jawahir programme-dawrae quran juz 12- wa ma min daabbatin ... · har ek ke rizq ki zimmedaari...

13
Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin Surah 11 -Hood www.livequraneverymoment.org Page | 1 Juz 12- Wa Ma Min Daabbatin : Surah Hood Ayaat 6-123 Ruku 1 (Cont)( Ayah 6-8) Hame Sirf Apne Aamal & Ibaadaat Ki Fikr Karni Chahiye. Hame Apne Rizq Ki Fikr Nahi Karni Chahiye. Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. Mustaqarra Thikaana- Kahan Rehta Hai. Residence (Father’s Sperm) Mustawda’a Supurd Karne Ki Jagah- Qabr . (Mother’s Womb) Allah Ko Sab Pata Hai & Sab Lohe Mehfooz Me Hai. Yeh Sab Kyun BanayaTaake Aazmaye Insaano Ko Ke Kaun Achey Nek Amal Karega. Ahsanul Amal Khoobsoorti Se & Jitne Karna Hai Usse Zyada Karna. Farz Ke Alawa Nafeel Ibaadat. Nek Amal- Ikhlaas Ke Saath, Quran & Sunnah Se Saabit Ho & Sahih Waqt Par Karein,. Nekiyo Me Pehl Karna Etc. Kafir-Allah Ke Kalaam Se Mazaaq Karte Kehte Ke Jaadu Hai. Qayamat Ko Nahi Maante. Inke Hisaab Kitaab Ko Qayamat Tak Postpone Kar Diya Hai. Jab Azaab Aayega -Phera Nahi Jayega. Bhaag Nahi Sakte. Ruku 2 (Ayaat 9-24) Ayat 9-11 Insaan -Niymat Ke Chhin Jaane Par Mayoosi & Nashukri. Nemato Ke Milne Par Khushi & Faqr. Momin - Niymat Milne Par Shukr & Niymat Chhin Jaane Par Sabr.Kyunke Usey Pata Hai Aazmayish Hai Ayat 12 14 Rasool Saws Ko Hukm Ke Wahi Me Se Kuch Mat Chupaiye- Poora Bayaan Kijiye Chaahe Iski Wajeh Se Kufaar Aetraaz Karey & Aapka Seena Tang Ho Unki Baton Se Kuffaar Ke Aitrazaat Rasool Saws Par Khazaana Kyu Nahi Farishta Kyun Saath Nahi Hifazat Ke Liye-Quran Gadh Li Hai- Maujzo Ki Maang Etc. Allah Ka Jawaab Hifazat Ki Kya Zaroorat , Aap Toh Daraane Waale Hai. Eg : Writing Ke Liye Pen Etc.. Jaise Tools Chahiya, Bandook & Talwaar Nahi. Agar Quran Gadhi Hui Kitaab Hai To Us Jaisi Ek Surat Laake Dikhaao. & Is Kaam Ke Liye Jiski Chahe Madad Le Lo. Challenge Accept Karo Ya Phir Islaam Le Aao. Ayat 15 -16 Dunya Ke Fayde Ke Liye Amal Karne Walon Ko Poora Badla Dunya Me De Diya Jayega. Aakhirat Me Siwaaye Aag Ke Kuch Nahi. Aur Unke Aamaaal Zaaya Ho Jayenge. Ayat 17 Woh Shaqs: 2 Interpretations. Rasool Saws Ek Wazeh Dalaeel Par Hain Jibreel As Quran Padhke Sunate Hain & Uske Gawah Hain. Usi Tarah Musa As Ki Kitaab Bhi Rehnumayi Hai. Yaani Quran Aisi Pehli Kitaab Nahi Hai. (Rasool S.A..W.S & Jibreel A.S) Har Ek Insaan Tawheed Ki Fitrat Par Hai Jo Apne Rab Ki Taraf Se Hai& Ham Uska (Rasool Saws) Peecha (Follow) Karte Hai Sunnat Ka , Yeh Pehli Dafa Nahi Hua, Musa A.S Ke Saath Bhi Kitaab Thi Pehle Bhi Nabi Paigaam Ke Saath Aaye The. (Insaan & Rasool S.A.W.S) Jo Yahood & Isayi Rasool Saws Ko Jaanne Ke Baad Imaan Nahi Layenge Toh Unka Thikana Jahannum Hai. Ayat 18 Allah Par Jhoot: Allah Ke Saath Kisi Ko Shareek Thehrana. Yeh Kehna Ki Allah Ki Aulaad Hai. Allah Ne Jo Baat Nahi Kahi Usko Allah Se Mansoob Karna.

Upload: others

Post on 20-Sep-2019

20 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin – Surah 11 -Hood

www.livequraneverymoment.org Page | 1

Juz 12- Wa Ma Min Daabbatin : Surah Hood Ayaat 6-123

Ruku 1 (Cont)( Ayah 6-8)

Hame Sirf Apne Aamal & Ibaadaat Ki Fikr Karni Chahiye. Hame Apne Rizq Ki Fikr Nahi Karni Chahiye. Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai.

Mustaqarra – Thikaana- Kahan Rehta Hai. Residence (Father’s Sperm)

Mustawda’a – Supurd Karne Ki Jagah- Qabr . (Mother’s Womb)

Allah Ko Sab Pata Hai & Sab Lohe Mehfooz Me Hai.

Yeh Sab Kyun Banaya– Taake Aazmaye Insaano Ko Ke Kaun Achey Nek Amal Karega.

Ahsanul Amal – Khoobsoorti Se & Jitne Karna Hai Usse Zyada Karna. Farz Ke Alawa Nafeel Ibaadat. Nek Amal- Ikhlaas Ke Saath, Quran & Sunnah Se Saabit Ho & Sahih Waqt Par Karein,. Nekiyo Me Pehl Karna Etc.

Kafir-Allah Ke Kalaam Se Mazaaq Karte – Kehte Ke Jaadu Hai. Qayamat Ko Nahi Maante.

Inke Hisaab Kitaab Ko Qayamat Tak Postpone Kar Diya Hai. Jab Azaab Aayega -Phera Nahi Jayega. Bhaag Nahi Sakte.

Ruku 2 (Ayaat 9-24) Ayat 9-11

Insaan -Niymat Ke Chhin Jaane Par Mayoosi & Nashukri. Nemato Ke Milne Par Khushi & Faqr.

Momin - Niymat Milne Par Shukr & Niymat Chhin Jaane Par Sabr.Kyunke Usey Pata Hai Aazmayish Hai

Ayat 12 – 14

Rasool Saws Ko Hukm Ke Wahi Me Se Kuch Mat Chupaiye- Poora Bayaan Kijiye Chaahe Iski Wajeh Se Kufaar Aetraaz Karey & Aapka Seena Tang Ho Unki Baton Se

Kuffaar Ke Aitrazaat – Rasool Saws Par Khazaana Kyu Nahi – Farishta Kyun Saath Nahi Hifazat Ke Liye-Quran Gadh Li Hai- Maujzo Ki Maang Etc.

Allah Ka Jawaab – Hifazat Ki Kya Zaroorat , Aap Toh Daraane Waale Hai. Eg : Writing Ke Liye Pen Etc.. Jaise Tools Chahiya, Bandook & Talwaar Nahi. Agar Quran Gadhi Hui Kitaab Hai To Us Jaisi Ek Surat Laake Dikhaao. & Is Kaam Ke Liye Jiski Chahe Madad Le Lo.

Challenge Accept Karo Ya Phir Islaam Le Aao. Ayat 15 -16

Dunya Ke Fayde Ke Liye Amal Karne Walon Ko Poora Badla Dunya Me De Diya Jayega. Aakhirat Me Siwaaye Aag Ke Kuch Nahi. Aur Unke Aamaaal Zaaya Ho Jayenge.

Ayat 17 –

Woh Shaqs: 2 Interpretations. Rasool Saws Ek Wazeh Dalaeel Par Hain – Jibreel As Quran Padhke Sunate Hain & Uske

Gawah Hain. Usi Tarah Musa As Ki Kitaab Bhi Rehnumayi Hai. Yaani Quran Aisi Pehli Kitaab Nahi Hai. (Rasool S.A..W.S & Jibreel A.S)

Har Ek Insaan Tawheed Ki Fitrat Par Hai – Jo Apne Rab Ki Taraf Se Hai& Ham Uska (Rasool Saws) Peecha (Follow) Karte Hai – Sunnat Ka , Yeh Pehli Dafa Nahi Hua, Musa A.S Ke Saath Bhi Kitaab Thi – Pehle Bhi Nabi Paigaam Ke Saath Aaye The. (Insaan & Rasool S.A.W.S)

Jo Yahood & Isayi Rasool Saws Ko Jaanne Ke Baad Imaan Nahi Layenge – Toh Unka Thikana Jahannum Hai.

Ayat 18

Allah Par Jhoot: Allah Ke Saath Kisi Ko Shareek Thehrana. Yeh Kehna Ki Allah Ki Aulaad Hai. Allah Ne Jo Baat Nahi Kahi Usko Allah Se Mansoob Karna.

Page 2: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin – Surah 11 -Hood

www.livequraneverymoment.org Page | 2

Laanat – Allah Ki Rehmat Se Doori.

Gawah-Farishte , Paigambar, Log Ayat 19-22

Zaalimo Ki Pehchaan : Allah Ke Raaste Se Khud Bhi Rukte & Doosro Ko Bhi Rokte Hai. (Confuse Ya Torture

Karke) Deen Me Tedhapan Dhoonte Aakhirat Ka Inkaar Karte Hain. Dugna Azaab – Kyunke Khud Bhi Ruke & Doosro Ko Bhi Roke Haq Ko Sunte & Dekhte Nahi – Isliye Behre & Andhe Hain Qayamat Ke Din Unke Shareek GumHo Jayenge. Aakhirat Me Woh Log Nuksaan

Uthayenge Ayat 23- 24

Jo Log Iman Laaye, Nek Amaal Kiye & Apne Rab Ki Taraf Aajzi Ki-Yeh Mustahiq (Haqdaar) Hain Hamesha Ki Jannat Ke.

Kafir- Behre & Andhe

Momin- Sunne Waale & Dekhne Waale.

Ruku 3 (Ayat 25-35) Nooh As Area – Central Iraq. Adam E Saani Gunaah – Pehla Shirk Inhi Ki Qaum Ne Kiya. Pehle Rasool– Jinhe Shariyath Di Gayi Thi. Tableegh –950 Years. Maujza- Kashti Banane Ka Hukm. Jisme Imaan Waale & Janwaron Ke Jode(Pairs) Sawaar

Kiye Gaye. Azaab – Toofaaani Baarish –Aasmaan Se & Zameen Se Paani Ayat 25-27

Tawheed Ka Hukm Diya.Dunya & Qayamat Ke Azaab Se Daraya

Sirf Kuch Log Iman Laaye – Jinme Zyaadatar Gareeb Tabqe Ke Log They.

Qaum Ne Ilzaam Lagaya Ke Nuh A.S Jhoot Bol Rahe Hain. Rasool Kaise Ho Sakte Hain Jabke Woh Bhi Ek Aam Insaan Hai & Unme Koi Khaas Baat Nahi.

Ayat 28

Mai Tawheed Ki Fitrat (Daleel) Par Hoon. Mujhe Nabuwat (Rehmat) Di Gayi. Farishte & Wahi Ko Tum Dekh Nahi Sakte- Tumse Ye Chipaaya Gaya. Tumhe Jabran Hidayat Par Nahi Laa Sakta. Apni Fitrat (Tawheed) Ko Samjho Aur Hidayat Ki Taraf Badho.

Ayat 29- 34

Kisi Maal Ya Fayde Ke Liye Mai Tableegh Nahi Karta.

Badey Tabqe Ke Log Gareebo Ke Beech Uthna Pasand Na Karte – Isliye Nuh A.S. Se Kehte Unko Door Karne Ko .

Nuh A.S Ne Kaha-Mai In Logo Ko Door Nahi Kar Sakta. Inka Maqaam Allah Ki Nazar Me Bada Hai – Yeh Imaan Waale Hain & Apne Rab Se Mulaaqaat Karne Waale Hain. Agar In Logo Ko Main Door Karoonga Toh Allah Se Mujhe Kaun Bachaayega.

Na Mere Paas Khazaane Hain , Na Gaib Ka Ilm Aur Na Hi Mai Farishta Hoo. Yeh Log Jinhe Tum Haqeer Samajhte Ho- Inhe Allah Chahe Toh Dunya Me Bhi Bhalaayee De De- Yeh Hamesha Aisa Na Rahenge & Allah Khoob Jaanta Hai. Aur Aisa Hi Hua – Yehi Log Kashti Me Sawaar Hue & Bacha Liye Gaye- Inhi Se Insaani Nasl Aage Badi.

Page 3: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin – Surah 11 -Hood

www.livequraneverymoment.org Page | 3

Mushrik Nuh As Se Azaab Laane Ka Mutaalba (Demand) Karte Hain. Lekin Allah Ko Woh Aajiz Nahi Kar Sakte- Allah Azaab Layega Jab Wo Chahega.

Main Toh Chahta Hoon Ki Meri Khair Khaahi Se Tum Hidayat Par Aa Jaao Lekin Wohi Hoga Jo Allah Chahega.

Ayat 35

Yahan Rasool Saws Ka Zikr Hai. Rasool Saws Se Ahle Makkah Kehte Hain Ke Unhone Quran Ko Ghad Liya Lekin Rassol Saws Ka Jawab – Agar Maine Gadha Hai Toh Yeh Mera Gunaah Hai Lekin Tum Na Manoge Toh Uska Gunaah Tumhare Zimme Hai.

Sabaq

Insaan Ka Status Dekh Kar Impress Nahi Hona. Kisi Ko Haqeer Nahi Samajhna.

Iman Wale Ke Saath Koi Bura Sulook Kare Toh Yeh Jahaalat Hai – Iski Islaah Karna.

Nooh As Itne Bade Nabi Hokar Allah Se Darte They Toh Hamaara Kya Rawayya Hona Chahiye- Hamesha Yeh Yaad Rahe Ke Agar Ham Galat Karenge Toh Pakad Hogi – Allah Ke Siwaye Koi Nahi Bacha Sakta.

Ruku 4 (Ayat 36-49) Ayat 36-41

Nooh As Ko Wahi Ki Gayi Ki Ab Aur Koi Imaan Na Layenge, Ispar Gham Na Karo – Isliye Kashti Banao- Jaisa Bataaya Jaata Hai- Isme Imaan Wale Sawaar Honge & Toofan Me Zaalim Gharq Honge. Un Zaalimon Ko Bachane Ki Sifarish Bhi Na Karna.

Unki Qaum Ke Sardar Nooh As Ko Kashti Banata Dekh Mazaaq Udaa Rahe They. Toh Nooh As Ne Kaha Jaisa Tum Mazaaq Uda Rahe Ho – Hum Bhi Toofaan/Azaab Aane Par Tumhara Mazaaq Udaayenge.

Ankareeb Ruswakun Azaab Utrega Jo Ke Daimi (Forever) Hai.

Tannoor- Zameen Ka Woh Point Jahan Se Paani Aana Shuru Hua. Jab Toofaan Shuru Hua – Allah Ne Kashti Me Sab Iman Walon Ko Sawaar Kar Lene Ka Hukm Diya. Janwaron Ke Jodon (Male & Female) Ko Bhi Sawar Kar Lo. Bahut Thode Log Hi Imaan Laaye – Sirf 70-80 Log Riwayato Ke Mutabiq.

Bismillah Kehkar Sawaar Hone Kaha Gaya. Har Kaam Se Pehle Bismillah Kehna Chahiye. Ayat 42-48

Nooh As Ne Apne Bete(Kinaan/ Haam) Ko Kashti Me Sawaar Hone Ke Liye Kaha Lekin Beta Bhi Toofaan Me Doob Gaya Kyunke Wo Mushrik Tha.

Allah Ne Zameen Ko Apna Paani Nigalne Ka Hukm Diya. Note: Baarish Ka Paani Bhi Zameen Se Hi Aata Hai. Aasmaan Ko Thamne Ka &Paani Ko Sookhne Ka Hukm Diya. Finally Kashti Mt. Judi Par Ruki. Archeologists Ko Bhi Kashti Armenian Mountains Me – Mt. Judi Par Mili.

Allah Se Jab Nooh A.S Ne Apne Bete Ke Baare Me Sawaal Kiya Toh Allah Ne Saaf Keh Diya Ke Woh Saleh Logo Me Se Na Tha , & Nooh A.S Ke Ahl Me Se Na Tha – Mushrik Tha. Uske Baare Me Sawaal Karke Jahilon Me Se Na Hona.

Nooh A.S Ne Fauri Tauba Kar Li & Unke Pairokaaro Par Allah Ne Reham Kiya & Unpar Barkat Utaari. Barkat- Achi Cheezo Me Badhauti.

Agar Inki Aulaado Me Se Koi Allah Ki Nafarmaani Kare Toh Unke Liye Dardnaak Azaab Hai.

Sabaq – Agar Nabi Apne Bete Ko Nahi Bachaa Sakte Toh Kya Kisi Buzurg Ki Shifaat Hame Bacha Legi. Har Nabi Ka Tareeqa Astaghfaar – Apne Gunaaho Ki Baqshish. Rasool Saws Bhi 70 Baar Se Zyaada Astaghfaar Karte. Hame Sache Dil Se Tauba & Astaghfaar Karna Hai.

Ayat 49

Rasool Saws Se & Hamse Khitaab Hai. Yeh Ghaib Ki Khabrein Hain Jinke Baare Me Tum Nahi Jaante They. Rasool Saws Ko Tasallee & Sabr Ki Talqeen. Behtareen Anjaam Taqwa Walon Ka Hai.

Page 4: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin – Surah 11 -Hood

www.livequraneverymoment.org Page | 4

Ruku 5 (Ayat 50-60) Hood A.S. Area – Ahqaaf Ka Ilaaqa Hood A.S Qaume Aad Ki Taraf Bheje Gaye They. Aad Bahut Quwwat Wale Log They. Lame Chawde They. Ghar Banane Me Maahir They.

Unki Faujein Door Tak Phaili Thi. Maal & Aulaad Ki Kasrat Thi. Gunaah – Shirk Azaab - Kaale Baadal- Azaab Ke Baadal .Saqt Thandi Aandhi & Tez Hawa Shor Waali Ayat 50-57

Hood A.S Bhi Same Paighaam Laaye They -Tawheed Ka.

Jab Unki Qaum Ne Na Maana Toh Unhone Kaha Mera Ajr /Badla Allah Ke Paas Hai. Tumse Mai Kuch Nahi Chahta.

Gunaaho Ki Wajeh Se & Niymato Ki Inkaar Ki Wajeh Se Sookha Padh Gaya Tha. Tauba Astaghfaar Ka Hukm Diya Gaya. Jisse Allah Swt Zyaada Ata Karega.Aur Allah Se Monh Na Phero.Mujrim Bankar

Sabaq- Ham Agar Quran & Sunnat Se Monh Pherenge Toh Ham Bhi Mujrim Ban Jayenge.

Hadeeth-Abu Dawood- Rasool Saws Ne Farmaya- “Jisne Astaghfaar Apne Oopar Laazim Kar Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta Batadenge. Allah Swt Aisi Jagah Se Rizq Denge Jahan Se Insaan Ne Gumaan Bhi Na Kiya Hoga.

Allah Swt Har Kisi Ki Dua Qubool Karta Hai Chahe Gunahgaar Ki Ho Ya Nek Ki.Dua Ki ShuruaatTauba Se Karna Hai. Gunaaho Ka Aetraaf Karte Hue.

Qaume Aad Ne Kaha Hood A.S. Se Ke Teri Ek Baat Par Ham Apne Ilaaho Ki Ibaadat Nahi Chodna Chahte,. Iman Nahi Laana Chate. Tujhe Hamare Buthon Ki Maar Padi Hai – Isliye Behki Baatein Kar Raha Hai..

Hood A.S Ne Kaha Mai Alllah Ko Gawah Banata Hoon Ke Tumhaare Shirk Me Mai Zimmedaar Nahi. Tum Mujh Par Chaal Chal Sakte Ho & Mujhe Mohlat Bhi Na Do- Mai Nahi Darta Kyunke Maine Allah Par Tawakkal Kiya Hai Jiske Control Me Sab Kuch Hai. Allah Mujhe Galat Rasta Nahi Dikha Sakta – Uska Raasta Seedha Hai.

Sabaq – Haq Pahunchaane Me Agar Log Rukawat Bane/Daraaye Etc. Toh Nahi Darna. Hamesha Tawakkal Allah.

Phir Bhi Jhutlate Ho- Mera Kaam Pahunchaana Tha. Ab Allah Aisa Azaab Layega Jisme Tum Sab Khatm Ho Jaaoge & Doosri Qaum Le Aayega Jo Tum Jaisi Na Hogi. Tum Allah Ko Nuksaan Nahi De Sakte. Allah Hafeez Hai (Hifazat, Control & Monitor Karne Waala)

Ayat 58-60

Hood As Ke Saath Imaan Walo Ko Bacha Liya Gaya & Qaume Aad Par Sakht Azaab Aaya

Azaab Kaale Baadal- Baarish Nahi Hui Thi Tha Isliye Log Soche Ki Baarish Ke Baadal Hain Lekin Ye

Azaab Ke Baadal They. Saqt Thandi Aandhi & Tez Hawa- Shor Waali, Awaaz Waali Hawa - 7 Din & 8 Raat Chali. Patak Patak Kar Logon Ko Maar Rahi Thi. Khajoor Ke Ped Gire Jaise Pade They. (Tall People)

Qaume Aad Par Azaab Kyunke Allah & Rasool Ki Nafarmaani Ki Aur Sarkash Bade Logon Ko Follow Kiya.

Hamey Warning De Rahe Hai Allah Ke Agar Ham Bhi Nafarman Honge Toh Aisa Hi Azaab Aayega.

Ruku 6 (Ayat 61-68) Saleh A.S Qaume Samood Area- Hijr

Page 5: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin – Surah 11 -Hood

www.livequraneverymoment.org Page | 5

Same Paighaam – Tawheed Ka Maujza – Hamla (Pregnant) Oontni Pahad Se Nikli Gunaah – Shirk , Nafarmani , Oontni Ke Kaunche (Paaon Ke -Heels Ke Patte- Feet Till Ankles)

Kaat Daale. Azaab - Hawlnaak Cheekh, Awaaz,Zalzala. Gharon Me Aundhe Monh Girey Padey They Ayat 61-65

Saleh Ne Qaum Ko Hukm Diya Tawheed , Baqshish & Tauba Ka. Allah Bahut Qareeb Hai –Dua & Tauba Qubool Kar Lega . Koi Mediator Ki Zaroorat Nahi.

Zameen Se Paida Kiya –

Adam A.S. Ki Paidaish Mitti Se & Tum Adam Ki Aulaad Ho.

Tumhaara Khana Peena Sab Ghiza Mitti Se Hi Aati Hai- Parvarish Ke Liye.

Qaume Samood Ne Saleh Se Kaha – Ham Toh Tumhe Bahut Honhaar (Talented) Samajhte They , Ke Tum Kuch Bada Kaam Karoge Lekin Yeh Kya Tum Tawheed Ki Baat Kar Rahe Ho?

Ham Apne Ilaho Ki Ibadat Nahi Chodenge Jiski Ibadat Hamare Baap Dada Karte Aa Rahe Hain. Tumhari Tawheed Ki Baat Hame Shak Me Daal Rahi Hai.

Yeh Mere Rab Ki Rehmat Hai Ke Mai Tawheed Par Hoon & Nabi Hoon. Agar Mai Nafarmani Karoon Toh Mujhe Allah Se Koi Bacha Nahi Sakta.

Allah Ne Qaume Samood Ki Maang Par Maujza Dikhaya. Ek Haamla Oontni Pahaad Se Nikaali.

Qaum Ko Oontni Ka Khyaal Rakhna & Takleef Na Dene Ka Hukm Tha. Ek Din Oontni Kuwe (Well) Se Paani Peeti & Ek Din Qaum. Aazmayish Ke Taur Par Oontni Zyaada Paani Pee Leti. Toh Qaum Ke Logo Ne Oontni Ke Kaunche Kaat Daale.

Ayat 66-68

Qaum Ko 3 Din Ki Mohlat Di Gayi & 3 Din Ke Baad Azaab Aaya.

Saleh A.S. & Imaan Walon Ko Bacha Liya Gaya & Doosron Par Azaab Aaya – Hawlnaak Cheekh, Awaaz, & Zalzala Aaya. Gharon Me Aundhe Monh Girey Padey They.

Qaum Aise Tabha Hui Jaise Ke Woh Us Jagah Basey Hi Na They. (Totally Wiped Out).

Qaum E Samood Ke Kufr Ki Wajeh Se Woh Apne Rab Se Door Ho Gaye.

Ruku 7 (Ayat 69-83) Ayat 69-76

Jab Ibraheem A.S. Kinaan (Falasteen) Me They Toh Unke Paas Kuch Farishtey Insaani Shakl Me Aaye. Ibrahim A.S Ko Ishaaq A.S Ki Khushkhabri Dene. Unhe Pata Na Tha Ki Woh Farishtey Hain. Isliye Mehmaan Nawazi Ke Liye Ek Tala Hua Bakra Laaye .

Ibraheem As Ko Darr Hua Kyunke Farishtey Khana Nahi Kha Rahe They. Ke Kahin Yeh Farishte To Nahi Kyunke Farishtey Khana Nahi Khaate. To Unhe Dar Tha Ke

Kahin Yeh Farishtey Azaab Lekar Toh Nahi Aaye. Waise Bhi Arabon Me Agar Koi Khane Ko Qubool Nahi Karta To Uska Matlab Hai Ke Woh

Dushman Hai & Nuksaan Ke Iraade Se Aaya Hai

Farishton Ne Ibraheem A.S. Se Khauf Na Karne Ko Kaha. Aur Boley Ki Woh Qaum E Loot Ke Liye Azaab Laaye Hain.

Ibraheem A.S. Ki Biwi Sara A.S – Ibraheem A.S. Ki Haalat Dekh Kar Hans Padi. Phir Farishton Ne Unhe Is’haaq A.S Aur Yaqoob A.S. Ki Khushkhabri Di.

Sara A.S. Ko Yeh Baat Bahut Ajeeb Lagi Ke Unhe & Ibraheem A.S. Ko Budhaape Me Aulaad Kaise Hogi.

Farishton Ne Kaha Ke Allah Ki Rehmatein Hai Ke Woh Unhe Is Umar Me Bhi Aulaad Dega. Allah Badi Shaan Wala Buzurgi Waala Hai, Us Se Na Umeed Na Ho.

Ibraheem A.S. Khushkhabri Sunne Ke Baad Farishton Se Jhagadne Lage Ke Qaume Loot Par Azaab Na Le Jaaye. (Loot A.S Ibraheem A.S Ke Bhateeje They). Ibraheem A.S Bahut Narm Dil

Page 6: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin – Surah 11 -Hood

www.livequraneverymoment.org Page | 6

& Doosron Ki Takleef Me Dard Mehsoos Karne Waale They Isliye Apne Rab Ke Paas Ruju Kare. (Palte -Dua Ke Liye)

Farishton Ne Ibraheem A.S Se Kaha Ki Ab Azaab Phera Nahi Ja Sakta. Rab Ka Faisla Ho Chuka

Sabaq- Jab Ibraheem A.S Ki Sifarish Logon Ko Azaab Se Na Bacha Saki Toh Kya Ham Kisi Buzurg Ki Sifaarish Ke Zariye Bach Sakte Hain Allah Ki Saza Se?

Ayat 77-83 Loot A.S Area – Sudoom. Gunaah (1) Shirk (2) Homosexuality (3)Khule Aam Burayiyaan -Nange Naach Etc.. (4) Raston

Me Kaafilon Ko Lootna Azaab – Patharon Ki Baarish. Poori Basti Ka Paltaa Dena. Ayat 77-83

Loot A.S. Ke Paas Farishte Aaye & Azaab Ki Ittela Di. Loot A.S Ghamgeen Huey & Unka Dil Tang Ho Gaya Aur Kaha Ke Ye Din Unke Liye Bahut Sakht Hai.

Jaise Hi Qaum Ko Pata Chala Ke Loot A.S. Ke Ghar Kuch Naujawan Aaye Hain Woh Daudte Hue Aaye Bura Amal Karne Ke Iraade Se. Loot A.S Ne Qaum Se Kaha Allah Ka Taqwa Ikhtiyaar Karo , Yeh Mere Mehmaan Hain Inke Saamne Mujhe Ruswa Na Karo. Meri Betiyon Se Nikah Karke Apni Khwahish Poori Karo. Yeh Zyada Paak Hain Bajaye Iske Ke Tum Mardon Se Shahwat Poori Karne Se. Kya Tum Me Koi Aisa Samajhdaar Shaqs Nahi Jo Is Burayee Ko Bura Kahe & Usey Rokey?

Qaum Ne Loot A.S. Ki Betiyo Se Nikah Karne Se Inkaar Kar Diya & Kaha Ke Loot A.S Toh Qaum Ka Irada Jaante Hai Ke Mehmaano Ke Saath

Loot A.S Kamzor Apni Qaum Me Kyunke Doosre Area Ko Belong Karte – Sudoom Ko Nahi. Iraq Se Loot A.S & Ibraheem A.S. Hijrat Karke Falasteen Gaye They Phir Tableegh Ke Liye Ibraheem A.S Ne Loot A.S Ko Sudoom Ki Taraf Bheja Tha.

Loot A.S Sharminda They Ke Woh Farishto Ko Bacha Nahi Sakte.

Lekin Farishto Ne Kaha Ke Ham Toh Farishte Hain , Tumhe Fikr Karne Ki Zaroorat Nahi. Apne Ghar Walo Aur Followers Ko Lekar Raat Ke Waqt Is Basti Se Nikal Jaao. Peeche Na Palatkar Dekhne Ka Hukm Tha Lekin Loot A.S Ki Biwi Jo Qaum Ki Jasoos Thi -Woh Palti & Ek Pathar Aakar Usey Maar Diya & Faut Ho Gayi.

Subah Qareeb- Andhere Ke Baad Ujaala,Tangi Ke Baad Aasaani. Allah Hamey Dunya & Aakhirat Me Nawaazega.

Sabaq- Kisi Nabi Ka Beta/Biwi Hona Kuch Fayda Nahi Diya. Hamare Rishtedaro Ke Nek Ya Bad Aamaal Hamaare Kaam Na Aayenge.

Azaab – Basti Ko Ulta Kar Diya Gaya. Baarish Pakey Huey Pathar Ki Jo Ki Nishaanzada (Marked) They & The Par The (Layered) They.

Zaalimon Se Kuch Door- Loot A.S Ka Area Makkah Se Door Nahi- Jaake Dekh Sakte Hain. Azaab Door Nahi- Koi Bhi Zulm ( Shirk ) Karey – Us Se Azaab Door Nahi. Qayamat Door Nahi.

Ruku 8 (Ayat 84-95) Shoaib A.S. Area – Madyan (Shaam (Syria) & Yemen Ke Beech) Gunah- (1) Shirk (2)Naap Tol Me Kami (3) Loot Maar (4) Fasaad Same Paigaam Tawheed Ka. Azaab – Cheekh & Zalzala Ayat 84-86

Page 7: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin – Surah 11 -Hood

www.livequraneverymoment.org Page | 7

Shoaib As Apni Qaum Se- Agar Tum Ek Allah Ki Ibadat Na Karoge Aur Naap Tol Ko Poora Na Doge Toh Gher Lena Waala Azaab Aayega.

Naap – Measure , Tol – Weight.

Naap Tol Me – Time & Mazdoori Bhi Aayega.

Unki Cheezon Me Kami Na Karo Yaani Unhone Uski Keemat Ada Ki Hai Ab Woh Unka Haq Hai.

Fasaad – Har Tarah Ka Bigaad , Ladayee ,Jhagda, Logon Ko Nuksaan Pahunchana Etc….

Kahin Bhi Fasaad Na Karo Poori Zameen Me.

Halal Tareeqe Se Jo Kamaayee Karte Ho (Profit) Wohi Behtar Hai- Yeh Iman Ka Hissa Hai. Mera Kaam Sirf Paigaam Pahunchaana Hai – Main Tumpar Nigehbaan Nahi- Tumhare Amaal Ke Tum Zimmedaar.

Ayat 87- 90

Qaum Ne Shoaib A.S Ko Tanzia Taur Pe Kaha- Kya Tumhaari Namaz Hame Apne Baap Dada Ke Deen Ko Chodne Ka Hukm Deti Hai. Kya Hamare Maal Par Hamara Koi Ikhtiyaar Nahi.

Shoaib A.S. Ne Kaha- Main Tawheed Par Hoon- Sachi Nabuwat Par Hoon. Aur Mai Naap Tol Me Kami Nahi Karta Phir Bhi Faydamand Tijaarat (Business) Karta Hoon. Allah Ne Mujhe Zyada Rizq Diya Hai. Bagair Dhoke Ke Bhi Munafa Kama Sakte Hain. Meri Istetaat Ke Mutabiq Mai Tumhari Islaah Karonga. Mujhe Tumse Kuch Nahi Chahiye.Maine Allah Par Tawakkal Kiya & Usi Ki Taraf Palat Ta Hoon.

Rizq- Har Fayda Pahunchane Wali Cheez. Allah Ne Shoib A.S Ko Maal, Daulat, Salaahiyat Di Hai.

Sabaq- Apni Istetaat Ke Mutaabiq Islaah Ki Koshish Karna Hai Warna Pakad Hogi. Asbaab (Sources/Raaste) Ke Liye Allah Ki Tawakkal Ki Zaroorat. Only Self Confidence Not Enough.

Mere Khilaaf Itna Mat Bado Kahin Tumhe Qaume Nooh, Qaume Hood Ya Qaume Saleh Ki Tarah Azaab Na Aaye.

Qaume Loot Tumse Kuch Door Hi Hai - Jagah & Waqt Ke Aetebaar Se.

Baqshish & Tauba Karo– Beshak Allah Bahut Rehm Karne Waala & Mohabbat Karne Wala Hai.

Ayat 91-95

Qaum Ne Kaha Ke Unhe Shoaib A.S. Ki Baat Samjh Me Nahi Aati (Halanke Woh Log Bahut Aqalmand Businesssmen They). Tum Toh Chote Se Kamzor Insaan Ho , Ham Tumhare Kumbe Qabile Ki Khatir Yumhe Chodte They Warna Tumhe Nuksaan Pahunchaate.

Shoaib A.S. – Kya Allah Se Zyada Tum Mere Kumbe Qabeele Se Darte Ho. Kya Allah Ki Baat Tumhare Liye Itni Gair Zaroori Hai. Beshak Tumhaare Aamaal Allah Ke Ghere Me Hain.

Tum Tumhare Amal Karo & Mai Apne . Jab Azaab Aayega Pata Chal Jayega Ke Kaun Jhoota Hai. Mai Bhi Intezaar Kar Raha Hoon.

Shoaib A.S & Imaan Walon Ko Bacha Liya Gaya & Qaum Par Cheek & Zalazale Ka Azaab Aaya Jiski Wajeh Se Woh Apne Gharo Me Aundhe Monh Girey Padey They. Aise Khatm Hue Jaisa Ke Kabhi Basey Na They.

Sabaq- Warning Hamare Liye. Allah Ki Baat Na Maanoge , Shirk ,Gunaah Karoge Toh Allah Ki Pakad Aayegi.

Ruku 9 (Ayat 96-109) Moosa A.S Qaum- Bani Israyeel Area- Misr Maujza- Yade Baiza (Shining Hand) & Asa (Stick) & More Kitaab - Tauraat Gunaah- Shirk & Nafarmani, Heela Saazi.

Page 8: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin – Surah 11 -Hood

www.livequraneverymoment.org Page | 8

Ayat 96-100

Musa A.S Ko Tawheed Ki Daleel Ke Saath, Asa & Yade Baiza Ke Saath Allah Ne Firoun Ki Taraf Paighaam Dekar Bheja. Firoun Sarkash Tha- Paigaam Ko Jhutlaaya & Firoun Ke Sardaron Ne Bhi Firoun Ki Hi Pairvi Ki Jo Ke Hidayat Ka Raasta Na Tha.

Sabaq- Jiske Peeche Ham Dunya Me Chalte Hain, Qayamat Ke Din Bhi Usi Ke Peeche Honge.

Kuch Bastiyaan Tabaah Ho Chuki (Samood,Aad Etc) Lekin Kuch Qayam Hain (Egypt, Pyramids Etc..)

Ayat 101-109

Shirk Ki Wajeh Se Unhone Apne Oopar Zulm Kiya (Nabi Ki Nafarmani. Bachde Ko Maabood & Isliye Shirk Karne Walon Ka Qatl)

Zaalim (Shirk Karne Walae) Logon Par Allah Ki Saqt Pakad Hoti Hai.

Haaziri Ka – (1) Sab Log Haazir Honge (2) Gawah Honge- Aaza, Log , Farishte, Ambiya Etc..

Mohlat Hai Ek Muddat Ke Liye. Phir Jab Qayamat Aajayegi Us Din Khauf, Shock, Discipline Ki Wajeh Se Koi Kuch Na Bol Paayega. Magar Jisko Allah Ijaazat De.

Jo Badbakht (Burey Aamaal Karne Waale) Honge – Aag Me Honge -Aag Ki Bhi Cheekh Hogi & Logo Ki Bhi Cheekh. Aur Woh Isme Hamesha Rehne Wale Hain.Allah Hame Mehfooz Rakhe Is Aag Se.

Nek Log Hamesha Ki Jannat Me HongeJo Ke Allah Ki Baqshish Hai – Jo Kabhi Na Khatm Hogi (Niymat).

Jo Allah Ke Siwa Apne Baap Daada Ke Ilaaho Ki Ibaadat Karte Hain Unko Dekh Kar Shak Me Na Pado- Allah Unko Poori Saza Dega- Bagair Kuch Kami Ke.

Ruku 10 (Ayat 110-123) Ayat 110 – 113

Moosa A.S Ko Taurat Di Gayi. Bani Israyeel Ne Moosa A.S Ke Baad Taurat Me Tehreef Kiye.

Guzar Chuki Baat- Logon Ke Darmiyaan Faisla Qayamat Ke Din Hoga. Agar Fix Na Hota Qayamat Ka Din Toh Allah Fauran Faisla Kar Deta.

Mushrik Ka Shak- (1) Quran Par. (2)Allah Ki Batayi Hui Baat Par. (3)Qayamat Ke Din Par.

Allah Khabar Rakhne Waala Hai- Sab Ko Unke Aamaal Ka Poora Badla Dega.

Allah Ke Hukm Par Qayam Raho & Tauba Karo & Sarkashi Na Karo – Allah Har Cheez Ko Khoob Dekhne (Watch Karne) Wala Hai.

Hargiz Na Jhuko (Incline/ Attract) Un Logo Ki Taraf Jo Zaalim Hain. Agar Jhukoge Toh Tumhe Aag Chuegi Phir Allah Ke Siwa Koi Nahi Bacha Sakega Ya Madad Karega.

Sabaq- Mushrikeen Ke Taur Tareeqe Nahi Apnana Chahiye. Aaj Kal Hamari Ibadatein, Rasmo Riwaaj, Pehnna, Shaadiyan Etc.. Sab Kuch Mushrikeen Jaisa Hai. Agar Ise Na Chodenge Toh Hamara Bhi Unhi Ke Jaisa Haal Hoga.

Ayat 114-123

Din Ke Kinaaro Par Namaz–Yaani Fajr & Maghrib. Abhi Tak 5 Waqt Namaz Muqarar Nahi Hui Thi. Nekiyan Choti Burayeeyon Ko Mita Ti Hai. Nekiyan Karne Ke Liye Sabr Ki Zaroorat Hai.

Ehsaan – Beautifullly Karna, Dosron Ko Haq Se Zyada Dena , Apne Haq Se Kam Lena.

Ameeron Ke Tareeqe Jo Ki Sunnat Ke Khilaaf Ho – Unko Follow Nahi Karna.

Agar Kisi Basti Me Koi Islaah Karne Wala Maujood Hai Toh Allah Unhe Halaak (Tabha) Nahi Karega.

Jo Bhi Sahi Raaste Ko Chodega – Jin & Insaan Me Se- Sab Jahanum Me.

Yeh Waaqiyaat Yaad Rakho & Bhatko Mat Warna In Qaumo Jaisa Haal Hoga.

Zabardasti Nahi Kar Sakte Islaam Laane.

Yeh Waqyaat –Rasool Saws Ko Tasallee Dene. Hamare Liye Ibrat,Naseehat &Yaad Dehani.

Amal Karo & Badle Ka Intezaar Karo

Page 9: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin – Surah 12 -Yusuf

www.livequraneverymoment.org Page | 9

Allah Hi Ke Paas Gaib Ka Ilm Hai. Usi Ki Ibadat Karo & Usi Par Tawakkal Karo Kyunke Allah Hi Ke Paas Sab Maamlo Ka Hisaab Hoga.

Ayaat - 111 Ruku-12

Surah Yusuf Surah 12 Makki Surah

Surah Yusuf – Bani Israyeel Ka Rasool Saws Ko Poochna Ke Bani Israyeel Falasteen Se Misr Kaise Pahunche. Allah Ne Jawab Me Surah Yusuf Nazil Ki. Yusuf A.S Ka Complete Khissa Ek Hi Surah Me. Tasallee Rasool S.A.Ws. Ko Ke Yusuf A.S. Ko Bhi Apno Ne Takleef Pahunchi. Itni Details Yusuf A.S Ki Taurat Me Bhi Nahi. Yusuf A.S Ke Ilaaqe Ke Baarey Me Arab Nahi Jaante. Lesson- Ke Sachayee Ki Hi Jeet Hoti Hai -Shart Ke Taqwa & Sabr Ho Yaqoob A.S & Yusuf A.S Jaisa. Yaqoob A.S Ke 12 Bete: 10 Bete Ek Biwi Se, 2 Bete Doosri Biwi Se. Yusuf Asm & Bin Yameen Doosri Biwi Ke Bachey.

Ruku 1 (Ayat1-6)

Quran Arabi Zabaan Me Nazil Hui Kyunke Makkah Me Arabs They & Woh Arabi Samjhte They.

Quran Wazeh Kitaab – Very Clear.

Ahsanul Qasas- Behtareen Khissa Jisme Kahani & Sabaq Bhi Hai.Jisko Padhne Ke Baad :Padhne Waale Me Tabdeeli Paayi Jaati Hai. Aakhir Tak Reader Ka Interest Maintained.

Is Qisse Se Pehle Rasool S.A.W.S Bekhabar Yaani Unhe Pata Na Tha Yusuf A.S Ke Baare Me. Ayat 4-6

Yusuf A.S Ne Apne Khwab Ka Zikr Apne Walid Yaqoob A.S. Se Kiya.Khwaab – 11 Sitaare Aur Suraj & Chaand Yusuf A.S Ko Sajda Kar Rahe They. 11 Sitaare:11 Bhai , Suraj: Walid, Chaand: Maa, Sajda E Taazeem . (App. 40 Yrs Ke Baad Yeh Khwaab Sacha Hua.)

Yaqoob A.S. Ne Yusuf A.S. Se Kaha Ke Yeh Khwaab Apne Bhaiyon Ko Na Kehna Kyunke Shaytaan Unke Dilon Me Hasad ko Badawa Dega. Aur Bhai Chaal Chalenge Tumhare Khilaf.

Sabaq- Niymaton Ki Numayish Na Karein Warna Nazar & Hasad Ka Shikaar Hoge.

Hasad- Aisa Chahna Ke Saamne Waale Ki Niymat Chhin Jaaye.

Niymat Dekh Kar Khwahish Ho Toh Apne Liye Dua Karein- Hasad Na Karein.

Yaqoob A.S & Yusuf A.S Ko Khaabon Ki Taabeer & Baatil Ko Samajhne Ki Salaahiyat Thi. Allah Ne Unhe Nabuwat Ke Liye Chun Liya Jaisa Ke Do Baapo Ko Chuna Tha.

Ibraheem A.S. Ke Bete - Is’haq A.S Ke Bete - Yaqoob A.S (Laqab Israyeel- Allah Ka Banda).

Ruku 2 (Ayat 7-20)

Yusuf A.S & Unke Bhaiyon Ke Qisse Me Bani Israyeel Ke Sawaal Ka Jawaab Hai.

Yusuf A.S Ke Bhai Unse & Bin Yameen Se Jalte They & Sochte They Ke Yaqoob A.S. Ko Un Dono Se Hi Zyaada Mohabbat Hai Halanke Yeh Log Zyada They (10 Bhai).

Toh Bhaiyon Ne Yusuf A.S Ke Qatl Ka Irada Kiya, Ya Phir Usey Kahin Phenk Dein Taake Yusuf A.S. Ki Ghair Maujoodgi Me Yaqoob A.S Ki Mohabbat Haasil Karein.

Is Kaam Ke Baad Nek Hum Toh Nek Hai Hi. Hamne Kuch Nahi Kiya – Aisa Pretend Karenge. Hum Is Kaam Ko Karne Ke Baad Tauba Karlenge & Nek Ban Jayenge.

Ek Bhai:- Usey Qatl Mat Karo & Kuwe Me Daal Do.

Yaqoob A.S Se Ijazat – Yusuf A.S Ko Khelne Le Jaane Ke Liye & Waada Kiya Hifazat Ka.

Yaqoob A.S. Ghamgeen & Darr Ke Kahin Bhediya Yusuf A.S. Ko Na Kha Le.

Beton Ne Tasallee Di Ke Woh Ek Giroh Hain & Yusuf Ko Kuch Na Hone Denge.

Woh Yusuf A.S Ko Le Gaye & Andhere Kuwe Me Daal Diya.

Page 10: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin – Surah 12 -Yusuf

www.livequraneverymoment.org Page | 10

Yusuf A.S Ko Us Waqt Hi Wahi Aayi – Ke Tum Bhaiyon Ko Is Harkat Ke Baare Me Yaad Dilaoge – Jab Woh Isey Bhool Chuke Honge.

Bete Yaqoob A.S. Ke Paas Rote Huey Aaye -Ishaa Ke Waqt- Kaha: Jab Woh Log Daud Laga Rahe They (Khel Rahe They) & Yusuf Saamaan Ke Paas Baithe They Unhe Bhediye Ne Kha Liya.

Ishaa Ke Waqt- Raat Ko Hi Gunah Ke Kaam Hote Hai. Roshni Kam – Gunehgaar Ke Chere Ke Expressions Bhi Nahi Dikhte. Jataana Chahte They Ki Din Bhar Dhoondkar Aaye.

Ham Sache Hain – Yeh Dekho Qameez Par Yusuf A.S. Ka Khoon. (Jhoot Kaha)

Yaqoob A.S Ne Kaha Sabr Hi Acha Hai.

Sabrun Jameel– Rone ,Cheekhne, Chillane ,Shikwa Se Parhez Karna.Allah Ki Taraf Rujoo Hona. Yeh Sabr Tabhi Aata Hai Jab Iska Ajr Dunya Aakhirat Me Samajh Me Aata Hai.

Nabiyon Ke Khwaab Sachche Hote Hain.

Aam Insaan Ko Bhi Sache Khwab Aa Sakte Hain. Kaafir Ko Bhi (Like Badshah Of Misr)

Khwaab 3 Types: Rehmaani – Allah Ki Taraf Se- Khushkhabri. Shaytaani – Shaytaan Ki Taraf Se- Jo Quran & Sunnat Ke Khilaaf. Nafsaani – Jo Insaan Din Bhar Sochta Hai Uska Asar Khwaab Me Aata Hai.

Ek Khafila Aaya- Kuwe Me Yusuf Ko Paaya, Utha Liya & Thodi Qeemat Me Bech Diya Misr Ke Aziz (Minister) Ko.

Aziz Ne Apni Biwi Se Kaha Ke Yusuf Ko Ghulaam Ki Tarah Treat Mat Karo- Izzat Wala Maqam Do Ho Sakta Hai Woh Hamare Fayde Ka Ho.

Ruku 3 (Ayat 21-29) Ayat 21-22

Allah Ka Yeh Plan Tha Ke Misr Tak Yusuf A.S. Pahunche & Baaton Ki Samjh Ka Ilm Dein.

Kinan Ek Dehati Ilaqa. Allah Yusuf A.S Ko Badshah Banana Chate They Isliye Yeh Training Thi Yusuf As Ki.

Ilm Nahi Rakhte. Allah Ko Koi Hara Nahi Sakta, Faisla Badal Nahi Sakta. Koi Bhi Pareshaani Me Allah Ki Kya Hikmat Hai Uska Ilm Nahi Rakhte.

Sabaq- Allah Jab Hame Pareshani Me Daalte Hain Tab Hikmat Hoti Hai – Hamare Hi Bhale Ke Liye Hota Hai.

Hikmat Here (Ayat22) – Nabuwat & Quwwate Faisla. Ayat 23- 29

Aziz Ki Biwi Yusuf A.S Ko Phuslana Chahti Thi Zina Ke Liye. Lekin Yusuf A.S Ne Aap Ko Bacha Liya.

Mera Rab – 2 Opinions Allah – Mai Allah Se Darta Hoon Allah Ne Mujhe Yeh Maqaam Diya Hai. Aziz E Misr- Mai Aziz Se Darta Hoon , Usne Mujhe Khareeda & Mujhe Acha Thikana Diya.

(Biwi Bhi Aziz Apne Shohar (Maalik) Se Darti Hai Lekin Allah Se Toh Nahi - Isliye Aziz Hi Rab Hoga Yahan)

Note – Islam Me Adoption Ka System Isi Liye Nahi Hai Ke Parde Etc.. Ka Masla Hota Hai

Zulm Here – Zina

Qareeb Tha Ke Yusuf A.S Zina Kar Lete Lekin Allah Ne Burhaan (Zameer /Conscience) Ke Zariya Bacha Liya.

Page 11: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin – Surah 12 -Yusuf

www.livequraneverymoment.org Page | 11

Dono Darwaze Ki Taraf Bhaage- Aziz Ki Biwi Ne Yusuf A.S. Ki Qameez Peeche Se Phaad Di- Darwaza Khula Toh Saamne Aziz Tha. Biwi Ne Yusuf A.S Par Badkaari Ka Ilzaam Daala & Qaid Karne Ko Kaha.

Yusuf A.S. Ne Apne Bachaw Me Kaha Ke Wohi Yusuf Ko Phuslana Chahti Thi.

Aziz Ki Biwi Ki Taraf Se Ek Gawah Ne Kaha Ki Agar Qameez Saamne Se Phati Hai Toh Biwi Sachi Hai -Yusuf A.S Kusoorwaar. Agar Peeche Se Phati Hai Toh Biwi Jhooti & Biwi Hi Kusoorwaar.

Qameez Peeche Se Phati Dekhkar Pata Chal Gaya Ke Yeh Aziz Ki Biwi Ki Hi Chaal Thi.

Ruku 4 (Ayat 30-35)

Yusuf A.S Se Aziz Ne Kaha Ke Is Maamle Ko Chod Do & Biwi Se Maafi Maangne Kaha.

Shehar Me Yeh Baat Phail Gayi & Auratein Aziz Ki Biwi Ke Baarey Me Baatein Karne Lagi Toh Aziz Ki Biwi Ne Ek Plan Banaya- Sab Auraton Ko Ek Dawat Di -Ek Mehfil. Unke Haath Me Phal & Churi Di.

Aziz Ki Biwi Ke Bulaane Par Jab Yusuf A.S. Un Auraton Ke Paas Se Guzre Toh Aurate Unki Khoobsoorati Ko Dekhte Hi Madhosh Hokar Apne Haath Kaat Baithe.

Aziz Ki Biwi Ne Yusuf A.S Ko Qaid Kar Dene Ki Dhamki Di. Yusuf A.S Ne Qaid Hona Zyada Pasand Kiya Zina Ke Kaam Se. Apne Aap Ko Bachana Unhe Mushkil Laga. Aur Yusuf A.S Qaidi Bangaye.

Sabaq- Kisi Bhi Majboori Me Bhi Behayaayi Ko Nahi Apnana Chahiye.

Yusuf A.S Ke Jail Bhejne Me Bhi Allah Ki Hikmat Thi. Sahih Waqt Tak Unhe Allah Ne Jail Me Rakha.

Ruku 5 (Ayat 36-42)

Yusuf A.S Ke Saath Jail Me 2 Aur Qaidi .Dono Par Badshah Ko Zehar Dene Ka Ilzaam Tha.

Dono Ne Apne Khwaab Yusuf A.S. Ko Sunaaye & Taabeer Ki Guzarish Ki. Woh Jaan Gaye Ke Yusuf A.S Mohsineen Me Se Hain. Unke Akhlaaq Ki Wajeh Se

Sabaq- Hamare Amal Dekhkar Log Hame Describe Karte Hain. Ek Ne Kaha Ke Woh Khwaab Me Sharaab Nichod Raha Hai. Doosre Ne Kaha Ke Uske Khwaab Me Uske Sar Par Roti Hai & Parinde Use Khaa Rahe

Hain.

Yusuf A.S Ne Kaha Khaana Aane Se Pehle Mai Taabeer Bata Doonga Lekin Mai Koi Nujoomi Nahi. Yeh Khwaabon Ki Taabeer Ka Ilm , Yeh Salahiyat Allah Ne Mujhe Diya Hai.

Mawqa Dekh Kar Yusuf A.S Ne Tawheed Ki Baat Ki. Hikmat Se. Kaha Ke Mai Koi Naye Tareeqe Par Nahi Balke Apne Baap Dada Ki Millat Par Hoon. Shirk Se Door & Hidayat Par Hoon Jo Ke Allah Ki Taraf Se Hai. Iska Shukr Ada Karna Hai.

Sabaq – Allah Ki Di Hui Har Cheez – Chahe Ilm, Maal Etc.. Sab Ko Apni Quality Nahi Samajhna Lekin Allah Ka Shukr Ada Karna & Accept Karna Ke Allah Ki Taraf Se Hai. Daayi Ko Chahiye Ke Apne Aamaa Durust Karke Logon Ko Bulaaye Aur Mawqe Ko Dekhte Huey Apni Baat Rakhejab Saamne Wala Sunne Ko Tayyaar Ho.

Ayat 39- 42

Deen Ki Baat Bahut Pyar Se Pesh Kar Rahe Hai. Socho Agar Bahut Saare Rab Hote Toh Bahut Ikhtelaaf Hota. Yeh Alag Alag Jo Rab Hai – Insaano Ne Khud Naam Rakh Ke Bana Liye Hai – Yeh Sach Nahi. Sirf Allah Hi Ke Haath Me Control Hai Sab Kuch & Usi Ki Ibadat Karo & Ye Sahi Deen Hai.

Khwaab Ki Taabeer Batayi–Ke Pehla Shaqs Apne Aaqa Ko Sharaab Pilayega (Jail Se Choot Jayega).

Doosra Shaqs Sooli Par Chadaya Jayega ,Itni Der Wahan Rahega Ki Parinde Uske Sar Se Khayenge.

Page 12: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin – Surah 12 -Yusuf

www.livequraneverymoment.org Page | 12

Yusuf A.S. Ne Sharaab Pilane Wale Ko Kaha Ke Badshah Se Yusuf A.S Ka Zikr Karna Chootne Ke Baad. Lekin Chootne Ke Baad Woh Bhool Gaya. Aur Yusuf A.S Kayee Saal Jail Me Rahe.

Ruku 6 (Ayat 43-49)

Badshah Ne Ek Khwaab Dekha Ke 7 Patli Gaye -7 Moti Gaiy Ko Khaa Rahi Hain & 7 Baaliyaan (Corn) Sar Sabz (Green) They & 7 Sookhe. Aur Is Khwaab Ki Taabeer Apne Darbaariyon Se Poochi.

Darbariyon Ne Kaha Ke Woh Aise Confusing Khwaab Ki Taabeer Nahi Jaante. Tab Us Jail Se Choote Hue Aadmi Ko Yusuf A.S. Ke Baare Me Yaad Aaya.

Usne Kaha Mujhe Yaha Se Thodi Der Ke Liye Bhejo , Mai Khwaab Ki Taabeer Batata Hoon. Woh Yusuf A.S Ke Paas Gaya & Kaha. O Sachayee Ke Insaan – Is Khwaab Ki Taabeer Bataao Taake Mai Logo Ko Bataaoon.

Yusuf A.S Ne Kaha- 7 Saal Tum Hare Bhare Khet , Anaaj Ugaaoge, Toh Usko Uski Baali Me Chod Dena. (So That They Are Preserved). Toh Phir 7 Sooke Saal Aayenge- Kuch Bhi Nahi Ugega. Tab Yeh Preservrd Anaaj Istemaal Kar Lo. Phir Ek Saal Aisa Aayega Jisme Khoob Baarish ,Anaaj, Sabza , Fruits Etc..

Yusuf A.S Ne - Na Ki Sirf Taabeer Balke Masle Ka Hal (Solution) Bhi Bataaya.

Ruku 7 (Ayat 50-57) Ayat 50-52

Yeh Baat Badshah Ko Bataayi Toh Badshah Ne Yusuf A.S Ko Bulaane Ki Farmaish Ki.

Lekin Yusuf A.S Ke Paas Jab Badshah Ka Messenger Gaya Toh Yusf A.S Ne Kaha Ke Un Auraton Ke Baare Me Pata Karo Jinhone Mujhe Jail Tak Pahunchaya.

Beshak Allah Un Auraton Ki Chaal Ko Jaanta Hai.

Auraton Ne Confess Kar Liya Ke Yusuf A.S Ne Toh Koi Bura Kaam Nahi Kiya.

Aziz Ki Biwi Ne Bhi Confess Karliya Ke Usi Ki Galti Thi, Usi Ne Yusuf A.S Ko Phuslana Chaha & Yusuf A.S Sache Hain Aur Bekasoor Hain.

Biwi Ne Kaha Ke Aziz E Misr Bhi Jaan Le Ke Yeh Meri Galti Thi Yusuf A.S Ki Nahi.

Usne Realise Kar Liya Ke Allah Tala Kabhi Khyaanat Kaaron Ki Chaalon Ko Kabhi Rehnumayi Nahi Karta- Yaane Jo Galat Hai Woh Galat & Jo Sahih Hai Woh Sahih.

Sabaq– Hamesha Sachaayi Ki Hi Jeet Hoti Hai . Sabr Se Kaam Lena Chahiye.

Chart Of Prophets Mentioned In Surah Hood – Complete It Nabi & Qaum

Ka Naam Area Maujza Gunah Azaab

Page 13: Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 12- Wa Ma Min Daabbatin ... · Har Ek Ke Rizq Ki Zimmedaari Allah Ne Li Hai. ... Liya, Allah Swt Usey Har Fikr ,Pareshani ,Tangi Se Nikalne Ka Raasta

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf

www.livequraneverymoment.org Page | 13