqam par Hazrate Daai Haleema saadiya radiAllahu ta’ala anha Huzoor sallallahu alaihi wasallam ko parwarish ke liye apne saath lekar jaanwar par bethkar Makka shareef se rawana hui thi.

(10) Masjide Raayah – Fateh Makka ke mauqe par Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne is maqam par apna jhanda nasab kiya tha.

(11) Masjide Aqaba (Masjide Bai’at) – Makka se Mina jaane wale raaste par is maqam par hijrat se pehle pehli baar Ansar ashaba ne jama hokar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki aur Islam ki khidmat ka waada kiya tha.

(12) Masjide Ganam – Is maqam par fateh Makka ke baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne wafadari ka halaf liya tha.

(13) Jable Noor – Is pahad par Gaare Hira me Huzoor Nabi e aakhiruz zamaan sallallahu alaihi wasallam zahoore risalat se pehle ek maah zikro fiqr me mashgool rahe aur yaha pehli wahi naazil hui aur hidayate ilahi ka noor saare aalam me faila.

(14) Jable Saur – Is pahad par Gaare Saur me Huzoor Khaatimul Ambiya sallallahu alaihi wasallam hijrat ke waqt apne rafeeqe khas Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiAllahu ta’ala anhu ke saath 3 raat qayaam pazeer rahe.

(15) Masjide Khaif – Mina me jamrat ke qareeb is maqam par Huzoore akram sallallahu alaihi wasallam ne Hajjatul wida ke mauqe par khaima banakar qayam karke 5 waqt ki namaz ada ki thi.70 Ambiya e kiraam ne yaha namaz padhi hai aur 70 yaha madfoon hain.

(16) Masjide Namrah – Arfat me Jable rehmat ke qareeb is maqam par Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Hajjatul wida ke mauqe par wuqoofe arfa kiya tha. Aur ashaba e kiraam ko khutba diya tha aur wasiyate, naseehate aur duaen ki thi aur Zohar aur asr ki namaz ada ki thi.

(17) Jable Rehmat – Hajjatul wida ke mauqe par Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne asr ki namaz ke baad Arfat me is muqaddas pahad ke qareeb khade hokar duaen maangi thi aur yahi par aakhri wahi naazil hui thi.Hazrat Aadam alaihisalaam aur Bibi Hawwa radiAllahu ta’ala anha maidane arfat me is maqam par phir se ek dusre se mile the.

(18) Masjide Muzdalifa – Hajjatul wida ke mauqe par Huzoor sallallahu alaihi wasallam Jable Kuzh ke qareeb is maqam par puri raat ibadat aur zikr me mashgool rahe the. Ise Mash’arul Haraam bhi kehte hain.

(19) Masjide Aaisha – Masjide Haram se taqreeban 7.5 ki doori par Taneem me hai. Makka shareef me qayam ke darmiyan Umrah ka ehram yaha se bandha jaata hai.Hajjatul wida ke mauqe par Makka me qayam ke dauran Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Hazrate Aaisha radiAllahu ta’ala anha ko unke bhai Hazrate Abdur Rehman bin Abu Bakr Siddeeq ke saath Taneem bheja tha aur wo waha se ehram bandhkar Masjide Haraam aaye the aur Umrah kiya tha jo Hajj se pehle haiz ki wajah se nahi kar paaye the.

(20) Masjide Juarrana – Makka se 25 km ki doori par hai. Gazwa e Hunain se waapsi par Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne yaha se Umrah ka ehram

bandha tha.

(21) Shohada e Hunain – Masjide Juarrana ke pichhe char deewari me Shohada e Hunain madfoon hain.

(22) Masjide al Kabash – Is maqam par Mina me Hazrate Ibraheem alaihis salaam ALLAH ta’ala ke hukm se apne bete Hazrate Isma’il alaihis salaam ko qurbani ke liye laaye the.

(23) Ummul mo’minin Hazrate Bibi Maymuna radiallahu ta’ala anha ka Mazaar – Makka se 10 km door ‘Saraf’ me hai.

(24) Hazrat Abdullah ibne Umar Farooq radiallahu ta’ala anhu ka Mazaar – Masjide Aaisha jaate waqt raaste me Zi-tuwa me hai.

(25) Kishwatul Ka'aba (Exhibition) – Yaha bahut si purani mubarak chize ziyarat ke liye rakhi gai hai. Jis me Harmain sharifain se ta’alluq rakhne wali chize, Ka’abatullah ka gilaf wagairah, Masjide Haraam aur Masjide Nabawi ki purani taswire aur Model, Hazrate Siddeeqe akbar aur Hazrate Ghani radiallahu ta’ala anhuma ke haath se likhe hue Qur’an shareef saamil hain.

"""""""""""""""Madina shareef :"""""""""""""""

(1) Masjide Nabawi – Wo mubarak masjid jis me Roza e Rasool hai, jis me Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam aur aap ke bagal me Ameerul mo’minin Hazrate Abu Bakr Siddeeq aur Hazrate Umar Farooq radiAllahu ta’ala anhuma aaram farma rahe hai.Is me ek neki ka sawab 50000 neki ke barabar milta hai.Huzoor sallallahu alaihi wa sallam aur Roza mubarak ke bich ki jagah ko ‘Riyazul Jannah (Jannat ki Qiyari) kehte hain. 

(2) Jannatul Baqee – Dunya ka afzaltareen Qabrastan , jo Masjide Nabawi ke qareeb jaanibe mashrik hai, jis me Hazrate Khatoone jannat Sayyeda Fatima radiAllahu ta’ala anha aur deegar sahabzadi e rasool, Azwaze Muttahirat, Imaam Hasan Mujtaba, Imaam Zainul aabedin, Imaam Mohammad Baaqir, Imaam Jaafar Saadiq, Hazrate Abbas bin Abdul Muttalib, Hazrate Aqeel bin Abi Taalib, Hazrate Fatima bint Asad, Hazrate Usman Ghani, Hazrate Haleema Saadiya, Imaam Maalik bin Anas aur bahut saare Ashaba, Taabe’in,

Auliya Allah aur Shohada aaram farma rahe hain.

(3) Masjide Quba – Islam ki sab se pehli masjid, jise Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne apne nigrani me banaya hai. Aap har Sanichar ko Masjide Quba tashrif le jaate aur waha 2 rak’at namaz ada karte.Yaha par 2 rak’at namaz padhkar Masjide Nabawi me aakar ziyarat aur dua karne par ek Umrah ka sawab milta hai.

(4) Masjide Jum'aa – Ye masjid Masjide Quba ke qareeb hai. Yaha par 1 Hijri me Banu Saalim ki aabadi me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke saath 100 ashaba ne sab se pehli Namaze Jum’ah ada ki thi.

(5) Masjide Qiblatain – Is masjid me 2 qible hain : ek Baitul muqaddas ki taraf wala aur dusra Baitullah ki taraf wala. Is Masjid me Tahweele Qibla hua tha ya’ni ALLAH ta’ala ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki dil ki khwahish par musalmano ke liye qibla Baitul Muqaddas ki taraf se badalkar Ka’abatullah ki taraf kar diya aur Nabi e kareem sallallahu alaihi wasallam ne haalate namaz me apna rookh Baitullah ki taraf kar diya.

(6) Jable Uhad – Yaha par gazwa e Uhad hua tha jis me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke chacha Sayyedush Shohada Hazrate Ameer Hamza radiAllahu ta’ala anhu shaheed hue the. Yaha par unka mazaar hai aur saath me hazrat Abdullah bin Jabash aur Mas’ab bin Umair radiAllahu ta’ala anhuma ki qabr kataar me hai aur dusre 71 ashaba ek qabr me dafn kiye gaye hain.Aur qareeb me Masjide Hamza hai.

(7) Masjide Gamamah – Ye Masjide Nabawi ki sehan ke bahar qareeb me hai. Yaha Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Eid ki namaz ada ki thi aur yaha bearish ke liye dua maangne par baadal ghir gaye aur baarish barasna shuru ho gai.

(8) Masjide Ijabah – Is maqam par Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne 2 rak’at namaz ada karke 3 duaen maangi. In me se 2 qubool hui aur ek se rok diya gaya.Wo 3 duaen ye thi : (1) Ya ALLAH, Meri ummat ko kehatsaali ke sabab halaak na ho. (Qubool hui) (2) Ya ALLAH, Meri ummat gark hone se halaak na ho. (Qubool hui) (3) Ya ALLAH, Meri ummat aapas me na lade. (Mana farma diya gaya)

(9) Masjide Mustarah – Is maqam se khandaq khodna shuru kiya gaya tha. Yaha par jange Uhad ke baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne aaram farmaya tha aur dua ki thi. Jab bhi aap Hazrate Ameer Hamza aur Shohada e Uhad ki qabr ki ziyarat ko jaate to yaha aaram kiya karte the.

(10) Gazwa e Khandaq aur Masajide khamsa – Jable Sal’aa ke qareeb is maqam par Gazwa e khandaq ke mauqe par Masjide Fateh ke maqam par Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne 3 din peer, mangal aur budh musalmano ki fateh ke liye dua ki thi.

(11) Masjide Abu Zar Gaffari – Is maqam par Hazrate Jibriel alaihis salaam Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke paas ye paigam lekar aaye the ki ALLAH ta’ala ne farmaya hai ki jo mere mehboob par salaato salaam padhega us par ALLAH ta’ala rehmate aur barkate naazil karega aur aap sallallahu alaihi wasallam ne ALLAH ta’ala ka shukr ada karte hue baargahe ilahi me taweel sajda kiya tha.

(12) Masjide Abu Bakr Siddeeq – Yaha par Ameerul mo’minin Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiAllahu ta’ala anhu ka makaan tha.

(13) Masjide Umar Farooq – Yaha par Ameerul mo’minin Hazrate Umare Farooq radiAllahu ta’ala anhu ka makaan tha.

(14) Masjide Ali – Yaha par Ameerul mo’minin Hazrate Ali radiAllahu ta’ala anhu ka makaan tha.

(15) Maidane Khaake shifa – Ek baar jang ke mauqe par sahaba e kiraam jakhmi hue the tab Huzoor Nabi e kareem sallallahu alaihi wasallam ne unko is maidan ki khaak malne ko kaha tha jis se ashaba ko shifa ho gait hi.

(16) Beere Gars – Huzoore akram sallallahu alaihi wasallam ek baar jab yaha se guzre the tab aap ne is kuen ke paani se gusl kiya tha.

(17) Beere Usman Gani – Ye kuan Hazrate Usman Ghani radiAllahu ta’ala anhu ne yahudi se kharidkar musalmano ke liye waqaf kar diya tha.

(18) Hazrate Salman Farsi ke Baag – Yaha Huzoore akram sallallahu alaihi wasallam ne Hazrat Salman Farsi radiAllahu ta’ala anhu ke liye khajooro ke boye the jis me se ek raat me (ajwa) khajooro ke darakht uge the.

(19) Masjide Zulhulaifa – Is jagah ka naam Abyare Ali hai. Ye jagah Madina shareef se taqreeban 7 km ki doori par hai. Ye Madina munawwara ki meeqat hai. Jo log Hajj se pehle Madina shareef jaayen aur waha se Makka shreef jaayen unhe yaha se ehram baandhna hoga. Yaha ek masjid hai, jise Masjide Shajarah bhi kehte hain kyun ki yaha ek darakht ke niche Huzoore akram sallallahu alaihi wasallam umrah aur hajj ke waqt aaram kiya karte the.

*********************

Ziyarate Mazaar wa Qabr ki Haqeeqat :*****************Hadeese Nabawi :

(1) Hazrat Burida radiallahu ta' ala anhu se riwayat hai kiRasoolallah sallallahu alaihi wa sallam ne irshad farmaya ki‘Maine tum logo ko qabro ki ziyarat se mana kiya tha. Ab main tumhe ijazat deta hu ke un ki ziyarat karo.’

(Muslim, Mishkaat, Safa -154)

••► Hazrat Shaikh Abdul Haqq Mohaddeese Dehalwi rehmatullahi alaihi is Hadees shareef ki Sharah me farmate hain ki :

‘Zamana e jaahiliyat se qareeb hone ke sabab Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne pehle is andeshe se qabro ki ziyarat se mana kar diya tha ki log unke saath phir se kahi jaahiliyat wala rawaiya ikhtiyar na kar len.Phir jab Islaam ke qaanoon se log khub aagah ho gaye to Aap sallallahu alaihi wa sallam ne qabro ki ziyarat ke liye ijazat de di.’

(Ash’atul Amlaat, Jild -1, Safa -717)

(2) Hazrat Ibne Mas’ood radiallahu ta' ala anhu se riwayat hai kiRasoolallah sallallahu alaihi wa sallam ne irshad farmaya ki‘Maine logo ko qabro ki ziyarat se roka tha, to ab tum un ki ziyarat karo.’

(Ibne Maajah,Mishkaat, Safa -154)

(3) Hazrat Mohammad bin Noamaan radiallahu ta’ala anhu se riwayat hai ki

Huzoor Rasoolallah sallallahu alaihi wa sallam ne irshad farmaya ki‘Jo apne maa-baap ki qabron ki ziyarat kare ya un me se kisi ek ki qabr ki har Jum’aa ke din ziyarat kare, to use bakhsh diya jaayega aur use neki karne wala likha jaayega.’

(Mishkaat, Safa -154)

********************(4) Hazrat Aaisha Siddeeqa radiallahu ta' ala anha se riwayat hai ki‘Jis raat ko Rasoolallah sallallahu alaihi wa sallam mere yaha kayaam farmate to raat ke aakhri hisse me uthkar Madina ke qabrastan me tashreef le jaate.’

(Muslim,Mishkaat, Safa -154)

(5) Abu Huraira, Saad bin Abi Waqas, Mohammed bin Ibraheem aur Uqba bin Umar radiallahu ta’ala anhuma se riwayat hai ki‘Huzoor Rasoolallah sallallahu alaihi wa sallam har saal Shohada e Uhad ki mazzar par tashreef le jaate aur waha farmate ‘Tum par salaam ho kyun ki tum ne sabr kiya. Tumhara akhirat ka ghar kaisa achha hai.’Isi tarah Hazrat Abu Baqr Siddiq, Hazrat Umar Farooq, Hazrat Usman Gani aur Hazrat Ali radiallahu ta’ala anhuma bhi har saal Shohada e Uhad ke mazaare mubarak ki ziyarat karte the.’

(Sharah al sudoor, Safa -210,Tafseer jamia al bayan 13/ 96,Ibne kaseer 2/ 791,Tafseere kabeer 19/ 45,Qurtabi, Jild -5, Safa -313)

*********************In ahadees se saabit hota hai ke Auliya Allah ke mazaar aur Qabrastan ki ziyarat karna jaiz hai.

*****************Qur’an :Surah al-Yunus Aayat 62, 63, 64 :

Khabardar sun lo beshak jo Allah ke dost hote hain unko na to koi khauf hota

hai na koi gam hota hai.Wo log jo eimaan laaye aur (hamesha) taqwa par rahe.Un ke liye duniya ki zindagi me (izzat wa kaamyabi ki) khushkhabari hai aur aakhirat me bhi (magfirat wa shafa’at ki).

*****************Auliya Allah ke faizo barkaat haasil karne ke 7 tareeqe hain :

(1) Bai’at (2) Sohbat wa khidmat (3) Ziyarat (4) Tawassul wa Istigasah (5) Zikr (6) Isaale sawab (7) Pairwi.

*****************Auliya Allah ke mazaar par jaana (Khas kar Urs ke mauqe par) aur unke waseele se dua karna jaiz hai.

Auliya Allah ke mazaar par ALLAH ta'ala ki rehmato noor ki tajalliyat ki baarish zyada hoti hai. Is liye unke fayuzo barkaat ka faida hame bhi milta hai.

Jis tarah electricity ki line me sab jagah electric current hota hi haiLekin jis point pe holder me ya plug me lamp, tube ya pankha (fan) wagairah laga hai waha hame is ka faida milta hai.

*****************Ziyarat ka Tareeqa :""""""""""""""""

Jab qabrstan jaayen ya Auliya Allah ke mazaar par jaayen to pehle salaam karen ke wo salaam sunkar uska jawab dete hain. Jo ham nahi sun sakte, sirf dusre Auliya Allah hi sun sakte hain.

Jab qabrastan ya mazaar par pahunche to agar yaad ho to Duroode Hazaari (Roohi) padhen ke is ka bahut sawab aur fazeelat hai.Agar yaad na ho to koi bhi Durood shareef padhen.

Phir agar aap phool wagairah saath laayen ho to qabr par wo rakhe aur khushboo (itr) ho to lagayen.

Qabr par ya mazaar par phool aur sabz patte rakhna ya khushboo lagana sunnat hai.

Jab tak ye tar (sabz) rahenge tab tak us ahle qabr ko uska faida hoga.

Agar wo aam musalman hai aur agar gunah ki wajah se usko azaab ho raha hai to uska azaab kam hoga.Aur agar wo Auliya Allah hai ya nek banda hai to usko sawab milega aur uske darjat buland hote rahenge.

Aur phool chadhane wale ko bhi sawab milega. Agar khud na gaye ho aur kisi aur ke saath phool bheje ho to bhi sawab milega.Aurto ko mazaar par aur qabrstan me jaana mana hai. Is liye wo apne ghar walo ya rishtedaro me se kisi ke saath phool bhej sakti hai.

Phir qabr ke paayanti ki taraf khade rahen.Agar jagah na ho to kisi bhi taraf khade ho sakte hain.Qabr ke bilkul qareeb na khade rahe ya bethen, thoda door bethen.

Phir Durood shareef ke baad Surah Fateha, Surah Kaafirun, Surah Ikhlaas, Surah Falaq, Surah Naas aur Aayatul Kursi aur jo bhi dusri surah yaad ho wo padhkar ya Qur’an shareef dastyab ho to tilawat karke isale sawab karen.Ya phir Kalma ya Tasbeeh ya Durood padhte rahen.

Is ke baad unke liye magfirat ki dua karen aur Phir Pyare Aaqa sallallahu alaihi wasallam aur Auliya allah ke waseele se apne aur sab musalmano ki deen aur dunya ki bhalai ke liye dua karen.In sha Allah ALLAH ta'ala apne muqarrab bando ke sadqe me hamari dua qubool farmaega.

Waha se nikalte waqt bhi salaam karen.

*****************••► Ye yaad rakhen kiAuliya Allah ke mazaar par gilaf (chadar) chadhana aur khushboo lagana, Tilawate Qur’an, Zikr aur Duroodo salaam padhna aur ALLAH ta’ala se unke waseele se dua karna ye sab Bid’ate Hasana aur jaiz hai.

Aur Mazaar par ya qabrastan me aurto ko jaana, nachna aur gana-bajana, khel tamasha karna ye sab BID’ATE FASSAQAH (ya’ni gunahgar banana wali) hain.Aur kaafiro ki koi bhi rasm ya tareeqa sahi maankar apnana bhi Kufr hai.

Aur Qabr ko sajda karna ya chumna ya rooku’ ki tarah jhukna ya uska tawaf karna ye sab BID’ATE MUKAFFARAH (ya’ni Shirk aur Kufr tak pahunchane wali) hain.

In sab se hamesha bachen aur dusro ko bhi in se bachne ke liye kahen.

***********************Mazaar par roshni ke liye tel daalkar chirag wagairah jalana mubah (jaiz) hai.Mazaar par ki gai roshni se raat ke waqt ya andhere me waha aane walo ko ya waha se guzarne walo ko faida milta hai.Maujooda daur me bijli (electricity) ki sahulat hai, is liye lamp ya tube ke zariye bhi roshni ki ja sakti hai. Uske baad bhi Tel wagairah se chirag jalana zaroori nahi ke ye fuzulkharchi ya’ni maal ko zaaya karna hai.

Qabr par aag jalana mana hai.Agar mazaar par ya qabr par Chirag ya Mombatti ya Agarbatti jalana chahe to 3 haath se zyada faasle par jalayen. Agar mazaar me jagah na ho to bahar jalayen.

*******************••►Aurto ko Qabrstan ya Auliya Allah ke mazaar par jaana sakht mana hai.Pyari islami behno khud bhi waha na jaayen aur dusri behno ko bhi waha na jaane ke liye samjhayen.

Aurte jab apne ghar se mazaar par jaane ke liye nikalti hai us waqt se us par farishto ki la’anat shuru ho jaati hai aur jab tak wo apne ghar par wapas aati hai tab tak la’anat jaari rehti hai.

Aur agar beparda nikalti hai to behayai ka gunah bhi karti hai aur usko dekhne wale mardo ke gunah bhi uske zimme honge.

Sirf Pyare Aaqa Sarkare Madina sallallahu alaihi wasallam ke Roza e anwar ki ziyarat ke liye aurte bhi (parde me) ja sakti hain ke ye Rehmate aalam sallallahu alaihi wasallam ka darbar hai aur zariya e rehmat wa magfirat hai aur Hajj ya Umrah ko jaane walo ke liye Roza e rasool ki haazri wajib hai.

Agar aurte isale sawab karna chahe to apne ghar par Tilawate Qur'an ya Durood sharif ya Kalma wagairah jo kuchh bhi yaad ho padhkar isale sawab karen.

Ya unke naam se niyaz kare aur kisi gareeb -miskin aur haajatmando ko khana khilayen ya khairat karen.

Mard bhi apne ghar par ye sab kar sakte hain.Agar mard qabrastan ya mazaar par jaakar isale sawab ke liye Tilawate Qur'an wagairah karen to bhi behtar hai.

*********************Mazaar par haazri me Auliya Allah ke fayuzo barkaat haasil karne ki niyyat rakhen.Picnic ki niyyat se jaana ya logo ko dikhane ke liye jaana (riya) ya Aurto ka saj-sanwar kar mardo ke bich me jaana aur mardo ka un aurto ko dekhte rehna ye sab gunah hai.*********************

Hadeese Nabawi :

Jab apne liye dua karo to saath me doosro ko bhi yaad karoKya pata uske naseeb ki khushi tumhari dua ki muntazeer ho.

******************Mo’min ko chahiye khud ke liye aur sab musalamano ke liye dua e khair kare.Kyun ke jab koi banda dusre ke liye kuchh nek jaiz dua mangta hai to wo ALLAH ta’ala jaldi qubool farmata hai.******************Har waqt aur khas kar har namaz ke baad is tarah dua karne ki aadat rakhen :

(1) Khud ke liye aur apne walidain aur buzurgo aur shohar ya biwi aur aulad aur rishtedaro aur apne dosto azeezo aur khadimo ke liye dua e khair karen.

(2) Apne aaba wa ajdad (buzurgo) aur marhoomeen ke liye dua e magfirat karen.

(3) Ham se jin ke huqooqul ibaad me gunah hue hain un sab ke liye dua e khair wa magfirat karen.

(4) Ham par jin ke ehsan hain unke liye dua e khair wa magfirat karen.

(5) Jis ne hame dua karne ke liye kaha hai un sab ke liye dua karen ki ALLAH ta’ala unki nek jaiz murado ko puri farmae aur dunya aur aakhirat me bhalai aur kaamyabi ata farmae.

(6) Sab mo’mino ke liye dua karen ke ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me unke Eimaan ki hifazat farmae aur sahi ilme deen sikhne ki taufiq ata farmae aur sab ko sahi aqeede ke saath sahi amal karne ki aur har gunah aur buri bid’at se bachne ki taufiq ata farmae.

(7) Ye bhi dua karen ki Mazloomo ko zulm se hifazat ata farmae, Beemaro ko shifa aur sehat ata farmae, Karzdaaro ko karz se najaat ata farmae, Be-rozgaro ko halaal rizq ata farmae, Be-aulad ko mo’min saaleh aulad ata farmae.

(8) Kaafiro ke liye Dua karen ki ALLAH ta’ala unhe Eimaan ata farmae.Bad-mazhabo ke liye dua karen ki ALLAH ta’ala unko sahi aqeede ata farmae.Aur jo badkaar hain unke liye dua karen ke ALLAH ta’ala unhe nek sahi amal karne ki taufiq ata farmae.

Aameen.

Imaam Moosa al-Kaazim rehmatullahi alaihi :************Alqab : Kaazim (One who swallows his anger), Baabul Hawaaij (Door of fulfilment of needs).

************Aap ki wiladat 7 Safar 128 Hijri (6 November 745 A.D.) ko Abwā (Suadi Arabia) me hui.

Aap ke waalid ka naam Imaam Jaafar as-Saadiq bin Imaam Muhammad al-Baaqir aur waalida ka naam Hameeda Khaatoon hai.

Aap Husaini saadat hain.

Aap Aaimma e ahle bait ke 7we Imaam hain.

************Aap ki 4 biwiya aur 19 bete aur 18 betiya hain.

Aap ki biwiyo me Najmah mashhoor hai.

Bete : Ali al-Riza, Ibraheem, Abbas, Saalih, Qasim, Ahmad, Mohammad, Hamza, Ismaa’il, Jaafar, Haroon, Husain, Abdullah, Ishaq, Ubaidullah, Zaid, Hasan, Al-Fazl aur Sulaiman.

Betiya : Fatima al-Kubra, Fatima al-Sughra, Ruqayya, Ruqayya al-Sughra, Hakeema, Umme Abeeha, Umme Kulsum, Umme Salma, Umme Jaafar, Lubana, Alya, Ameena, Hasana, Bareeha, Aaisha, Zainab, Khadija aur Hajar Khatoon.

************Qual : Aap farmate hain :

(1) Dunya us saanp ki tarah hai jo dikhne me khubsurat lagta hai,Magar jitna qareeb jaaoge utna apne zeher se tumhe nuqsan pahunchaega.

(2) Dunya ki mohabbat samundar ke paani ki tarah hai. Pyaasa insaan kitna bhi use piye, pyaas aur badhti jaayegi aur yaha tak ki aakhir me wo mar jaayega.

(3) Halaal rizq haasil karne ke liye mehnat karne wala har insaan raahe khuda me jihad karne wale jaisa hai.

************Khalif Mansoor ke zamane me aap ke waalid ki shahadat ke baad aap 21 baras ki umr me Imaam bane.

Mansoor ne Madina ke governor Sulaiman ko Imaam Jaafar Saadiq ke tamam mutawali (trustee) ko qatl karne ka hukm diya. Us ne bataya ke ‘Imaam ke 5 mutawali me Mansoor, Sulaiman, Abdullah, Umme Hameeda aur Imaam Moosa saamil hain.’Ye sunkar Mansoor khamosh ho gaya.

************Kuchh waqt baad Mansoor ne aap ko bhi qaid karke rakha.Uske baad Mahdi aur Moosa ne bhi aap ko qaid karke rakha.179 Hijri (795 A.D.) me, Moosa ke bhai Haroon al-Rashid ne aap ko qaid kar liya.4 baras baad us ke hukm se Sindi ibn Shahiq ne Imaam ko zeher dekar shaheed kar diya.

************Aap ka wisal 25 Rajab 183 Hijri (1 September 799 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Kazimain (Iraq) me hai.

******************ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe meAur Imaam Moosa al-Kaazim rehmatullahi alaihi aur Ahle bait ke waseele seSab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.Aameen.

Hazrat Hujr bin Adi radiallahu ta’ala anhu :***************Aap Sahabi e Rasool hain.

Aap Kindah khandan se ta’alluq rakhte hain.

Aap kufa me rehte the.Aap Hazrat Ali radiallahu ta’ala anhu ke mushher (adviser) the.

***************Hazrat Ameer Muawiyah ke zamane me Ziyad ko Basra ke saath Kufa ka governor banaya gaya. Us ne khutba me Hazrat Ali radiallahu ta’ala anhu ko burai karna shuru kiya to Hazrat Hujr bin Adi ne aitraaz kiya.

39 Hijri (660 A.D.) me ek baar Ziyad namaze jum’ah me der se aaya to aap ne use waqt par aane ke liye samjhaya. Us ne aap ko aur aap ke 12 saathiyo par ye ilzam lagaya ke wo sab baadshah ki burai kar rahe hain aur uske khilaf bagawat karne ki saazish kar rahe hain.Us ne kaha ‘Agar tum log Hazrat Ali ko bura kehna shuru kar do tumhe riha kar diya jaayega.’ Un aashiqane ahle bait ne inkar kiya aur farmaya ‘Ham wo chiz hargiz nahi karenge jo ALLAH ta’ala ko napasand hai aur aakhri dam tak Hazrat Ali ke wafadar rahenge.’

Ye sunkar Ziyad ne aap ko giraftar karke Muawiyah ke paas le gaya. Us ne jhute gawah bhi jama kiye. Ameer Muawiyah ne jhuti gawahi par yaqeen karke Hazrat Hujr bin Adi, aap ke bete Humaan aur aap ke 7 saathiyo ko saza e maut ka hukm diya aur Abdur Rehman bin Hasan ko Kufa bhej diya gaya jin ko baad me Ziyad ne zinda zameen me dafn kar diya.

Aap ko Adra, Damishk (Sham /Syria) me dafn kiya gaya.

**************************21 Jamadil aakhir 1434 Hijri (2 May 2013) ko Abu Anas al-Wazir aur Abu al-Baraa ki sardari me wahabiyo ke ek giroh ne hamla karke aap ke mazaar ko tod diya aur aap ki qabr mubarak ko kholkar aap ke jism ko nikalkar kisi anjaan jagah par le gaye.

1395 baras baad bhi ALLAH ke karam se Aashiqe ahle bait Sahabi e Rasool ka jism mubarak bilkul waisa hi tha jaisa dafn kiya gaya tha.

Imaame aazam Abu Haneefa Numaan ibn Saabit rehmatullahi alaihi :*******************Laqab : Imaame aazam.

*******************Aap ki wiladat 80 Hijri (5 September 699 A.D.) me Kufa (Iraq) me hui.

Aap ke waalid ka naam Saabit bin Zuta hai.

Aap ke daada Fars (Iran) se Arab aa gaye the.

***********************Ek baar aap apni walida ko kuchh paigam pahunchane ke liye jaa rahe the.Tab aap Kufa ke mashhoor aalim Hazrat Sha’bi rehmatullahi alaihi ke ghar ke paas se guzre. Hazrat Sha’bi ne aap ko apna shagird samajhkar kaha ‘Apni class me jaakar padho.’ To aap ne kaha ‘Main to madrase me padhta nahi hu.’Tab Hazrat Sha’bi ne farmaya ki ‘Mujhe tum behad zaheen lagte ho. Tumhe kisi aalim ya buzurg ki sohbat me rehna chahiye.

Hazrat Sha’bi ki baat maankar aap Hazrat Hammad ibn Abi Sulaiman rehmatullahi alaihi ki sohbat me rehkar Ilme deen sikhne lage.

Aap ne Hazrat Imaam Sha’bi Kufi aur Hazrat Imaam Hammad se ahadees ka aur Hazrate Hammad se

Fiqh ka ilm haasil kiya.In ke ilawa aap ne Hazrat Aamir Ibn Shurahbeel, Alqama ibn Marthad, Ziyaad ibn Ilaqa, Adi ibn Saabit, Qataada Basri, Muhammed ibn Munkadir Madni, Simaak ibn Harb, Qais ibn Muslim Kufi aur Mansoor ibn Umar se bhi taaleem haasil ki.

Phir 102 Hijri me aap Madina shareef gaye aur Imaam Jafar as-Saadiq rehmatullahi alaihi se ilme deen hsil karna shuru kiya.Aap ne Sahabi e Rasool Hazrat Anas ibne Maalik radiallahu ta’ala anhu aur dusre bahut saare ashaba bhi Ahadees sikhi.

Aap mashhoor tabi’een me se hain.

***********************Aap ki umr 9 baras thi tab ek yahudi ne majme me musalmano se 3 sawal puchhe :(1) ALLAH agar hai to ALLAH se pehle kaun tha?(2) ALLAH ka chehra kis taraf hai?(3) ALLAH ka waqt kya kar raha hai?

Majme me maujood bahut saare ulema yahudi ke sawalo ke jawab ke baare me sochte rahe. Tab aap khade hokar aage aaye aur yahudi se kaha ‘Main tumhare sawal ke jawab deta hu.’Aap ne us se kaha ‘Ginti gino.’ Yahudi bola ‘1, 2, 3, 4, 5, 6, ….., 10.’Aap ne use rokkar kaha ‘Ab ulta gino.’ Wo bola ‘10, 9, 8,7, 6, ….., 2, 1.’Aap ne kaha ‘Ye batao 1 se pehle kya aata hai?’ Wo bola ‘Kuchh bhi nahi.’Aap ne farmaya ‘Isi tarah ALLAH se pehle koi bhi nahi.’

Phir aap ne ek chirag liya aur us se puchha ‘is chirag ki roshni ka munh kis taraf hai?’ Us ne kaha ‘Charo taraf hai.’Aap ne farmaya ‘Isi tarah ALLAH ka noor har taraf hai.’

Phir aap ne farmaya ‘Tum jaanna chahte ho ki ALLAH is waqt kya kar raha hai to uska jawab ye hai ki ALLAH ek 9 saal ke bache se ek yahudi ko zaleel karwa raha hai.’

***********************Aap ke waalid Kabul (Afghanistan) me kapdo ka kaarobar karte the.Aap apne waalid ke saath us kaarobar me the.Aap bahut imaandar the. Ek baar aap ke kaarinde (agent) ne kisi mulk me kisi ko reshmi kapda becha Lekin kapde me kuch nuqs tha wo khariddaro ko batana bhul gaya.Jab aap ko pata chala to aap bahut afsos karne lage kyun ke ye mumkin na tha ke aap us mulk me jaakar un khariddaro ko unki rakam wapas lauta sake. Aap ne foran wo sab maal gareebo ko khairat kar dene ka hukm kiya.

***********************Ek baar aap ne dekha ki ek shakhs ne aap ko dekhkar apna raasta badal diya. Jab use puchhne par pata chala ki us ne aap se 10000 dirham ka karz liya tha aur abhi uske haalat aise the ki wo use ada nahi kar sakta tha. Aap ne foran uska karz muaf kar diya taake agli baar use aap ke saamne aane par sharminda na hona pade.

***********************Ek baar aap mehfil me bethe the aur pata chale ki koi shakhs chat se gir gaya hai. Aap foran waha se nikalkar us jakhmi aadami ke paas gaye aur uski khidmat ki. Aur phir jab tak wo theek ho gaya tab tak roz uski iyadat aur khidmat ke liye tashreef le jaate.

***********************

Ek baar aap ko pata chala ke kisi ka bhaid (sheep) chori ho gaya hai. Is ke baad khane me us chori kiye gaye jaanwar ka gosht na aa jaaye is dar se aap ne 7 saal tak gosht nahi khaya kyun ki aap ko maaloom tha ki bhaid ki umr 7 saal hoti hai.

***********************Ek baar kisi ne aap se puchha ‘Hazrat Alqama radiallahu ta’ala anhu afzal hain ya Hazrat Aswad radiallahu ta’ala anhu?Aap ne farmaya ‘Khuda ki qasam, Ham to is laaik bhi nahi ki in sahaba ka zikr bhi karen, phir un me mawazana (farq) kaise kar sakte hain?’

***********************Ek baar aap ke shagird ne aap se kaha ki ‘Log kehte hain ki Imaam sahab raat bhar jaagkar ibadat karte hain.’Aap ne farmaya ‘Aaj se main aisa hi kiya karunga aur puri raat jaaga karunga. Kyun ki ALLAH ta'ala farmata hain ke Jo bande us chiz ki taarif ko pasand karte hain jo us me nahi hai wo hargiz azaab se na bach sakenge.’

Is ke baad aap ne 40 saal tak Isha’ ke wuzu se Fajr ki namaz padhi.

Qur’an shareef ki koi surah baaqi nahi thi jo aap ne apni nafl namaz me na padhi ho.

Aap ne jis jagah wafaat paai waha aap ne 7000 baar Qur’an shareef khatm kiya tha.

Har saal Maahe Ramzan me aap roz ek baar din me aur ek baar raat me Qur’an shareef mukammal kiya karte aur is tarah Tarawih me Imaamat ke dauran 1 Qur’an milakar Maahe Ramzan me kul 60 baar Qur’an shareef hote the.

Aap ne 55 baar Hajje baitullah ki sa’adat haasil ki.

***********************Qaul : Aap farmate hain :‘Agar koi dunya me martaba ya izzat ya maalo daulat haasil karne ke liye ilme deen sikhta hai to wo ilm kabhi uske dil me nahi reh sakta.’

***********************Aap ka mazhabe fiqh (School of law or Islamic jurisprudence) ‘Hanafi’ naam se mashhoor hai aur dunya me 50% se zyada musalman us par amal karte hain.

***********************Aap ne bahut saari kitaaben likhi hai.Jin me ye mashhoor hain :(1) Kitaab-ul-Aasaar (70,000 ahadees)(2) Kitaabul Aasaar(3) Musnad Imaamul Aazam(4) Fiqh al-Akbar(5) Kitaabul Rad alal Qaadiriyah(6) Aalim wal-muta’allim

***********************Aap ke kuchh mashhoor shagird :Imaam Muhammad al-Shaibani, Qaazi Abu Yusuf, Abdur Razzaq, Abdullah ibne Mubarak, Abu Naeem Faza, Abu Aasim, Muhammad Ibn Hasan, Zufar Ibn Huzail, Ismat Mugheera ibn Miqsam,Yunus ibn Is’haaq, Abu Bakr ibn Ayyaash, Ali ibn Aasim, Jaafar ibn Awn, Ubaidullah Ibn Musa.

*******************Aap ka 1 beta hai : Hammad.

*******************Aakhri Umayya Khalif Marwan ibn Muhammad ke zamane me Iraq ke Governor, Yazeed ibne Amr ne aap ko Qaazi ke ohde ke liye kaha. Aap apna waqt deen ki khidmat me guzarna chahte the aur dunya ke muamalat me fansna nahi chahte the. Is liye aap ne inkar kiya to usne aap ko bahut aziyat di. Aur waha se Makka chale gaye.

Phir 150 Hijri (767 A.D.) me, Abbasi Khalif Abu Jafar Mansoor ne aap ko Qaazi ke ohde ke liye kaha. Inkar karne par usne aap ko qaid me daal diya aur bahut aziyat di aur aakhir me zeher dekar aap ko shaheed kar diya.

Jab aap ne mehsoos kiya ki zeher diya gaya hai to foran aap ne wuzu kiya aur Namaze Shukr ada karne lage. Haalate namaz me hi aap ka wisal hua.

***********************Aap ka wisal 2 Sha’abaan 150 Hijri (767 A.D.) ko 70 baras ki umr me hua.

Aap ke janaza me 50000 se zyada log saamil hue aur 6 baar namaze janaza padhai gai.

Aap ka mazaar Baghdad (Iraq) me hai.

***********************ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe meAur Imaame aazam Abu Haneefa rehmatullahi alaihi aur Auliya Allah ke waseele seSab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.Aameen.

ME’ARAJUN NABI MUBARAK :***************17 Surah Bani Israeel Aayat 1 :

ه ه Zن Zنا إ ZنرZيه مZن آيات ذZي باركنا حوله ل Zلى المسجZدZ األقصى ال Z إ ZعبدZهZ ليال من المسجZدZ الحرام ذZي أسرى ب مZيع البصZيرسبحان ال و الس

Paak hai wo zaat jo raat ke thode se hisse me apne (mehboob) bande ko Masjide Haraam se Masjide Aqsa tak le gai, jiske ird gird ko hamne ba-barkat bana diya hai taake ham us ko apni (azeem) nishaniya dikhaen.Beshak wo khoob sunne wala khoob dekhne wala hai.

*********************Hadeese Nabawi :

(1) Phir Jibreil mujhe buraq par aasman ki taraf le chale. Jibreil ne aasman ka darwaza kholne ke liya kaha to puchha gaya ‘Aap kaun hain?’ Unho ne farmaya ‘Main Jibreil hu.’ Phir puchha gaya ‘Aap ke saath kaun hain?’ Farmaya ‘Hazrat Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wasallam.’ Phir puchha gaya ‘Un ko bulaya gaya hai?’ Farmaya ‘Haan, Bulaya gaya hai.’ Phir aasman ka darwaza hamare liye khol diya gaya. Maine Aadam alaihissalaam ko dekha. Unho ne mujhe Marhaba kaha aur mere liye bhalai ki dua farmai. Phir Jibreil mujhe dusre aaamna ki taraf le chale.

(Muslim shareef)

(2) Me’araj me mujhe jannat me le jaaya gaya. Waha ki imarate motiyo ki hai aur uski mitti mushk ki hai.(Bukhari shareef)

(3) Me’araj me ALLAH ta’ala ne mere seene par apna daste qudrat rakha, jis ki thandak maine apne dil me paai.(Mishkat shareef, Safa 42)

***********************Shabe Me’araj ka bayan :"""""""""""""""""""""12 Nabawi (621 A.D.) me Rajab ki Mubarak 27wi raat me ALLAH ta’ala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wasallam ko Me’araj ata farmai aur aap ko La makaan ki us bulandi par bulaya jis ka koi tasawwur bhi nahi kar sakta aur aap ko Rabb ta’ala ne apna deedar karaya aur aap se kalaam kiya aur Mo’mino ke liye Namaz ka tohfa ata farmaya.

***********************Is safar ke 2 hisse hain :(1) Al-Isra’ (Night Journey) – Masjide Haraam se Masjide Aqsa tak ka safar.(2) Al-Miraj (Ascension) – Masjide Aqsa se aasmano se hote hue La makaan tak ka safar.

***********************ALLAH ta’ala ke hukm se Hazrate Jibriel alaihissalam 70000 Farishto ki jama’at ke saath Buraq lekar RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam ko bulane ke liye aaye.

Us waqt Aap sallallahu alaihi wasallam Hazrate Umme Haani radiallahu ta’ala anha ke ghar par aaram farma rahe the.Hazrate Jibreil alaihissalam ne aap ke talwo ko bosa diya. Aur aap bedar hue to Rabb ta’ala ka farman bataya.

Phir aap wuzu karke Masjide Haraam me namaz padhke aap Jibreil alaihissalam ke saath Masjide Aqsa pahunche.Waha maujood tamam Ambiya wa mursalin aur Mala’ika ne aap ko salaam pesh kiya aur aap ne jawab diya.Phir aap ki Imaamat me sab ne namaz padhi.Phir sab se mu’aneka wa musafa karke rukhsat hue.

Phir waha se buraq par sawar hokar Hazrate Jibriel alaihissalaam ke saath jab aasman par pahunche aur puchhne par Jibreil ne bataya ki ‘Mere saath Hazrat Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wasallam hain jin ko ALLAH ta’ala ne bulaya hai.’ To aasman ka darwaza khul gaya aur aap andar dakhil hue.Yaha Hazrate Aadam alaihissalaam ne aap ko ’Marhaba’ kaha. Dusre aasman par Hazrate Yahya alaihissalaam ne mubarakbaad pesh ki aur teesre aasman par Hazrat Yosoof alaihissalaam, Chothe par Hazrate Idrees alaihissalaam, 5we par Hazrate Haroon alaihissalaam, chhathe par Hazrat Moosa alaihissalaam aur 7we par Hazrate Ibraheem alaihissalaam ne mubarakbaad pesh ki. Isi tarah har aasman par safar karte hue Ambiya se mulaqat karte hue aur waha ke ajeebo gareeb manzar dekhte hue 7we aasman par Sidratul munteha tak pahunche.Tab Hazrate Jibriel alaihissalaam ne arz kiya ke ‘Yaha se koi farishta aage nahi jaa sakta. Is liye aap khushi se tanha aage tashrif le jaayen.’

Phir aap waha se naazil hue ek takht ‘Raf raf’ par sawar hue.Aur jab Nalain mubarak utarna chaha to ALLAH ne mana farmaya.

Waha se Hijabe kibriya tak pahunche.Phir 70000 noor ke parde se guzrate hue Kaaba kausain me pahunche.Waha ALLAH ne apna noor zaahir kiya.Aap ne foran sajdah kiya aur apni ummat ki bakhshish ki dua ki.

Is ke baat Rabb ke deedar aur kalaam se sarfaraz hue.Aur ALLAH ta’ala ne ummat ke liye 50 waqt ki namaz ka tohfa ata farmaya.Phir Hazrate Moosa alaihissalaam ke mashware par baar baar jaakar 5 waqt kam karate karate 5 waqt ki namaz baaqi rahi.

Phir usi tarah wapas safar karte hue Baitul muqaddas wapas aaye aur waha tamam Ambiya ne aap ko mubarakbaad pesh kiya.

Phir waha se rukhsat hokar Hazrate Umme Haani ke ghar tashrif laaye.

********************************Aap jab wapas pahunche to jis jagah wuzu kiya tha waha se paani behte hue dekha aur makaan ki zanjeer ko hilte hue dekha aur aap ka bistar bhi garm tha.

*********************Me’araj ke muta’alliq kuchh khas baaten :"""""""""""""""""""""(1) ALLAH ta’ala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wasallam ko bulakar jismani me’araj ata farmai hai.

17 Surah Bani Israeel Aayat 1 :

Is Aayate mubaraka me ALLAH ta’ala ne farmaya hai ki‘ALLAH subhan wa ta’ala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wasallam ko raat ke waqt Me’araj ko bulaya aur use apni azeem nishaniya dikhai.’

Is aayat me lafz ‘Bi-abdihee’ aata hai.Jo ye ishara karta hai ki ALLAH ta’ala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wasallam ko bulakar jismani me’araj ata farmai hai.Kyun ki jism aur rooh milakar hi insaan dunya me zinda hota hai aur ALLAH ta’ala ki bandagi karta hai.

Is liye jo pyare Aaqa Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wasallam ki jismani me’raj se inkar karte hain, unke liye ye saboot hai ke ALLAH ta’ala ne farmaya hai ke usne apne Habeeb sallallahu alaihi wasallam ko Jism aur Rooh ke saath La makaan par bulakar me’araj ata farmai aur aap ne apne sar ki aankho se ALLAH ta’ala ka deedar kiya aur kalaam kiya.

Jo mazkoor ahadeese paak se bhi saabit hota hai.

(2) Masjide Haraam se Masjide Aqsa tak pahunchna ya Masjide Aqsa se pehle aasman tak ya Pehle aasman se dusre aasman tak ya dusre aasman se teesre aasaman tak aur isi tarah 7we aasman tak ya Sidartul muntaha tak pahunchna aur Jannat ki sair karna ya Waha tamam ajeebo gareeb manzar dekhna ye Huzoore akram sallallahu alaihi wasallam ki Me’araj nahi hai.Kyun ki Aasamano ka safar Farishte bhi kiya karte hain. Aur pehle aasaman par Hazrate Aadam alaihissalaam, dusre par Hazrate Yaahya alaihissalaam, teesre par Hazrat Yosoof alaihissalaam, chothe par Hazrate Idrees alaihissalaam, 5we par Hazrate Haroon alaihissalaam, chhathe par Hazrate Moosa alaihissalaam aur 7we par Hazrate Ibraheem alaihissalaam aur isi tarah har aasmano par Ambiya maujood the.

Huzoore akram Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wasallam Khaire khalqillah aur Ashraful Ambiya aur Sayyedul Ambiya hain. Is liye tamam Ambiya se bhi zyada Fazeelat wale maqam par pahunchna hi aap sallallahu alaihi wasallam ki Me’araj hai. Ya’ni ALLAH ta’ala ke bulane par Shaano shaukat ke saath Rabb ke mehman bankar La makaan par Rabbul aalamin ke bilkul qareeb pahunchkar be-hijab Rabb ta’ala ka deedar karna aur us se kalaam karna ye Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki Me’araj hai.

(3) ALLAH ta’ala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wasallam ko bulakar Me’araj ata farmai, Is me Rabbul aalamin ke bahut saare maqasid hain.

Un me se 2 maqasid khas hain :

[1] ALLAH ta’ala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wasallam ko raat ke thode se hisse me Masjide Haraam se La makaan par bulakar me’araj ata farmai aur is baat ko saabit kiya ki Main sab ka Rabb hu, Maalik hu, Qadire mutlak hu, jo kaam jab bhi, jis tarah karna chahu wo kar sakta hu.[2] ALLAH ta’ala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wasallam ko La makaan ki bulandi par bulakar me’araj ata farmai aur be-hijab apna deedar karaya aur kalaam kiya aur ye bataya ke mera Habeeb Khaire khalq aur Ashraful Ambiya hai aur uska martaba itna buland hai ki waha tak uske siwa koi aur pahunch nahi sakta aur maine use sab se zyada aur behtareen ata kiya hai ki tum sab uske martabe ko jaano aur maano.

(4) Me’araj ke baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ashaba ko me’araj ki baaten bayan kar rahe the. Hazrate Abu Baqr radiallahu anhu thoda der se aaye. Aap aakar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke qareeb jaakar bethe. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne phir se shuru se pura bayan shuru kiya. Aur Hazrate Abu Baqr radiallahu anhu har baat par farmate ‘Sadaqata Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam.’Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne khush hokar aap ko ‘Siddeeqe akbar’ ka laqab ata farmaya ya’ni Tamam Siddeeq me sab se bada.

Is tarah ashaba aur tabe’in aur har zamane me tamam Aashiqane Rasool mo’mino ne Me’arajun Nabi ko Tasleem kiya aur apne ishqe rasool ka saboot diya.

Aur jo Munafiq the unho ne aitraaz kiya aur aaj bhi bad-mazhab (munafiq) is ka aitraaz karte hain.5 waqt ki farz namaz ALLAH ta’ala ki ibadat ke liye padhte hain, magar jis raat me ALLAH ta’ala ne apne Habeeb Huzoor sallallahu alaihi wasallam ko apne ummatiyo ke liye namaz ka tohfa diya use maanne se inkar karte hain.Ye Mo’min aur Munafiq ke darmiyan farq hai.

(5) ‘Me’araj’ Huzoor sallallahu alaihi wasallam ka sab se bada Moazeeza hai. Me’araj ki haqeeqat jaanne ke baad beshumar log Huzoor Sarware kaunain Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam par Eimaan laakar musalman hue aur mo’mino ke eimaan aur mazboot hue.

(6) Shabe Me’araj me 5 waqt ki namaz musalmano par Farz ki gai.Magar aisa nahi ki Me’araj ke baad hi Islam me namaz shuru hui hai, Namaz to pehle bhi Ashaba ALLAH ta’ala ki ibadat maankar Huzoor Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ki ita’at me padhte the.

Namaz ko Mo’min ki Me’araj kehte hain.Huzoor Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ki me’araj ye hai ki ALLAH ta’ala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wasallam ko La makaan ki bulandi par bulakar be-hijab apna deedar karaya aur kalaam kiya.Aur jab mo’min namaz me ye tasawwur kare ki main ALLAH ta’ala ko dekh raha hu aur ye mumkin na ho to ye tasawwur kare ki Mera Rabb mujhe dekh raha hai aur tamam sharait, faraiz, wajibat aur suunnat ke saath sahi tareeqe se namaz ada kare aur namaz ke fayuzo barkaat haasil kare to ye

Mo’min ki Me’araj hai.

Mo’min ko chahiye ki ALLAH ta’ala ki raza ke liye Ishqe Rasool ke saath pabandi ke saath Namaz ada kare.

********************************ALLAH ta’ala is mubarak raat ke sadqe me uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me, Ahle bait, Auliya Allah, Shohada aur Saaleheen ke waseele se Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae. Sab ko hidayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko pabandi ke saath Namaz padhne ki aur nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya aur aakhirat me bhalai aur kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.Aameen.

Shab e Meraj ki Ibadaat :

************Maahe Rajab ki 27wi shab ko baad namaze Isha in namazo ko khas padhen.

(1) 12 Rak’at namaz 4-4 karke padhen.Pehli 4 rak’at me har rak’at me Surah Fateha ke baad 3 martaba Surah Qadr padhen.Salaam ke baad baith kar 70 martaba LA ILAHA ILLALLAHUL MALIKUL HAQQUL MUBEEN padhen.Dusri 4 rak’at me har rakaat me Surah Fateha ke baad Surah Nasr 3 martaba padhen.Salaam ke baad baith kar 70 martaba LA ILAHA ILLALLAHUL MALIKUL HAQQUL MUBEEN padhen.Teesri 4 rak’at me har rak’at me Surah Fateha ke baad Surah Ikhlaas 3 martaba padhen.Salaam ke baad baithkar 70 martaba Surah Alam nasrah padhen.Phir yaqeen ke saath ALLAH subhan wa ta’ala ki baargah me us ke Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke waseele se dua karen. In sha Allah ALLAH ta’ala har jaiz haajat puri farmaega.

(2) 4 rak’at namaz 2-2 karke padhen.Har rak’at me Surah Fateha ke baad Surah Ikhlaas 27 martaba padhen.Salaam ke baad 70 martaba Durood shareef padhen aur apne gunaho ki magfirat talab karen. In sha Allah ALLAH ta’ala apni rehmat e kaamila se gunah muaf farmakar magfirat farmayega.

(3) 20 rak’at namaz 2-2 karke padhen.Har rak’at me Surah Fateha ke baad Surah Ikhlaas 1 martaba padhen.

Phir yaqeen ke saath Dua karen. In sha Allah ALLAH ta’ala jaano maal ki hifazat farmaega.

Agar koi Surah yaad na ho to har rak’at me Surah Fatiha ke baad Surah Ikhlaas ya dusri jo Surah yaad ho wo padhen.

Aur kisi wajah se tamam namaz na padh saken to jitni padh sakte hain utni padhen aur phir Tilawate Qur’an, Kalma, Zikr ya Durood shareef padhte rahen.

Aur apne liye aur tamam ummate Mustafa ke liye Dua e khair aur apne aaba wa ajdad aur tamam marhoomin ke liye De mugfirat karen.

Jin ki namazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaz padhen taake bariuz zimma ho jaaye.Aur tauba karke ye pakka ahad karen ke aainda sab namaz waqt par ada karne ki koshish karenge aur namaz ke fayuzo barkaat haasil karte rahenge.

************Maahe Rajab ki 27wi tarikh ko baad namaze Zohar 4 rak’at namaz ek salaam se padhen.

Pehli rakat me Surah Fateha ke baad Surah Qadr 3 martaba, Dusri me Surah Fateha ke baad Surah Ikhlaas 3 martaba, Teesri me Surah Fateha ke baad Surah Falak 3 martaba aur chothi me Surah Fateha ke baad Surah Naas 3 martaba padhen.Salaam ke baad Durood shareef 100 martaba aur Astagfar 100 martaba padhen.

Phir yaqeen ke saath ALLAH subhan wa ta’ala ki baargah me us ke Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke waseele se dua karen. In sha Allah ALLAH ta’ala har jaiz murad puri farmaega.

Imaam Ali al-Haadi rematullahi alaihi :**********Aap ki wiladat 2 Rajab 212 Hijri (27 September 827 A.D.) ko Madina me hui.

Aap ke waalid ka naam Imaam Muhammad al-Taqi ibn Imaam Ali Raza rehmatullahi alaihi aur waalida ka naam Sumaanah hai.

Aap Husaini saadat hain.

**********Aap bachpan se bahut hi zaheen the.Aap ke waalid ki shahadat ke baad aap Imaam bane.Aap Aaimma e Ahle bait ke 10we Imaam hain.

Aap ke 3 bete hain :(1) Hasan al-Askaree,(2) Muhammad,(3) Abdullah Jafar Zaki.

**********Aap masjide Nabawi me logo ko ilme deen ki taaleem dete. Aap talba ko aur hajatmando ko imdad karte rehte the. Aap ki sakhwat aur ilm se log aap ki bahut izzat karte the.

Ek baar ek shakhs ke upar bahut karz ho gaya. Aap ne use bulakar 30000 dirham diye. Us ne kaha ‘Huzoor, Mera karz sirf is rakam ka ek tihai ya’ni 10000 dirham hi hai.’ Aap ne farmaya ‘Theek hai. Magar ab tum wo puri rakam apne paas rakho aur baqi ki rakam apne ghar walo ke liye kharch karna take phir se tumhe karzdar na hona pade.’ Ye sunkar wo sab shakhs adab ke saath aap ke kadmo me gir gaya.

**********Madina ke governor Abdullah bin Muhammad ne Abbasi khalif al-Mutawakkil bin al-Mu’tasim ko kaha ki ‘Imaam maal jama karke hathiyar jama kar rahe hain aur us ke khilaf bagawat karenge.’Aap ko jab is baat ka pata chala to aap ne al-Mutawakkil ko khat likhkar bataya ki ‘Us ko jo baat batai gai hai hai wo galat hai aur Ahle bait se bugz ki wajah se Abdullah bin Muhammad ne ye sab kiya hai.’

al-Mutawakkil ne aap ko jawabi khat me likha ‘Maine governor ko bartarf kar diya hai aur aap Samarra mere paas aa jaao take aap ki hifazat kar saken.’Aap ne jab ye khat padha to aap samajh gaye ki asl me ye sab mujhe Madina nikalne ke liye ho raha hai. Magar aap jaante the agar main nahi gaya to wo zabar dasti le jaaya jaaega.

Jab al-Mutawakkil ke hukm se Yahya bin Harsama ne Madina aakar aap ke ghar ki talashi li to use Qur’an shareef aur deeni kitaabo ke ilawa kuchh na mila.Magar wo al-Mutawakkil ke hukm se Imaam ko Madina se Samarra ke liye apne saath lekar nikla. Raaste me jab kaafila Baghdad pahuncha to Yahya bin Harsama ki mulaqat Baghdad ke governor Isaaq

bin Ibraheem Zahiri s hui. Us ne tamam baat sunkar use mashwara diya ‘Agar tum Samarra jaakar Imaam ke baare me galat baat bataoge aur agar al-Mutawakkil Imaam ko qatl kar dega to is gunah ke zimmedar tum honge.’Samarra pahunchkar Yahya bin Harsama ne al-Mutawakkil ke baare me achhi baate batai aur kaha ‘Imaam ke ghar me aisi koi chiz nahi mili hai jo Abdullah ke iljam ko sahi saabit kare.’Is se al-Mutawakkil ko itminan hua aur Imaam se mila. Phir bhi us ne Imaam ko Samarra me ek makan me rehne ke liye kaha aur is tarah 232 Hijri me aap ko pariwar ke saath nazar qaid karke rakha.

Is ke baad Imaam ke husne akhlaq se aap ki izzat badhne lagi to al-Mutawakkil ne ek jalsa munaqid kiya jis me bahut saare ulema aur fuqaha ko bulaya aur Ibne Sakkit ko aise mushkil sawal tayyar karne ko kaha jin ke jawab Imaam na de sake take wo unhe zaleel kar sake.Jab jalse me Ibne Sakkit ne Imaam se wo sawal puchhe to aap ne uske behtar jawab diye. Phir al-Mutawakkil ne Imaam se puchha ‘Kya mere bete Hasan wa Husain ibn Ali se zyada mohtaram hain?’ Aap ne farmaya ‘Hazrate Ali ka gulam Qambar bhi tumhare beto se zyada mohtaram hai.’

Is ke baad al-Mutawakkil ne logo ko Imaam ko tohfe dene se mana farmaya ke kahi us maal se Imaam hathiyar jama karke jang na kare.Aur kai baar apne sipahiyo ko bhejkar aap ke makaan ki talashi leta raha. Magar har baar aap ke ghar me se koi aisi chiz nahi mili.

Imaam ki izzat aur shohrat se pareshan hokar al-Mutawakkil ne kuchh gair-muslim ko maal dekar Imaam ko qatl karne ke liye kaha. Magar jab us ne Imaam ko pehredaro ke saath aate dekha to apna irada badal diya aur un shakhso ko rok diya.

Is ke baad 247 Hijri (861 A.D.) me al-Mutawakkil ne apne afsaro aur tamam mashhoor logo ke liye farman jaari kiya ki ‘Jab wo apne sawari par ho to tamam logo ko nange pair chalna hoga.’

Jab us ka zulm badhne laga to Imaam ne Qur’an ki aayat tilawat ki ‘Tum 3 din apne ghar me maza (lutf) le lo, ye wada hai jo jhutlaya nahi jaayega.’Is ke 3 din baad al-Mutawakkil ko uske bete al-Muntasir ne turk hukoomat ke kuchh shakhs ke saath milkar qatl kar diya.

Is ke baad al-muntasir ke zamane me kuchh waqt ke liye aap ko riha kiya.Magar us ke inteqal ke baad al-Mustaeen aur al-Mu’tazz ke zamane me phir se aap ko nazar qaid kar liya.

**********al-Mu'tazz ke zamane me aap ko qatil zeher diya gaya. Jis ki wajah se aap ko shadeed dard hone laga aur aap ki shahadat hui.

Aap ne pehle se hi apne liye apne makaan me ek qabr tayyar ki thi.Aap ke saahabzade Imaam Hasan al-Askari ne aap ko gusl aur kafn dekar namaze janaza padhkar aap ki wasiyat ke mutabik usi qabr me dafn kiye.

Aap ka wisal 3 Rajab 254 Hijri (28 June 868 A.D.) ko hua.Aap ka mazaar Samarra (Iraq) me hai.

**********ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe meAur Imame Ali al-Haadi rehmatullahi alaihi aur Ahle bait waseele seSab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz

murado ko puri farmae.Aameen.

Hazrat Khwaja Moinuddeen Hasan Chishti rehmatullahi alaihi :***********************Alqab : Khwaja Gareeb Nawaz, Ata e Rasool, Sultan-ul Hind.

***********************Aap ki wiladat Sajistan (Sistan), Khorasan (Afghanistan) me 536 Hijri (1141 A.D.) me hui.

Aap ke Waalid ka naam Khwaja Sayyed Ghayasuddeen bin Ahmad Hasan rehmatullahi alaihi hai (Jo Husaini saadat hain) aur waalida ka naam Bibi Ummal wara (Bibi Maahe Noor) binte Hazrat Sayyed Dawood rehmatullahi alaihi hai (Jo Hasani saadat hain).

8 baras ki umr me aap ke waalid ka inteqal hua aur 16 baras ki aap ki waalida ka inteqal hua.

************************544 Hijri me Ek baar aap apne phalo ke bagiche me kaam kar rahe the, tab Hazrat Ibraheem Qandoozi naam ke ek durwesh waha aae aur bethe. Aap ne unko apne bagiche me se angoor ka guchha pesh kiya aur Unho ne use khaya aur mehman nawazi se khush hokar apne thele me kuch nikala aur use chabakar Khwaja ko khane ke liye diya. Aap ne khushi ke saath use khaya to unke fayuzo barkaat se aap ke liye ilmo hikmat ke darwaze khul gaye. Aur aap ne apna sab kuchh bech diya aur us rakam ko gareebo aur mohtajo ko khairat kar diya aur phir aap Samarkand and Bukhara ki taraf ilme deen sikhne ke liye rawana ho gaye.

544 se 550 Hijri tak aap waha Hazrat maulana Hisaamuddeen aur Hazrat Maulana Sharfuddeen ke paas ilme deen sikhte rahe.

551 Hijri (1156 A.D.) me aap ki mulaqat Huzoor Gause aazam radiallahu ta’ala anhu se hui.

**********************Aap ek kaamil peer ki talash kar rahe the ke aap ne Khwaja Usman Haarooni rehmatullahi alaihi ke baare me suna. 552 Hijri me Aap unke paas gaye aur unke mureed hue. Aur Ibadate ilahi aur Khidmate murshid karte rahe.

Ek baar Khwaja Usman Harooni ne aap se kaha ke ‘Moinuddeen niche dekho, kya dikhta hai?’ Aap ne niche dekhkar kaha ke ‘Main zameen ke andar dekh sakta hu.’ Peer ne phir kaha ke ‘Ab upar dekho, Kya dikhta hai?’ Aap ne upar dekhkar kaha ke ‘Main aasman ke andar dekh sakta hu.’ Peer ne farmaya ke ‘Main tumhe is se bhi aage pahunchana chahta hu.’Phir 22 saal peer ki khidmat me guzarne ke baad, ek din peer ne phir bulakar apni do ungliya aap ki dono aankho ke bich me rakhi aur phir farmaya ‘Moinuddeen, niche dekho, kya dikhta hai?’ Aap ne niche dekhkar kaha ‘Main tehtussara tak dekh sakta hu.’ Phir peer ne kaha ‘Ab upar dekho, Kya dikhta hai?’ Aap ne upar dekhkar kaha ‘Main arshe aazam tak dekh sakta hu.’Khwaja Usman Harooni ne khush hokar aap ko khilafat ata farmai.

**********************Ek baar aap ke peer Khwaja Usman Harooni rehmatullahi alaihi ne apne sab mureedo ko jama karke kaha ke ‘Maine tumhe jo ilm sikhaya hai us se kuch karamat pesh karo.’ Sab mureedo ne bari bari karamat se koi chiz pesh ki. Kisi ne sona, kisi ne chandi, kisi ne hire jawaharat, kisi ne dinaro dirham pesh kiye. Khwaja Moinuddeen ne roti ke tukde pesh kiye. Sab mureed hansane lage.

Itne me darwaje par ek sa’il ne aawaz di ke ‘Main kai din se bhuka hu. Mujhe khane ke liye kuchh de do.’ Sab ne apni apni chize usko dena chaha. Magar us sa’il ne kaha ke ‘Main is sona -chandi, hire jawaharat, dinaro dirham ka kya karun? Mujhe to khane ke liye kuchh do.’Phir Khwaja ne apne roti ke tukde us ko de diye. Us ne use lekar bahut saari duaen di.Is ke baad Khwaja Usman Harooni ne farmaya ki ‘Aye Moinuddeen, tum ‘Gareeb nawaz’ ho’.

*********************555 Hijri me Hazrat Shaikh Ziyauddeen Abu Najib Abdul Qadir Suharwardi rehmatullahi alaihi se mulaqat hui.

561 Hijri me Daata Ganj Bakhsh rehmatullahi alaihi ke mazaar par Chilla-kashi ki.

*********************563 Hijri me Khwaja Usman Harooni ne aap ko jhubba mubarak ata kiya aur apne saath hajj ko lekar gaye.

Ek baar aap Makka shareef me Masjide Haram me ibadat me mashgool the. Itne me gaib se aawaz aai ‘Aye Moinuddeen, Hum ne ise qubool farmaya.’

Is ke baad jab Madina shareef pahunche aur Huzoor Sarware kaunain sallallahu alaihi wasallam ko Salaam pesh kiya ‘Assalatu Wassalaamu Alayka Ya Rehmatullil Alamin’ to Roza mubarak me se jawab aaya ‘Wa Alaikum Salaam Ya Qutbul Mashaikhe Bahro Bar’ (Aur tum par bhi salaamati ho, Aye zameen aur samundar ke buzurgo ke Qutub’.

*********************581 Hijri (1185 A.D.) me Gail me Huzoor Gause aazam radiallahu ta’ala anhu se dobara mulaqat hui aur aap unke saath 57 din tak rahe.

582 Hijri me Isfahaan me Khwaja Qutbuddeen Bhakhtiyar Kaki ko mureed banaya aur 585 Hijri me Samarkand me unko khilafat ata farmai.

**********************585 Hijri me aap Khwaja Qutbuddeen Bhakhtiyar Kaki ke saath Harmain shareefain gaye.

Aap Makka shareef me Masjide Haram me ibadat me mashgool the. Itne me gaib se aawaz aai 'Tera Rabb tujh se raazi hai, jo chaho maang lo.’ Aap ne farmaya ‘Aye mere Rabb, silsila e chishtiya me daakhil hone walo ko bakhsh de.’ Phir aawaz aai ke ‘ Maine tumhari dua qubool farmai hai aur Qayamat tak ke silsila e chishtiya me dakhil hone wale ummate mohammadi ko bakhsh diya hai.’

Is ke baad Madina shareef me the tab Sarkare Madina Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne khwab me tashreef laakar farmaya ke ‘Aye Moinuddeen, Tum deen ke madadgar ho. Tum ab Hindustan jaao aur waha jaahiliyat ko door karke logo ko deene islam ka sahi rasta dikhao.’

********************Raaste me bahut saare sufi auliya se fayuzo barkaat haasil karte hue aur hazaro logo ko apna faiz ata karte aur deen ki sahi raah dikhate hue aap Hindustan me Lahore me kuchh arse ke liye rooke aur phir waha se 587 hijri (1190 A.D.) me 52 baras ki umr me Rajputana (Rajasthan) ilake ke Ajmer me pahunche. Jaha PrithviRaj Chauhan ki hukoomat thi.

Ek baar Khwaja apne saathiyo ke saath ek darakht ke niche bethe the. Itne me Raja ke sipahiyo ne aakar kaha ke ‘Tum sab yaha se khade ho jaao. Ye raja ke oonto ke bethne ki jagah hai.’ Aap ne kaha ke ‘Ye oont doosri koi jagah par bhi beth sakte hain.’ To unho ne kaha ke ‘Nahi, Ye oont roz yahi par bethte hain.’ To aap waha se khade ho gae aur farmaya ke ‘Theek hai. Ab ye oont yahi par bethenge.’

Aur aap door chale gaye.

Phir kuchh waqt ke baad sipahiyo ne oonto ko khade karne ki koshish ki to wo waha se khade na hue. Bahut koshish karne ke baad nakaam hokar wo sab raja ke darbar me haazir he aur saari baaten bayan ki. To usne kaha ke ‘Tum us faqeer ke paas jaao aur us se muafi maango.’

Wo sipahi khwaja ko dhundhte hue waha pahunche aur muafi maangi. Khwaja ne farmaya ke ‘Jaao, tumhare oont khade ho gaye hain.’ Unho ne waha jaakar dekha to wo oont khade ho gaye the.

**********************Is ke baad aap ne bahut saari karamate dikhai. Jis me Anna sagar ko apne kaanse me sama lena aur Ajaypal jadoogar ke fenke gaye patthar ko aasman me hi rok dena aur usko musalman banana mashhoor hai.

**********************Ek baar aap Ana sagar ke paas se guzar rahe the ki aap ne ek aurat ki rone ki aawaz suni. Puchhne par pata chala ke wo aurat bahut gareeb thi aur uski gay mar gai thi. Aap us ke saath us gaae ke paas gaye aur dua ki to wo gaae zinda ho gai. Ye dekhkar wo aurat aap ke kadmo me gir gai.

**********************Aap ne apne Roohani faiz aur Karamaat aur Husne akhlak se Hinadustan me Islam ki bunyad mazboot ki aur bulandi aur waqar ata farmaya.

Aap ne 90 lakh logo ko Islam me dakhil kiya.

************************589 Hijri me Ajmer me Shahabuddeen Ghori aap ke mureed bane.

611 Hijri me aap Delhi tashreef le gaye. 

***********************Aap 7wi sadi ke Mujaddeed hain.

Aap ne bahut saari kitaabe likhi hain,Jin me Anees al-Arwaa aur Daleel-ul Aarifeen mashhoor hain.

***********************Aap farmate hain :

(1) Kisi ka dil na dukhao,Ho sakta hai ki wo aansu tumhari saza ban jaaye.

Dukhiyo ki madad karna aur un ki fariyaad sunna afzal Ibaadat hai.

(2) Jhuti Qasam khane se ghar me se Barkat chali jaati hai.Hamesha sach baat kaha karo.

***********************Aap ki 2 biwiya hain aur 3 bete aur 1 beti hain.

Bibi Ummatullah se (Nikah 590 Hijri) 2 bete aur 1 beti :(1) Khwaja Fakhruddeen rehmatullahi alaihi(2) Khwaja Hisaamuddeen rehmatullahi alaihi

(3) Bibi Hafeeza Jamaal rehmatullahi alaihi.

Bibi Asmatullah binte Sayyed Wajihuddeen Mashhadi se (Nikah 620 Hijri) 1 beta :Hazrat Khwaja Ziyauddeen Abu Saeed rehmatullahi alaihi.

***********************Aap Khwaja Usman Harooni rehmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se Hindustan me Chishtiya silsila jaari hai.Aap ke bahut saare mureedo ne Hindustan me deene islam ki isha’at ka kaam jaari rakha.

Aap ke 2 khalifa mashhoor hain :(1) Hazrat Khwaja Qutbuddeen Bakhtiar Kaki rehmatullahi alaihi (Delhi) (2) Hazrat Khwaja Hameeduddeen Naagori rehmatullahi alaihi (Delhi).

In ke ilawa aap ke silsile (khalifa ke khalifa) me bahut saare auliya Allah mashhoor hain :

Hazrat Khwaja Fareeduddeen Ganje shakar rehmatullahi alaihi (Pak Pattan),Hazrat Khwaja Alauddeen Ali Ahmad Saabir rehmatullahi alaihi (Kaliyar),Hazrat Khawaja Shamsuddeen Turk Panipati rehmatullahi alaihi,Hazrat Khwaja Nizamuddeen Awliya rehmatullahi alaihi (Delhi),Hazrat Khwaja Nasiruddeen Chirage Delhi rehmatullahi alaihi (Delhi), Hazrat Ameer Khusro (Delhi), Hazrat Burhanuddeen Ghareeb (Khuldabad [Maharashtra]), Hazrat Jalaluddeen Bhandari (Fatehabad [Maharashtra]), Hazrat Muhammad Hussaini Gesudaraz Banda-nawaz rehmatullahi alaihi (Gulbarga [Karnataka]), Hazrat Sayyed Ahmad Badepaa (Lancer [Hyderabad]), Hazrat Sirajuddeen Aqi Siraj (Aaina-e-Hind) rehmatullahi alaihi (Gaur [West Bengal]), Sayyed Mahmood Kashkinakar rehmatullahi alaihi,Hazrat Shah Niyaz Ahmad rehmatullahi alaihi (Bareilly),Hazrat Shaikh Ala-ul Haq Pandawi rehmatullahi alaihi,Hazrat Auhaduddeen Makhdoom Ashraf Simnani rehmatullahi alaihi (Kichauchha),Hazrat Sayyed Abdur Razzaq Noorul ain rehmatullahi alaihi.

**********************Wisal se pehle aap apne hujre me Tilawate Qur’an karte rahe.

Aap ka wisal 6 Rajab 633 hijri (March 16, 1236) ko 97 baras ki umr me hua.

Aap ko aap ka mazaar Ajmer (Rajasthan) me hai.

***********************Wisal ke baad bhi aap ka faiz aur karamaat jari hai.Aap ke mazaar par haazir hone walo aur aap ke waseele se dua maangne walo koALLAH ta’ala har nek jaiz murad ata farmata hai.

Jis me ye qissa bahut mashhoor hai.Ek baar Baadshah Aurangzaib rehmatullah alaihi Khwaja Gareeb nawaz rehmatullah alaihi ke mazaar ki ziyarat ke liye Ajmer gaye. Ajmer pahunchkar aap ne kaha ke 'Main maanta hu ke Khwaja Gareeb nawaz rehmatullah alaihi ALLAH ke wali hain magar main jab mazaar par unko salaam pesh karu to mujhe jawab milna chahiye, warna main mazar ko tod dunga.'

Aap jab a par pahunche to waha ek andha shakhs bethkar ilteja kar raha tha.Aap ne puchha ke ‘Aye shakhs kya muamala hai?' Us shakhs ne kaha ke ‘Main bahut arse se Khawaja ke waseele se dua kar raha hu ke mujhe aankho ki roshni mil jaaye. Lekin koi faida nahi hua.’

Aap ne us se kaha ke ‘Main mazaar me salaam karke aata hu, agar tujhe aankh ki roshni nahi mili to talwar se teri gardan kaat dalunga.’

Wo andha shakhs pareshan ho gaya ke ab to aankh ke saath jaan par baat aa gai hai. Wo aur zor se Khwaja ke waseele se dua maangne laga.

Jab Aurangzaib ne Khwaja ko salaam kiya to uska jawab na mila, dobara salaam kiya to jawab na mila, phir jab teesri bar salaam kiya to aahista se jawab mila.

Phir Khwaja ne mazaar me se farmaya ke ‘Aye Aurangzaib, Aainda kabhi aisi jeed mat karna. Tumhari jeed ki wajah se us andhe shakhs ki aankho ki roshni laane ke liye main arshe ilahi par gaya tha. Aur is liye salaam ka jawab dene me thodi der ho gai.’

**********************ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe meAur Khwaja Gareeb nawaz Ata e Rasool rehmtullahi alaihi aur Ahle bait aur Auliya Allah ke waseele seSab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur sab ke Eiman ki hifazat farmae aur sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.Aameen.

Maahe Rajab Mubarak.********Is barkat aur rehmat aur fazeelat wala mahine me ALLAH ta’ala ne apne karam se mo’mino ko kuchh khas mubarak din ata farmae hain :

(1) 27 Rajab – Shabe Me’araj

Jis me ALLAH ta’ala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wasallam ko Me’araj ata farmai aur aap ko La makaan ki us bulandi par bulaya jis ka koi tasawwur bhi nahi kar sakta aur aap ko Rabb ta’ala ne apna didar karaya aur aap se kalam kiya aur Mo’mino ke liye Namaaz ka tohfa ata farmaya.

(2) 13 Rajab – Yaume Wiladat Hazrat Ali al-Murtaza Radiallahu ta’ala anhu.

(3) 15 Rajab – Yaume Wisal Imaam Jaafar al-Saadiq Rehmatullahi alaihi.

(4) 25 Rajab – Yaume Wisal Imaam Moosa al-Kaazim Rehmatullahi alaihi.

(5) 3 Rajab – Yaume Wisal Imaam Ali al-Haadi (an-Naqi) Rehmatullahi alaihi.

(6) 6 Rajab – Yaume Wisal Khwaja Gareeb Nawaz Rehmatullahi alaihi.

(7) 5 Rajab - Yaume Wisal Hazrat Khwaja Hasan Basri Rehmatullahi alaihi.

Hazrat Khwaja Moinuddeen Chishti rehmatullahi alaihi ko ALLAH ta’ala ne Hindustan me ‘Ata e Rasool’ banakar bheja aur Aap ne apne Roohani faiz aur Karamaat aur Husne akhlaq se Hinadustan me Islam ki bunyad mazboot ki aur bulandi aur waqar ata farmaya.

********Dua e Maahe Rajab-ul Murajjab :

غنا رمضان اللهم بارZك لنا في رجب و شعبان و بل

Allahumma baarik lana fee Rajab wa Sha’abaan wa balligna Ramdaan.

Tarjuma :

Aye ALLAH, Hame Maahe Rajab aur Sha’abaan ki barkate ata farma aur Maahe Ramzaan tak pahunchne me aasani ata farma.

Translation :

O ALLAH, Grant us blessings in the month of Rajab & Sha’abaan & make us reach safely the month of Ramzaan.

********ALLAH ta’ala is Maahe mubarak me uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me aur Ahle bait aur Khwaja Gareeb nawaz rehmatullahi alaihi ke waseele seSab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ko hidayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Hamare nek amal qubool farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi aur izzat ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.Aameen.

Jum’ah Mubarak.*********Ya Rabbul aalameen, Tu Aleem hai, Hakeem hai, Raheem haiAur hamare liye jo behtar hai wo ata farmata hai.

Ye tera ehsane azeem hai ke teri rehmat se hame Musalman banaya.Sadqe me Mustafa ke hame mukammal ishqe rasool aur hidayat ata farma de.

Ta’azeeme Rasool aur Ita’ate Rasool karne wala Aaqa ka gulam bana de.Pairwi e rasool karke Sunnate apnane wala sacha aashiq bana de.

Gunaho se bachne wala aur tauba karne wala nek banda bana de.Sahi ilme deen sikhkar ilm wa amal se dusro ki islah karne wala bana de.

Ilm me, Rizq me, Sehat me, Aulad me khairo barkat ata farma de.Tera shukr karne wala aur sab ke liye Dua karne wala bana de.

Dunya wa aakhirat me bhalai aur izzat ata farma de.Tamam pareshaniyo se najaat aur amno sukoon ata farma de.

Naza ke waqt kalma e shahadat aur khatma bil khair ata farma de.Qabr ki aur Qayamat ki paresahniyo se hifazat aur shafa’ate Rasool ata farma de.

Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiallahu ta'ala anhu :*************Alqab : Siddeeqe akbar, Gaare yaare nabi, Afzalun naas ba’adal Ambiya, Saani isnain, Khalifatul-RasoolAllah, Ateeq.

*************Aap ki wiladat 573 A.D. me Makka me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Usman Abu Quhafa ibn Amir aur waalida ka naam Salma bint Sakhar (Ummul Khair) hai.

Aap Quraish ke Banu Taym kabeele se ta’aaluq rakhte hain.

Aap ka asl naam Abdullah hai.

*************Aap jab bache the tab ek baar aap ke waalid aap ko Ka’aba me le gaye aur buto ki ibadat ke liye kaha. Jab aap ke waalid kisi kaam se bahar gaye to aap ne ek but ke saamne khade hokar kaha ‘Aye but, mujhe ache kapde chahiye. Kya tum de sakte ho?’ But me se koi jawab na mila. Phir aap ne dusre but ke saamne khade hokar kaha ‘Aye but, Mujhe achha khana chahiye. Kyat um de sakte ho?’ But me se koi jawab na mila. Aap ne gusse me aakar ek patthar uthakar kaha ‘Ab main tumhe patthar maarne wala hu. Agar tum khuda ho to khud ko bacha lo.’ Ye kehkar aap ne but ko patthar maara aur waha se nikal gaye.Is ke baad aap kabhi kisi but ki ibadat ke liye nahi gaye.

*************591 A.D. me 18 baras ki umr me aap ne apna khandani kapdo ka kaarobaar samhala aur Yemen, Shaam aur dusre mulko me kaafile ke saath safar karne lage. Is tarah aap ne tajurba aur maalo daulat haasil kiya.

*************Aap ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke elane nabuwwat se pehle bhi aap ke saath kaafile me safar kiya tha aur aap Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki sadaqat aur amanatdaari se waaqif the.

609 A.D. me Jab Huzoor Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Makka me ALLAH ke hukm se elane nabuwwat kiya tab Hazrate Abu bakr radiallah ta’ala anhu tijarat ke liye Yemen gaye the.Us raat aap ko ne khwab me dekha ke ek noor utra aur aap ke daaman me sama gaya. Jab aap ki aankh khuli to aap ne waha ke danisho aur najoomiyo ko is ajeeb khwab ke baare me batakar un se is ki taabeer puchhi.Us me ek shakhs ne puchha ‘Tum kaha se aaye ho?’ Aap ne jab use bataya ‘Main Makka se aaya hu.’To us ne kaha ‘Tumhare waha Banu Haashim kabeele me Muhammad ibne Abdullah naam ka shakhs hai aur ye khwab is baat ki nishani hai ke usne elane nabuwwat kiya hai.’

Aap foran waha se nikal kar Makka pahunche aur sidhe Huzoore akram sallallahu alaihi wasallam ke waha gaye aur Aap se puchha ‘Kya aapne elane nabuwwat kya hai?’ To Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke ‘Us najoomi ne tumhe jo bataya wo sach hai.’Hazrate Abu Bakr radiallah ta’ala anhu ko pata tha ke unho ne Makka me ye baat kisi ko nahi batai thi. Is liye ye sunkar aap foran kalma padhkar musalman ho gaye.

Is tarah aap mardo me sab se pehle eimaan laaye aur saabikeen me saamil hue.

Aap ki biwi Qutaylah bint Abdul Uzza eimaan na laai to aap ne use tallaq de diya.Aur apne bete Abdur Rehman ko bhi isi wajah se chhod diya.

3 saal baad jab Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne islam ki daawat ko zaahir aur aam karna shuru kiya tab sab se pehle aap ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki taraf se logo ko jama karke islam ki daawat di. Ye sunkar Quraish ke kuchh naujawano ne aap par hamla karke aap ko jakhmi kar diya.

Is ke baad aap ki waalida bhi musalman ho gai.

*************Aap ki daawat aur mashware se bahut saare log islam me dakhil hue,Jin me Hazrat Usman ibn Affan, Zubair ibn Awwam, Talha ibn Ubaidullah, Abdur Rehman bin Awf, Sa’ad ibn Abi Waqqas, Abu Ubaidah ibn Jarrah, Abdullah bin Abdul Asad (Abu Salama), Khalid ibn Sa’id aur Abu Huzifah ibn Mughirah radiallahu ta’ala anhuma mashhoor hain.

Aap ne 8 gulamo ko aazad karaya jo musalman ho gaye the.Jin me mardo me Hazrate Bilal Habashi ibn Ribah, Abu Fakih, Ammar ibn Yasir aur Abu Fuhaira aur aurto me Lubainah, Nahdiah, Umm Ubais, Harisah bint Muammil saamil hain.Is ke liye aap ne 40,000 dinar kharch kiye. Aap ke waalid ne kaha ‘Tum budhe aur kamzor gulamo ko aazad karate ho jis se hame koi faida nahi hoga.’ Aap ne farmaya ‘Main to ALLAH ki raza ke liye musalmano ko aazad karata hu.’

*************Jab Ahle Makka ke zulm badhne lage 6 Nabawi (615 A.D.) me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki ijazat se aap hijrat karke Abyssinia gaye.8 Nabawi (617 A.D.) me jab Quraish ne Banu Haashim se tamam ta’aalluqat tod diye aur Huzoor sallallahu alaihi wasallam ko bahut taklif dene lage aur aap ka bahar aana jaana mushkil ho gaya tab ye sunkar Hazrate Abu Baqr ne wapis Makka aane ke liye socha. Aap Qara ke sardar Ibne Daghinna ki madad aur hifazat se Makka wapas aaye.

*************12 Nabawi (621 A.D.) me Me’araj ke baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ashaba ko me’araj ki baaten bayan kar rahe the. Hazrate Abu Baqr radiallahu anhu thoda der se aaye. Aap aakar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke qareeb jaakar bethe. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne phir se shuru se pura bayan shuru kiya. Aur Hazrate Abu Baqr radiallahu anhu har baat par farmate ‘Sadaqata Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam.’Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne khush hokar aap ko ‘Siddeeqe akbar’ ka laqab ata farmaya ya’ni Tamam Siddeeq me sab se bada.

*************Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne ashaba se farmaya ‘Anqareeb ALLAH ke hukm se hame Makka se hijarat karni hai.’Is ke kuchh din baad jab Huzoor Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam hijrat ke liye ALLAH ta’ala ka hukm hua aur aap Hazrate Abu Baqr Siddiq radiallahu anhu ke ghar pahunche aur abhi aap ne darwaze par ek hi baar halki si dastak di ke Siddeeqe akbar ne foran darwaza khol diya.Aap ne farmaya ‘Abu Baqr, Hame hijrat ka hukm mila hai. Kya tum hijrat ke liye tayyar ho?’Siddeeqe akbar ne farmaya ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Maine to tab se tayyari kar li hai jab aap ne hijrat ke liye farmaya tha. Aur roz raat ko main jaagta rehta tha ke agar hijrat ke liye nikalna ho to mere aaqa ko der na ho.’

Hijrat ke liye Makka se nikalne ke baad kuchh door jaane par ek shakhs mila jo Huzoor sallallahu alaihi wasallam ko nahi pehchanta tha. Us ne puchha ‘Aye Abu Baqr, Tumhare saath ye kaun hai?’Siddeeqe akbar ne socha ke agar main Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke baarre me ise ko bata dunga to shayad ye shakhs mere aaqa ko nuqsan pahunchaye.Aap ne us se kaha ke ‘Ye mujhe sahi rasta batane wala hai.’Ye sunkar wo shakhs chala gaya.

Phir aap Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke saath chalne lage. Aap kabhi Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki dahini taraf ho jaate, kabhi baai taraf, kabhi aage, kabhi pichhe chalte ke kisi bhi taraf se koi dushman Huzoor sallallahu alaihi wasallam ko nuqsan na pahuncha sake.

Phir raaste me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Gaare Saur me rookne ke liye socha. Hazrate Abu Baqr Siddiq ne kaha ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Is pahad par chadhte waqt kankar –patthar se aap ko taklif ho sakti hai. Aap ijazat den to aap mere kandho par beth jaaye. Main aap ko lekar upar chadhunga.’Is tarah aap Huzoor sallallahu alaihi wasallam ko apne kandho par bithakar upar chadhne lage. Raaste me aap kabhi Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke dahine paanv ko chumte, kabhi baayen paanv ko chumte.Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne puchha ‘Abu Baqr, Kya kar rahe ho?’Aap ne farmaya ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Main me’raj kar raha hu. Aap ki me’araj ye hai ke aap Rabb ta’ala ke paas la-makaan tak pahunche aur Siddeeq ki me’araj ye hai ke wo aap ke kadmo tak pahuncha.’

Phir Gaare Saur me pahunche to ALLAH ta’ala ke hukm se ek makdi ne gaar ke darwaze par jaal bana diya aur ek kabootari ne gaar ke bahar ande diye. Kaafir aap ka pichha karte hue waha pahunche to ye sab dekhkar ye socha ke agar koi andar gaya hota ye ande aur jaal yaha na hote aur wapas chale gaye.Hazrate Siddeeqe akbar ne gaar ko saaf kiya aur dekha ke gaar ki deewaro me bahut saare surakh hain. Aap ne apna jhabba phadkar un surakho ko band kar diye ke koi jaanwar aakar mere aaqa ko nuqsan na pahunchaye. Magar ek surakh baqi reh gaya. Aap ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam se kaha ‘Aap aaram farma len.’ Aur jab Huzoor sallallahu alaihi wasallam letkar aap ki god me aaram karne lage to aap ne us surakh par apna paanv rakh diya.Thodi der me ek azdaha ne aakar aap ke paanv par kaata. Aap ne bardasht kar liye ke mere aaqa kko khalel na ho. Baar baar kaatne par aakhir me aap ki aankh se be-ikhiyar aansoo nikal gaye. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke chehra e anwar par jab aansoo gire to aap ne farmaya ‘Abu Baqr, Kya baat hai?’Aap ne saari baat batai to Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne aap ko pair hatane ke liye farmaya.Pair hatate hi surakh se azdaha bahar aaya aur salaam pesh karke aur kahne laga ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Main ek zamane se aap ke deedar ke liye gaar me rehta tha aur maine hi bahar aane ke liye ye sab surakh banaye the. Magar aap ke saathi ne ye sab surakh band kar diye aur ek surakh par apna paanv rakh diya to majbooran mujhe aap ke dost ko kaatna pada.’Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Siddiqe akbar ke jakhm par apna luaabe dahen lagaya aur aap ko foran aaram ho gaya.Is tarah 3 raat tak gaar me qayam karne ke baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne wapas Madina ke safar shuru kiya aur dono Madina pahunche.

Is tarah aap ko ‘Saani isnain’ ka laqab mila.

Is tarah 13 Nabawi (622 A.D.) me aap ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke saath Makka se Madina hijrat ki.

*************Hijrat ke baad aap dusre ashaba ke saath Masjide Nabawi ki taameer ka kaam karte rahe.

*************2 Hijri me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke saath aap ki beti Hazrate Aaisha ka nikah hua.

*************Aap ke baare me pyare Aaqa sallallahu alaihi wasallam farmate hain ke(1) Abu bakr ‘Afzalul bashar ba’adal ambiya’ hain ya’ni ‘Ambiya ke baad tamam insaan me sab se afzal.’

(2) Agar Abu Bakr ka Eimaan meri tamam ummat ke Eimaan ke saath wazan me kiya jaaye to Abu

bakr ka Eimaan gaalib aaye.

(3) Hazrate Abu Bakr ka ye martaba sirf uski ibadaat ki wajah se nahi hai, balke ALLAH ta’ala ne uske dil me jo khas rakha hai uski wajah se hai.

(4) Abu bakr ke mujh par bahut ehsan hain. Us ne islam ke liye apni jaan aur maal bhi qurban kiye hain aur apni beti mere nikah me di hai aur Abu bakr ne Bilal Habsi ko aazad karaya hai.’

*************Aap Ashra e mubashara me se hain.

(1) Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne aap se farmaya ‘Abu Baqr, Jannat me dakhil hone walo me tum sab se pehle rahoge.’

(2) Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne aap se farmaya ‘Abu Baqr, Tum gaar me bhi mere saath the aur jannat me bhi mere bahut qareeb rahoge.'

(3) Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ‘Jab ALLAH ta’ala kisi mo’min ke liye bhalai ka irada karta hai to us me koi khaslat paida farmata hai jis ke sabab wo jannati ban jaata hai aur aisi 360 khaslate hain.’Hazrate Abu Baqr ne puchha ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Kya mujh me aisi koi khaslat hai?’Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ‘Abu Baqr, Tumhe mubarak ho ke tum me wo tamam khaslat maujood hai.’

*************Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Siddeeqe akbar ko apni angoothi mubarak di aur farmaya ki ‘Is par LA ILAHA ILLALLAH kar laao.’Jab aap ne wapas aakar angoothi Huzur ki khidmat me pesh ki to us par likha tha ‘LA ILAHA ILLALLAH MOHAMMADUR RASOOL ALLAH’ aur uske saath hi Siddiqe akbar ka naam bhi likha tha.Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne puchha ‘Abu Bakr, Humne to LA ILAHA ILLALLAH likhwane ko kaha tha magar tum hamara naam aur apna naam bhi likha laaye.’Abu Bakr ne arz kiya ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Mera dil ko ganwara nahi tha ki Khuda ke naam ke saath aap ka naam na ho. Is liye saath me aap ka naam to mene hi likhwaya magar mera naam maine hargiz nahi likhwaya aur mujhe khud ko pata nahi ye kaise aur kis ne saath me likha.’Itne me Hazrate Jibriel Ameen alaihissalaam haazir hue aur arz kiya ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, ALLAH ta’ala ne farmaya hai ki Siddeeq ko ganwara na tha ke aap ka naam hamare naam se juda kare. Is liye Siddeeq ne aap ka naam hamare naam ke saath likhwaya aur hum ne siddeeq ka naam aap ke naam ke saath likhwa diya.

*************Jab bhi azaan me aap Huzoor sallallahu alaihi wasallam ka naam mubarak sunte to foran mohabbat ke saath durood shareef padhkar dono angoothe ko chumkar apni aankho se lagate.

*************Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne ashaba se farmaya deen ke liye maal jama karne ki zaroorat hai. Aap logo se jitna ho sake utna maal raahe khuda me den.’Sab ashaba kuchh maal lekar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki baargah aaye.Hazrate Umar Farooq apne tamam maal me se aadha hissa lekar aaye.Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne puchha ‘Umar, Gharwalo ke liye kya chhoda hai?’Unho ne kaha ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Aadha maal aap ki baargah me laaya hu aur aadha maal ghar walo ke liye chhodkar aaya hu.’Itne me Hazrate Abu Baqr aaye aur apna maal rakha.

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne puchha ‘Abu Baqr, Ghar walo ke liye chhoda hai?’Aap ne farmaya ‘Ghar walo ke liye ALLAH aur uske Rasool ko chhodkar aaya hu.’Ye sunkar Hazrate Umar Farooq sochne lage ‘Main soch raha tha ke is baar Siddeeqe akbar se aage nikal jaaun, magar is baar bhi Siddeeqe akbar hi aage nikal gaye.’

Itne me Hazrate Jibriel alaihissalam aaye. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne unko dekhkar puchha ‘Aye Jibriel, Tum ne ye kaisa libas pehna hai aur tumhare kurte me ye babool ka kaanta kyun lagaya hai?’Hazrate Jibriel alaihissalam ne farmaya ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Aap ke Siddeeqe akbar ne apne kurte me babool ka kaanta lagaya hai. Is liye ALLAH ta’ala ne sab farishton, Gilman, Hooron ko ye libas pehanne ka hukm kiya hai.’

*************Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne apne ashaba ko farmaya ke kya main tumhe wo amal na batau jo tunhe Jannat me le jaaye?Ashaba ne kaha ke ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Aap is amal ke bare me hame zaroor bataiye.Aap ne farmaya ke Jo shakhs bina ujrat ke masjid me Azan deta wo jannat me jaaega.

Ye sunkar Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiallahu ta'ala anhu aage aaye aur farmaya ke ‘Aye Allah ke Habeeb sallallahu alaihi wasallam, Ye kaam sab ke liye mumkin nahi kyun ki Hazrate Bilal radiallahu ta'ala anhu hi roz har namaz ke liye Azaan pukarte hain. Aap kuchh aur bhi batayen.’

Ye sunkar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ‘Jo shakhs Imaam ke bilkul pichhe khade hokar namaz padhta ho wo bhi jannat me jaayega.’Ye sunkar aap ne kaha ke ‘Aye mere aaqa, Ye bhi mumkin nahi kyun ke Hazrate Bilal azan dene ke baad Iqamat padhte hain aur wo hi Imam ke bilkul pichhe namaz padhte hain. Aap kuch aur bhi bataie.

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ‘Jo shakhs bina ujrat ke jhadu lagaye aur safai kare wo jannat me jaayega.’Aap ne kaha ‘Aye mere aaqa, ye amal mumkin hai.’

Is ke baad Hazrate Abu Bakr ne Masjide nabawi me roz safai karna shuru kar diya. Aap din me 2-3 baar jhadu lagane lage.Ek baar Hazrate Umar Farooq radiallahu anhu ne aap ko safai karte dekha to socha ke Kal main fajr ke waqt thoda jaldi aakar masjid me safai kar lunga.

Dusre din Hazrate Umar andhere hi me masjid me dakhil hue aur safai shuru karne ke liye jhadu talash karne lage. Lekin andhere ki wajah se bahut talash karne ke baad bhi jhadu na mila.Itne me aap ke kadmo ki aawaz se Hazrate Abu bakr jo waha so rahe the, unki aankh khul gai aur aap ne apne sar ke niche se jhadu nikala aur masjid me safai karna shuru kar diya.Jhadu lagane ki aawaz sunkar Hazrate Umar ne puchha ‘Kaun hai jo masjid me jhadu laga raha hai?To Hazrate Abu Bakr ne jawab diya ‘Main Abu bakr hu.’

Hazrate Umar ne puchha ‘Aap masjid me kab aaye?’To Hazrate Abu Bakr ne kaha ‘Ye sawal aap us se puchhe jo raat ko ghar gaya ho. Main to raat bhar masjide nabawi hi me tha.’

Ye sunkar Hazrate Umar jaan gaye ke Hazrate Abu Bakr ko pata chal gaya tha ke mere dil me aaj masjid me safai karne ka khayal aaya tha aur isi liye aap puri raat masjid hi me rooke the.

*************Ek baar aap ke bete Abdur Rehman ne aap se kaha ‘Abba jaan, Jange Badr me main kaafiro ke saath

tha aur jang ke dauran aap meri talwar ke niche aa gaye the aur maine aap ko is liye chhod diya ke aap mere waalid hain.’Aap ne farmaya ‘Aye mere bete, Agar us waqt tum meri talwar ke niche aa gaye hote to main tumhe qatl kar deta kyun ke us waqt tum mere aaqa sallallahu alaihi wasallam ke dushmano ke saath the.’

*************Ek baar aap Hazrate Ali radiallahu anhu ko muskura rahe the. Hazrate Ali ne wajah puchhi to aap ne farmaya ‘Hamare Aaqa sallallahu alaihi wasallam ne ye farmaya hai ke jannat ki sanad aap ke haath se ata ki jaayegi. Main aap ke buland martabe ke bare me sochkar muskura raha tha.’Hazrate Ali ne farmaya ‘Aaqa sallallahu alaihi wasallam ne mujh se ye bhi farmaya hai ke usi ko jannat ki sanad ata ki jaaye jis ke dil Siddeeqe akbar ki mohabbat ho.’

*************Aap ne Jange Badr, Jange Uhad, Banu Nadir, Banu Quraiza, Jange Khaibar, Gazwa e Khandaq, Fateh Makka, Jange Hunain, Jange Ta’if aur Jange Tabuk me apna maal bhi diya aur saamil bhi hue.

Jange Badr me aap har waqt Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bahut qareeb rahe aur bahaduri ke saath kaafiro se aap ki hifazat karte rahe.

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne 7 Hijri (July 628 A.D.) me aap ki sardari me islami lashkar ko kaafiro ke muqabale ke liye bheja. Najd ke qareeb jang me musalmano ko fateh haasil hui. Kai kaafir mare gaye aur kai qaid kar liye gaye.

Aap Suleh Hudaibiyah ke mauqe par Bai’at al-Ridwan me bhi saamil hue.

*************9 Hijri me jab Hajj farz hua to Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne aap ko Ameerul Hujjaj banakar ashaba ko aap ke saath hajj ke liye bheja.

*************10 Hijri me Hajjatul wida ke mauqe par bhi aap Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke saath rahe.Jab ye aayat naazil hui ‘Aaj ke din ham ne tumhare liye tumhara deen mukammal kar diya aur tumhare liye deene islam pasand kiya.’ To ashaba khush hue ke ALLAH ta’ala ne deene islam ko mukammal kar diya.Magar aap gamzada ho gaye. Jab puchha gaya to farmaya ke ‘Ye sahi hai ke deene Islam ko ALLAH ta’ala ne mukammal kar diya hai. Magar deen mukammal hone ke baad mumkin hai ke Huzoor sallallahu alaihi wasallam ham se anqareeb parda farmayenge. Main ye sochkar gamzada hu.’

*************Huzoor sallallahu alaihi wasallam jab kahi bahar jaate to Hazrate Abu Baqr ko imaamat ka hukm karte aur sab ashaba aap ke pichhe namaz padhte.Jab Huzoor shadeed beemar hue aur apne hujre bahar nikalna mushkil hua to aap ne Siddeeqe akbar ko imaamat ka hukm diya. Aap jaise hi musalle par pahunche to aansoo bahate hue gir pade aur farmaya ‘Mujh me itni himmat nahi ke Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki maujoodgi me imaamat kar sakun.’Ye sab sunkar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ashaba ka sahara lekar hujre se bahar aaye aur taklif bardasht karke namaz padhai.Dusre din phir jab aap ko imaamat ka hukm mila aur phir aap tayyar na ho sake to Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne hujre se paigam bheja ke ‘Aye Abu Baqr, Aaj tumhe in ashaba ki imaamat karni hi hai.’Phir aap ne dil ko sakht karke namaz ke liye imaamat ki.Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne apne hujre ke darwaze se Siddeeqe akbar ke saath namaziyo ki safo ko dekha to aap bahut khush hue.

*************Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke wisal ke baad sab ashaba gamzada the aur Hazrate Umar Farooq radiallahu ta’ala anhu ne to farma diya tha ke ‘Agar kisi ne mere saamne ye kaha ke Huzoor sallallahu alaihi wasallam ka inteqal ho gaya hai aur Aaqa sallallahu alaihi wasallam hamare darmiyan me nahi hain to main talwar se uski gardan kaat daalunga.’

Aise maahol me sab khamosh the tab Hazrate Abu Baqr uthkar aage aaye aur Khutba padhne ke baad ashaba se farmaya ‘Agar koi Muhmmad sallallahu alaihi wasallam ki ibadat karta ho to wo maan sakta hai ke Huzoor sallallahu alaihi wasallam inteqal karke chale gaye hain aur jo Rabbe Muhammad ki ibadat karta ho to wo jaan le ke Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne sirf zaahiri taur par parda kiya hai.’

*************Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke parda farmane ke baad Hazrate Umar Farooq ke mashware par aap ko khalifa banaya gaya.Aap 13 Rabi ul awwal 11 Hijri (8 June 632 A.D.) ko sab se pehle Khalifa hue.Aap ka daure khilafat 2 saal 4 maah ka raha.

*************Aap ki khilafat ke ibtadai daur me 2 fitne hue.(1) Musaylimah bin Habeeb aur Tulaiha bin Khuwailid ne nabuwwat ka jhuta dawa kiya.(2) Kuchh kabeelo ne Zakat dene se aur islami qanoon ko maane se inkar kiya.

Hazrate Khaalid bin Walid ki sardari me islami lashkar ne Jange Buzakha me Tulaiha bin Khuwailid ko haraya aur Najd me Baaghi Malik ibn Nuwairah ko qaid karke qatl kiya aur Jange Yamama me Musaylimah bin Habeeb ko qatl kiya.

Is ke baad Khaalid bin Walid ki sardari me islami lashkar ne Sassani saltanat aur Byzantine (Rom) saltanat par hamla karke fateh haasil karke fars (Iran), Iraq aur Shaam tak islami saltanat failai.

*************11 Hijri (632 A.D.) me Jange Yamama me taqreeban 70 ashaba shaheed hue jo Haafize Qur’an the. Hazrate Umar Farooq radiallahu anhu ne aap se farmaya ‘Is tarah Haafize Qur’an kam hote rahe to Qur’an ki hifazat karna mushkil hoga. Behtar hai ke ham Qur’an ko jama karke Kitaab bana len.’Is tarah Hazrate Umar Farooq ke mashware se Qur’an majeed ko jama karke kitaab banana ka kaam shuru kiya gaya, jo Hazrate Usman Ghani ke zamane me mukammal hua.

*************Aap ne Bait-ul-Maal ki shuruat ki.

*************Aap ki 4 biwiya, 3 bete aur 3 betiya hain.

(1) Qutaylah bint Abd-al-Uzza se1 beta –AbdullahAur 1 beti - Asmā(2) Umme Rumman se1 bata - Abdur RehmanAur 1 beti - Aaisha(3) Asma bint Umays se1 beta - Muhammad(4) Habibah bint Kharijah se

1 beti -Umme Kulsum

* Sirf aap hi aise sahabi hain jinke walidain aur aulad bhi ashaba hain.*************Aap Huzoor Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ke tareeqat ke 2 khalifa me se hain.Aap se ‘Siddeeqiya’ silsila jaari hai.Jis se Tayfuriya, Madariyya, Khwajaganiyya aur Naqshbandi silsile ta’aaluq rakhta hain.

*************Aap ne 5 Jamadil aakhir ko gusl kiya aur shardi ki wajah se aap ko bukhar aa gaya. Jab tabeeyat kuchh zyada kharab hui to ashaba ne aap ko kisi hakeem ko bulakar dikhane ke liye kaha.Aap ne kaha ‘Maine hakeem ko bataya to us ne kaha hai ke main jo karta hu wo hi hota hai.’

Phir Aap ne apni beti Hazrate Aaisha radiallahu ta’ala anha se wasiyat farmai ke meri maaliki ke jo khajoor ke darakht hain wo tum apne 2 bhai aur 2 baheno ko de dena.Hazrate Aaisha radiallahu ta’ala anha ne tasleem kiya aur puchha ‘Mere ilawa aap ki 1 hi beti Asmā hai to aap dusre kis ke baare me bata rahe hain?’Aap ne farmaya ‘Habibah bint Kharijah haamila hain aur in sha Allah unko beti hogi. Is tarah tumhare ilawa tumhari 2 bahen hongi.’

Aap ne wisal ke din Hazrate Usman Ghani se Hazrate Umar Farooq ko khalifa banane ki wasiyat ki.

*************Aap ne wisal se qabl ye wasiyat farmai ke ‘Mera janaza ko Hazoor sallalahu alaihi wasallam ke Roza mubarak ke saamne rakh dena aur ijazat talab karna. Agar darwaza khul jaae aur ijazat mil jaae to mujhe Hujra mubarak ke andar dafn karna. Warna aam qabrastan me dafn kar dena.’

Ashaba e kiraam ne aisa hi kiya. Jab aap ka janaza Roza e Aqdas ke saamne rakha gaya, To darwaza khul gaya aur Roza mubarak se aawaz aai ‘Dost ko dost ke paas le aao.’

*************Aap ‘Gare yaare nabi’ hain ya’ni Nabi e paak sallallahu alaihi wasallam ke sab se qareebi dost.

Aap ko Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne har khas mauqe par aur mehfil me saath aur qareeb rakha.Hijarat me bhi Pyare Aaqa sallallahu alaihi wasallam ne sirf aap ko saath liya.Aur wisal ke baad mazaar me bhi aap ko qareeb rakha. 

*************Aap ka wisal 22 Jamaadil aakhir 13 Hijri 23 August 634 A.D. ko 63 baras ki umr me Madina me hua.Aap ki namaze janaza Hazrat Umar Farooq radiallah ta’ala anhu ne padhai.

Aap ko Roza e Rasool me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bagal me dafn kiya gaya hai.

*************ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe meAur Hazrat Hazrate Abu Baqr Siddeeq radiallah ta’ala anhu aur Ashaba ke waseele seSab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.Aameen.

Aurat Beti hai to Baap ke liye Rehmat,Aurat Biwi hai to Shohar ke liye Nisful Eimaan,Aurat Maan hai to Aulad ke liye Jannat.

*****Sayyeda Fatima Zehra radiallahu ta'ala anha ka martaba kitna buland hai.

Aap ke Waalide mohtaram Rehmatalil aalamin,Aap ke Shohar Saahibe Eimaane kaamil,Aap ke Bete Sayyedush Shahabi Ahalil Jannah.

Jab Maan Tayyeba, Taahira, Aabida, Zaahida aur Sayyedatan Nisa' ho to Bete bhi Hazrate Hasanain jaisi honge jo Jannati jawano ke sardar hain aur Beti bhi Zainab jaisi Nek aur parhezgar hongi jo Zehra saani hain.

*****Teri nasle paak me hai bacha Noor ka,Tu hai aine Noor Tera sab gharana Noor ka.

Kya buland Martaba Maula Ali aur Fatima ka,Saare aalam me mashhoor hai panjatani gharana Noor ka.

20 Jamaadil aakhirYaume Wiladat Khatoone Jannat Sayyedatan nisa' Hazrate Fatima Zehra radiallahu ta'ala anha.*****Mubarak ho Jashne Wiladate Sayyeda Fatima,Hai aashiqane Rasool ke liye ye sa'adat ki tarah;

Kali chaman me Nabi ke khili ziya ki tarah,Mahek utha hai jahaan khuld ki hawa ki tarah;

Hai rutba Mariyam-o-Saara-o-Aasiya ka bahut,Sharf me koi nahi Binte Mustafa ki tarah;

Walid hain Sayyede Kaunain, Maan Khadeejatul Kubra hain,Nahi hai aala nasab koi Sayyeda ki tarah;

Ali ki zauja aur Hasnain ki waalida hain,Mila hai martaba kisko ye Fatima ki tarah;

Aap Batool ya'ni paak-o-doseeza hain,Laqab mila nahi aur kisi ko aisa taahira ki tarah;

Yehi to Sayyeda hain kul nisaa-e-aalam ki,Daleel-e-haq hai yehi surat-e-nisa ki tarah;

Waalid ki aankh ki thandak aur maan ke dil ka qaraar hain,Saraapa aap hain rehmate Khuda ki tarah;

Hai un ki zaat hi tafseer-e-aayat-e-tat’heer,

Yehi Hadees-e-kisa me hain khud kisa ki tarah;

Tamam aashiq salaam pesh karte hain,Tawajjoh mil jaaye to hai ye waseela ki tarah.

*****Sallallahu alaihi wasallam.

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Ek baar 4 shakhs Hazrate Ali radiallahu ta’ala anhu ke paas aaye aur kaha ‘Ilm maal se behtar kyun hain? Hamara sawal ek hi hai, Magar ham chahte hain ke aap sab ko is ka alag alag jawab batayen.’

Aap ne sab ko alag alag jawab dete hue farmaya ke

[1] Ilm behtar hai kyun ki maal kharch karne se kam hota hai aur ilm kharch karne se badhta hai.

[2] Ilm behtar hai kyun ki maal ki tumhe hifazat karni padti hai aur ilm tumhari hifazat karta hai.

[3] Ilm behtar hai kyun ki ilm wale ke dost zyada hote hain aur maal wale ke dushman zyada hote hain.

[4] Ilm behtar hai kyun ki ilm ambiya ki wirasat hai aur maal Namrood, Fir’aun aur Qaroon ki wirasat hai.

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Imaam Muhammad Ghazali rehmatullahi alaihi :*****************Alqab : Hujjat-ul-Islām, Zain-ud-deen, Sharaf-ul-Aaimma.

*****************Aap ki wiladat 450 Hijri (1058 A.D.) me Tabaran (Tus, Iran) me hui.

Bachpan me hi aap ke waalid Muhammad ka inteqal ho gaya.Aap ne Hazrat Ahmad al-Razakani se fiqh ki taaleem shuru ki.Phir Nishapur me Imaam al-Juwaini rehmatullahi alaihi se taaleem haasil ki.477 Hijri (1085 A.D.) me al-Juwayni ke inteqal ke baad aap Nishapur chhodkar Khwaja Nizam al-Mulk Abu Ali al-Hasan al-Tusi ki baargah me gaye.484 Hijri (1091 A.D.) me Khwaja Nizam al-Mulk ne aap ko ‘Zain-ud-deen’ (Brilliance of the Religion) aur ‘Sharaf-ul-Aaimma’ (Eminence among the Religious Leaders) ka laqab ata kiya aur aap ko Baghdad ke Nizamiyya madrasa ki zimmedari ata ki.488 Hijri (1095 A.D.) me aap apni tamam milkiyat bechkar wo maal apne khandan ko guzara karne ke liye de diya aur aap Hajj ke liye rawana ho gaye.Damishk aur Jerusalem me kuchh waqt guzarne ke baad 489 Hijri (1096 A.D.) aap ne Madina aur Makka jaakr hajj ada kiya.Phir Tus wapas aakar aap ne kuchh saal uzla (tanhai) me guzare. Aap ne zawiya (private madrasa) aur khanqah me logo ko taaleem dena jaari rakha.499 Hijri (1106 A.D.) me Sultan Ahmad Sanjar ke wazeer Fakhr al-Mulk ne kai baar Nishapur ke Nizamiyya madrasa me aane ke liye kaha. Magar aap ne har baar inkar kiya.Is ke baad 503 Hijri (1110 A.D.) me Sultan Muhammad ke wazeer ne aap ko Baghdad wapas aane ke liye kaha. Aap ne usko bhi mana kiya.

*****************Aap ne taqreeban 70 kitaaben likhi hain, us me kuchh bahut mashhoor hain.

(1) Tasawwuf :Ihya’ ulum al-deenKimiya-yi sa’ādat [Farsi]Mizan al-amalBidayat al-hidayahNaseehat al-muluk [Farsi]al-Munqidh min al-dalal Minhaj al-Aabideen

(2) Kalaam :Hujjat al-Haqal-Iqtisad fil-itiqadal-maqsad al-asna fi sharah asma Allahu al-husnaJawahir al-Qur'an wa duraruhFayasl al-tafriqa bayn al-Islam wal-zandaqaMishkat al-AnwarTafsir al-yaqut al-ta’wil

(3) Falsafa :Maqasid al-FalasifaTahafut al-FalasifaMiyar al-Ilm fi fan al-MantiqMihak al-Nazar fi al-mantiqal-Qistas al-mustaqim

(4) Fiqh :Fatawy al-GhazaliAl-wasit fi al-mazhabKitab tahzeeb al-Isulal-Mustasfa fi ilm al-isulAsas al-Qiyas

Aap ne Baadshaho, wazeero, Qazi aur apne dosto ko jo khat likhe the us ka majmua ‘Faza'ilul al-anam min rasa'ili hujjat al-Islam’ naam se mashhoor hai.

*****************Aap ka wisal 14 Jamadil aakhir 505 Hijri (18 December 1111 A.D.) ko hua.Aap ka mazaar Tus (Iran) me hai.

**********ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe meAur Imaam Muhammad Ghazali rehmatullahi alaihi aur Auliya Allah ke waseele seSab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko sahi ilme deen haasil karne ki aur nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.Aameen.

4 Surah An Nisa’, Aayat 86 :

Aur jab salaam ke zariye tumhari takreeem ki jaaye to tum jawab me us se behtar (alfaz ke saath) salaam paish karo ya wo hi (alfaz) lauta diya karo, beshak ALLAH har chiz ka hisab lene wala hai.

***********Salaam karne wale liye 70 neki hai aur Jawab dene wale ke liye 1 neki hai.Salaam karna sunnat hai aur Salaam ka jawab dena wajib hai aur jaan-buz kar na denewala ya der karne wala gunahgar hai.Jaan-buz kar salaam ka jawab na dene me Takabbur ka gunah bhi samil hai.Is ke liye use tauba karni hogi aur jis ke salaam ka jawab nahi diya ho use milkar muafi bhi mangni hogi.

***********Salaam ke behtareen alfaz is tarah hain :اسالم عليكم ورحمت الله وبركاته‘Assalaamu alaikum wa rehmatullahi wa barkaatuhu.’Ya’ni ‘Tum par salamati ho aur ALLAH ki rehmat aur barkaat ho.’‘May peace, mercy & blessings of ALLAH be upon you.’

Aur uske jawab ke behtareen alfaz is tarah hain :وعليكم اسالم ورحمت الله وبركاته‘Wa alaikum assalaam wa rehmatullahi wa barkaatuhu.’Ya’ni ‘Aur tum par bhi salamati ho aur ALLAH ki rehmat aur barkaat ho.’‘& May peace, mercy & blessings of ALLAH be upon you too.’

Aur Mukhtsar me Salaam is tarah kahen‘Assalaamu alaikum’ (May peace be upon you).Aur is ke jawab me ‘Wa alaikum assalaam’ kahen (May peace be also upon you).

***********Salaam karne me aur Salaam ka jawab dene me 4 baato ka khayal rakhna zaroori hai :

(1) Foran Salaam karna aur jawab dena.(2) Itni buland aawaz se Salaam karna aur Jawab dena ke saamne wala sun le.(Na zyada buland aawaz se chillakar aur na itna aahista ke saamne wala theek se sun bhi na paaye).(3) Salaam me aur uske jawab me sahi alfaz ko ada karna.(Galat alfaz se ma’ana badal kar bahut bura ho jaata hai.)(4) Salaam me aur Jawab dene me ye niyyat rakhna ke ALLAH ta’ala saamne wale ko Salamati, Rehmat aur Barkat ata farmae.

***********************************************************************************************

Hindustan me Islami Tawarikh :************************(1) Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke elane nabuwwat ke pehle se hi Arab mulko aur Hindustan ke bich tijarat ke ta’alluqat jaari the.Aur Arab taajir (traders) hi 7wi sadi ke dauran Hindustan me deene Islam lekar aaye.

▪▪► Huzoor Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ki hayate zaahiri me Hijrat ke baad Hazrat Malik Bin Deenar radiallahu ta’ala anhu ne Kodungallur, Kerala me Rama Varma Kulashekhara ko sab se pehle musalman banaya.

Aur unho ne 7 Hijri (629 A.D.) me hindustan me sab se pehli masjid banai, jo Cheraman Juma Masjid ke naam se mashhoor hai.

Malabar ka Mappila samaj (community) ne sab se pehle Islam apnaya.

(2) ▪▪► Umayya hukoomat ke dauran Iraq ke governor Hajjaj bin Yousuf ne 92 Hijri (711 A.D.) me Damishk (Damascus) se 2 baar lashkar bhejkar Baluchistan aur Sindh par hamla kiya.Aakhir me 93 Hijri (712 A.D.) me Muhammad bin Qasim ki sardari me Arab lashkar ne Raja Dahir ko harakar Sindh par fateh hasil ki aur phir wo Multan tak pahunche.

▪▪► 392 Hijri (November 1001 A.D.) me Mahmood Ghaznawi ne Peshawar me Raja Jayapal ko haraya aur aur iske baad Hindustan ke dusre ilako me hamle jaari rakhe.

11wi sadi A.D. me Ghazi Sayyed Salar Mas’ood ne Islami hukoomat ko aur failaya.

582 hijri (1186 A.D.) me Shahaab-uddeen Muhammad Ghori ne Lahore jitkar Gazni par fateh hasil ki.

▪▪► Shahaab-uddeen Muhammad Ghori ne apne Ghulam Qutub-uddeen Aibak ko Hindustan ka Governor banaya, jisne Delhi saltanat ki shuruat ki.

Qutub-uddeen Aibak ne 602 Hijri (1206 A.D.) me ‘Mamluk saltanat’ shuruat ki. Uske baad 689 Hijri (1290 A.D.) me Jalaal-uddeen firoz Khilji ne Khilji saltanat, 721 Hijri (1321 A.D.) me Ghyas-uddeen Tughlaq ne ‘Tughlaq saltanat’, 816 Hijri (1414 A.D.) me Khizr Khan ne ‘Syyed saltnat’, 855 Hijri (1451 A.D.) me Bahlul Khan Lodi ne ‘Lodi saltanat’ ki shuruat ki.

▪▪► Is ke baad 932 Hijri (20 April 1526) ko Paanipat ki jang me Baabar ne Ibrahim Lodi ko harakar Mughal saltanat ki shuruat ki.1857 A.D. me Aakhri Mughal baadshah Bahadur Shah Jafar ko Angrezo ne Rangoon, Burma me nazar qaid kar diya aur uske 2 bete Mirza Mughal aur Mirza Khizr Sultan aur Pote Mirza Abu Bakr ko qatl kar diya. Is tarah Mughal saltanat khatm hui.

▪▪► Dakkhin me Sultan Alauddeen Hasan Bahman ne 747 Hijri (1347 A.D.) me Bahamani saltanat ki shuruat ki.Us ke baad Malik Ahmed Shah Bahri Nizaam-ul- Mulk ne 895 Hijri (1490 A.D.) me Nizam Shahi (Ahmadnagar) hukoomat, , Fath-ullah Imad-ul-Mulk ne 895 Hijri (1490 A.D.) me Imad Shahi (Berar) saltanat, Qasim Barid ne 897 Hijri (1492 A.D.) Barid Shahi (Bidar) saltanat, Yusuf Adil Khan ne 895 Hijri (1490 A.D.) me Adil Shahi (Bijapur) hukoomat, Sultan Quli Qutb-ul-Mulk ne 924 Hijri (1518 A.D.) me Qutab Shahi (Golkonda) saltanat ki shuruat ki.

▪▪► Sultan Firoz Shah Tughluq ke governer Zafar Khan Muzaffar Shah ne 793 Hijri [1391 A.D.] me Gujarat me Muzaffari saltanat ki shuruat ki.980 Hijri [1573 A.D.] me Mughal baadshah Akbar ne Shams-uddeen Muzaffar Shah ko harakar Mughal saltanat me saamil kiya.

▪▪► Iran ke Nadir Shah Durrani ne 1151 Hijri (March 1739 A.D.) me Delhi par hamla karke Mughal baadshah Muhammad Shah ko harakar Delhi par qabza kiya.Is ke baad Ahmad Khan Abdaali Durrani 1174 Hijri (14 January 1761 A.D.) me teesri Jange Paanipat me Maratha ko harakar Punjab aur Delhi par qabza kiya.

(3) Sufi silsile :

▪▪► Hazrat Khwaja Moinuddeen Chishti rehmatullahi alaihi (Wiladat 1141 A.D. – 1230 A.D.]) 587 hijri (1190 A.D.) me amn ka paigam lekar Ajmer aaye aur apni karamaat aur husne akhlak aur taaleem se Hindustan me Islam ko mazboot kiya aur failaya aur aap se ‘Chishtiya’ silsila jaari hai.

▪▪► Hazrat Badiuddeen Madaar rehmatullahi alaihi (Wiladat 242 Hijri [856 A.D.] - Wisal 17 Jamadil awwal 837 Hijri [1434 A.D.]) (Makanpur [Uttar Pradesh]) se (818 Hijri ) ‘Madaariyya’ silsila jaari hai.

▪▪► Hazrat Baha-uddeen Zakariya rehmatullahi alaihi (Wiladat [1170 A.D.] – Wisal 665 Hijri [1267 A.D.]) (Multan, Pakistan) se 619 Hijri (1222 A.D.) se ‘Suharwardi’ silsila jaari hai.

▪▪► Hazrat Sayyed Bandagi Mohammad Gaus Qadri rehmatullahi alaihi se (Wisal 923 Hijri [1517 A.D.]) (Uch, Sindh) se 887 Hijri (1482 A.D.) se ‘Qadri’ silsila jaari hai.

▪▪► Hazrat Khwaja Razi-uddeen Muhammad Baqee Billah (971 Hijri [1563 A.D.] – 25 Jamadi-us-Saani 1012 Hijri [1603 A.D.]) (Delhi) se ‘Naqshbandi’ silsila jaari hai.

▪▪► Hazrat Shaikh Abu Bakr Miskeen sahib rehmatullahi alaihi (Kayalpatnam) Aur Hazrat Shaikh Mir Ahmad Ibraheem rehmatullahi alaihi (Madurai) se ‘Shaziliyya’ silsila jaari hai.

Allama Iqbal :Hai nafs ke haathon tu majboor kitna,Sab jaan ke bhi hai aaj la-shaoor kitna.

Jis chehre ko hai ek din mitti me mil jaana,Us chehre pe hai tujhe guroor kitna.

Ek sajde ke inkaar ne Iblees ko shaitaan bana diya,Tu khud jaan le tera hai qasoor kitna.

Jin ki sunnat pe chalna tujhe gawara nahi,Tere waaste roye the wo Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) kitna.

Tu ne chakhi hai faqat gunaahon ki lazzat aye Musalman,Tu kya jaane Zikre ilaahi me hai suroor kitna.

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Hazrat Ali radiallahu ta'ala anhu :Zindagi ko zaroorat me rakho,Khwahishat ki taraf na le jaao.

Zaroorat faqeero ki bhi puri hoti hain,Aur khwahishat baadshaho ki bhi baqi reh jaati hai.

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Ek baar ek aurat paani se bhara hua mashkija uthakar jaa rahi thi. Bahut kamzor hone ki wajah se use bhari mashkija lekar chalne me bahut pareshani ho rahi thi. Hazrate Ali ne jab ye dekha to use rok kar wo mashkija khud utha liya aur uske saath jaakar uske ghar par pahuncha diya. Raaste me uski baato se aap ko pata chala ke uska shohar kharji tha aur Hazarte Ali ke khilaf jang me maara gaya tha aur uske bahut saare bache the aur wo dusro ke kaam karke guzara karti thi.

Dusre din aap khane ki bahut saari chize lekar uske ghar ki taraf gaye. Raaste me kai logo ne us thele ko uthane ke liye kaha to aap ne farmaya ke ‘Dunya me tum mera bojh utha loge magar qayamat me sab ko khud hi apna bojh uthana hoga.’

Jab aap us aurat ke ghar par pahunche to wo bahut khush hokar kehne lagi ‘ALLAH ta’ala tumhe hamesha aabad rakhe.’Phir aap ne kaha ‘Main tumhare liye khana pakata hu ya agar tum khana pakao to itni der main tumhare bacho ka khayal rakhta hu.’Us aurat ne kaha ‘Main khana pakati hu. Aap sirf choola jala do.’Aap lakadiyo se choola jalane lage. Garmi ki wajah se aap ke chehre par paseena aane laga. Itne me pados me ek shakhs aaya. Jab usne ye dekha to kehne laga ‘Aye gustakh aurat, Ameerul mo’mineen ke saath ye bad-sulooki karne ki tumhari himmat kaise hui?’Ye sunkar us aurat ko haqeeqat ka pata chala aur sharminda hokar aap ke kadmo me gir gai.

**********SABAK :Hazrate Ali ne apne amal se hame ye dars diya ki Husne akhlaq aur Khidmate khalq se dusre ke dilo me insaan ki izzat badhti hai.

Kisi ko apne khauf se ya apne rutbe se izzat karne ke liye majboor karne se behtar hai ke apne sahi ilm aur nek amal se izzat haasil karo.

**********ALLAH ta'ala sab ko in sab baato ko samajhne ki aur yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko batane ki taufiq ata farmae.Aameen.

Hamare Pyare Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W)21/Apr/571 Esvi 12/Rabi-ul-Awwal Peer ko Suba4:45 Makkah me peda hueAap(S.A.W.W)ki Total Zindgi 22330 Din (63 Sal,4 Din)Aap(S.A.W.W) ki Risalt ka Arsa 8156 Din (23Sal)Tha.AMAD E MUSTAFA MARHABA MARHABA.

 Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,me tum me 2 garan Qaddar cheezain chore ja raha hon 

1: Quran2: Meri Itrat (Ahlebait) in dono se juda na hona warna tabba ho jao ge... 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“YA ALI (A.S) apki muhabbat gunaho ko is tarah khati hai jaise aag khushk lakri ko” 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) ne ek martaba Ali (a.s) se irshad farmaya ki ay Ali raat ko rozana paanch kaam karke soya karo1. 4 hazar dinar sadka dekar soya karo2. ek quran sharif padkar soya karo3. jannat ki kimat dekar soya karo

4. do ladne walo mai suleh karaker soya karo5. ek haj karke soya karohazarat ali (a.s) ne arz kiya ya rasool allah (s.a.w) ye sub kis tareh kiya jaye batayefir huzoor (s.a.w) ne irshad farmaya1.char martaba sureh fateha padkar soya karoiska sawab char hazar dinar ke barabar hai2.teen martaba kul ho wala ahad padkar soya karoiska sawab ek quran majid ke barabar hai3.dus martaba astagfar padkar soya karodo ladne walo mai suleh karane ke barabar sawab hoga4.dus martaba darud sharif padkar soya karojannat ki keemat ada hogi5.teesra kalma padkar soya karoek haj ka sawab milegaes per hazrat ali (a.s) ne arz kiya ya rasool allah (s.a.w)ab tue mai rozana yahi amliyat karke soya karoonga

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,ae musalmano suno ghor se suno

hazrat mohammed (s a w) ne fermaya hai ke jab koi bhi hussain ko sallam bhejta hai us k nateeje main khud 

(fatima tul zehra(s.a) 70 baar jawab deti hain to aao sub mill kar kahe sallam ya hussain (a.s)

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne

farmaya Hai Ke,Allah Taalah Se Jab Dua Mango To Iss Haalat Main Mango,Ke Tumhain Us Ke

Qabool Hone Main Koi Shaq Na Ho.”

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Dozakh Har Aise Shakhs Par Haraam Hai,

Jo Naram Mezaj, Naram Guftaar, Milansaar,Aur Hans Mukh Ho.” 

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke," ALLAH tumhari shakal-0-surat or daulat ko nahi deakhta bal k tumhari niyyat or

Aamal 

ko deakhta hai "  

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Momino’n Apni Duao’n

Main Surah-eFalak,Surah Naas, surah IkhlasKo Shamil Ker Lia Kro

Har Qism K Shar Aur JaduSe Mehfuz Raho Gy …

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Sadqa gunahon ko is tarah khatam

kar daita hai jis tarahpani aag ko buja daiti hai”

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,"Jesa Amal Karo ge 

Wesi Hi Aadat Pare Gi Jesi Aadat Hogi, Wesi Seerat Hogi Aur Jesi Seerat Hogi, Wesi 

Qismat Pao Gy"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Nigah Aiysi Rakhoo Jo Buri Nigaahon Ko Bhee Jhuknay Pay Majbur Ker Day.”

Or“Zubaan Aiysi Istamaal Karoo Jo Talkh Zubaan Mein Bhee Mithaas Bher Day.” 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, “Har Ummat Ka 

Aik Fitna Hota Hai, Meri Ummat Ka Fitna Maal-o-Daulat Hai.” 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Ne Hr us MARD pr 

LANAT frmai jo AURTON jesa LIBBAS pehne Or Hr us AURAT pr LANAT frmai jo 

MARDON jesa LIBBAS pehne 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, "Jo ALLAHAur ALLAH Ke Aakhirat Par Emaan Rakhta Hain Use Chahiyee Ki Bhaliii Baat Kare

YaKhamosh Rahe"....Yeh Log Jabhi Koi Baat Kro To Tumhare Muh Se Khair Ki Baat

Ho Aur

Tum Logo Ki Burayiiya Karna Chod Do Aur Bey Shak Zubaan Se Hi Sab Se ZiyadaGunah Hote Hain Lihaza ALLAH Aur Rasool Ke Siwa Fizul Ki Baatein Na Kiya Kro

Aur Bey

Shak Tum ALLAH Ki Tarf Se Behtariin Umaat Ho.....Aur Bey Shak ALLAH Tabarak Wa 

Tala Dilo Ki Baato Ko Jaan Ne Wala Hain....ALLAH Pak Mujhe Aap Ko Aur Hum Sab 

Ko Amal Ki Tofeeq De.....Suma Aamin.....Dua Aur Khair Mein Mujhe Bhi Samil Kare.

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Duaon ki Qabolyat k Auqaat

1.Farz namaz k baad,2.Azan or Aqamat k darmian,

3.Tahajjud k waqt,4.Barish baraste waqt,

5.Safar mein,6.Iftar k waqt,

7.Jummey k din ek ghari,8.Shab-e-Qadar mein,

9.Zam Zam peete waqt,10.Arfa k Din Maidan-e-Arfat mein,

11.Qura'an ki Tilawat k baad,

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Apnay bhai ki taklef per khush na ho.

Mumkin hay Allah us konijat day kar tumhain us main mubtela kar day.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,qiamat k din ALLAH ki nazar main bad taren shakhs wo hoga jiski bad zabani ki waja

se log us se milna chor den.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,mazloom ki bud dua 

se apny aap ko bachaoo is liye k woh ALLAH TA'LLA se apna haq mangta ha,or ALLAH 

TA'LLA KISI HAQDAR KO US K HAQ SE MEHROOM NAHI KARTA. 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,khairat ko mat roko,warna tumhara rizq bhi rok diya jaiga.

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, QAMYAT k din 

mery shafaat k wohi musthaiq ho ga jis na sacha dil se "KALMA" parha ho.Aap (S.A.W.W) na irshad frmiya k "LA ILHA ILLAH ALLAH" k zikr tmam zakron

se bather aur tmam nakiyo se afzal ha.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Jab khush kardey tujhey teri Neki aur Buri lagay tujhey teri Burai to phir samajh k Tu 

MOMIN hai.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Agar Kisi Insan Main 99 Buraiyan Hon Aur 1 Achayi Ho,

To Us Ki Buraiyon Ko Nahi Balkay 1 Achayi Ko Bayaan Karo.” 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Logon Se Miltay Waqt Muskurana,

Andhay Ko Rasta Dikhana,Raste Se Pathar Uthana, Sulah Karna,

Aur Neki Ki Baat Batana Bhi Sadqa Jaria Hai.”

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Jo Shakhs Wazo Karne Se Pehle Pehla Kalma Parh Le,

To Wazo Ke Har Qatray Par Allah 1 Farishta Paida Karega,Jo Qayamat Tak Pehla Kalma Parhta Rahe Ga Us Ke Liye.”

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Har Shay Ke Liye Koi Na Koi Safayi Karne Wali Chez Hoti Hai,

Aur Dilon Ki Safayi Khuda Ke Zikar Se Hoti Hai.”

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Jo Apne Walldain Ke Liye Dua Karna Chor De,

Uss Ke Liye Rizq Tang Kar Diya Jata Hai.” 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Jo Shakhs Sotay Waqt 21 Baar BISMILLAH Parhta Hai,

ALLAH Farishton Se Farmata Hai,Ke Iss Ki Har Saans Ke Badlay Neki Likho.”

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Apni Duaon Ke Qabool Hone Ka Yaqeen Rakhte Hue Dua Karo,

Allah Aisi Dua Qabool Nahi Karta Jo Ghafil Aur Be Parwa DiL Se Nikli Ho.” 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Behtar Woh Hai Jo Dair Se Naraz Ho Aur Jaldi Maan Jaye,

Badtar Woh Hai Jo Jaldi Gusse Main Aye Aur Dair Se Raazi Ho.” 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Duniya Main Agar 4 Cheezain Tumhare Paas

Hon, Tou Tumhe Koi Nuqsan Na Hoga.”1- Sachi Zuban.

2- Amanat Daari.3- Khush Ikhlaqi.4- Rizq-E-Halal.

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Jab 3 Kefiyaat Paida Hon To Forun DUA Mango,

Uss Waqt DUA Rud Nahi Hogi.”1- Jab Jisam Kaanp Uthay.

2- DiL Main Khauf Aa Jaye.3- Aankhon Se Aansu Jari Hon.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Jo DUA Doston Ke Liye Un Ki Ghair Mojoodgi Main

Ki Jati Hai, Woh Kabhi Rud Nahi Ki Jati.” 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Sach Neki Ki Taraf Le Ke Jata Hai,

Aur Neki Jannat Main Pohnchati Hai.”“Jhoot Badi Ki Taraf Le Ke jata Hai,

Aur Badi Jahanum Main Pohnchati hai.” 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,"Jab Shetaan mardood ho gaya tou

uss nay kaha, k Ay Rab! Teri Izat ke qasam

main teray bandoon ko hamesha bhatkata rahoon gajab tak k Unke rouh unka jism main rahay ge. 

Allah Rabul Izzat nay Irshad farmaya Mujhay Qasam hayapni Izzat-0-Jalaal ki

apnay Aala mukaam ki"jab tak WOH mujh say Astaghfaar kartay rahain gay

MAIN unko bakhshta rahoon ga." 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,"AGER KOI MUSALMAN KISI BIMARI YA MUSIBAT YA PARESHANI MEIN

MUBTILA HO JAI OR US PER SABER KARE TO "ALLAH" APNI REHMATSE US KE GUNAHON KO IS TARHAN JHAAR DETA HAI JAISE DARAKHT

APNE PATTO KO

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,jab kci kaam ka irada karo to uska anjaam soch lo, agar iska anjaam acha ho to karlo,

aur agar anjaam bura ho to us se ruk jao...!

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,ALLAH se DUA mango to DUA ki Qaboliyet Per Yakeen Rakho keyo k ALLAH

Ghafil or Laparwa Dilo ki DUA Kabool nahin Kerta

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,"Jb Ek Jawan Admi Toba Krta Hai To Mashriq Se Maghrib Tak K Qabristano Me 40 

Dino Tak Azaab Hata Dia Jata Hai"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Uss Insan Ka Koi Emaan Nahi Jis Ki Amanat Nahi .

Or Uss Insan Ka Koi DEEN Nahi Jo Wada Pora Nahi Karta.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Jb Koi Banda

Allah Ki Naimt PrAlhamdulillah

Kehta HyTu Allah

UsKo Is Se Afzal Naimat Ata Frmata Hy.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Duaon ki qaboliat k auqaat,

1.Farz namaz k baad,2.Azan or aqamat k darmian,

3.Tahajjud k waqt,4.Barish barastay waqt,

5.Dauran-e-safar,6.Iftaar k waqt,

7.Jummay k din ek ghari,8.Shab-e-qadar main,

9.Zam zam peetay waqt,10.Arfa k din maidan-e-arfat main,

11.Quran ki tilawat k baad. 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Jo Shakhs Sotay Waqt Bismillah Parta He,

Allah Frishton Se Farmata Hai K Us Ki Har Sans Kay Badlay Neki Likho. 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,?Dua K Siva Koi Chez Taqdir K Faisle Ko Rad Nahi Kar Sakti 

Or Neki K Siwa Koi Cheez Umer Ko Nahi Barha Sakti?.  

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Tauba Gunah Ko Kam Kerti Hai

Jhoot Rizq KoGheebat Neki KoGhum Umar KoSadqa Bala Ko

Gussa Aqal KoTakabbur Ilm Ko

Neki Badi Ko

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,AAP (S.A.W) Se Pucha Gaya 

Ya Rasool ALLAH (S.A.W) Insan Ka Husn Kis Cheez Me Poshida Hy? 

AAP (S.A.W)Ne Farmaya Insan ka husn UsKi Zaban Me poshida hy

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Jo log khanay se pehly thora Namak chakh lete Hn Wo log 30 Qism ki Bimariyon seMehfuz rehte hen

Khajoor ko Nashtay me istamal kro ta ktumaharay Andruni jarasim ka khatma Hojaye ga

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,1) "Libaas ki saadgi eman ki alamaton mein se aik alamat hai". (ABU DAUD)

2) "Dua ke siwa koi cheez taqdir ke faisle ko rad nahi kar sakti aur naiki ke siwa koi cheez umar ko nahi barha sakti". 

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,"Ankhoon ko un ka Haq do" Logon ne pocha Huzoor Ankhoon ka Haq kya hai?

Ap(s.a.w) ne Farmaya: Quran ki taraf nazar karna or is ke Tilawat karna.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,'Har Ummati Ke GunahMua'af Kar Diye Jaye'nGey Siwaye Un ke Jo

Apne Gunaho'n Ko ZahirKerte Hyn'

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,"Tumhare Hath Me Do(2) Kaam Aise Hyn Jin

k Sabab Se Tum SePehli Ummatei'n Halak Hui'n

1. Kam Tolna2. Pura Na Napna."

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Kisi ko us ki Zaat aur Purany Libbas ki waja sy Haqeer na samjho

Es liye k Tera Rab aur uska Rab aik hi hai 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,"Sab Se Wazni Cheez Jo Qayamat k Din Momin k Meezan Main Rakhi Jayegi Wo

Us Ka Husn EAkhlaq Ho Ga"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Jo Apne Waldain K 

Liye Dua Karna Chorh Deta Hai Os K Liye Rizq Tang Kar Diya Jata Hai. 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, Jab Tum Kuch Bhool Jaow To Mujh Pe Durood Parho Inshallah Ta'alah Bhooli Howi Cheez Yaad

Aa Jaye Gi.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Jab 3 Kefiyatein Ho 

Tou Foran Dua Maango Os Waqt Dua Rad Nahi Hogi,1- Jab Jism Kaanp Uthay,

2- Dil Mein Khoof Aa Jaye,3- Aankhon Se Aansu Jari Ho.

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Duniya Ki Zeenat 3 

Cheezein Hain,1- Maah,

2- Aulaad,3- Biwi.

Aakhirat Ki Zeenat 3 Cheezein Hain,1- Ilm,

2- Taqwa,3- Sadqa.

Jism Ki Zeenat 3 Cheezein Hain,1- Kam Kahna,2- Kam Sona

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, Allah Ta'alah Se 

Dua Maango Tou Dua Ki Qubooliat Par Yaqeen Rakho Q K Allah Ta'alah Ghafil Or Laparwa Dilon Ki Dua Qubool Nahi Karta.

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, Agar Tu Allah Ta'alah Ki Raza K Liye Kisi Cheez Ko Chorh De Ga Tou Allah Ta'alah Is K Badle

Mein Tujhe Os Se Behtr Ata Karega.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, Aamal Apni Taqat 

K Mutabiq Karo Allah Ta'alah Ki Qasam Wo Ajar Dene Se Nahi Thake Ga Tum Hi Aamal Karne Se Thak Jao Ge.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, 4 Cheezein Aap Ko 

Pareshaan Or Bemaar Karti Hain,1- Ziyada Baatein Karna,

2- Ziyada Soona,3- Ziyada Kahna,

4- Ziyada Loogo Se Mail-Jol, 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, K Tum Main Se 

Koi B Kahna Kahye Or Pani Piye Tou Seedhe Haath Se Piye Q K Shaitaan Ulte Haath Se 

Kahta Hai Or Ulte Haath Se Peeta Hai. 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Tum Apni Unglion 

Par Tasbih Kiya Karo Q K Qayamat Wale Din Ye Tumhari Gawahi De Gi. 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Main Os Shakhs 

Ko Jannat K Kinaro Par Garh Dilwane Ki Zamaanat Deta Hon Jo Jhagra Chor De Chaahe Wo Haq Par Ho.

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, Khaana Kah K Shukar Ada Karne Wale Ka Darja Sabar Karne Wale Rozaidaar K Barabar Hota Hai,

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, K Jo Aurat Kam 

Kapre Ya Tang (Tight) Libas Pehnegi Wo 500 Saal Tak Jannat Ki Khusbu Tak Nahe Soong Sake Gi.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Jab Mulk“mein”Tabahi”ho

Or logon ke“Jan o Mal”Mehfoz na hoTo kasrat se“ASTAGHFAR”Parho

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, Nimaz osi tarha paro jis tarha muje Nimaz pahrte 

daikha hai.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,ALLAH Se Haath Utha ker Dua Maanga Karo ke Hathelio'n Ka Rukh 

Saamne Ho, Haath Ultey Ker ke Na Maanga Karo 

Aur Dua Kar Chuko Tou Uth'tay Huey Haatho'n Ko Chehry 

Per Pher Lo ...

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,sab say ziada wazni cheez jo qiyaamat kay din momin kay taraazoo main rakhi jaay gi

wohuska "HUSN-E-AKHLAQ" ho ga

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Woh shaks janati hy jo raat ko soney se phly sub ko muaf kar k soye

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Jab apny liye dua karo to doosron ko bhi yaad karo:

kiya pata us ki nasseb ko khushi tumhri dua k intezar mein ho 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, Jab TuM kisi Ko 

Dost Banao To Apnay Dil Mei ek Kabristan Bana Lo!!Jahan Tum Uski ki Buraiyon Ko Dafan ker sako: 

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,jab do momin milty 

hein aur salam k baad mashfy k liy aik dosry ka hath me laty hein tu dono k ghuna istarha 

jhar jaty hein jistarha darkht sy sokhy patay. 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Raat Ka Khana Na Choro 

Chahey 1 Meethi Khajoor Kyun Na Ho Kyun ke 

Raat Ka Khana Chorhna Aadmi Ko Zaeef Ker Deta H

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,"Beshak Allah Ta'ala 

ny Mere liye zameen k pardey utha diye hyn, Lihaza Main usay dekh raha hoon aur jo 

us mein Qayamat tak hony wala hy usay bhi jese, Apni is Hatheli 

ko

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,"Kahan Kha k Shukar 

Ada Krne Wala Ka Darja, Sabr Krne Wale 

Rozedar k Brabar Hota Hy"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,maldari saaz o samaan ki kasrat ka naam nahi balke asal maldari dil ka Bada hona hai

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, jis kisi nay kisi ko 

nek baat per amada kia to us ko bhi utna swab milay ga jitna us neki krnay walay ko milay 

ga.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,a jo logon per rehm 

nahi karta Allah us per rehm nahi karta 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, jub tum apnay ghar 

me dakhil ho to ghar walon ko salam karo ye baat tumharay or tumharay ghar walon ke liye barkat ka bais ho gi

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, ikathay ho kar khao 

or bismillah parho is me tumharay liye barkat hay.  

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, jab kisi mareez ki 

ayadat krnay koi shakhs jata to asman say aik ghaibi nida aati hay k tu acha hay. tera chalna acha hay or janat ki aik manzil main tu nay apna ghar bana lia

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Kejab musalman apnay musalman bhai ki ayadat karta hay to wapsi tak 

janat ki bagh ki khosha chini karta hay.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeJo shakhs Allah say dua nahi krta Allah us say sakht naraz hota hay.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Dua ibadat hay phir ap nay ye ayt tilawat ki "Wa qala rabukumuduni astajib la kum"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, AGER KISI SHAKS MEIN 99 BURIAN HON AUR EK ACHAI HO TO USKI

BURIONKO NHE BALKE ACHAI KO BEYAN KERO

Aik dafa aik shakhs nay Rasool-e-Pak(S.A.W) poocha, kiya cheez ghamon se mafi dilae gi?Aap (S.A.W) ne farmaya 

1. Aansoo2. Aajzi

3. Beemari

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Khanay say phelay haath dona tangdasti ko door karta hai or baad mein dhona junoon 

(pagal pan)ko dafa karta hai.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,wo shaks us waqt 

tak janat main dakhil naheen ho ga jab tak us ke maan bap us se naraz hain chaye wo lakh 

mutaqi aur parhezgar ho 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, "jis ne apni MAA 

k paoun ko Bosa dia us ne KABAH ki dehleiz ko Bosa dia"y msg tum itna phela 2 jitna tum MAA aur Allah se pyar krte ho.

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, "Libas ki sadgi 

Imaan ki alamaat main se aik alamat hai" 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, dunia momin k liay 

qaid khana aur kafir k liay janat hai...... 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,mazloom ki bud dua 

se apnay aap ko bachao is liye k woh ALLAH TA'LLA se apna haq mangta hai,or

ALLAH TA'LLA KISI HAQDAR KO US K HAQ SE MEHROOM NAHI KARTA.

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,"dunya momin ka 

qaid khana aur kafir ka jannat hai."Kafir wohai jo ALLAH aur USKE RASOOL ki ita'at nahi karta aur apni marzi karta hai..

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,"Allah jis k sath Bhalai ka Irada 

frmata he us ko DEEN ki samajh ata frmata he".

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Us shaks ki hajat jald pori hoti hai jo apni hajat kisi or ko na bataye

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,halaak karne wali cheezon se bacho,poocha gaya halaak karne wali cheezain kiya 

hein.Farmaya,Allah ke saath kisi ko shareek karna aur Jadu tona. 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,ny farmaya salam 

mai pehal kya karo is se apas mian muhabat badti hi  

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Bandy ko QiYAMAT ke Din Jab Uska AamaL-Nama Dia Jaye Ga Tou Wo Us Mein 

Aisi Nekiya'n b Dekhey Ga Jo Usny Kbhi Na ki Thi'n.  

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Wo Poochy Ga Ya RAB Ye Kahan Se Aai'n? 

ALLAH Irshad Farmayega: "TeRi Bekhabri mein Logo'n ne TeRi GHEEBAT ki, YE Unki Nekiy'an GHEEBAT Karney ki Waja se Tujhy Mili Hyn"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Jab kisi ke beta peda hota hain to 

ALLAH PAK frmaty hain ke apny baap ka bazu ban ja..Magar jab beti peda hoti hy to 

ALLAH PAK frmaty hain ke MAIN KHUD tere baap ka bazu ban jaunga...

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,1- Lehsan Khaya Kro Aur Is Sy Ilaaj Kia Kro Q k Is Mein Bimario'n Sy Shafa Hy 

2- Apne Dastar-Khwan Ko Sabz Cheezo'n Se Sajaya Kro Q k Sabz 

Cheez ALLAH k Naam ki Barkat Sy shetaan ko 

Duur Rkhti Hy 3- Har Anaar Mein 1 

Qatra Jannat k Paani Ka Zarur Hota Hy

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, 'Agar tum mein se 

kisi ko ye khadsha ho k qayamat k din uski bakhshish mushkil hy tou usey chahiye k wo 

kasrat se logo'n ko pani pilaya kare' kyun k is chotey se amal ka ajar bohat bara hy.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,"LA ILHA ILLAH 

ALLAH" k zikr tmam zakron se bather aur tamam nakiyo se afzal hai.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,(MAGHRIB or ISHA) k Drmiyan 3bar SUREH"FATIHA" parhne se ALLAH PAK

puray saal k Rizk ka Intezam kr deta hy 

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Isma-ul-husna (ALLAH k nam) ko yaad karnay aur parhna ki barkat se jannat main dakhil hona ki bashurat aati ha aur inn ka wasilla se DUA mangna baiyass qbauliat

hai. 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Agr tm 3 ho to 2 

aaps me sargoshi na kro Q k ye bat teesre ko ghamzda kr deti he"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Jahan b ho ALLAH ka kahuf rakho aur burai 

sazad honay k baa neki ka amal kro jo usay mita de gii aur logo'n se 

husn-e-ikhlaq se pesh aao  

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Jab Aadmi Apnay (Muslman) ßhai ko "Ay Kafir" keh kar Pukaray To Goya Uss Ne

Usay Qatal kar Diya.. Aor Momin Par Laanat Karna ß Usay Qatal karnay Jesa Hy 

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,Jab ß koi §hakhs kisi ko Kafir kehta Hy To Un 2 Mein §y 1 kafir Ho Jata Hy 

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke, sood khaanay wale, 

Khilanay wale, Us ke likhne wale aur us ko do gawahon per lanat farmayi hai:Ye (gunah mein) brabar (ke shareek) hein.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke,“Meri Ummat ka 

har shakhs qabil-e-muafi hai,siwaye un logon k jo khullam-khulla gunah karnay walay hon gey,or yeh bhi ilaniya gunah ha k raat ko admi koi gunah ka kam karay,

ALLAH nay us k gunah par parda dala aur subah woh kahay,pichli raat main nay fulan gunah kiya. Us kay RAB nay raat ko us ki perda-poshi ki

or subah us nay woh perda chaak kar diya.”

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke jisne hamare is Deen me koi nai baat ejad ki jo isme se nahi hai,to woh mardud hai

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Jannat maa ke kadmo tale hai agar hasil karna chao to uski khidmat karo!Maa ko khus karne se

Allah tala khush hota hai aur use naraz karne se allah naraz hota hai

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeBADE BHAI KA HAQ CHHOTE BHAI PAR AISA HI HAI JAISE BAAP KA

HAQ BETE PAR.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeJhoot bolne ki aadat 

aadmi ko buraai ke raaste par daal deti hai.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeAgar kisi Aurat par 

achanak nigaah pad jaye to nazar pher lo doosri Nigaah us par na daalo

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeDUWA KI QUBULIYAT KA YAQEEN RAKH KAR DUWAYEn MAAnGA 

KARO,KYUn KE ALLAH KISI GAAFIL AUR LAA-PARWAH DIL KI DUWA QUBUL 

NAHI FARMATE.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Apne Ghar Me Surah Baqra Padho

Isliye K Shaitan Us Ghar Me Dakhil Nahi HotaJis Ghar Me Surah Baqra Padhi Jati He"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke jo Admi pasand 

karta hai ke iske Rizk me izafa kiya jaye ya iske asraat der tak rahe wo sila-rahmi kare.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Tum Mein Behtareen Log Woh He

Jo Apni BIWIYON K SathAchcha Sulook Karte He"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeRAAT ka khana 

mat chhodo chahe thoda hi kyun na ho is liye ke RAAT ka khana chhodna budhapa laata hai.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeKisi Maangne Wale Ko

Waapas Na Karo

Chahe Khajoor Ki1-Guthli (Maamuli Cheez) Hi Sahi"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke ALLAH SE JAB 

BHI MANGO JANNATUL FIRDAUS MANGO Q K US K UPR RAHEMAN KA ARSH 

HAI JAHAN SE JANNAT KI NAHEREN NIKALTI HAIN. 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeKaunsa Amal sabse zyada logon ke JannaT me jaane ka Sabab banegA?

Farmaya:TAQWA aur HUSN AKHLAQ.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeAgar tum duniya ke har hisse me bhi Sona Khairat karoge to utna sawab na paoge

jitna Muharram ke AASHURE ka ROZA rakhne par milega

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeSalaam Me Pahel Karne Wala Takabbur Se Bari Hai.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Main Os Waqt B NABI Tha Jab Hazrat ADAM (Alaih Salam) 

Rooh Aur Jism K Darmyan The".

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeAllah Taàla farmata hai k jo b banda apne gar se nikalte waqt ye kalimat phare 

"BISMILLAHE TAWAKKALTO ALALLAHE" to main us se 5 waado ka elan krta hon . 

(1) Ye k ap ki hifazat ho gi. (2) Ap ki maghferat ho gi. (3) Ap shitan k waswaso se mahfoz 

honge . (4) ap jis kam k liye nikle ho wo pora hoga . (5) ye k ap ZINDA apne gar lot aaoge..

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke“Ankhon ko unka haq do.”

Logon ne pocha, Hazoor ankhon ka haq kya ha ?Aap S.A.W.W. nay farmaya:-

Quran ki ziyarat!  

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeAllah nay farmaya'' Mujay apni izat ki qasam! May apnay banday par 2 khof aur 2

aman ikathay nahi karun ga agar wo mujh say dunia may khof rakhay ga to may usay

qayamat k roz aman may rakhun ga agar wo mujh say dunia may bay-khof raha to may usay

qayamt k roz khof may mubtala karun ga''.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeRaat Ka Khana Na 

Choro Chahey 1 Meethi Khajoor Kyun Na Ho Kyun k 

Raat Ka Khana Chorhna Aadmi Ko Zaeef Ker Deta Hy

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Kahan Kha k Shukar 

Ada Krne Wala Ka Darja, Sabr Krne Wale Rozedar k Brabar Hota 

Hy"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Aur Wo Shaks (Arsh k 

Saaye Main Hoga) Jis Ka Dil Masjid Main Atka Rehta Ho" 

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke1- Lehsan(Garlic) khaya kro aur is se ilaj kia kro Qk is mein bimario'n se shafa hy. 

2- Apne dastar-khawan ko sabz cheezo'n ko sjaya kro Qk sabz cheez ALLAH k naam ki 

barkat se shetan ko duur rkhti hy. 3- Har Anaar mein 1 qartra Jannat k pani ka zaruur hota hy ... 

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Jo Shaks Khuda k 

Raaste Me Kuffar Se Sirf Itni Der Larta Rahy, Jitni Der Me Ek Ountni 

{Camel}Ka Doodh Nikala Jata Hy, Tou Us Shaks Pr Jannat Wajib Ho Gai... " 

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeMusalmano ! Ghar Bananay ya Layne se Pehlay Achay Humsaya ko Talash kia karo. 

Aur Rasta Chalnay se Pehlay Achay Sathi ko Dhond (Talash) lia karo.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeALLAH Ko Tum Wesa Hi 

Pao Gy Jesa Us k Baray Main Gumaan Rakho Gy 

ALLAH TA'ALA Sy Acha Gumaan Rakhna Bhi 

ALAH Ta'ALA Ki Achi Ibadat Hy ..."

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Jis ko ye pasand ho k 

Shetan is k saath khaney main, soney main 

raat guzarney main shareek na ho, usay 

chahiye jab ghar main dakhil ho tou SALAM 

kary aur khaney par BISMILLAH kahey ..."

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Garam Khana Thanda Ker Liya Karo Kyu Ke Garam Khanay main Barkat Nahi

Hoti"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeALLAH us k chehre ko Tarotaza rakhay jis ne meri bat ko suna, yad kiya aur agay 

pohncha diya.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke.DUNYA KI ZENAT 3 CHEZEN HAIN

1_ "MAA"2_ "OULAD"

3_ "BIVI"

.AAKHRAT KI ZENAT 3 CHEZEN HAIN1_ "ILM"

2_ "TAQVA"3_ "SADQA"

.JISM KI ZENAT 3 CHEZEN HAIN1_ "KAM KHANA"2_ "KAM SONA"

3_ "KAM BOLNA".DIL KI ZENAT 3 CHEZEN HAIN

1_ "SABR"2_ "KHAMOSHI"

3_ "SHUKUR". 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeJo Sotay Huay Sone Ki Dua Prh Ly Wo Jitna Wqt Soy Ga Ibadat Ka Swab Mile Ga.

."Allahuma Bismika Amutu Wa Ahya"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeJo Shaks Astaghfar 

Ko Apne uper Lazim karly to Allah s k liye.Hr tangi se nikalne ka rasta nikal deta hai aur har gham-O-pareshani se

.Isse nijat deta ha or usse aisi jaga se rizq deta hai jis ka is ko.guman b nahi hota

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeGhuroor karne wale log qayamat mein chuntion(ants)

ki surat mein zahir hon gey,log hisab se farigh hone tak unko pairon se kuchlain ge.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke "'Agar tum mein se 

kisi ko yeh khadsha ho ke qayamat k din us ki bakhshish mushkil hai to usay chahiye ke 

woh kasrat se logon ko pani pilaya kare', kyun ki is chote se amal ka ajar buhat bara hai."

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke'Mehmaan apna RIZQ le kar aata hai

or khilaane walon k gunah le kar jata hai..(yani gunah jhar jaty hen)

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Musalman ko jo ranj, dukh, fikar, gham, takleef aur pareshani pesh aati hai yaha tak

ke usay aik kanta bhi chubta hai

to Allah us takleef ko us ke kisi na kisi Gunah ka kafara bana deta hai"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeTum Zyda Se Zyda Sajday Kya Karo Q K Jb BTum Sajda Karo Gy Tumhara Ek Darja BulandHoga Aor Tumhari 1ek Ghalti Mita Di Jaegi.

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeJab tum kuch bhool jao to mujh pe Durood Parho

InshAllah yad aa jay gaAur Farmaya: jo kisi pareshani mai ho wo mujh par Durood ki kasrat karay

kiu ke ye Pareshani aur dukh le jata hai.Rizk Barhata hai aur Hajtain Poori Karta hai

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"10" baaton ko 10 baatain khatam kar deti hain

1. Tauba - Gunah ko2. Dukh - Zindagi ko3.Ghussa - Aqal ko

4.Sadqa - Musibat ko5.Chugli - Dostee ko

6.Namaz - Be-Hayaee ko7.Neaki - Badi ko8.Jhooth - Rizq ko

9.Zulm - Insaaf ko Aur10.Takabur-Aamal ko

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Keagar koi momin meri 1 sunnat ko zinda karyga to us ko 80 SHAHEEDON ka sawab 

mileyga jhut na bolna AAP S.A.W. ki sunnat ha Lehaza is mehbob sunnat ko apnaeye Yad rahay mazak me bi jhut nahi

khud is tarhan is sunnat k paekar bun jaen k log ap ko dekh k khud badal jaen

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeJuma ka ghusal framosh na kro

kyun ke ye tmam haftay k gunaho ka kafara hai..

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Libas ki sadgi eman ki alamaton mein se 1

alamat hai".

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"jis ne buri bat se khamoshi ikhtiar ki, wo nijat pa gya"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeTumhari dua qabol hoti he jab tak jaldi na karo, ye mat kaho k me ne dua ki thi qabol

na hui.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeAllah ki raza walid ki razamandi main hai orAllah ki narazgi walid ki narazgi main hai.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Jis ko ye pasand ho k 

Shetan is k saath khaney main, soney main 

raat guzarney main shareek na ho, usay 

chahiye jab ghar main dakhil ho tou SALAM 

kary aur khaney par BISMILLAH kahey ..."

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Garam Khana Thanda Ker Liya Karo Kyu Ke Garam Khanay main Barkat Nahi

Hoti"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeMusalmano ! Ghar Bananay ya Layne se Pehlay Achay Humsaya ko Talash kia karo. 

Aur Rasta Chalnay se Pehlay Achay Sathi ko Dhond (Talash) lia karo.

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeRaste mey baithne se bacho or agr baithe ho to uska haq ada kro. 

Pucha gya k raste ka haq kya hai? 1.Apni nigahen neechi rkho.. 

2.Kisi ko tkleef na do. 3.Salam ka jawab do. 

4.Achi baat ka hukam kro. 5.Buri baat se mana kro

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"jisne MUJHKO 

KHWAB me dekha to beshaq usne MUJHI ko dekha kyoun ki Shaitan MERI nakal nahi 

kar sakta"

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeMuamla Chota Ho Yah Bara .Is Ko Tahrer Main Lane Ka Liya Susti Na Karu ...

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"REHAM" karny walon per "REHMAN REHAM" karta hey. 

Tum Zameen walon per Reham Karo "ASMAAN WALA" tum per REHAM karey ga. 

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke"Jis ne Hajj kia or Hajj me koi baat fasaq ki na ki na fahash kalaam kia to wo Hajj se

aisa Pak o Saaf ho kr lot'ta hy k goya aj hi Maa k pait se peda hoa hy."

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeJo shaks Apne Zalim Par ßuddua karta Hey Wo Apna ßadla Le Leta Hey

Jo Çhez ßachon ke Lie ßazar se Lao Phele Larki ko Do Phir Larke ko  

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeAllah ne tum per Fazul bat 

karna, kasrat se sawal karna aur maal zaya karne ko makroh kia hai

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke''Apne bhai ki musibat se khush na ho, kahin aisa na ho k ALLAH ta'ala is per to

rehem farmae or tumhe is me mubtala kar de''

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeMiswaak Ka Istaimal Apny Liye Lazim Karlo Kunkay Us Mei 

Mo Ki Pakeezgi Aur Allah Ki Khushnudi Hai  

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeAllah Taalah Farmatay Hain,"Aulaad-E-Aadam Ka Har Amal 10 Guna 

Bharta Hai Siwaye Roze Ke,Roza Mere Liye Hai Aur Main He Roze Ki Jaza Doon Ga."

 

Ek Sahabi, Allah Se Dua Kar Raha Tha, Ay Allah ! Muje Sabr Ata Kar. 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya  Ke"Allah Se Sabr Mat Mang 

Q K Sabr Musibat Par Kia Jata Hai, Pehly Musibat Ayegi, 

Phir Sabr.. Tu Allah Se Shukar Ada Krney Ki Tufeeq Mang, 

Q K Shukr Nemat Per Ada Kia Jata He, Pehly Nemat Milegi, 

Phir Shukr Ada Hoga.. SUBHAN ALLAH

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeJb tum Ksi bande ko dkho k usey dunya 

se be-raghbati aur kam bolne ki nemat ataa ki 

gai hy tou uski qurbat-o-sohabt 

ikhtiyar kro "

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeHAZRAT JIBRAIL (A.S) HAZOOR (S.A.W.W) Ka Pass Aaye AOr Farmaya Ya 

Rasool-ALLAH Hum Insan Ka Har Amal Likhtay Hain §iwaye Insan Ka Ansoo Ka.. Ansoo Ka Khazana ALLAH K Pas Khud Hy.. Kion K Insan Ka ALLAH K Khof sy

Nikla Hoa Aik Anso Jahanum Ki aag ßujha deta Hy  

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke“Be-Shak Jannat Main 1 Darwaza Hai Jis Ka Naam “Rayyan” Hai,

Uss Darwazay Se Sirf Roza-Daar Dakhil Hon Gay.” 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KeMeraj Ke Moka Par Mera Guzar

Aise Logo Ke Pass Se HuwaJin Ke Nakhun PEETAL Ke Thay

Wu Apny CHEHRON Or SEENO Ku Noch Rahay ThayMei Nay Pucha

Jibrael A.S Ye Kon Loag Hain?Jibrael A.S Nay Kaha

Ye Wu Loag Hain Ju Logo Ka Ghosht Khaya KarteThay Aur Un Ke Geebat Karte Thay

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke“Logon Se Miltay Waqt Muskurana,

Andhay Ko Rasta Dikhana,Raste Se Pathar Uthana, Sulah Karna,

Aur Neki Ki Baat Batana Bhi Sadqa Jaria Hai.” 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai KePoocha gaya Jannat kitni door hai?

Aap (Sallallaho Alaehi Wasallum) ne farmaya: Jannat 2 qadam per hai.Pehla qadam apne NAFS per rakhdo, doosra qadam jannat main hoga

 

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) Aap ne farmaya Hai Ke“Jo Shakhs Wazoo Karne Se Pehle Pehla Kalma Parh Le,

To Wazoo Ke Har Qatray Par Allah 1 Farishta Paida Karega,Jo Qayamat Tak Pehla Kalma Parhta Rahe Ga Us Ke Liye.”

Rasool-e-Khuda Hazrat Mohammed (S.A.W) ki Friday ki Suntain1- Acha Libas

2- Ghusal3- Khushboo4- Miswak5- Surma

6- Darood-e-Ibrahimi7- Surah-e-Kaaf

RAMZAN WA ROZE KI FAZILAT...........Mard ne Aurat Ka Bosa Liya Ya Chua Ya Mubasharat ki Ya Gale lagaya Aur injal hua to roza tut gayaAgar Aurat ne mard ko chua aur mard ko injal Hua to Roza Na TutaAurat ko kapde ke uparse chua aur kapda itna mota he Ki Badan ki garmi malum na hui to Roza Na Tuta agarche injal ho. (Qanoon-E-Shariat)

Danto se Khun nikal kar Halak se niche utara aur khun thuk se Jyada ya kam tha magar uska maja Halak me malum hua To Roza Tut Gaya. (Qanoon-E-Shariat)

Hadees-E-Ramzan Roza Todnewali Chizen  (Hukka, Bidi, Sigret, Charut, Sigar, Pan, Tambakhu,)

Inse Roza Tut jata he Dant me chane barabar chiz thi & Ningal gaya Roza Tut Gaya. (Qanoon-E-Shariat)

Har dino ki tarha Roze me bi miswaak karna sunnat hai. Roza ki halat me har qisam ka athar sung bi sakhte hai aur kapdo me laga bi sakhte hai. (RADDUL MUHTAAR jild-3)

Poore Quran Sharif Ki Tilawat Karne wale Musalman Ko 32.Lakh 12.Hazar 670 Nekiya Milti He (ANWARUL HADIS Page145)

Ramazan ke Rozedar Ke Liye Darya Ki Machliyan Iftar Tak Dua-E-Magfirat Karti rehti he(Attargeb Wattargeb J;2 s;55)

RAMZAN ME NAFL KA SAWAB FARZ KE BARABAR AUR FARZ KA SAWAB 70 GUNA MILTA HAI QAYAMAT ME RAMZAN & QUR'AN ROZADAR KI SHAFA'AT KARENGE.JISE RAMZAN ME MAUT AA JAYE USSE SAWALAT-E-KABAR NAHI HOTE. (TAFSEER-E-NAEEMI)

RAMAZANUL MUBARAK KA ROZA 10 SHAWWAL-UL MUKARRAM, 2 HIJRI KO FARZ HUWA. (KHAZAIN SAFA-42)

Jab Ramzan Ki Pahli Raat Aati Hy To Asmano Aur Jannat Ke Darwazey Khol Diye Jate Hai Aur Akhiri Raat Tak Band Nahi Hote.

RAMZAN KA PAHLA ROZA RAKHNE WALE KE MAHINE KE AAKHRI DIN TAK GUNAH MAAF HOTE HAI

(Shoaibul IMAAN J:3 S:313)

Jo Koi Banda Ramzan Ki Kisi Bi Raat Me Namaz Padhta Hy To Uske Har Sajde Ke Badle Me Uske Liye1500 Nekiya Likta He. [SHOBUL IMAAN V:3/Page:314]

MAHINO ME SIRF MAAH-E-RAMZAN KA NAAM QUR'AN SHARIF ME LIYA GAYA ISI KE FAZAIL BAYAN HUWE RAMZAN KE KHANE PEENE KA HISAAB NAHI (Tafsirul Ruhul BAYAN)

JISNE ISHA KI FARZ NAMAZ NAHI PADHI WO NA TARAWEEH PADH SAKTA HAI NA WITR  JAB TAK FARZ NA ADA KARE (RADDUL MUHTAR JILD-1,S-476)

BHOOL KAR PET BHAR KHANA KHAYA YA PAANI PIYA TO ROZA NA TUTA ROZA HONA YAAD THA FIR AISA KIYA TO TUT GAYA

Ramzan Ke Har Roze Ke Liye Nai (New) Niyyat Zaruri He Ek Din Ki Niyyat Pure Mahine Ke Liye Kafi Nahi(Bahare Shariat)

Kya Aap Jante He?Ramzan Ul Mubarak me Musalmano Ki Qabro Par Azaab-e-Qabra Nahi HotaJisKa Roza Ki Halat Me Inteqal Hogaya Allah usku Qiyamat Tak Ke Rozon ka Sawab Ata Farmayega.(Al Firdaus J:3 S:4)

RASOOL-E-AAZAM Ne FarmayaJisko Ramzan Ke Iqtetam (Ending) ke Waqt Maut Aayi Wo Jannat Me Dakhil Hoga.Jo Momin Is Mahine Me Marta He Wo Sidha Jannat Me Jata He Goya Us Ke liye Dozakh Ka Darwaza Band He

Jisne bagair kisi sharai majburi ke RAMZAN ka 1 bhi ROZA tark kiya (chhoda)wo 900000 (9 Lakh)baras JAHANNAM ki aag me jalta rahega! (Faizane sunnat)

HUZUR NE 3 TARAH KE LOGO KO BADDUA DI JIS PAR HAZRAT JIBRAIL NE AAMIN KAHA USME SE EK RAMZAN KA ROZA NA RAKHNEWALA HAI. (Kanzul UMMAL)

Aurto Ke Liye Bhi Tarawih Padhna Sunnat Hai. (DURRE MUKHTAR-2) 

HAIZ aur NIFAAS KI HAALAT ME AURAT KO ROZA RAKHNA "HARAAM" HAI. (BAHAR-E-SHARIAT)

Haiz Ya Nifaswali Aurat Pak Ho Gayi To Jo Kuch din baki raha Use Roze Ki tarha Gujarna Wajib He Aur Us Roze Ki Kaza Farz Hi. (Qanoon-E-Shariat)

TRAWIH YA SHABINA ME AGAR SHARIK NA HO MAGAR AYATE SAJDA SUN LENE SE SAJDA A TILAWAT WAJIB HO JAYEGA

RAMZAN KI HAR RAAT-O-DIN ME SE MUSALMAN KI EK DUA ZAROOR QUBUL HOTI HAI. (TARGEEB)

Sehri Me Jyada Kha liya Ki Ab Din Bhar Khatti Dakare Aa Rahi He To isse Roza Nahi Tootega(Sunni Bahisti Zewar: 191)

Tarawih Ka Waqt Isha Ke Farz Padhne Ke Baad Se Subah Saadiq Tak Hai, Isha Ke Farz Ada Karne Se Pahle Agar Padhli To Na Hogi. [Alamgiri]

Jo Sachche Dil aur Sahi Aqeeda ke sath RAMZAN me TARAVEEH Padhe to uske agle Gunah Bakhsh Diye Jate hai, 20 Rakat Tarawih Padhna Jaruri Hi HAZRAT ABBAS SE RIWAYAT HAI KE NABI-E-PAK RAMZAN ME 20 RAKA'AT TARAWIH Aur 3 RAKA'AT WITR PADHA KARTE THE. (BAIHAQI J.2 TIBRANI J.11) .