surah al- baqara verses:133-136 {in roman … shuru allah ke paak naam se , jo bada meherbaan aur...

2
SURAH AL- BAQARA VERSES:133-136 {IN ROMAN ENGLISH} SURAH AL- BAQARA Assalamu 'alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu VERSES 133-136 BISMILLAH HIR RAHMAAN NIR RAHEEM ( Shuru Allah ke paak naam se , jo bada Meherbaan aur Rahemwala hai) SURAH AL- BAQARAH (Verses : 133 to 136) 133). Bhala jis waqt Yaqoob(alaihi salaam) wafaath paane lage toh tum us waqt maujuud the? Jab inhone apne beton se pucha ke mere baad tum kis ki ibaadat karoge? Toh inhone kaha ke aapke maabood aur aap ke baap dada , Ibraheem(alaihi salaam) , Isma'eel( alaihi salaam) aur Isaaq(alaihi salaam) ke maabood ki ibaadat karenge. Jo maabood dekhta hai aur hum isi ke hukumbardaar hai. 134). Yeh jamaath guzar chuki, inko inke amaal ka badlaa milega , aur tumko tumhare amaal ka. Aur jo amal woh karte the, inki puchee(parastheesh) tum se nahi hogi. 135). Aur ( yahudi aur isaaayi) kahte hai ki yahudi aur isaayi ho jaao toh seedhe raaste par lag jaaoge. Aye paigamber! In se kahdo (nahi) , balki hum deen-e-Ibraheem(alaihi salaam) ikhtiyaar kiye hue hai , jo ek Khuda ko maante hai aur hum mushrikeen mein se na the.

Upload: nguyentram

Post on 04-Apr-2018

223 views

Category:

Documents


3 download

TRANSCRIPT

SURAH AL- BAQARA

VERSES:133-136 {IN ROMAN ENGLISH}

SURAH AL- BAQARA

Assalamu 'alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu

VERSES 133-136

BISMILLAH HIR RAHMAAN NIR RAHEEM

( Shuru Allah ke paak naam se , jo bada Meherbaan aur Rahemwala hai)

SURAH AL- BAQARAH (Verses : 133 to 136)

133). Bhala jis waqt Yaqoob(alaihi salaam) wafaath paane lage toh tum us waqt maujuud the? Jab inhone apne beton se pucha ke mere baad tum kis ki ibaadat karoge? Toh inhone kaha ke aapke maabood aur aap ke baap dada , Ibraheem(alaihi salaam) , Isma'eel( alaihi salaam) aur Isaaq(alaihi salaam) ke maabood ki ibaadat karenge. Jo maabood dekhta hai aur hum isi ke hukumbardaar hai.

134). Yeh jamaath guzar chuki, inko inke amaal ka badlaa milega , aur tumko tumhare amaal ka. Aur jo amal woh karte the, inki puchee(parastheesh) tum se nahi hogi.

135). Aur ( yahudi aur isaaayi) kahte hai ki yahudi aur isaayi ho jaao toh seedhe raaste par lag jaaoge. Aye paigamber! In se kahdo (nahi) , balki hum deen-e-Ibraheem(alaihi salaam) ikhtiyaar kiye hue hai , jo ek Khuda ko maante hai aur hum mushrikeen mein se na the.

136). Musalmanon! kaho ke hum Khuda par imaan laaye aur jo (kitaab) hum par uthree , is par jo Ibraheem(alaihi salaam), aur Isma'eel( a.s) , aur Isaaq(a.s) aur Yaqoob(a.s) aur in ki aulaad par naazil hue un par; aur jo (kitaaben) Musa(a.s), aur Esa(a.s) ko ata hue hai, un par, aur jo aur paigamberon ko inke parwardegaar ki taraf se mile, un par( sab par imaan laaye) . Hum in paigamberon mein se kisi mein kuch faraq nahi karte aur hum isi Khuda ke wahed ke farmabardaar hai.

( Sadaqullahul Azeem)